Hey guys ..
Kaise ho aap sab dekho main phir wapas aa gayi meri story se tum logo ka sar khane ke liye.. shayad is baar zara sa jaldi hi aa gayi woh is liye kyunke kal se mera college shuru ho rahein hain iska matlab mere chutiyaan khatam ho rahi hain is liye maine socho ki main yeh agla part post kar doon aap sab sweet logo ke liye....…….
Recap :- ek min mujhe yaad nahi aa raha exactly last part mein kya hua tha.. haan ab yaad aa gaya.. sujal kashish share a romantic moment together.. phir sab log yeh decide karthe hain ki ab woh piyush se badla lenge.. phir kashish vasu aur piyush ki baatein sunthi hain aur sujal ko sab kuch bathathi hain..then they decide to start their plan of action…
AB AGGE..
" ZINDAGI KE SILSILAY :- PART 29 "
kashish goes to the farm house.. she goes inside.. piyush usse dekhtha hain aur shock hotha hain..
Piyush:- tum yahaan kya kar rahi ho Mrs. Sujal garewal..
Kashish :- piyush main tumse milne aayi hoon aur haan main yahaan befizool ki baatein nahi karne aayi…
Piyush :- tho bolo Mrs. Sujal garewal aapko aaj mujhse kya kaam pad gaya…
Kashish {acts like getting angry}:- stop it piyush.. mujhe baar baar Mrs. Sujal garewal bolna band karo nafrat hogayi hain mujhe usse.. nafrat karthi hoon main sujal se..
Piyush ko yeh baat sunkar jhatka lagtha hain par woh khush bhi bohat hotha hain lekin aise naatak kartha hain ki woh sujal ke liye care kartha hain..
Piyush {having fake concern}:- kashish tum yeh kya keh rahi ho sujal tumhara pati hain.. aur tum uske bare mein aisa kaise keh sakthi ho…
Kashish :- piyush main sujal se apne saare rishthe thod na chahthi hoon main us insaan se koi rishtha nahi rakhna chahthi jisne meri zindagi barbaad kar di hain jisse meri koi qadar hi nahi hain..
Piyush :- tum aisa kyun keh rahi ho ?? tum tho sujal se pyaar karthi ho na…
Kashish :- pyaar woh insaan mere pyaar ke layak nahi hain.. main sirf usse nafrat karthi hoon….
Piyush :- lekin kyun ???
Kashish :- sujal ke ateet ke wajah se..
Piyush :- sujal ka ateet….
Kashish :- haan piyush sujal ka ateet maya ki wajah se...
Piyush :- kashish ab in sab mein maya kahaan se aa gayi…
Kashish :- maya hi tho hain saari fasaad ki jhad piyush…
Piyush:- main samjha nahi ??
Kashish:- piyush jab hum sab Paris gaye the..wahaan sujal ka saamna us maya se hua.. aur sujal ko apna pehla pyaar yaad aa gaya aur woh mujhe bhool gaya mujhe bhool gaya piyush…. {kashish get's fake tears in her eyes }
Piyush sochtha hain shayad maya ne mujhe call isliye kiya tha kyunke woh mujhe batana chahthi ki humara plan kamiyaab hua.. piyush apni soch se bahar nikal kar kashish se poochtha hain…….
Piyush :- lekin kashish tum ab yeh sab mujhe kyun bata rahi ho ???
Kashish :- piyush main tumhe aaj yeh sab isliye batana rahi hoon kyunke mujhe lagtha hain maine shuru se hi tumhe samajne main ghalthi ki hain.. piyush maine tumhare pyaar ko tukraya kyunke main sujal se pyaar karne lagi thi par ab mere dil mein uske liye koi feelings nahi hain sujal ke liye mere saare jazbaat mar chukhein hain aur iska sabot yeh hain kashish piyush ko divorce papers dikhathi hain jispe sujal ke sign rehthe hain....{actually kashish shows those divorce papers joh sujal ne apne accident se pehle sign kiya tha } sujal ne mujhse talaak maanga hain.. woh apni azzadi chahtha hain woh apne pehle pyaar ke pass us maya ke pass loutna chahtha hain… { piyush divorce papers ko apne haath mein lekar examine kartha hain he sees that papers mein sujal ke sign hain par kashish ke nahi }
Piyush :- kashish sujal ne tho papers par sign kar diya hain par tumne sign kyun nahi kiya… { he asks doubtedly }
Kashish :- tumhe kya lagtha hain piyush main sujal ko uski azaadi itni aasani se de doongi.. kabhie nahii.. main sujal ko ussi tarah uske pyaar ke liye tadapthe dekhna chahthi hoon jis tarah usne mujhe tadpaya hain.. piyush
main aaj tumhare pass is umeed se aayi hoon ki tum mera saath doge.. main tumse dosti ka haath milane aayi hoon piyush..
piyush :- mujhse dosti ka haath ??
kashish :- haan piyush main chahthi hoon ki tum meri madat karo sujal aur un garewals ko barbaad karne mein , main nahi chahthi ki un logo ki zindagi mein koi bhi khushi aaye main unke saare khushiyo ko unse cheen lena chahthi hoon.. { she says all this in a typical kmolika style }
piyush :- aur tumhe lagtha hain main tumhara saath doonga..
kashish :- dekho piyush main jaanthi hoon tum bhi un garewals ko barbaad karna chahthe ho… aur agar tum mujhse haath milathe ho tho faida tumhara hi hain..
piyush :- mera kya faida hoga agar main tumhara saath doonga tho....
kashish :- dekho piyush hum dono milkar un garewals ko humare raasthe se hatayenge aur phir poora ka poora garewal empire par tumhara control hoga kissi ko bhi hakh nahi hoga tumse sawaal karne ka…aur haan piyush ek aur baat tumhe mere business mein 50% ka share holder bana doongi agar tumhe yeh deal manzoor hain tho theek hain warna main yeh sab akele bhi karsakthi hoon..
piyush does not give an answer & just keeps looking at her { may be thinking are main bhool gayi piyush ka tho dimaak hi nahi hain tho woh kaise sochega…..hehe..lol } when kashish again speaks up :- piyush lagtha hain tumhe mere saath deal karne mein dilchaspi nahi hain chalo koi baat nahi main akele hi kar loongi…. kashish starts to walk towards the door yahaan piyush sochtha hain :- soch kya raha hain piyush haath milale kashish se isse achcha mouka nahi milega un garewals aur us sujal ko neechcha dikhane ke liye…. kashish reaches the door when she hears piyush calling out her name
piyush :- kashish..
kashish turns around & sees piyush.. piyush walks near her..
piyush :- kashish mujhe tumhara deal manzoor hain main tumhari madat karooga….
Kashish :- yeh tho bohat achchi baat hain piyush.. aaj se hum dono partners..
Kashish apna haath agge karthi hain aur piyush se haath milathi hain…
At this point dono ke dimaak main alag alag baatein aathi hain..
Piyush's mind :- kashish shayad tumhare hisaab se hum partners hain.. lekin tum mere liye sirf ek use & throw material , ek zariya ho jisse main garewals ko sadak par la saktha hoon , you are nothing but a scape goat in my hands { piyush has a wicked smile on his face }
Kashish's mind :- piyush tumhara anth ab zyada durr nahi , tum jitna udna chahthe ho ud lo kyunke shayad tumhe dubara mouka mile ya na mile.. ab tum dekhna piyush tumhara kya haal hotha hain.. tum us har ek pal ko khoso ge jabse tumne mere parivaar ko nuksaan pohanchane ka socha hain aur woh din bohat jald aayega piyush yeh mera wadaa hain tumse.. {kashish just gives piyush a confident look }
Kashish then leaves the place & goes home…
Ab screen ke do hisse hothe hain ek mein kashish apne kamre mein hothi hain aur dusare mein piyush farmhouse mein hotha hain..
Piyush calls vasu :- mom mubarak ho humme humara mohra mil gaya hain jisske sahare hum garewals ko barbaad kar sakthe hain..ab unhe koi nahi bacha saktha { he gives a villainous laugh }
Kashish calls sujal :- sujal humara pehla kadam qamiyaab hua… ab us piyush ki haar durr nahi hain sujal durr nahi hain… { she smiles triumptantly & confidently }
Well phir agle kuch din aise hi bheet the gaye.. sujal kashish ek dusare ke saath zyada waqt na bitha paye kyunke un logo ko piyush ke saamne yeh dharshana tha ki woh dono alag hone wale hain.. kashish piyush se roz milthi thi aur uske irade aur chaal samaj ne ki koshish kar rahi thi…varun woh durgs ke consignment ke saath Shimla pohanch gaya hain par ab thak us consignment ke saath kuch kiya nahi gaya hain… kashish ke parents India wapas bohat jald aa rahe hain..…& kashish ke behenne aaj raat ki flight se wapas aa rahe hain.. kashish has not gone to pick them pick sujal & his brothers have gone but piyush is not aware of this… tho ab scene kuch aisa hain…
Piyush & kashish are sitting & talking { in kashish's room}..
Piyush :- kashish humme bohat jald us drugs ke consignment ko sujal ke office mein pohanchana hain..
Kashish :- don't worry piyush yeh kaam hum ek ya do dino mein kar denge..
Piyush :- ek ya do din nahii kashish yeh kaam aaj hi raat poori ho jaani chahiye…
Kashish :- lekin piyush aaj hi ???
Piyush :- haan aaj hiii… ab mujhe yeh dekhna hain ki jiss jhamele se yeh garewals kaise bahar niklenge....
Kashish :- { gives a villainous sarcastic laugh & says }:- piyush tum fikhar mat karo is baar woh bilkul nahi bachega…. Kyunke is baar humne plan hi kuch aisa banaya hain…
Piyush :- tum nahi jaanthi kashish maine kitni baar sujal ko neecha dikhane ki koshish ki hain par baar baar main hi hartha hoon.. lekin shayad is baar sujal yeh sab dekhne ke liye zinda hi na rahe..[piyush mumbles the last sentence ]
Kashish hears it & tries to figure it out :- kya kaha tumne piyush..
Piyush :- [tries to change the topic & says] kuch nahi kashish.. tum is baat ko chod do…
Kashish :- lagtha hain piyush tum ab bhi mujh par bharosa nahi karthe…agar tum tumhare plans mein mujhe shamil nahi karoge tho hum partners kiss tarah se kehlayenge..
Piyush :- nahi kashish it's not like that…
Kashish :- no piyush it is like that lekin mujhe is baat se koi farq nahi padtha you go your way I'll go my way..
Piyush :- kashish nahi poocho joh poochna hain..
Kashish :- nahi piyush it's totally fine with me… Piyush :- kashish ab tho hum saath mein kaam karthe hain tho joh jaanna chahthi ho poocho…..
Kashish :- kya tumne isse pehle itna bada koi plan banaya tha ??? [ she asks him just to gather information from him ]
Piyush :- haan kashish maine sujal ki mout plan ki thi..
Kashish ke pairo tale zameen khisak jaathi hain aur shock mein jhatke se utkar khadi hothi hain…
Kashish :- kyaaaaaaaaaaaaaaaa……………
Piyush :- haan pichle dino joh sujal ka accident hua tha woh maine hi plan kiya tha par sujal ki kismat achchi thi aur is liye woh bach gaya… par is baar main usse bachne nahi doonga woh is baar zinda nahi bachega..…
Kashish pe bijliyaan ghirthi hain but then she composes herself & says..
Kashish :- kya matlab hain piyush ki ab woh zyada din zinda nahi rahega….
Piyush :- zyada kuch nahi kashish bas aaj raat sujal ka ek accident hoga jisse woh zinda nahi bachega…
Kashish :- par piyush usse maarna kya zaroori hain ?? hum waise bhi toh usse drugs ke case mein phasa hi rahein hain..
Piyush :- kashish dekho ab sujal mara jayega aur police ko sujal ke office mein drugs milengi tho tum hi socho sujal & in garewals ki izzat ka kya hoga..
Kashish :- lekin piyush kissi ko maarna….
Piyush :- kashish tum samaj nahi rahi ho agar sujal ke sar yeh ilzaam aaya tho yeh garewals jeethe jee mar jayenge aur yeh saari property business ki bhaag daud mere haatho aa jayegi.. aur tumhe tumhari azaadi mil jayegi kashish…
Kashish :- [ she just hummes a ] theek hain..
Piyush :- waise kashish tumhari behenne aaj aa rahi hain na tum nahi gayi unhe lene ke liye….????
Kashish :- nahi woh seedha ghar pohanch jayenge ab main usne milne hi jaa rahi hoon …   ;   ; Just then kashish cell rings & they say her to come soon as they have reached…
Kashish then tells piyush that she has to get going as her sisters are waiting for her…
Piyush :- theek hain kashish tum jao.. lekin haan aaj raat thak woh consignment sujal ke office mein pohancha dena…& u be very careful…
Kashish :- haan piyush tum fikhar mat karo kaam ho jayega aur main apna khayal rakhkhugi..
Kashish then leaves the place & goes to her house… woh ghar ke andar jaathi hain tho dekhthi hain ki sujal aur uske bhai baithe hue hain..
Akshat sees kashish :- hii kashish…
All look at kashish even sujal does par sujal ko kashish ki aankhon mein ajeeb sa darr nazar aatha hain joh woh chupane ki koshish kar rahi thi.. sujal ko yeh baat zara ajeeb lagi.. kashish sab se theek se milthi hain par woh sujal se nazrein nahi mila paathi.. kashish ko yeh patah tha ki agar usne sujal ki taraf dekha tho woh sujal se apne darr nahi chupa payegi.. then kashish asks anjali who is sitting with kavya.. actually all are sitting in pairs…
Kashish :- anji yeh prem kyun nahi aaya ??
Anjali :- kash usse kuch kaam aa gaya tha woh jald se jald apna kaam khatam karke yahiin par shift ho jayega..
Kashish :- theek hain..
Then all the pairs decide to go out in private kyunke woh sab itne dino baad mile hain so they wanted to spend some time with each other{ not sab ke saath yaar kabhi kabhi akele bhi jaa na chahiye..} sujal & kashish stay back at kashish's home… sab chale jaathe hain.. sirf sujal and kashish are sitting together.. jab sujal koi baat karne ki koshish kartha hain & he wants to find out why kashish has the worried look on her face… sujal tries to take kashish's face in his palm & ask her what is bothering her…
But then kashish sujal ko mouka hi nahi dethi aur woh
wahaan se utkar sujal se kehthi hain :- sujal tum yahiin baito main abhi aathi hoon…
kashish wahaan se chali jaathi hain aur sujal ko confused chod jaathi hain….
Sujal kuch dher wahiin baithkar kashish ke ajeeb behaviour ki wajah jaanne ki koshish kartha hain phir woh andar kashish ke kamre mein jaatha hain.. woh kamre mein enter hothe hi yeh dekhtha hain ki kashish khidki ke pass khadi hui kuch soch rahi thi.. usse yeh bhi patah nahi chaltha ki sujal kamre mein aaya hain.. sujal slowly tip-toes towards kashish aur kashish ko peeche se pakad letha hain , he catches her waist & puts his head on her shoulder.. kashish comes out of her thoughts ..
Kashish {looks at sujal weirdly} :- sujal tum…
Sujal :- haan main…aur kaun ho saktha hain…
Kashish :- tum andar kab aaye { she questions him }
Sujal :- main andar tab aaya jab tum apni khayalo ki duniyaan mein khoyi hui thi…
Kashish :- oh…
Sujal :- waise tum itne handsome pati ko apne pass rakh kar kya soch rahi thi..
Kashish :- sujal tum khud ki tariif karna band kar do aur haan main kuch nahi soch rahi thi.. bas aise hi…
Kashish just comes out of sujal's hold still not been able to have a eye contact with sujal & says :- sujal tum bas yahiin rukho main hum dono ke liye kuch khane ka intazaam karke aathi hoon…….
Kashish walk past sujal & starts going
Sujal just calls kashish's name :- kashish…
Kashish turns back & says :- kya hua sujal kuch chahiye tha ?? { sujal does not answer her question & just keeps looking at her kashish tries asking sujal twice to thrice what he wants but then sujal does not answer so then finally kashish gives up & comes to sujal }
Kashish { she repeats her question again} :- kya hua sujal..
but then sujal without answering holds her hand & pulls her close towards himself & hugs her..…
kashish :- sujal { she says confusedly }
sujal :- { places his finger on her lip & says}:- shhhh… aur ab batao mujhe tum kiss baat se pareshaan ho ??
kashish :- nahi sujal aisi koi baat nahi hain main bilkul theek hoo.. sujal tum rukho main kitchen mein jaakar aathi hoon.. {she says trying to divert the topic }
kashish again tries to go but all her efforts went in vein when sujal says :- kashish agar jhoot bolna nahi aatha tho jhoot tho mat bolo…
kashish:- sujal mein ko jhoot nahi bol rahi hoon.. { woh nazrein neeche jhuka ke kehthi hain }
sujal :- { makes her look up } kashish tho kya tum yeh baat meri aankhon mein aankhein daal kar keh sakthi ho…tears well up in kashish's eyes & she hugs sujal & cries uncontrollably…
sujal :- kashish kya hua ?? batao mujhe… tum jaanthi ho na ki tumhare yeh aasoon mujhe takleef pohanchathi hain… { he wipes her tears slowly }
sujal :- { again says } batao mujhe kashish.. tumhari problem kya hain…
kashish :- sujal piyush .. [ she mumbles out ]
sujal :- piyush usne kya kiya kashish..
kashish :- sujal piyush tumhe maarna chahtha hain… usne tumhari accident ka saara intezaam bhi kar liya hain…{kashish starts crying…she holds onto him tightly & then says..}sujal mujhe darr lag raha hain , maine itni mushkhilo ke baad tumhara saath paaya hain , I don't want to loose you sujal.. mujhe darr hain kahiin main tumhe kho na baitu…{kashish hugs him & continues crying } sujal just runs his hand on her back and tries to calm her down..
sujal :- kashish tum itni chinta kyun karthe ho ?? mujhe kuch nahi hoga tumhe mujh par vishwaas hain na…??
Kashish :- khud se zyada main tum par vishwaas karthi hoon sujal…
Sujal :- tho phir yeh darr kaise ?? main hoon na tumhare saath hamesha ke liye…
{ kashish just looks at sujal aur aankhon se usse haan mein ishara karthi hain & then hugs him again..}
sujal:- achcha kashish ab mujhe tum saari baatein batao..
then kashish & sujal separate & kashish starts telling him all the things in detail she also tells him that uski woh pichli baar ki accident bhi piyush ne hi karwayi thi aur woh usse durgs wali baat bhi bathathi hain..……….. sujal saari baatein suntha hain aur phir kehtha hain :- bas itni se baat…
kashish :- { thodi tension mein hothi hain} yeh tumhare liye itni si baat hain sujal aur meri yahaan jaan nikle jaa rahi hain..…..
sujal :- kashish don't worry mujhe patah hain ab mujhe kya karna hain… tum bas ek kaam karo yeh drugs ka consignment mujhe dedo main iske saath kuch kaam karke office mein pohancha doonga…
kashish :- par sujal tumne socha kya hain ??
sujal :- tum fikhar mat karo kash.. mere dimaak mein ek plan hain.. hum iska kuch tho karenge……
then sujal calls akshat & says something joh hum sun nahi sakthe kashish sujal ki akshat se ho rahi saari baatein sunthi hain aur usse kuch kuch andaza hone lagtha hain ki sujal ka plan kya hain… sujal call khatam kartha hain aur kashish ko dekhtha hain joh usse dekh rahi hothi hain…
kashish :- sujal iska matlab tum ab apni maut ka natak karne wale ho..??
sujal :- haan kashish tum bilkul sahi soch rahi ho main kuch aisa hi karne wala hoon.... main marne ka natak karke piyush ko jeethe jee marunga….
Kashish :- idea tho bohat achcha hain.. par tum is drugs ke consignment ke saath kya karoge….
Sujal :- woh tho abhi mujhe patah nahi lekin maine akshat se keh diya hain ki woh commissioner uncle se appointment le le.. pehle main unse jaake miluga phir joh karna hain hum woh karenge…..
Kashish :- theek hain.. { then kashish just is quite & thinking about their plan sujal usse apne khayalo se bahar lane ke liye kehtha hain..}
Sujal :- kashish..
Kashish :- haan sujal ,kya hua ??
Sujal :- nahi kuch nahi bas woh mujhe bhook lagi hain… {he says innocently like a kid placing his hand on his stomach..}
Kashish {smiles at his behaviour & says } :- achcha theek hain tum rukho main kuch banathi hoon… kashish leaves the room & sujal keeps thinking about kashish & smiling….
Kashish kitchen mein kaam kar rahi hothi hain jab sujal usse peeche se aakar pakad letha hain…
Kashish :- sujal.. tumhe kuch chahiye kua ?? tum kitchen mein ??
Sujal bina kuch kahe kashish ke waist pe apni grip bada raha hotha hain..…..
Kashish :- kya kar rahe ho sujal ???
Sujal :- mujhe lagtha hain main romance kar raha hoon jaan.. he says romantically & kisses on kashish neck…….
Kashish :- {sharmayifies tries to move away & says } sujal hato mujhe kaam karne do…….{ she tries to push him off & she succeeds in that }
Sujal moves away from her sits on the counter & then starts :- kya yaar kashish jab dekho mujhe tumse durr jane ko kehthi ho.. jao main tumse koi baat nahi karna chahtha.. main tho yahaan aaya tha taaki main tumhare saath kuch waqt bitha sakoon kyunke agle kuch din bina tumhe dekhe bina tumhare saath rahe kaise beetenge yeh main nahi jaantha.. aur tum ho ki…. { he sulks } & then starts singing :- " dost dost naa raha pyaar pyaar naa raha zindagi humme tera aitbaar naa raha aitbaar naa raha " { sujal keeps his face like he is sad & looked down.. }
Kashish saw him like that & started giggling & laughing.. kashish ki hasi sunkar sujal upar dekhtha hain aur kehtha hain :- haso haso , meri tho koi qadar hi nahi hain.. jab mein hamesha ke liye tumse durr chala jaouga na tab tumhe patah chalega….
{ kashish gives him a hurt look which can show all the pain she has got from the last sentence he spoke }
kashish just continues her work & sujal tries to talk to her but she does not listen & continues doing her work.. kashish ke ungliyaan suddenly kaam karthe karthe jal jaatha hain because she touches the hot vessel with her hands… aur sujal kashish ko foran apne pass kheechtha hain { though kashish is reluctant to come she gives in } aur kashish ke fingers par kiss kartha hain.. kashish ke aankhon mein asoon hothe hain..
sujal :- dard ho raha hain kashish ??
kashish :- { ab bhi sujal ke baat pe naraaz hothi hain aur kehthi hain } nahi sujal tum hato mujhe dard nahi ho raha hain… kashish takes away her hand from sujal hold but then sujal does not give up he takes her hand again & this time holds it very firmly…
sujal :- kashish.. { kashish does not look at him }
sujal :- { again repeats } kashish.. please meri taraf dekho mujhse tumhari yeh behrukhi bardhast nahi hothi…..plz kashish mere liye apne sujal ke liye…….
Kashish slowly looks up & now her tears start flowing down her cheeks.. sujal just wipes her tears gradually and holds his ears & says :- sorry.. dubara aise kabhie nahi kahoonga… tumhari kasam..{he places his hand on kashish's head & gives her a cute look kashish just sees the kind of look he is giving her & then says }
Kashish :- theek hain sujal is baar main tumhe maaf kar rahi hoon.. lekin agar agli baar aisi baat ki tho main tumse kabhie baat nahi karoongi..{she says strictly }
Sujal smiles & says :- joh humkum mere aaka…
Sujal & kashish burst out laughing…
Sujal & kashish hug then kashish says :- tum nahi jaanthe sujal tumse durr jaane ka khayal bhi mujhe bhokla kar rakh detha hain.. yeh ehsaas ki tum mere pass nahi rahoge mujhe pal pal martha hain.. tum please aisi baatein kabhi mat karna… main nahi jaanthi main kya kar baithugi agar tum mere pass nahi rohage…. Sujal moves kashish away from him takes her face in his palm & then says :- main hamesha tmhare saath rahooga kashish.. yeh mera wadaa hain tumse…. { sujal dheere se kashish ke forehead par kiss kartha hain & then they hug again}
Song in the background:-
" wada raha ....
wada raha pyaar say pyaar ka
ab hum na hongey juda.........
wada raha pyaar say pyaar ka
ab hum na hongey juda.........
yeh .....meri dhadkanein sun raha hai khuda.....
chahey tumey kis qader mera dil tum ko nahi ha pata ...
yeh.... meri dhadkanein sun raha hai khuda.....
wada raha..........yeh wada raha.........
dono jahan ko bulaoon mey essi lagi hai
tujh say lagan
chahey kaho issey awargi chahey kaho issey deewanapan
dil ney kaha dil ney suna....
mey ney tumhey dilbar chuna..
ab duriyan na rahi dermiyaan
kya rang laye wafa........
yeh meri dhadkaneein sun raha hai khuda........
wada raha yah wada raha.....
dekha tumey to essa laga
mujh ko mila manzil ka pata
chalana hai hum ko ab sath mey
tum say jura mera raasta ....
mey ney li hai qasam
paoon tumey janum o junum ..
sajdey kiya shaam o saher
maanga hai tum ko sada.
yeh.meri dhadkanein sun raha hai khuda.....
haaaaaaaaaaaaaaaaaaan
wada raha pyaar say pyaar ka ...
wada raha ....
wada raha pyaar say pyaar ka
ab hum na hongey juda.........
wada raha pyaar say pyaar ka
ab hum na hongey juda.........
yeh .....meri dhadkanein sun raha hai khuda.....
wada raha yeh .
wada raha ....
pyaar say pyaar ka..
wada raha yeh wada raha...."
phir sujal kashish apna dinner khathe hain woh dono ek dusare ko chedthe hue mannathe hue apna khana khatham karthe hain.. khana katham karne ke baad sujal aur kashish ke beech ek khamoshi si cha jaathi hain.. dono mein se koi kuch nahi kehtha.. shayad un dono yeh baat khal rahi thi ki woh dono agle kuch din ek dusare se nahi mil payenge.. aur isi baat se dono bhi udass the.. tab sujal ko akshat ka call aatha hain aur akshat sujal ko inform kar detha hain ki usse commissioner se abhi kuch dher mein milna padega… sujal akshat se keh detha hain ki woh abhi usnee milne jayega….
Sujal phir kashish ki taraf dekhtha hain usse yeh baat batane ke liye ki usse ab jana hain…. Par isse pehle ki sujal kuch kahe kashish kehthi hain :- sujal kya main tumhare saath aa sakthi hoon…..
Sujal :- par kashish tum…{ is a bit worried about her safety }
Kashish :- please sujal..{ she pleads }
Sujal { thinks & then says } :- theek hain chalo…
Sujal kashish commssioner ke office chale jaathe hain wahaan jaakar sujal aur kashish us commissioner ko saari ki saari baatein bathathe hain aur proof ke liye woh drugs ka consignment bhi dikhathe hain.. commissiomer sujal kashish ki madat karne ko tayaar ho jaatha hain aur he even tells one of his officers to probe & find information about piyush… then sujal & kashish leave the place…….
Sujal & kashish decide that sujal will drop kashish at her home & then he will meet with the fake accident…
Sujal kashish gadi mein hothe hain is baar bhi koi kuch nahi boltha.. jaise jaise unke ek dusare se durr rehne ka waqt kareeb aa raha tha unke beech ki baatein kum hothi jaa rahi thi….isi khamoshi mein kashish ka ghar aa jaatha hain…
Sujal kashish ek dusare ko dekhthe hain aur kashish kehthi hain :- byee sujal.. main chalthi hoon tum apna khayal rakhna……
Sujal just hummes a yes & kashish starts to open the door & get down.. when sujal calls out her name..
Sujal :- kashish…
Kashish looks at him…
Sujal { continues } :- kashish agle kuch din hum dono ek dusare se nahi milenge is liye kya tum mujhe….{ he stops }
Kashish :- main tumhe kya sujal ?? { kashish is trying hard not to let her emotions out }
Sujal :- can u please give me a hug.. { he extends his arm & says very cutely }
Kashish just looks at him & goes into his arms.. sujal & kashish hug each other tightly… then sujal & kashish separate.. kashish ke aankhein num hothi hain par asoon nahi hothe .. sujal gently kisses kashish on her both the eyes kashish kisses him on the forehead & they both hug again.. { there are no words spoken bas unki aankhein ek dusare ki dil ki baat pad rahi thi aur woh dono bina kuch kahe ek dusare ke dil ki baat samaj gaye }
Song in the background:-
" honth khamosh hain par……..
aankhein kuch bolti hain……..
pyaar ka raaz tum par…….
aaj yeh kholti hain……….
dhadkanon mein meri tum ……..
is tarah kho gaye ho……..
keh rahi hain ye saansein…….
tum mere ho gaye ho……..
main jahan jaoon jidhar…….
ho ho ho……
tu mujhe aaye nazar ……..
maine palkein jo uthayin………
tum ko chahha hain maine…
dil se oh mere saathi…..
thoda sa pyaar hua hain……
thoda hai baaki………
thoda sa pyaar hua hain…….
thoda hai baaki…….."
sujal then says :- tum bhi apna khayal rakhna…
kashish just nods.. & is about to get the down the car when sujal again catches her hand & kisses her on her palm & then says :- bye…I love you..
kashish smiles & says :- bye…. I love you too….
Then kashish gadi se utar jaathi hain she gives sujal a sweet look & then goes inside.. sujal kashish ko dekhtha rehtha hain jab thak woh andar na chali jaathi..sujal wahiin wait kartha rehtha hain expecting that kashish apne kamre ke window se usse dekhegi.. sujal keeps looking at the window & as he expected kashish wahaan aathi hain aur window ke pass khadi hothi hain.. kashish has a smile on her face sujal bhi usse dekhkar muskuratha hain… then sujal starts his car dono sujal aur kashish ek dusare ko pyaare se tarike se wave karthe hain aur phir sujal khushi khushi wahaan se chala jaatha hain.. phir sujal wahaan se chala jaatha hain aur kuch dher baad sabko yeh khabar di jaathi hain ki sujal ka accident ho gaya hain… yeh khabar sabse pehle kashish thak pohanchthi hain kashish yeh baat piyush ko batathi hain aur piyush khush hotha hain ki uska plan kamiyaab hua….. then kashish reaches the hospital along with piyush….
Kashish { to the doc }:- doctor mere pati..
Mr. Sujal garewal ko yahaan admit kiya gaya hain ?? woh ab kaise hain ??
Doctor :- dekhiye I'am sorry to say par jab aapke pati ko yahaan laya gaya tha tho he was very critical aur humme bade afsos se baat kehni pad rahi hain ki aapke pati ab nahi rahe.. he is no more….
Kashish :- kya main unhe dekh sakthi hoon…
Doctor :- nahii unki gadi mein accident ki wajah se blast ho gaya tha aur unka chehra bohat buri tarah se jal gaya hain …….
Kashish shatters in front of the doctor & starts yelling :- nahi doctor aisa nahi ho saktha nahi….
Piyush holds her back & consoles her while the doctor leaves the place helplessly… after the doctor leaves piyush kashish se kehtha hain :- ab natak band karo doctor chala gaya hain… waise mujhe tumhe bolna padega tum acting kaafi achchi kar rahi thi.. tumhe dekhkar koi nahi kahega ki tum apne pati ke maut ka plan bana sakthi hoo.. maan gaye tumhe kashish…
Kashish wipes her tears & says :- thanks.. { then kashish starts walking off }
Piyush:- kahaan jaa rahi ho kashish..
Kashish :- main sujal ke gharwalo ko yeh so called bad news deke aathi hoon…. {kashish leaves the place she goes & dials a number }
Kashish :- hello akshat….
Akshat :- haan kashish bolo kaam kaise chal raha hain??
Kashish then explains him the situation over there.. kashish asks akshat ki kya ab mumma aur papa { she means sujal's parents } ko is dard se guzarna padega..
Akshat :- nahi kashish mumma aur dad , dad ke kissi kareebi dost ke bete ki shaddi mein gaye hain shehar se bahar.... tho hum unhe yeh sab kuch nahi bata yenge jab woh log wapas aayenge tho hum unhe samjha denge…
Kashish :- theek hain.. tum log ab yahaan jald se jald phohancho…
Akshat :- haan kashish hum bas aa raha hain.. tum bas dusare natak ke liye taiyaar raho..
Then after some time sujal ke family wahaan par phohannch jaathi hain { minus veena & cg }….. sabhi rothe rehthe hain tab wahaan police aa jaathi hain..
Police :- hum yahaan Mr.sujal garewal ko arrest karne aaye hain..
Rishi badaktha hain :- kiss jurm mein..
Police :- dekhiye unke office se humme drugs mila hain…
Akshat :- kyaa..aap jhoot bol rahe hain inspector..
Police :- nahi..aur ab main unhe arrest karne aaya hoon..
Kashish :- { ab badakthi hain aur kehthi hain } ab aap kissse arrest karenge ek laash ko… sujal mar chukka hain.. { kashish breaks down }
Police :- we are very sorry par humme khanooni karwayi tho karni hi padegi na…
The police leave the place..
Akshat aur baki sab decide karthe hain ki woh log veena ya cg ko kuch nahi batayenge…kashish bhi sab ke baato se sehmat hothi hain ki veena aur cg ko kuch nahi patah chalna chahiye…. Piyush is baat se confused ho jaatha hain…. Phir sab logo ke beech yeh baat fhail jaathi hain ki sujal drug dealings kartha tha.. chaar din bheet jaatha hain.. piyush bohat khush ho raha hotha hain par ab bhi woh is baat se confused hotha hain ki kashish ne veena aur cg ko yeh baat batane se kyun mana kiya….
Piyush goes to kashish to clarify all his doubts….
Piyush :- kashish kya main andar aa saktha hoon { dekho is mein itni tho manners hain }
Kashish :- haan piyush andar aa jao…
Piyush :- kashish main yahaan tumse kuch baatein clear karne aaya hoon..
Kashish :- haan piyush bolo na kya baat hain ????
Piyush :- kashish tumne aunty uncle ko yeh baat ab thak kyun nahi bathayi… kahiin yeh baat tho nahi ki tum mere saath koi game khel rahi ho ?? { he says suspiciously }
Kashish :- piyush tum kabhie mujhpar vishwaas nahi karoge na.. chalo theek hain koi baat nahi maine mana kiya mumma aur papa ko yeh baat batane se kyunke agar unhe patah chal jaatha tho unhe ghehra sadma pohanchtha… aur chahe sujal ne mere saath jis tarah ka bhi salook kiya ho mumma ne hamesha mera achcha chahha hain.. aur main nahi chahthi ki unhe kissi bhi baat ka bura lage… aur waise bhi piyush aaj shaam woh log wapas aa hi rahein hain unhe khud ba khud patah chal jayega…..
Piyush { thinks & then says } :- theek hain.. ab main chaltha hoon lekin kashish yaad rakhna agar mujhe patah chala ki tum mujhe double cross kar rahi ho tho tumhare liye achcha nahi hoga……. Yeh baat tum yaad rakhna..{ he points his hand on her & leaves}
then kashish keeps thinking about what all piyush has told her a.. she comes out of her thoughts when she sees the mobile lying on the sofa is ringing.. she realizes it is piyush's call & decides to ignore it but then she sees that it is maya who is calling.. kashish picks up the phone…. & does not say anything..there maya starts talking..
maya :- hello piyush , tum itne dino se mera call kyun nahi uta rahe the , chalo is baat ko chodo maine tumhe yeh batane ko phone kiya tha ki sujal kashish tumhari saari asliyat jaan chuke hain.. aur haan ek aur baat main parsu Shimla aakar tumse miloongi aur hum sochenge ki humme agge kya karna hain..{phir maya ko realize hotha hain ki piyush kuch nahi keh raha hain} hello piyush tum kuch bol kyun nahi rahe ho ?? hello piyush… { kashish is soch mein hothi hain ki maya ko kya jawaab de tab hi maya ke cell ki battery khatam hone ke wajah se us ka cell off ho jaatha hain }
kashish cell ko dekhthi rehthi hain aur last received calls se maya ka number delete kar dethi hain.. tab wahaan piyush aajaatha hain…
piyush :- { sees kashish with his cell & says } kashish main yahii lene aaya tha…{ he says pointing to his
cell } kashish usse cell de dethi hain & piyush starts to walk out but then he turns back & asks kashish :- kashish koi call aaya tha kya ??
kashish :- nahi piyush koi call nahi aaya tha main tho bas cell tumhe dene aa rahi thi..…..
piyush then leaves…
phir veena aur cg ghar louthe hain unhe sujal ke na rehne ki baat patah chal jaathi hain aur woh ek tarah se toot jaathe hain… un dono ko tho yakeen hi nahi aa raha hotha hain ki sujal ab nahi raha.. kashish unhe is haalat mein dekh na paathi…
kashish then sujal ko call karthi hain…
kashish:- hello sujal….
Sujal :- hi jaan….
Kashish :- mujh se yahaan ki haalat dekhi nahi jaa rahi hain sujal..
Sujal :- kya hua kashish..
Kashish then starts explaining to sujal about veena aur cg ki halat & also tells him about maya's call & that she will be in Shimla in 2 days..…..
Sujal :- theek hain kashish ek kaam karo tum parsu ek party arrange karo sabki engagement party tab us party mein hum is khel ka anth karenge…. aur piyush ka bhi anth karenge..
Kashish :- theek hain sujal…
Phir kashish veena aur cg se sab ke { I mean the boys } pyaar ki baat batathi hain aur woh yeh bhi kehthi hain ki humme engagement parsu karna chahiye…
Veena tries to interrupt kashish's talks & tell her that ab bhi sujal ki maut hui hain aur itni jaldi yeh engagement party…
Tab kashish kehthi hain :- mumma main yeh sab sujal ke liye hi kar rahi hoon.. yeh uski hi khawish thi ki sab ki engagement jald se jald ho jaye usne marne se pehle mujhse wadaa liya tha….
Finally veena & cg reluctantly agree to what kashish is saying… phir kashish apne parents ko bhi yeh baat bata dethi hain woh log bhi is baat se pareshaan hothe hain par kashish unhe convince kar lethi hain.. { & ya guys one more thing kashish's parents are back in Shimla }
Kashish sujal ke family ke youngsters ko saari baatein samjha dethi hain ki unhe parsu ki hone wali engagement party mein unhe piyush ka parda fash karna hain… all agree & are eagerly waiting to bash piyush up..
Dekhthe hi dekhthe engagement wala din aajaatha hain.. shaam ka waqt hotha hain veena is all busy with her work kabhi kabhi kaam karthe karthe uski ankhein bhar aathi hain sujal ko yaad karke… yeh baat vasu dekhthi hain aur woh veena ke pass aathi hain…..
Vasu :- kya baat hain veena ?? yeh aasoon kyun ??
Veena :- woh bas mujhe sujal ki yaad aagayi…
Vasu :- waise maan gaye tumko veena abhi tumhare ladle bete sujal ki maut ko ek haftha bhi nahi hua aur tum apne dusre beto ki engagement party throw kar rahi ho..{ vasu taunts }
veena :- vasu yeh sujal ki ichcha thi… main bas sujal ki baat mann rahi hoon……
vasu :- aur tum kaise jaanthi ho ki yeh sujal ki ichchaa thi…
veena :- kyunke usne marne se pehle yeh baat kashish ko batayi hain..
vasu :- veena mujhe lagtha hain tumhari bahu ne tumse jhoot kaha hain..
veena:- kya matlab hain tumhara vasu……..
vasu :- veena tum bohat bholi ho tum jaanthi ho kashish aur piyush jab hospital pohanchche tho sujal already mar chukka tha usne kashish se koi baat nahi ki.. baaki ab kya karna hain tum hi jaano tum khud samajdhaar ho...
vasu leaves putting veena in confusion & raising a eyebrow at kashish…….
Veena enters kashish's room & she is shocked to see kashish wearing a red saree.. & happily doing her
make-up..
veena :- kashish
kashish :- are mumma aayiye na…..koi kaam tha aapko..
veena:- kashish tumne mujhe tumse yeh umeed nahi thi..
kashish looks at her confused…& says :- main kuch samjhi nahi mumma…….
veena :- { continues } tumne mujhse jhoot bola ki sujal in sabki engagement jald se jald karwana chahtha hain.. tumne mujhse jhoot bola kashish
kashish { tries to intervent & says } :- mumma aisi baat nahi hain aap plz meri baat suniye…..
veena { ghusse mein kehthi hain } :- kashish mujhe kuch nahi sunna hain.. aur aaj pehli baar main mere faisle par pachtha rahi hoon main yeh soch rahi hoon ki kyun main ne tumhe mere ghar ki bahu banaya… tumhe dekhkar tho koi nahi kahega ki tumhare pati ki maut pichle hafthe hui hain… tum tho itni khush ho ab tho mujhe shak ho raha hain ki kahiin sujal ki maut mein tumhara tho haath nahi……..
kashish ke face black & white ho jaatha hain uske upar dhamake hothe hain bijliyaan girthi hain……
tab hi cg calls veena down telling her mehmaan aane shuru ho gaye..
kashish :- mumma please mumma ek baar meri baat tho sun lijiye…
veena :- { shows her hand & strictly says } bas mujhe kuch nahi sunna……
veena leaves…
kashish breakdown near the bed & starts crying.. she remembers sujal calling her while she was going to get ready…
kashish apni cup board mein padi saari sadiyaan bed par padi hui thi aur kashish wahaan tehar kar poori saadiyan ulta seedha kar rahi thi.. she is very irritated when her mobile rings…..
sujal :- hiii jaan..
kashish :- haan sujal bolo..
sujal:- kya kar rahi thi..
kashish:- main bas soch rahi thi ki aaj shaam mein kya pehnu kuch samaj hiii nahi aa raha hain…..{ she sulks cutely }
sujal smiles at her cuteness & then says :- dekho kashish aaj main chahtha hoon ki tum bohat khoobsurat lago.. aaj main chahtha hoon tum Mrs. Sujal Garewal lago sabse zyada khoobsurat…samjhi….
Kashish :- haan baba samaj gayi ab tum phone rakhho aur mujhe taiyaar hone do…….
Kashish phir sujal ki baatein sochthi hain ki he wants her to be like Mrs. Sujal Garewal.. she smiles & then decides on wearing a red saree as she knows sujal likes her a lot in red…
Phir back to reality kashish is still crying aur veena ki baatein uske kanno mein goonj rahi thi usse reh rehkar veena ki yeh baat yaad aa rahi thi :- mujhe shak ho raha hain ki kahiin sujal ki maut mein tumhara tho haath nahi…….. mujhe shak ho raha hain ki kahiin sujal ki maut mein tumhara tho haath nahi……..
Kashish sisak sisak kar rone lagi…….
Well guys mujhe lagtha hain maine aap logo ko kaafi hadh thak paka diya hain ab main aur pakana nahi chahthi tum logo ko…… tho yahaan khatam hotha hain zindagi ke silsilay part 29..well guys main aap logo ko yeh baat batana chahthi hoon ki next part zks ka akhri part hoga….
Ab yeh jaanne ke liye ki piyush ki shamat kaise aayegi , veena kashish ka saamna kaise karegi jab woh sach janegi , aur sab ki zindagi ke silsilay unhe kya roop dikhayegi yeh sab jaane ke liye padthe rahiye aur wait kijiye for the last part of zks…… aur haan guys agle part mein sujal kashish ke beech khati meeti nok jhok aur bohat saara romance hoga……
Guys plz give in ur comments & compliments I'll be waiting for them……..
Take care……
Byeeeeeeeeeeeeeeeeee
Love
Surya…
38