Originally posted by: shreyamathur_18
Badi good waali hello hai ji sherni ji par tussi enna dassso ki exam khatam hone ki aur holi aane ki enni khushi ho gayi ki tussi bistara pakad liye hain ji eh kaunsi gal hui ji chalo koi baat nai hai tussi jaldi thik ho jaayo waise Belated Happy waali Holi hai ji 😆😉😛 same to you...aur rahi baat bimar padne ki toh...mere sath roz kuch na kuch hota rehta hai...yeh kuch naya nahi hai...😆
update to bada mast kiya hai aapne... hain ji😊😆 haan jee...😆
flashback mein Raj ke saath uske birthday ke din ye tragedy hui to ye baat obvious hai ki wo udaas to ho hi jaata hoga na ye baat alag hai ki Dev aur Mohit uncle sambhaalte hain usko lekin kabhi na kabhi to uska dhyan ss baat per aa hi jaata hoga😭lekin Prisha madam ne bhi thodi akal laga hi li ultimately aur Raj ko samjha ke aur apni baat manwa hi li ye ek Prisha ke liye plus point tha ki Raj ne bachpan se hi Prisha ki baat suni hai isliye iss baar wo bada jaldi maan gaya uski baat ko😆😉😛 aur nahi toh kya... agar wo jaldi nahi manta toh tum sab meri halat kharab karrte toh...maine Prisha ko apne side karr liya tha...😆
Bechare Mohit Uncle kitna jhenp jaate hain Dev aur Raj ke chakkar mein ye dono unko saamne saamne bewakoof bana jaate hain aur Uncle ahem wo bann bhi jaate hain raat mein gol gappe khaane hain chalo koi baat nahi kabhi bhi mann kar jaata hai lekin 1000rs ke 😆😆😆 ha ha ha...Mohit jee jaan bujh kar ullu bante hain...aur kabhi kabhi unhe ullu bann ne ke baad hi pata chalta hai ke wo ullu bane hain...😆
Waise to lagta hai raj ne plan karke maange honge kyonki usne Prisha ko chudiyan gift ki aur saath mein kiss bhi lekin wo Mitali aunty kabhi peecha kyon nahi chhodti jab dekho tapak padti hai bhoot banke har jagah😉😊😡 AAFAT ka naam toh tumne suna hi hoga...jo bina kisi notice ke hi tapakti hai...😆
Ye Raj bhi na jab wo jaanta hai ki wo Dev se nahi jeet sakta hai baaton mein to wo try bhi kyon karta hai ab dekho kitna chupa raha tha Raj Dev se kiss ke liye ki kahin wo uski taang na kheenche par nahi last mein to kehna hi pada na ki Raj ne prisha ko kiss kiya tha prisha ne nahi 😆😆😆 Dev ko pata hota hai ke raj tedha hai...isiliye uske muh se kaise baat nikala jaye yeh use achhe se aata hai...😆
Aur present waala scene wah kya scene the Bechare Mohit uncle paani pe paani piye ja rahe the ab aisa kya kaha tha raj ne bas yehi na ki 2-3 din me party hai aur unko Raj aur Prisha ki engagement announce karni hai to itna bada to jhatka tha nahi jitna litre unhone paani pee pee kar khatam kar diya han ye ho sakta hai ki saira hi prisha hai is baat ka bhi jhatka kuch zaada hi laga ho 😆😆😆 unhe toh dono hi baato ka jhataka laga tha...tabhi itna paani pee rahe the...😆
ab dekhna to yeh hai ki wo paagal Mitali banthan ke tashan mein aayegi uski khud ki engagement mein jo ki ye soch rahi hai lekin Raj ki to planning hi kuch aur hai bandariya nahi jaanti abhi adrak ka swaad shayad uska hi taste kawayega raj... haila ye to rhyming ho gaya yaar😉😆😆 haan...aur mast hai yeh toh...😆
aur last waala sweet aur romatic to tha hi saath mein bada chhota bhi tha aur guglu ki line maarte hue - yahan kyun khatam kiya Priya...Cliff hanger pe???? 9 March se lekar ab tak Raj ke room ka door khula hi hua hai koi ghusa hi nahi wahan se bhoot khol gaya shayad😊🤢😆 nahi maine dono ko STATUE bola tha...toh wo dono waise hi khade rahenge...jab tak main 'STATUE OVER' nahi kehti...😆
ab tumhari tabiyat theek ho tab hi update karna aur yahan chalt phirti mat nazar aana bhooton ki tarah jab tak theek na ho jaayo😉😆😳 hum bhootni nahi sherni hai...aur sherni...kabhi ek jagah pe tikti hai kya...😆
shreya😃
324