Thank you for your encouragement and support
As I was going through your comments I realized that many of u r thinking that maneet may confess soon. Guys let me remind u that the concept of this ff is CONTRACT MARRIAGE if maneet confess befor marriage then it will b love marriage na 😳
So confession k liye abhi time hai
But yes i will try to make their confession special and memorable like Dil mil gaye that's a pakka promise
So here is the next part I hope u will enjoy reading it
love-Piya
PART 30
Khurana Mansion
Maan: Geet lo hum ghar pauch gaye
Maan: Geet main tumse baat kar raha hoon tum kuch kehti kyun nahi
Geet: Aap bhi toh mere sawalo k jawab nahi de rahe ho toh main bhi aapke baat ka jawab nahi dungi
Maan: Thik hai jaise tumhari marzi waise kya raat bhar car mein hi baitne ka irada hai...agar aisa hai toh bata dho kyunki main tumhe company dene k liye baitne k mood mein nahi hoon
Geet: Mere itne bure din bhi nahi aaye k mujhe aapki company ki zarurat pade
Maan: Kya wakai mein tumhe mera saath nahi pasand
Geet looks in his eyes
Geet: Maine aisa kab kaha
Mahi...Mahi...
Maan: Wakai mein
Geet: Mera matlab hai mujhe aapke betuke saawalo k jawab dene ka koi shauk nahi main chalthi hoon Good night
Maan: Geet suno toh...
Geet enters the outhouse
Geet: Ye mujhe kya ho raha hai aaj pehli baar main apne jazbaato ko nahi samaj paa rahi hoon...ye kaise bechani hai ye kaisa ehsaas hai...
Geet removes her diary and starts writing
" Pichle kuch dino mein meri zindagi mein kafi saare naye mod aaye
pehli baar kisi ko pehchanne mein mujse galti ho gayi
Iski shuruwat uss project se hi hui... 500 crore ka project
Maan Sir k liye ye project kafi mayine raktha tha
Yahi toh wo project tha jiske files mere haatho se galthi se kharab hogaye aur uske liye mujhe night duty karne ki saza bhi mili
Dhust Danav kahike... magar kya wo wakai mein Dhust Danav hai
Shayad nahi...
Main jaanthi hoon wo kabhi bhi apne aap ye baat nahi maanenge
Unhone mere bina kuch kahe hi mera kitna khayal rakha
Mere liye gaadi bhijwayi aur mera khana bhi toh unhone hi taiyaar rakha
Warna uss din toh shayad bhookhe peth hi sona padtha
Magar najaane kyun jab bhi hum aamne saamne hothe hai humari ladai ho jaathi hai
Hume ladne k liye kisi bahane ki zarurat nahi hai ladai apne aap hi apna raasta dhund lethi hai
Uss din maine apna pehla presentation diya
Arjun kafi impress hue usne mein kafi taaref bhi ki
magar main uss tareef k peeche chuphe hue asli maksad ko pehchaan nahi payi
Magar shayad unhone pehchaan liya tha
aur issi wajah se wo mujhe project par kaam karne se mana kar rahe the
Magar main bhi ziddhi thi apni baat manwahi li maine
Party k din wo nahi aanewale the magar jab wo aaye toh unhe dekhkar aakhon ko ek sukoon mila
Yun laga k mujhe toh bus unhi ka intezaar tha
Uss din pehli baar maine kisi aur k pasand k kapde pehne aur sach kahu toh mujhe ye baat achhi lagi
Najane maine kis haqh se unse ye pucha k unhone ek baar bhi ye nahi kaha k unke pasandkiye hue kapdo mein main kaisi lag rahi hoon
Jawab mein unhone mere maathe par kiss kiya
Pehli baar kisi ne mujhe kiss kiya aur maine unhe wo haqh de bhi diya
Aaj bhi khud se ye sawal puchthi rehthi hoon k maine unhe rokha kyun nahi
Wo baar baar mujhe Arjun se dur rehne ki salah dethe rahe
aur aaj wo sahi the ye saabit ho gaya
Arjun dosti k naqaab k peeche chupa hua ek bhediya nikla
aur aaj usne apne irrado ko puri karne ki koshish bhi ki
magar babaji ne mujhe bachaliya
uss jaanwar k hawas se toh main bach nikli magar aaj agar wo nahi hothe toh meri izzat sare baazar mein nilaam ho jathi
Unhone mera saath diya ek pal k liye bhi unka vishwas dagmagaya nahi
ek hi jatke mein unhone uss 500 crore k deal ko tokhar maar di
aaj agar main unhe na rokthi tho najaane aaj kya ho jaata
Dil toh kar raha tha k uss Arjun ko marthe hue dekhu par tab khayal aaya k Maan ka kya hoga
wo apne gusse mein kuch bhi kar sakthe the
agar aaj main unhe apni kasam naa dethi toh...
Magar
Maine kis haqh se unhe apni kasam di
Aakir kya lagthi hoon main unki
Aakir kya rishta hai humare beech
Wo meri kasam thukra bhi toh sakthe the na
Magar"
Annie and Dadi enter the outhouse
Dadi: Geet bete
Geet apni diary bannd kar dethi hai
Geet: Dadima aap
Dadi: Geet bete aap thik toh hai na Dev ne bataya k...
Geet: Ji Dadi ab main bilkul thik hoon aapko fikr karne ki koi zarurat nahi hai
Annie: Aise kaise fikr na kare Geet itna sab kuch ho gaya aur tumne humhe kuch bataya hi nahi
Geet: Annie shanth ho jaao
Annie: Aise kaise shaant ho jaau sach mein wo arjun mere saamne aa gaya na toh main uska murder kar dungi
Geet: iski koi zarurat nahi hai Annie usse saza mil chuki hai
Annie: Phir bhi geet
Dadima: Annie...
Dadima: Geet aap apna khayal rakhiye bete aaj kal ki duniya achhi nahi hai yaha tarah tarah k logh hothe hai aur kaun kise kaise nazaro se dektha hai wo toh hum pehchaan nahi sakthe na
Geet: Magar unhone pehchaan liya tha Dadi
Dadi: Unhone aap kiski baat kar rahe hai bete
Geet: Wo main...
Dadi: Boliye
Geet: Main wo Maan Sir ki baat kar rahi thi
Dadi and Annie are happy to hear this
Annie: Maan bhai ...
Geet does not say anything
Dadi: Geet bete aap aaram kar lijiye hum aapse baadmein milthe hai
Geet: Ji Dadima
Meanwhile
Dev: Bro aap kya soch rahe ho?
Maan: Dev tum kab aaye
Dev: Bus abhi Bro waise aapne bataya nahi k aap kya soch rahe the?
Maan: Kuch nahi Dev
Dev: Subah jo office mein hua ussi k baare mein soch rahe hai na
Maan: Haan
He suddenly gets angry
Maan: Uss Arjun ki himmat kaise hui k geet par puri nazar rakhe main usse zinda nahi chodunga
Dev: Bro pls relax arjun apne sahi jagah pauch gaya hai
Dev: Bro aap rest kar lijiye hum kal baat karte hai
Maan: Thik hai
Dev: Good night Bro
Maan: Good night
Maan goes and stands near the window
Maan: Ye geet itne raat gaye bahar kyun baithi hai... kahi koi problem tho nahi... jaakar dektha hoon
Maan: Geet kya hua tum bahar kyun bait rahi ho tumhari tabiyat tho thik hai na?
Geet: Maan sir aap
Maan: Haan main tum tho aise dekh rahi ho jaise k tumne kisi bhooth ko dekh liya ho
Geet: Ye aap kaisi baate kar rahe hai Sir meri ye juraat k main aapko bhooth kahu... bechare bhooth naraz ho jaayenge na
Maan: Geet tum humesha bewajah mujhse ladne k bahane dhundthi rehthi ho...jitna dimag ladne mein istamal karthi ho utna hi dimag agar logo ko pechchanne mein istamal kar diya hotha toh kitna achha hotha na
Geet: Aap kehna kya chahthe hai k mujhe...
Maan: Haan Geet tumhe zara si bhi samaj nahi hai tumhe yaad hai jab hum pehli baar mile the tab tumne mujhe thapaad maara tha aur uss Arjun ko ek baar bhi ek tamacha nahi maara ultha usse dosti kar baithi
Geet: Haan galti ho gayi
Maan: Chalo tum ne maan toh liya k tumne mujhe thappad markar galti ki
Geet: Ji nahi main Arjun k mamle mein galti ho gayi keh rahi hoon aapko thappad maarne ka muje zara sa bhi afsoos nahi hai
Maan: Geet...
Geet: Haan aapko wahi mila jo aap deserve karte the uss din aapne batameezi ki iss liye maine aapko thappad maara
Maan: Achha toh mujhe ye batau ke main aaj kya deserve karta hoon
Geet was silent
Maan: Bolo Geet aaj bhi kya main ek thaapad deserve karta hoon
Geet: Nahi aaj aap kuch aur deserve karte ho
Maan: Kya main jaan saktha hoon wo kya hai?
Geet: Pehle aap aakhe bannd kijiye aur ye vaada kijiye k aap tab tak aakhe nahi kholenge jab tak k main na kahu
Maan: MSK kisi ki sharthe maantha nahi
Geet: Aapki marzi soch lijiye
Maan: Thik hai
Maan closes his eyes
Geet dheere se maan k kareeb jaathi hai aur maan k gaalo par kiss karti hai
she immediately runs away from there
Maan opens his eyes but Geet had already left
PRECAP: Geet: "Toh iska matlab hai k wo jaanbuzkar uss ladki ko apne paas aane de rahe hai"
Pls press the like button and do comment
HAPPY GANESH CHATURTHI😊😊😊
Edited by piya- - 13 years ago
29