NewFF Maaneet Tujhko jo Paaya Thrd1 Upd pt8 pg 133 - Page 23

Created

Last reply

Replies

741

Views

119.4k

Users

94

Likes

1.8k

Frequent Posters

piya- thumbnail
Posted: 13 years ago
piya- thumbnail
Posted: 13 years ago

Originally posted by: minnie_tweetie

where is the update??????????

abhi likhna hia
piya- thumbnail
Posted: 13 years ago
Banner Credit: Shivangi
PART 3
Dadima: Chalo toh aakhirkaar India pauch hi gaye... itne sallo baad apni mitti ki mehek nazeeb hui hai
Maan: Chale Dadima kab tak hum airport mein khade rahenge uncle aunty bhi toh wait kar rahe hongena
Adi:Theek se boliyena Bro bhabhi se milne ki jaldi hai warna uncle aunty ki itni yaad aapko toh kabhi nahi aayi
Maan: Adi...
Dadima: Kyun dat rahe hai Maan inhe sach hi toh keh rahe hai ye
Maan: Dadima aap bhi
Dadima: Hum bhi kya Maan kya hum nahi jaante k aap Geet ko kitna miss karte the aapki dhadkano mein toh bus Geet hi samayi hui hai...
Maan did not say anything
Adi: Ofho Bro bhabhi ka naam sunkar aap aise sharmane lagoge toh bhabhi ko dekne k baad aapka kya haal hoga
Maan: Chup kar abhi
Dadima: Chaliye aap dono bhi ab jhagadna bannd kar dijiye hum ghar jaa rahe hai
Adi: Dadima uncle nahi aaye hume recieve karne?
Dadima: Humhine mana kiya tha aur waise bhi gadi bhijwayi hai unhone dekhiye wahi khadi hai chaliye ab chalthe hai
Everyone sits in the car
Maan:(thinking) Main aa raha hoon Geet bus ab kuch hi ghadi ka faasla hai
Meanwhile,
Geet: Ok guys ab main jaa rahi hoon raat ko disco mein milthe hai
Lucky: Geet college nahi aa rahi aaj Sir kuch important questions denewale hai
Geet: Padh likhkar mujhe kya karna hai mere parents k paas bahut maal hai ek hisab se toh wo mere ATM hai bus mujhe order dena hai aur paise haazir
Shasha: Really lucky girl... par mujhe exams ki bahut tension ho rahi hai najaane kaunse dangerous questions aayenge
Geet: Ussmein itna tension kyun le rahi hai question paper chura le aur wahi answers ek chit mein lejakar answer sheet mein chap de
Lucky: Kya aisa ho saktha hai?
Geet: Geet k liye kuch bhi namumkin nahi wo jo chahe wo ho jaata hai
Shasha: O common Geet exam papers chori karna koi bachho ka khel nahi kafi risky hai
Geet: Mujhe bachho k khel khelne ka koi shaukh bhi nahi samjhi tum...exam papers toh main yun uda launungi
Lucky: Sach Geet toh pls aisa kar dena mera bhala ho jaayega
Geet: Mujhe kisi ki bhalayi karke kuch hassil nahi hoga mera kya fayda hai... ye bhi toh ek hisab ka bet hi hua na?
Shasha: Tu jo chahe wo mil jaayega
Geet: O common Shasha teri itni aukad nahi k tu mujhe kuch de sake phir bhi mujhe challenges pasand hai isliye I accept this par yaad rahe jeetne k baad main jaisa kahu tujhe waisa hi karna hoga manzoor
Shasha: Manzoor
Geet: Ok then aaj ka disco ka plan cancel aaj raat ko ek aur jeet Geet k naam ho jaayegi
Shasha: (thinking) Papers churane toh jayogi Geet magar dekthe hai waha se bachke kaise nikalthi ho...college se nikalwaya nahi toh mera naam bhi Shasha nahi
After some time
Dadima: Bete hum aur Adi Mohinder k ghar ja rahe hai aap saaman rakhe aa jaiyega
Maan: ji Dadi aap chaliye main aata hoon
Maan goes to Khurana Mansion to keep the luggage
Handa Haveli
Mohinder: Dadima aap kaise ho waha jaakar aap toh hume bhool hi gaye haina?
Dadima: Aisa nahi hai bete hum aap logo ko kaise bhool sakthe hai aap logh toh humare pariwaar ka hissa ho
Rano touches Dadima's feet and takes blessings
Rano: Dadima ye Aditya toh nahi
Adi: Yes Aunty but mujhe Adi kehkar bulaiye zara cool lagta hai
Rano: Ye abhi bhi utna hi shararathi hai waise Maan kaha hai?
Dadima: Wo bus aa rahe hai
Mohinder: aap logh andar toh aaiye ya phir saari baate yahi khadke karne ka irada hai
Adi: Waise Aunty bha... mera matlab hai Geet dikhayi nahi de rahi
Rano: Haan ... wo.. college gayi hai
Dadima: Achhi baat hai jab wo college se lautengi toh hum unse mil lenge filhaal aap logo se bahut saari baate karni hai
Meanwhile,
Geet arrives and she parks her bike and starts walking just then Maan who was still busy thinking about Geet also comes in the same direction.
Geet was busy thinking about her plan so that she could win the bet and Maan was as usual lost in the thoughts of Geet
Both did not see each other and they collided
Geet lost her balance but Maan caught her on time
Maaneet eyelock
For the first time after so many years there was a different emotion in those hazel eyes of Geet
Maan immediately recognized those magical eyes of hers
" Laga tha tumse milkar haale dil yun chutkiyon mein bayan kar denge
Tadapkar gusare hue har ek ghadi ki dastan k kisse begijakh lafzo mein pesh kar denge
Magar aaj tumhe dekhkar waqt ka gusartha hua aalam tham sa gaya
Aaj tumhe apni baho mein paakar sasso ki behthi leh rukh si gayi
Aaj bhi tumhari nighahon mein wo kashish hai par ek anjaana dard bhi jhalak raha hai inn matbahri nighahon k beech
Aaj bhi ek ruhani noor ki chamak hai inn aakhon mein par tumhari maasumiyat dhundhlasi gayi hai tumhare palko k beech
Najaane tumhe main yaad bhi hoon ya nahi achanak se ye darr dil mein ghar kar raha hai
Tumhe paane se pehle kho na du ye khayal meri rooh ko jhanzoor kar rakh raha hai
Tum toh humesha se hi meri dil ki dhadkan thi mere saaso ki raagini thi
Kya tum bhi mere baare mein aaj bhi wahi mehsoos karti ho ya phir ek sapna samajkar mujhe bhula chuki ho
Ye kaisi kashmakash hai ye kaisi uljan hai...ek baar keh do k main tumhara hoon aur tum meri vaada karta hoon saare jahah ki khushiyaan tumhare kadmo mein le daalunga...
Roshni ki har wo jhilmilahat tumhare zindagi mein bhikerdunga marte dum tak tumhara saath dunga... maut bhi aaye tab bhi tumse judaa nahi honga"
Just then Geet's mobile started ringing
Maaneet break their eyelock
Geet pushes Maan and stands properly
Geet: Main tumhe baad mein call karti hoon
She starts moving ahead
Geet:(thinking) Ye mujhe achanak kya ho gaya tha...
She turns around and realizes that Maan was admiring her
For the first time Geet was unable to understand her condition she simply walked into her house
Rano: ye lijiye Geet aa gayi
Geet: (thinking) Ye logh kaun hai
Mohinder: Geet bete inhe pehchana nahi ye Savitriji aapki Dadima
Geet: Whatever...
She starts walking towards her room
Rano: Geet ye kya bachpana hai yaha aayiye humare saath bathiye
Mohinder: Ye kya baat hui Geet aap Dadima k pair nahi chuengi..yaha aayiye aur unka aashirwad lijiye
This was too much for Geet
Geet: Please ye faltu ki baato k liye mere paas bilkul bhi time nahi hai aur waise bhi main kyun kisi k maile pair chukar apne haath ghande karo...Oh.. Pls give me a break
Everyone was shocked
Rano: Geet ye kya batameezi hai
Dadima: Rehne de Rano ye toh meri lado raani hai... yaha aaiye Geet apni Dadima k gale nahi lagengi...kitna yaad karte the hum aapko aur humse zyada toh Maan aapko yaad karte the
Geet: Listen u main kisi ki lado raani nahi hoon aap mujhe yaad kare ya na kare isse mujhe koi lena dena nahi hai
Geet: Aur ye Maan kaun hai? Frankly speaking mujhe naahi aap logh yaad ho aur naahi mujhe aap logo se koi naya rishtha banana hai...So it would be better that u all stay away from me bade aaye zabardasthi ka pyar jatane wale
Geet: This is my life and frankly speaking I really don't like any interferrence in my life... isliye mujhse dur hi rahiye.
Geet: Mere paas aur bhi important kaam rehthe hai aap jaise aire gaire logo par time waste karne ka mujhe koi shaukh nahi... So pls khud bhi chain se rahiye aur mujhe bhi rehne dijiye aur agar aapko yaha chain nahi miltha toh bhad mein jaayiye I really don't care
Saying so she goes to her room
Maan was standing at the door and was listening everything
Maan: (thinking) Tum mujhe bhooli nahi ho Geet bus main tumhare yaado mein kahi kho chuka hoon agar aisa nahi hotha toh pal bhar k liye hi sahi mujhe tumhari aakhon mein wahi ehsaas nazar nahi aata jo maine kayi saal pehle dekha tha
Maan: (thinking) Vaada karta hoon Geet main tumhe ek din tumhari asli shaksiyat se dubara milwayunga...tum laakh mujhse nafrat karo mera pyar tumhe ek din badalkar hi rahega
PRECAP: Will Geet win her bet?
PLS PRESS D LIKE BUTTON N DO COMMENT
Love-Piya
I have replied to your comments on the previous part😊
PART 4: PAGE 62
Edited by piya- - 13 years ago
minnie_tweetie thumbnail
15th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 4
Posted: 13 years ago
res
--------------------edited------------------------------------

that was lovely update
maaneet ki achanak se mulakat was great
loved that
geet ko kuch hua
waise i can understnd ye geet ka behaviour was so rude
i hate abhi wali geet par m sure with time she will be really sweet
maan hai na
le ayega usse line pe
waise tc dear
ab ki reply ke baad pata nai kab reply kar paungi
me again first par m sure comment mein last hi hongi

urs angel
Edited by minnie_tweetie - 13 years ago
sweet scorpio thumbnail
16th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail Networker 3 Thumbnail
Posted: 13 years ago
part 1 and 2:
just read both the parts!
awesome!
poor maan!...he will get the biggest shock of his life when he'll see geet!...
wonder how will geet react...
continue soon!
Edited by sweet scorpio - 13 years ago
yoga23priya thumbnail
14th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 2
Posted: 13 years ago
Just read 1 & 2 Part it was Awesome n outstanding Piya 👏 👏

thanks for PM 😳

love you

Priya


keenu_kk thumbnail
14th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 5
Posted: 13 years ago
ossum part dear
omg ! geet is so rude
we cant even think about that
hey i hve doubt dear
geet is far away then from where she should take the exam paper dear
and if she is the city why maan and dont no where she is?
liitle confused
and loved it
hope soon we can see geet love with maan dear
pls dear
dont make her to use him
i knew that is the theme dear
but we want them to be one
abinash079 thumbnail
14th Anniversary Thumbnail Stunner Thumbnail + 6
Posted: 13 years ago
awesome dear loved it
geet ne dadi ki itni insult ki 😭
but maan ka apne pyar par bharosa dekhkar acha laga
ismein koi shak nahi hai ki maan apni geet ko wapis pehele jaisa bana dega
waiting for the next part
ssch thumbnail
15th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail + 4
Posted: 13 years ago
lovely update
thanx for the pm.
harshithaaaaaaa thumbnail
14th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail + 2
Posted: 13 years ago
nice update...attitude of geet😕...its not a easy task to stole papers from college...waiting to see how she will succeed...continue soon
Edited by harshithaaaaaaa - 13 years ago

Related Topics

Fan Fictions Thumbnail

Posted by: desidillse

6 months ago

SuVeer/RUhaani TS ~ Happily Ever After (Chapter 4 upd) SuVeer/RUhaani TS ~ Happily Ever After (Chapter 4 upd)

[NOCOPY] Cover credits to ExoticDisaster C H A P T E R 1 After the completion of the final year exams, Mamta insisted Ranveer to come home from...

Expand ▼
Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".