Lovely Song Selection
Thanks 4 The PM
Mannat Har Khushi Paane Ki: Episode Discussion Thread - 23
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai July 29, 2025 Episode Discussion Thread
BALH Naya Season EDT Week #7: July 28-Aug 1
CRYING FAMILY 29.7
Gen 5 Storyline
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai - 30 July 2025 EDT
Anupamaa 29 July 2025 Written Update & Daily Discussions Thread
In the ruins....I found you ❤️-A Prashiv ss
If you had the power of vanishing one nepo kid?
Will Dhadak 2 surpass Saiyaara? 😎
Kyunki Saas bhi kabhi Bahu thi 2 : EDT # 1
Will WAR 2 Surpass Saiyaara
Tanushree Dutta Requests People To Cooperate With PM Modi
Official Trailer - Andaaz 2
Who did it better?
TRIALS OF BOND 30.7
Anupama back to Shah house , at Baa's feet !
21 years of Mujhse Shaadi Karogi
Geet was surprised 'this thing was actually a wax statue of Geet and that too in a bridal outfit
Geet ki aakhon mein khushi ke aasu jhilmilane lagte hai
Maan comes and stands besides her
Geet: Maan'ye sab aapne
Maan places his finger on her lips
Maan: Kuch mat kaho geet'kuch mat kaho
He removes his finger and places his hand on her shoulders
Maan: Jaanti ho geet ye saari cheeze jo maine aaj tumhare liye kiye hai wo unn saari khushyion se kaafi kum hai jo ke tumne mujhe diye hai
Geet: Nahi Maan aisa nahi hai'
Maan: Aisa hi hai geet jaanti ho jab maine ye ghar khareda tab ye sirf ek char deewarowala makan tha'phir maine socha ke agar isse sahi maayine mein meri mishty ka dream house banana hai toh phir mujhe iss makan mein har uss cheez ko laana hoga jo ke tumhari roshni iss ghar mein bekher sakhe
Geet looks lovingly at Maan
Maan: Shuruwat maine iss statue se ki'
Maan: Maine iss statue mein tumhari har wo kashish har wo ada sametna chaha jiski tum ek lauti maalikin ho' uss rab ne bus duniya mein ek hi anmol heera khud apne haatho se tarasha hai aur wo meri mishty hai'
Maan: Magar main iss koshish main nakamiyaab ho gaya aur aaj jab tum iss statue ke saamne khadi ho tab maine jaana k ye statue tumhari parchayi ka bhi mukabla nahi kar sakthi
Geet had tears in her eyes
Maan dheere se unhe poch detha hai
Maan geet ka haath thamkar usse ghar ke dusare hisse mein le jaata hai
He opens the door of a room
The room was full of Geet's favourite things
Maan had given a special touch to this room which made geet feel that she always belonged here
Maan: Geet iss room mein tumhe tumhari har wo pasanditha cheez milegi jo k tumhare zindagi se judaa hua hai
Geet: Maan ye curtains'
Maan: Tumhe iss pattern k curtains behet pasand hai na' toh maine thik waise hi curtains iss room mein lagadiye...inhe jab kabhi bhi dekhta tha mujhe tumhare gehre palko ki yaad aa jaati thi jiska saaya inn pardo se bhi lakh guna dilkash aur gehra hai
Maan pardo ko hatatha hai
Geet is astonished to see the magical sight that greeted her eyes
There was a garden full of her favourite flowers mainly red roses
Geet: Maan ye aapne kabse'
Maan: Ye plants maine uss din se lagane shuru kiye jis dinse mere dil par dheere dheere tumne apni mauhar lagani shuru ki
Geet: Maan itne khoobsurat phool maine aaj tak nahi dekhe'
Maan: Main ye baat kabhi nahi maan saktha' haan ye sach hai k ye phool wakai mein khoobsurat hai magar duniya ke kisi bhi bageeche mein tumare jaisa gulab nahi hai geet ye main dave se keh saktha hoon
Maan: Wo chand dekhrahi ho geet' jab kabhi bhi tum iss kamre se usse dekha karogi tab bhale hi wo badalo se dhira pada hoga tab bhi wo kisi na kisi tarah se uss gheere ko paar karta hua tumhare chehre ko salami dene ke liye bahar zaroor aayega
Maan: Meri Mishty ka jaduu hai hi aisa'
Maan takes her inside'
Geet: maan ye toh mera favourite teddy hai...
She goes and hugs the teddy
Maan: kaash meri bhi kismat iss teddy ki tarah hoti'
Geet feels shy
Geet: Maan iss cupboard mein kya hai?
Maan: Nahi geet usme kuch khaas nahi hai'chalo chalte hai
Geet: nahi mujhe dekhna hai aur main ye dekhkar hi rahungi
Maan: Geet sunona'
Geet: Maan'aap wahi kahde rahiye
Geet opens the cupboard
The cupboard was full of letters and gifts
Geet: Maan ye kya hai'
Maan does not reply
Geet removes a letter and realizes that it was actually a love letter addressed to her
Geet: Maan ye saare khat aapne like aur ye saare gifts'
Maan: Haan geet ye saare letters aur gift maine tumhare liye hi liye the'par har baar tumhe dene ki himmat main juta nahi paata tha issliye inn sabko tumhari yaad samajkar apne paas hi rakh liya socha tha k agar tum meri zindagi mein nahi rehti toh phir bhi inn cheezo ko tumhari yaad samajkar humesha apne seene se lagakar apni zindagi guzaar detha
Geet comes and hugs Maan
Geet: Maan aap mujhse itna pyar karte ho'mujhe toh apni kismat par yakeen hi nahi ho raha
They break the hug
Maan: kismat toh mujhpar meherbaan hui hai geet'jaanti ho maine poori koshish ki k iss makaan ko ek ghar bana sakoon magar aaj jab tumhare kadam pehli baar iss ghar mein pade hai tab ye makaan ek jannat ban gaya geet'
Maan: Kaash main apna dil cheerkar tumhe bata pata k tum mere liye kya mayine rakthi ho'main jaanta hoon k maine tumhe koi TajMahal banakar nahi diya' magar iss ghar ki har cheez mein tumhe mera pyar nazar aayega
Maan: Main jaanta hoon k Ye date itni special nahi thi'
But before Maan could complete his sentence Geet silenced him by placing her lips on his
She kissed him with all her love and slowly bit his lips as to convey to him that she had full authority on him and so does he
Maan too responded
She parted her lips to allow him to gain access
It turned to b a passionate oneFinally they ended their kiss
Geet: Dubara aisa mat kahiyega k aapne iss date mein mujhe koi khushi nahi di'iss date k maayine mere liye kya hai ye main shayad hi kabhi aapko samjha paau'
Maan: Agar mere baar baar kehne se mujhe itni achhi gift milti hai toh bhai ye baat toh main baar baar kahunga
Geet: Maan aap bade badmaash ho gaye ho
Maan: Agar tumhe sachhe dil se chahana badmaashi hai toh mujhe ye naam bhi manzoor hai
Geet: Maan mujhe bhook lag rahi hai'
Maan: Par mujhe toh mera sweet dish mil gaya
Geet: Phir se badmaashi jaayiye main aapse baat nahi karungi
Maan: Geet main toh tumhara gulam hoon'chalo chalkar khana khate hai'
Geet: Nahi'mujhe chat par khana khana hai'pehle aap jaakar waha saare arrangements kar dijiye phir main aayoungi
Maan: Geet ye kaisi zidd hai
Geet: Aww'aapne mujhe ziddi kaha..thik hai agar aap isse zidd samajthe hai toh zidd hi sahi'main khana khaungi toh chatpar hi warna nahi
Maan: Jo hokum mallika-e-azam ye banda aapki har khwahish puri karega
Geet: Thik hai toh aap jaakar mere liye ek romantic dinner ka arrangement kijiye tab tak main mere ek lauthe majnu ke love letters padthi hoon
Maan: As u wish geet'
Maan leaves
Geet opens the diary. Geet starts reading
"GEET'kitna anokha naam hai ye
Iss naam ke peeche jo chehra hai wo bhi kisi ajoobe se kum nahi hai
Haan'ajooba aur kya naam du main usse'
Pehli baar jab hum dono mile the tab mein aur aaj mein humare rishte ne kitna bada faasla tai kar liya hai
Pehli mulakat mein wo mujhe ek number ki batameez aur batdimaag ladki lagi'zabaan par jaise koi control hi na ho'
Bus bole ja rahi hai'saamnewal sunthe sunthe thak jaaye par wo bolthe bolthe nahi thakthi'Iss liye maine usse Miss Mumbai Express kehna shuru kar diya
Wo bhi kuch kum nahi thi jis Maan Singh khurana se baat karne k liye ladkiyaan line mein khadi ho jaati hai ussi se bina koi darr bina koi hiskichahat nazaro se nazare milaye bejizak dil mein jo kuch bhi aaya ussne usse suna diya
Dhust Danav'ha ha' ye kehkar pukaara tha usne mujhe'
Wo pehla aisa mauka tha jab k main kisi ladki se ulajraha tha'yoon tho main itna boltha nahi magar ladai mein hi sahi uss din maine pehli baar kissi ladki k saath itna waqt guzaara
Hum dono ne kasam kha li k ek dusare ki shakal kabhi bhi dubaara nahi dekhenge
Magar ek anjaan si dor humhe kisi na kisi bahane se jodthi gayi aur hum milthe gaye'
Yash hum dono ka common friend nikla aur ussine humari nafrat ko ek rishte ka naam de diya aur woh hai dosti
Iss naye rishte ki badaulat hum ek dusare ko kareebi se jaan paaye
Maine jaana ke jis ladki ko main batdimaag aur batameez samaj raha tha wo darasal ek masoom sa sapna hai'
Jo k aaj bhi yahi samajthi hai k duniya mein har mod par khushiyoon ki kali bhikari hui hai
Wo humesha mujhse kaha karti hai k Khushiyaan chothe chothe cheezo se hi milthi hai'badi khushi ki talash mein batakne ke bajaaye agar hum inn chothi khushiyoon ko tarashe tho hum zindagi ka sahi luft uttha paayenge
Itna maasoom toh koi dua bhi nahi ho saktha
Pehle uski har baat mujhe kisi atom bomb ke putane ki tarah lagthi thi magar jabse maine usse asal mein jaana tab ye mehsoos hua k uski har baat kitni gehri hai'
Najaane kab mere dil ka uske dil se ek rishta jud gaya
Iss rishte ko main chahkar bhi koi naam nahi de paaya'shayad ismein bhi mera hi swarth tha'
Haan yahi sach hai' main usse chahne laga hoon magar main ye jaanta k wo bhi mere liye yahi mehsoos karthi hai ya nahi
Main use har haal mein khush dekhna chahatha tha' uski muskurahat mere liye iss duniya ki sabse keemti darhohar hai
Har din main uske liye ek taufa khareedtha tha par kabhi bhi main usse wo de nahi paaya'usse khone ka darr humesha se hi mujhpar haawi hotha raha
Geet ki taareef tho aksar logh kiya karte hai par jitni khoobsurat uski shakal hai usse bhi lakh guna paak uski ruh hai
Itna paak jo k kisi ka bhi dard samet sake' kisi ki bhi khushi dugni kar sake'
Yash k kehne par maine badi himmat karke apne dil k jazbaat uss cassette mein record kar liya'
Main geet ko wo cassette dene hi wala tha k mujhe pata chala k geet kisi aur ko chahthi hai
Sach kahu toh uss waqt mujhe aisa mehsoos hua k kisi ne meri dil par kisi naukili hatiyaar se waar kiya ho'
Par agle hi pal mujhe ye ehsaas hua k geet ki khushi se badkar mere liye toh kuch ho hi nahi saktha
Waise bhi pyar humesha paane ka naam nahi hotha '
Uss din iss situation mein bhi najaane kyun mujhe geet ki aakhon mein apne liye ek alag jazbaat ki pehchaan hui
Aisa laga jaise k inn aakhon mein humesha se hi mera hi naam likha hua hai
Uss din se geet k bartaaw mein kuch nayapan nazar aaya'ek nayi sharaarat ek anokhi mohabaat
Baarish ke mausam ko pyar ka mausam kehthe hai'meri zindagi ki sabse haseen shaam thi wo
Kudrat ne mujhe mere saare sawalo k jawab de diye the'geet ne lakh chupane ki koshish ki magar uski dil ki baat uski aakhon ne mujhe bata di'
Haan main jaan gaya k who bhi mujhe chahthi hai'
Maine bhi usse thoda pareshan karna chaha magar shayad'wo mazak thoda zyaada ho gaya
Jin aakhon mein main nami bardash nahi kar saktha tha aaj unhi aakon mein meri wajah se aasu the'
Geet ko ye laga k meri zindagi mein koi aur hai'
Ek pal tho ye laga k main apne aap ko kis tarah ki saza du'par tab khayal aaya k mujhe saza dene ka haq bhi sirf aur sirf geet ko hi hai
Maine party wale raat geet ko phone par sab batane ki koshish ki magar dubara geet ki bato mein ek alag si taakat mujhe nazar aayi
Main kuch samaj hi nahi paaya magar apne aap ko rokh bhi nahi paaya
Agle din office k bajaye main radio station ki aur bada
Magar iss baar meri Geet ne mujhe dubara chauka diya'isse pehle k main usse kuch keh paata Geet ne radio par saare duniya k saamne apne jazbaato ka khulasa kar diya
Uss waqt main radio station k bahar hi khada tha
Ji mein toh aaya k ussi waqt jaakar apni Geet ko apne seene se laga du par nahi main usse uski life ka sabse khoobsurat shaam gift karna chahtha tha'
Main jaanta hoon' k meri har koshish meri geet k saamne chothi hai..
Aaj se main apni zindagi apni mishty apni geet k naam karta hoon'Rab se yahi dua hai k agar maut bhi aaye toh mujhe meri geet ki baho mein hi aaye'
Main apni mishty ko har haal mein khush rakhunga' apne aakhiri saas tak mera dil bus ek hi naam ko sunkar dhadka karega aur wo hai meri GEET'kudrat ka ek aisa ajooba jo k sirf mere liye bana hai'"
PRECAP: aata romance😳😳😳
PRECAP: ye ladki kaun hai😉😉😉
Pls press the like button n do comment
Love-Piya
Parth,Adnan and Ketaki version I dedicate this to my friend Sydell who wants the Parth,Adnan,Ketaki version of the movie Hum dil de chuke sanam...
[NOCOPY] Cover credits to ExoticDisaster C H A P T E R 1 After the completion of the final year exams, Mamta insisted Ranveer to come home from...
(Parth,Adnan and Ketaki version) Tere Ho Gaye Hain Hum.... I have become Yours..Part 1 I dedicate this to my friend Sydell who wants the...
61