Maan's Cabin
Geet: Aaj toh aapko mere sawalo k jaawab dene hi honge
Maan: Geet ab dubara se shuru mat ho jaana
Geet: Dekha aap fir se mujhe pareshan karne lag gaye
Maan: Geet ab maine tumhe iss project mein apne saath kaam karne ka mauka diya aur tumhe lag raha hai k main tumhe pareshan kar raha hoon
Geet: Main iss project ki baat nahi kar rahi
Maan: Toh kis cheez ki baat kar rahi ho
Geet: Aap toh aise ban rahe ho jaise k kuch samajthe hi nahi khair jab aapko meri koi kadar hi nahi toh aapse baat karke kya fayda
Geet was about to leave
Maan Geet ka haath pakad letha hai

He pulls her towards himself
Maneet eyelock
Maahi...Maahi...
Maan gently holds Geet by her waist. Geet slides her hand on his shoulder
Maan: Geet tum wo messages ko lekar naaraz ho na jo maine tumhe subah bheje the
Geet apna chehra mod lethi hai
Maan lifts her face by holding her chin
Maan: Geet meri aakhon mein dekho
Maan: Pehle message mein maine tumse ye kaha tha k itna waqt sajne sawarne mein mat lagau kyunki tum koi pari nahi ho haina
Geet was irritated and tried to move away
But Maan brought her more close
Maan: Maine koi galat baat nahi ki Geet tum bina saje sawre hi kaafi khoobsurat lagti ho...tumhari saadgi mein ek aisi chamak hai jo koi jannat ki pari mein bhi na ho
Maahi...Maahi...
Geet looked lovingly at Maan
Maan: Rahhi baat tumhare zulfo ki toh...
He slowly removed her hair clip and left her hair open
Maan: Jaanti ho Geet jab tum apne zulfo ko khule chodthi ho tab tumhara chehra gehre badalo k beech chupe hue chaand sa lagta hai
Geet sharmajaathi hai
Maan: Geet mujhse apni nazare churaya mat karo
Geet Maan ki taraf dekthi hai
Maan: Kuch puchna chahthi ho Geet
Geet: Maan ye project aapke liye kafi important hai aap apne saath iss project mein kisi aur ko bhi toh le sakthe the mera matlab hai Dev, Adi Sir ye sab mujhse kafi zyaada experienced hai aapne mujhe kyun select kiya?
Maan: Tumne sahi kaha Geet ye project mere liye kafi important hai Dev aur Adi ko aise projects ka kafi experience hai magar main tumhe ek chance dena chahtha tha aur isse bhi badi baat mujhe iss project mein kamyaabi haasil karne k liye tumhare saath ki zarurat hai
Maan: Tum mera saath dogina?
Geet: Maan kya aapko mujhpar itna bharosa hai?
Maan Geet k haatho ko apne haatho mein le letha hai
Maan: Khud se bhi zyaada Geet
Maahi...Maahi...
Maan: Geet main tumpar aakh bannd karke vishwas karta hoon mera bharosa kabhi mat todna
Maan: Kya tum ye vaada mujhse kar paayogi?
Geet: Main aapse vaada karti hoon k main aapka vishwas kabhi tuthne nahi dungi chahe iss vaade ko nibhane k liye mujhe kitni bhi musibat ka saamna karna kyun na pade ...Geet marke bhi apne Maan se kiya hua vaada nibhayegi
Maan places his finger on her lips
Maahi...Maahi...
Maan: Maan k hothe hue uski Geet par koi musibat nahi aa sakthi
Maahi...Maahi...
Pinky enters Maan's cabin with some files
Pinky just couldn't believe her eyes
Pinky: Pinky lagta hai tujhe doctor ki zarurat hai ...kahi mere dimag mein koi chemical locha toh nahi ho raha
Saying so she runs out
Maan and Geet come back to reality
Pinky bumps into Adi
Adi : Pinky kya hua tum kaha jaa rahi ho?
Pinky: Adi sir lagta hai k mujhe kuch ho gaya hai meri aakhein mujhe ajeeb si cheeze dikha rahi hai
Adi: Pinky aap aisa kyun keh rahi hai
Pinky: Wo maine Maan Sir k cabin mein...
Adi: Maan Sir k cabin mein kya Pinky?
Pinky: Wo
Adi: Chaliye main bhi aapke saath chaltha hoon
Pinky: Nahi iski koi zarurat nahi hai
Adi: Zarurat kaise nahi hai chaliye aap ghabraiye mat
Adi and Pinky enter Maan's cabin
Maan and Geet were busy reading some files
Adi: Pinky yaha toh sab kuch thik hai aap toh khamakhah hi ghabrarahi thi
Maan: Kya hua Adi?
Adi: Kuch nahi Sir wo aapko kuch files dene the
He keeps the files on the table and comes out of his cabin
Pinky: Magar Adi Sir
Adi: Chodiye na Pinky chaliye main aapko aapke favourite chips laakar detha hoon canteen se
Pinky: Haan haan chaliye
Maan's cabin
Geet: Sir main bhi chalthi hoon
Maan: Rukho Geet
Maan: Geet hum iss project pe aaj se hi kaam shuru karenge
Geet: Magar Sir aaj shaam tak toh hume dusare bhi bahut saare kaam hai
Maan: Haan Geet jaanta hoon magar hum iss project par aaj se hi kaam karenge
Geet: Wo kaise possible hai sir?
Maan: Aaj ka kaam hone k baad tum aur main office mein hi rahenge aur iss project par kaam karenge
Geet: Der raat ko?
Maan: Kyun koi aitraaz aur haan agar koi aitraaz ho bhi tab bhi koi farak nahi padtha kyunki ye mera aakri faisla hai samjhi tum
Geet: Ji Sir samaj gayi waise mujhe koi problem nahi hai kyunki ek baar pehli bhi mujhe experience hai late night kaam karne ka haan shayad aapko takleef ho
Maan: Geet tum...
But before he could complete his sentence Geet left his cabin
Maan: ye kabhi nahi sudaregi
Meanwhile,
Mystery person: Maine aapki di hui cheez sahi jagah par pauhcha di hai
Arjun: Good main tumhare kaam se khush hoon aise hi kaam karte raho aur main tumhari jheb bhartha rahunga
Arjun: (self talk) MSK ab dekhna mehnat tum karoge aur ye project main le jaaunga...wo kehthe hai na kuch paane k liye kuch khona padtha hai mere situation mein ye thoda alag hai mujhe ye project paane k liye kuch khone ki zarurat nahi hai
Arjun: Khooge tho tum...Geet ko... humesha humesha k liye
PRECAP: "Hum tum ek kamre mein bannd ho aur chaabi kho jaaye"😳
29