SCENE 44
scene shifts to Akash and Payal who were managing the backstage preparations, models, and other people, then they pass by each other, Akash notices n calls out Payal, she turns around
Payal: aap yahan?
Akash: kyun mujhe yahan nai hona chahiye tha
Payal: (smiles) nai nai mera wo matlab nai tha, i mean aap yahan kaise, humne notice nai kiya
Akash: wo baat ye haina ke Payal Malhotra mujhe kyun notice karengi
Payal: arey aisi baat nai hai, wo hum kaam main busy itna honge ke humne aapko dekha nai, agar aapko bura laga ho to I M SORRY (touches her ears and make sweet face)
Akash: (laughs) oh! i was just kidding, no need to sorry
Payal: *sigh* main to dar he gayi thi, bhai aap ASR ke cousin hain agar meri complain kardi unse to main to gayi kaam se
Akash: nai nai main itna bhi kharoos nai hun 😉
Payal: (serious) waise ek baat kahein humain na is kisam ke mazak bilkul nai pasand
Akash: (worried look) wo...wo..mujhe nai pata tha ke apko bura lag gaya I m really very sorry
Payal: (starts laughin hard)😆
Akash: (confused 😕)
Payal: aapko kia laga mazak sirf aap he kar sakte hain, hum nai?
Akash: (relieved) *sigh* aap ne to mujhe dara he diya tha
Payal: (still laughing)
Akash: (starts staring her lovingly unknowingly ans smiles)
Payal: (observes him) kia hua
Akash; kuch nai, main soch raha tha aap kuch bhool to nai rahi na
Payal: Main, kia?
Akash; yaad karain aapne mujh se ek promise kia tha
Payal: promise..hmmm...
Akash: chalain main he yaad dila deta hun, aapko mere saath ek cup coffee peeni thi
Payal: ohh...wo wala promise...waise aap aise promises bohat yaad rakhte hain, haina?
Akash: kia karun, yaad rakhna parta hai
Payal: flirt karne ka ek bhi mauqa chorte nai haina aap (smiles)
Akash: bilkul...jab god ne natural talent dia hai to usey waste nai karna chahiye...its bad!!
Payal: ohh!! i see (smiles)
Akash: to kab chal rahi hain aap coffe ke liye
Payal: filhal to bohat kaam hai
Akash: hmm wo to hai
Payal: Aisa kyun na karain ke ek baar ye fashion show hojaye, phr hum aaram se ja sakte hain
Akash: yeah u r right indeed
Payal: ye show mere, Anjali, angad ke liye bohat zaruri haina is se humain apne aap ko prove karne ka ek aur mouqa milega
Akash: aur aap mujhe bhool gayi?
Payal: main aap ko kaise bhool sakti hun, aap he ki to company organize kar rahi hai to aap ke liye to zaruri hoga he
Akash: yeah (smiles)
Payal: to main chalti hun bohat kaam hain...bye!!
Akash: bye (smiles) see you again!!
Payal: turns around and just smiles to herself😳
Akash: turns around and smiles😳
292