Mera Naam Hai Mohabbat 9sorry chota part hai)
When Sujal comes to the kitchen, Kashish is maing parathas...he is still in hsi pajama kurta
'Kashish turns around to see him
Kashish: yeh kia...tum ne abhi takk change kyun nahi kia?
Sujal: mera mood anhi ho raha office jannay ka
Kashish: ahahaha...mood nahi ho raha...mood modd ke chakron amin office haath se jaye ga...chalo ja ker change kero
Sujal: acha woh kapray to nikaal do
Kashish: Sujal...tum kapray choose nahi ker saktay khud?
Sujal: nahi woh mera matlab tha gharri aur wallet kahan hain?
Kashish: bhulakar hi ho tum! gharri aur wallet as usual bedside table per
She suddenly stops
Sujal looks at her
Kashish: sorry...woh main..
Sujal: sorry kyun keh rahi ho? iss main tumhari ghalti thori hai...as usual ab kuch nahi raha..sab badal gaya hai
Kashish: lekin hum naye hallat ke aadi to ho saktay hain na?
Sujal: hona parray ga...kyunki ab yehi zindagi hai, yehi hallat hain aur yehi zindagi ke achay pal...janti ho Kashish,...main ne zindagi se kia seekha hai?
Kashish: kia?
Sujal: main ne seekha hai ke harr aik pal main aik poori zindagi jee leni chahiye..kyunki koi nahi janta ke woh pal zindagi main dobara ayega ke nahi...rishton ko jee lena chahiye...kyunki koi nahi janta ke uss rishtay ka dhaaga kab toot jaye..harr khushi main khhul ker hans lena chahiye kyunki koi nahi janta ke zindagi main khushi kay pal kab khatam ho jaye aur gham ke badal kab chaa jayen...
Kashish: Sujal..tum theek kehtay ho...lekin main ne zindagi se yeh seekha hai ke harr woh pal jo ap ki zindagi ka ahem hissa hotay hain, jo ap ke chehray per muskarahat lattay hain jab wohi pal yaad bann jattay hain to zindagi ka dardnaak hissa bann jattay hain aur honton per muskarahat ki jagah ankhon main ansoo de jattay hain...aur woh harr pal jo main ne garewal mansion main guzaray hain meri ankhon main ansoo chor jattay hain
Sujal: lekin un yaadon ko ab humain zindagi se door rakhna hai kashish...woh sab kal thay lekin aj to humara hai na
Kashish smiles and Sujal comes forward and kisses her on the forehead
Ab ja ker Kashish madam ko jalnay ki smell ati hai
Kashish: Sujal...dekha tums e baatain kerne ke chakar main mera paratha jal gaya...tum jao ja ker change kero main nashta lati hoonn
Sujal looks at her very cutely
woh apna chehra aik side per ker ke kehta hai
Sujal: jaon?
Kashish nods
Kashish: jao!lekin wapis jaldi se ao
Sujal: wapis hi ana hai to jannay ki kia zaroorat hai?
Kashish: do pal ki doori main tumhara kia bighar jayega?
Sujal: faida kia hoga?
Kashish: faida yeh hga ke main nashta bana loongi...ab jao
SUjal goes and then come sto breakfast
They both have breakfast an then Sujal leaves for office, Kashsih gets busy in housework
80