Originally posted by: princess163
Ye kaisi behkhudi hai chaayi?
Kaisi hai ye bechaini, kaisi ye tanhaayi?Behkhudi ke iss aalam ne, kaisi aag si hai lagai?Is bekaaboo dil mein kaisi ye tees si hai chubhne aayi?Jab tu ho paas, toh saara zamaana main bhool jaun,tera gussa main pee loo, tere pyaar mein doob jaun,kaisi hai yeh betaabi, kaisa pagalpan hai ye?Kyon tere aag barsaati aankhon mein bhi khone ka jee karta hai?Daanav ka mukhota pehen kar, sabke saamne pathhar dil bankar,Akele rehne ki aadat daalkar, kya karna chahta hai?Mere saamne kyon tera dil bekaaboo ho chalta hai?Kyon teri aankhon mein sirf mera hi aks dikhta hai?Tere gusse ki lat lag chuki hai mujhe,Ab mera koi ilaaj nahin,Ab teri in aakhon ki sharab ke nashe mein dhut hokar hi zinda hoon,Tujhse door rehke jeena mere bas mein nahin...Haan, behkhudi ka aalam cha gaya hai,haan teri baahon mein hi sukoon ab mil raha hai,Haan tere labon ke choone se khilne lagi hoon,Haan teri aakhon mein khokar hi ab jeene lagi hoon!kaisi hai?I think this one is a failed attempt, but sending you the link nevertheless
703