HumraahI-Rajeev-Aamna FF-Triple Update-Page-147!! - Page 66

Created

Last reply

Replies

1k

Views

113.6k

Users

53

Likes

1.1k

Frequent Posters

Surya.Ravi thumbnail
Posted: 14 years ago
Guys Thank You So Much For Your Patience The Next Part Will Be Posted Soon..😊
Edited by Surya.Ravi - 14 years ago
Surya.Ravi thumbnail
Posted: 14 years ago
The Next Update Will Be Posted Today...😊
Surya.Ravi thumbnail
Posted: 14 years ago

Originally posted by: golu_1677

waiting dear...........


the wait will be soon over...
😊
Surya.Ravi thumbnail
Posted: 14 years ago

Originally posted by: rmanu7382

waitingggggggggggggggggggggggggggggggggg


milega...part abhi milega bas thoda sa intezaar kar le.....

Surya.Ravi thumbnail
Posted: 14 years ago

Originally posted by: rmanu7382

jaldiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiii


waise madam main bhii tere comments ke liye waitinggg....😆😆😆

Surya.Ravi thumbnail
Posted: 14 years ago
The Update Is Coming Up Shortly, May Be In Just Half An Hour..😊
Surya.Ravi thumbnail
Posted: 14 years ago


the update is on it's way..😊

Surya.Ravi thumbnail
Posted: 14 years ago
The Next Update Will Be Posted In Five Minutes..😊
Surya.Ravi thumbnail
Posted: 14 years ago
Hello Guys…. Pehle main apna kaan pakadthi hoon, I'am extremely sorry kii main itne waqt se gayab rahii hoon, but kya karoon I just could not help it, I was stuck up in some personal stuff, there were so many things going on around me, that I just could not dedicate my time to writing the fanfic, I know it is really not fair on my part.. I know that it is wrong on my part to keep you guys waiting for such a long time for a update.. believe me when I say it, I'am really feeling bad for this… this kind of delay was never intended, it is just that there were some other things running on my mind & I just could not update…. I cannot give a reason of writer's block for not updating the fanfic, because I had already thought of how I'am going to shape the fanfic in the forth coming parts.. you guys just cannot guess how I used to feel, thinking that I have the ideas ready for the fanfic, my readers are waiting for it, but still I'am unable to type the parts… this feeling used to literally irritates me… really very sorry for the delay guys…. Pehle tho I was busy with my cousins who had come to India in the month of December & January, then there were some family functions at home & then there was this time when I had to go to the airport to say bye to my cousins… ohhhh.. & I hate it…. Saying goodbyes is such a pain, I absolutely hate it… I'am sure guys who have siblings & close family living Abroad will relate with what I'am saying…… anyway guys I hope all of you have a very good Christmas & New Year.. so what did you do on New Years eve… how did you guys welcome New Year 2011… kya masti kiya new years ke din.. koi resolution liya… well agar aap mujhse jaanna chahe kii maine kya resolution liya tho main aap sabko bata dethi hoon that I don't believe in taking resolutions, because I generally feel kii joh resolution hum log lerthe hai, it is bound to be broken may be consciously or unconsciously, so thus there is no point in taking a resolution which you know will be broken sooner or later… so I just do not believe in the funda of resolutions…. Waise guys main aab sabko yeh baat batadun kii, yeh update likhne kii koshish main January se karr rahii hoon, but the time never came along so that main kuch ghante baitkar update likh sakoon…. Chaliye yeh baat chodiye ab tho January ka mahina bhii chala gaya hai, time is moving so quickly that 2011 year ka February mahina bhii aagaya hai…. Aur Feb ka mahina tho pyaar ka mahina hotha hai, it is the season of love, pyaar, ishq aur mohabbat ka sama….. kyunke is mahine mein pyaar ka diwas, yaani kii pyaar karne waalon ka din aatha hai aur woh din hai chauda (14th) February…. Tho kya kiya aap logon ne pyaar ke diwas ke awsar par…. Mujhse poochoge tho main boloongi kii harr din pyaar ka hotha hai, agar do pyaar karne waale harr roz ek dusare ke saath pyaar se rahe tho saal ka harr din unke liye pyaar ka diwas bann jaatha hai… yes I know the date February 14th is special, but I also feel that if you have that someone special in your life close to you & your heart then every single day becomes special & every single day is bound to be a day of love…. I think ab meri yeh philosophy kuch zyada hii hogayi hai.. kyun.. hehehe… waise maine new year ke bare mein baat kiya, valentines day ke bare mein bhii baat kiya, lekin aap sabko yeh nahii lagtha kii in events ke chalthe I have forgotten to mention about a very important & vital event… aap sabko bhii yahii lag raha hoga na kii, arre suri yeh event kaise bhool gayi… itna important event bhool gayi suri, well main aap ko bata dethi hoon main us important event ko bhooli nahii hoon, maine bas socha kii is khaas event ke bare mein valentines day ke baad mention karthi hoon…. Tho guys ab thak tho aap sab ne jaan hii liya hoga kii main kis event kii taraf ishara karr rahi hoon, (do I see nodding of heads, hehehe) well haan aap sabhii ne sahii samjha main ishara karr rahii hoon February 7th 2011 kii taraf, ab se even Feb 7th is a very special day for all of us, kyunke Feb 7th 2011 is the day our hero Mr. Rajeev Khandelwal has tied the knot with Mankiri Kamtikar, Rajeev has gone from being single to a married man…. This feels so good… I'am sure this date will be marked as a special one in all Rajeevians hearts… I'am very happy for Rajeev, he deserves all the happiness in the universe… he completely rocks…. Guys aapko patah hai Rajeev ke shaadi ke din I even gave a dinner treat to my family members…. Waise what special did you guys do on the 7th of Feb 2011… I know most of you must have read the article about RK dancing on bachna ae haseeno & pyaar kii yeh kahani suno, how many of you imagined RK dancing after reading about this in the article… even I was imaging RK dancing & I just could not stop smiling…. I wish Rajeev & Manjiri all the happiness…. God Bless The Couple… Ab chalo I think maine bohat hii zyada bak, bak karr li hai… aur mujhe aisa bhii lagtha hai kii now I have to stop talking & continue with the work I actually intend to do, that is typing the next part of 'HumraahI' & posting a update for all of my dear, sweet, nice, patient readers…. Tho issi liye now let me stop my continuous talking & get started with typing the next part of the ff 'HumraahI'… I'am sorry once again for the delay….. chaliye ab hum agge badhthe hai.. lekin agge badhne se pehle hum ek nazar yeh dekh lethe hai kii aakhir 'HumraahI' ke pichle part mein kya hua tha… tho chaliye ek nazar daalthe hai recap par….. just so that we can brush up our memories…. So here is the recap….
Recap:- well what exactly happened in the previous part, even I seem to have forgotten this.. all I remember is that I had posted three parts of 'HumraahI' together… first let me brush up my memory then let me give you guys a glimpse of the recap… hehe…. Yesss… yaad aagaya…. Hmmm.. tho previous parts mein yeh hua tha kii seher Delhi Uptal villa pohanch gayi hai, she is not backing out of the situations aur seher yeh baat than karr aayi hai kii woh apne pyaar ko wapas paakar hii rahegi… agar seher chahthi tho woh agni ko sach bata sakthi thi, woh agni se yeh keh sakthi thi kii joh bhi unke ateet mein guzra usmein dono kii ghalthi nahii hai… seher chahthi tho agni se saara sach bayaan karr sakthi thi, lekin seher ne aisa nahii kiya…. She thought telling agni the truth directly was a easier way out… seher chahthi thi kii woh pehle agni ke dil kii baat ko jaane… seher wants to win over agni's heart & then tell him the truth.. seher aisa is wajah se karna chahthi hai kyunkii, seher wants agni to accept her back in his life for his love but not as a obligation of the truth… so thus seher is leaving no stone unturned to make agni fall in love with her all over once again or rather rekindle the lost love in their relationship, this is what seher is mainly trying to do.. in the 8th, 9th & 10th parts we also saw a number of encounters between our hero & heroine… we saw that seher at every juncture is trying to provoke agni.. seher is doing like this because she wants agni to scream out his pain, seher wants agni to express his feelings.. seher yeh baat bohat hii achche se jaanthi hai kii all the years when she & agni were apart, she had a family to take care of her, listen to her, but agni did not have anyone to vent out his pain.. seher yeh baat bohat hii achche se jaanthi hai aur issi liye woh harr ek koshish karr rahii hai jisse kii agni ka dard uske honton par aaye…. Seher is hurting deep inside her heart for the taunts & jibes agni is throwing at her, but still seher has a content feeling in her heart that agni is opening up to her… seher yeh bilkul bhii nahii chahthi hai kii agni apna dard apne andar hii dabaye rakhe aur ghut ghutkarr jiye… agni without understanding seher's intentions, throws all kind of accusations on seher's face, seher does not let the accusations break her, instead she maintains a straight face & tells agni that he has to first come in terms with his past so that he moves on totally in his life… seher keeps giving agni a tit for tat for all his taunts.. though seher has no intention to hurt agni, she does it because she wants agni to come out with his hurt & accept it, instead of running away from it…. We also saw that in between these taunts & jibes agni kisses seher, there is also pent up up love & aggression in their feelings….. agni as a final blow taunts seher of killing her own child… agni has a wrong notion in his head that seher 'BF' is her boyfriend & because of this wrong notion agni acts all the more mean to seher… agni also breaks seher's cell phone in anger…. One side agni is dejected the other side we have seher who is heart broken.. then we also saw that agni gets a new cell phone for seher & he leaves it by her door with a note…. Now even seher goes to agni's room in the midnight & she leaves a note for him which says thjat if he wants her to forgive him then he should take her out on a date… agni does not take this seriously, but seher is serious with her plan of action… the next day agni & seher drive to the office.. even in the car seher just does not stop bothering agni, seher bothers him & then she has this ohhhh… I'am so innocent look, on the other hand agni ko tho jaise samaj mein hii nahii aa raha hotha hai kii aakhir where life is taking him exactly…. Agni tries to ignore seher too but that was not possible because seher was not giving him a chance to do that…. Jaise taise karke agni reaches his office & has a sigh of relief thinking that now at least for a while he will be saved from seher… but luck does not favor agni, seher tho maano jaise agni ka peecha chodthi hii nahii hai.. it was like seher is following agni jaise woh agni ka saaya hai…… seher is in the office with agni in his cabin, wahaan par bhii seher agni ko akela hii nahii chod rahii hothi hai… agni just patiently keeps putting on with seher's antics, but seher is at her level best to irritate agni… seher agni se kehthi hai kii he is jealous, agni denies the fact.. the past revolves around his eyes & he one again ends up telling seher hurtful & spiteful things, which finally leave agni frustrated with the way his life is going & leaves seher in tears but there is also happiness tagging along the tears, because seher yeh baat bohat achche se jaanthi hai kii in no time she can make agni believe in her love, make him fall in love with her once again, give their relationship a chance, not for the society, not bound to obligations but out of sheer love for each other.… this is what happened in the previous parts… chaliye abhi agge badhthe hai aur kahani ko bhii agge badathe hai… so let us move to the 11th part of the fanfic 'HumraahI'….


****HumraahI – Part 11****

Agni walks around the whole of his office just to push away the flashes of the past which are coming in front of his eyes… aisa lag raha tha maano jaise agni sach se, apne ateet se durr bhaag ne kii koshish karr raha hai…. Reh rehkarr agni ke kaanon mein seher kii baatein goonj rahii hothi hai kii, he has to face his past so that he can move on in his life totally…. Agni jaise harr us baat se, us ehsaas se, us yaad se durr bhaag ne kii koshish karr raha hai joh usse uske ateet se jodh rahii hai… lekin agni yeh baat samaj nahii paa raha tha kii bhale hii hum apne ateet se, apne beete hue kal se kitna hii kyun na bhaag ne kii koshish kar le, but the past always catches up.. one person can never brush away their past & move on, the only way to live is to come to terms with the past, accept it the way it is, this is the best way, but agni does not seem to understand this… aur shayad seher bhii sabse zyada agni ko issi baat ka ehsaas dilane kii koshish karr rahii hai.. seher chahthi hai kii agni apna saara dard uske saamne kholkar rakh de, woh chahthi hai kii agni usse sawaal kare kii uske pyaar mein kahaan kami reh gayi thi kii kabhi usne (seher ne) usse (agni se) pyaar nahii kiya.. seher wants that agni seeks answers for his questions so that in turn she will get answers to many of her questions too… seher wants agni to vent out his anger, his pain, his tears, lekin agni hai kii yeh baat samaj na hii nahii chahtha tha… agni was of the thought that he is fine how ever he is… agni apne dardnaak ateet ko dubara nahii jeena chahtha tha aur issi wajah se woh seher kii koi bhii baat ko sunnna hii nahii chahtha tha… kahiin na kahiin agni yeh baat jaantha tha kii joh baat seher ne kahii hai woh ek dum sahii hai, he knows that to relieve himself of the pain of his past he has to face it & come to terms with the past… par agni aisa nahii karna chahtha tha kyunke kahiin na kahiin usse maano jaise aisa lagtha tha kii though he could not live a happily ever after, with his love, his wife, his seher, though he never got a right on seher, he atleast owns the pain which she has left him with all those years ago… agni feels in his heart that it is his right to live with the pain that seher has inflicted in him all those years ago aur shayad yahii wajah hai kii agni is baat ke liye taiyaar nahii hai to come to terms with his past… because if he comes to terms with his past then it would mean that he has to let go of the pain, which is his means to live & agni ver wants that, because a part of him never wants to let go seher from his life.. though in the form of pain, sadness, anger & tears, he wants to have that part of seher's life with himself….. this was agni's way of coping up with his past… this was his way of facing the past & coming to terms with it…. But at that moment he was very angry because he was being literally forced by seher to open up… agni yeh bilkul bhii nahii chahtha tha kii woh seher ke saamne apne dil ka haal zaahir kare, jisse he becomes more vulnerable for seher to hurt him… woh nahii chahtha tha kii seher ko yeh lage kii woh kamzor hai, agni did not want to give seher a chance ever to point out that he is weak & he has not moved on in his life… agni never wants sympathy from seher aur yahii wajah hai kii woh aaj apne hii office ke chakkar kaat raha hai, with the frustration in his mind & heart as to why did he express himself in front of a person who never cared for his emotions, for the love he had in his heart for her…. Agni apne hii soch mein gumm chal raha hotha hai, usse tho is baat ka bhii ehsaas nahii hotha kii aakhir woh kahaan hai, kya karr raha hai, joh karr raha hai, joh soch raha hai aakhir woh kyun soch raha hai… while agni keeps walking the employees in the work station, keep greeting him, but agni does not even realize this… nor does he respond to anyone…. Prachi, damini, milind, prithvi bhii agni ko rokne kii koshish tho karthe hai when they see him pass their floor of work, lekin is barr bhii agni par koi asar nahii hotha… he was just walking around lost in his own whirlpool of thoughts which are hovering over his mind & heart…. Yahaan prithvi, damini, milind, prachi ko yeh baat lagthi tho ajeeb zaroor hai lekin they think that agni has a important work for which he is rushing off… they just brush their worry aside.... back to agni, he keeps thinking about his past, present, debating between his heart & mind trying to make out what is right & what is wrong… agni finally walks out of the office building premises & he walks down the large spread area… he still is not able to make put what exactly is happening in his life & as to why it is happening… inhi khayalon mein duba hua, agni apne dilo- dimaak mein utt rahe kayi sawaalon ke jawaab dhoond ne kii koshish tho karr raha hai… lekin agni ko in mein se kissi bhi sawaal ka jawaab nahii mil raha hai… uske dil mein, uske dimaak mein bas ek ghehri si khamoshi chayi hui hai… aur yeh khamoshi agni ko dheere dheere jakad rahii hai…. The silence was confusing agni all the more… & this was more frustrating for him….. agni then keep;s walking, when he suddenly realizes that he is not anymore in the confines of his office building rather he is in the confines of the large area of his office, which leads to the other building of 'SDP Media Home'…. Agni looks around on all the four sides, he wants to make sure that he is not being observed, seen or followed… agni sees a small bench put by the corner of the area, he goes & sits on the bench making himself comfortable…. Agni then looks up in the sky, trying to find answers for all his confusion.. but nothing seems to help him really… agni bangs his hand on the bench…. He then looks at his hand, and starts talking to himself:- patah nahii kya zindagi hai meri… auir patah nahii ab yeh zindagi mujhse aur kya kya karwayegi…. Zindagi mein ek barr sachcha pyaar hua tha, lekin jab thak is baat ka ehsaas hua woh pyaar mere haath se choot gaya… aur ab jab main meri zindagi ko ek samjhothe kii tarah jeena seekh hii gaya hoon, tab bhii meri yeh zindagi mujhse khush nahii hai…. Na jaane yeh haath kii lakeerein mujhse aur kya kya karwayengi… kaash yeh zindagi kii lakeerein itni lambi na hothi, kaash meri zindagi ussi din khatam hogayi hothi jis din maine apne pyaar ko khoya na… yeh zindagi bhii kitni ajeeb hai (agni has a sarcastic smile on his face & he continues saying) jab mujhe seher ka saath manzoor nahii that ho kismet ne humein ek dor mein band diya, lekin phir jab dheere, dheere waqt ke saath mujhe yeh ehsaas hone lag gaya kii joh faisla kismet ne mere liye liya hai woh bilkul sahii hai, tab thak meri wohii kismet haath se reth kii tarah phisal lag gayi… aur maine apne pyaar ko gawakarr jeena seekh hii liya… lekin phir aaj kyun muje seher ko apne saamne dekhkar itni takleef hothi hai… kyun main aaj bhii is baat ko accept nahii karr paa raha hoon kii seher kabhi bhi meri nahii thi… woh bas ek hawa ka jhonka thi jisne mujhe zindagi mein pyaar ka sahii mayine sikhaya, bas sikhane ke baad who agge badh gayi apni zindagi mein… kyun itne saal baad bhii main is sach ko sweekarr nahii paa raha hoon… aakhir kyun mere dil mein ek umeed jaagthi hai jab bhii main usko dekhtha hoon… why do I crave for seher's attention, why does my heart want to be loved by her, when I know this is not possible… mujhe aaj bhi aisa kyun lagtha hai kii mere aur seher ke rishthe mein, ab bhii kahiin na kahiin koi umeed baaki hai… mujhe yeh umeed kyun hai, jab kii main jaantha hoon kii hum dono ke beech kabhi bhii koi sachcha rishtha nahii tha…. Main jaantha hoon kii humara joh rishtha ateet mein guzra tha, joh humare beete hue kal ka hissa tha, woh mehez bas ek jhoot tha, ek dikhawa tha, ek aisa dhoka tha joh hum humare apno ko de rahe the. Joh hum kudh ko de rahe the.. shaadi shuda hone ke bawajood bhii hum yeh baat hamesha se hii jaanthe the kii humare rishthe ka na tho koi guzra hua kal tha aur na kabhi koi aane waala kal hoga, itna sab kuch jaanne ke baad bhi, kyun hui mujhe seher se mohabbat, kyun main apne dil ko seher ko chahne se rokh nahii paaya.. kyun mere liye mujhse zyada seher kii khushi emiyath thi, aakhir kyun maine usse apni zindagi se jaane diya… aakhir kyun maine usse humare rishthe ke bandhan mein nahii baandha… kyun maine usse uski khushi, uski hasi ke liye azaad kar diya… kyun maine kabhi usse yeh nahii kaha kii main tumse pyaar kartha hoon, tum meri patni ho ab yahii tumhari kismat hai… kyun maine seher ko kabhi is baat ke liye majboor nahii kiya kii usse uski zindagi mere saath hii bitani hogi…. Patah nahii yeh kismat harr kissi ko alag alag rang dikhathi hai… jab main seher ko apni zindagi se, kudh se durr rakhna chahtha tha, tab meri kismat ne ek aisa khel khela kii seher meri zindagi ka hissa bann gayi, aur jab zindagi ka yahii hissa mere dil ke kareeb aagaya, mere liye khaas hogaya tho meri kismat ko tho yeh bhii manzoor nahii tha… aur mere dil ka woh khaas hissa mujhse cheen liya gaya… hamesha logon ko kehthe suna hai if you love someone, set them free, if they come back to you they are your's, they belong to you…. Aur tum nahii lauti seher…. Jisne bhi yeh quote likha hai na kitna ghalat likha hai, I wish maine kabhi tumhe jaane hii nahii diya hotha… kaash main tum par, tumhara pati hone ka haq jatatha… lekin nahii main bhii ek sachcha aashiq nikla, maine tumhe tumhari khushi ke liye azaad kar liye… I'am sure jis kissi ne bhi yeh quote likha hai, woh bhi meri tarah hii bewakoof aashiq hoga, jisse pyaar jatana nahii aatha.. jisse yeh kehna nahii aatha kii haan mujhe tumse deewangi kii hadh thak mohabbat hai…. woh insaan bhii meri tarah idiot hoga joh yeh sochtha hoga kii kudh kii khushi se zyada apne pyaar kii khushi ke baare mein socho.. ufff…. Yeh pyaar bhi itni complicated hai… business bhi itna complicated nahii hotha hai jitna yeh pyaar complicated hai… aur patah nahii main is complicated cheez mein kahaan se phas gaya… aur pyaarf kiya bhii tho kisse, seher se… seher jaisi ladkiyaan apni aadaton se logon ko pagal karr dethe hai, aur mujhe ussi se pyaar hua.. pehle hii yeh pyaar itna complicated hai, aur tho aur mujhe itni complicated ladki hii mili thi kya pyaar karne ke liye… [agni scolds himself & continues] agni tujhe sach mein koi aur ladki nahii mili kya…. Koi simple ladki se pyaar nahii karr saktha tha kya tu…. Ek tho pyaar itna complicated, upar se jisse pyaar kiya woh double complicated, aur tho aur itne saare complexities ke saath bhi jis complicated cheez se pyaar kiya woh tho mujhse pyaar bhii nahii kartha… aur maine joh yeh saari complexities ko bardhast kiya apne kal mein, uska bhii koi fayada hii nahii… Goddddd…. Patah nahii yeh ladki meri zindagi mein wapas hii kyun aayi hai… kya usse yeh baat samaj mein nahii aathi hai kii mujhe meri zindagi mein uski koyi zaroorat nahii hai… jab zaroorat thi, jab chahat thi tab woh meri zindagi se chali gayi, aur aaj jab main yeh baat maankar chal raha hoon kii meri zindagi jaisi bhii hai theek hai, tho ab usse kya zaroorat thi kii mere saamne aaye, mere aas pass mandraye…. I just wish yeh contract jaldi se khatam ho jaye aur seher wapas chali jaaye, issi bahane meri jaan tho chutegi, aur mujhe usse roz roz apne nazron ke saamne dekhne kii zaroorat bhi nahii padegi…. Kya seher ko yeh nahii patah kii jab bhii woh meri aankhon ke saamne hothi hai tho mera beeta hua ateet meri nazron ke saamne aa jaatha hai…. Seher apni zindagi mein agge badhna chahthi thi aur maine usse agge badhne diya lekin kya seher yeh nahii jaanthi kii mujhe dard hoga, kyun woh yeh nahii samajthi kii mere bhii kuch feelings hai…. Jab bhii woh mere saamne hothi hai mujhe is baat ka ehsaas hotha hai kii maine apni zindagi mein, kya khoya hai…. Kyun woh yeh nahii samajthi kii uski kadwi baaton se mere dil ko chot pohanchthi hai.. why the he** doesn't she understands that it hurts to face a failure in love…. Why does not she realize that she reminds me of our broken relationship… why can't she let me be…. Aakhir kyun aayi hai woh yahaan… kya chahthi hai woh….. mujhe kis baat kii sazaa mil rahii hai…. Bas pyaar hii tho kiya tha… aur is pyaar ke liye mujhe zindagi bhar kii sazaa kyun mili hai… kyun seher yeh samaj nahii paathi kii jab bhii woh mujhe mere ateet ka yaad dilathi hai tho main uske agge kuch bhi soch hii nahii paatha… seher kyun meri aankhon mein apne liye pyaar nahii dekh sakthi.. seher yeh pyaar na pehle dekh paayi thi aur na aaj dekh paa rahii hai… lekin yeh sab jaanne ke bawajood bhii aaj bhi mere dil mein kyun yeh aas hai kii shayad kabhi seher ko meri pyaar ka ehsaas ho jaayega… mujhe aisa kyun lagtha hai kii seher mere pyaar ko, mere dil ke jazbaat ko samajthi hai… na jaane kyun jab bhi seher ko dekhtha hoon tho dil mein yeh baat utthi hai kii jis takleef se, jis dard se main guzra hoon shayad seher bhi ussi dard, ussi takleef se guzri hai.. jab bhi main seher kii aankhon mein dekhtha hoon tho mujhe us mein dard kyun dikhtha hai… jab kii main yeh baat achchi tarah se jaantha hoon kii humare ateet mein seher kabhi mere saath khush nahii thi, main jaantha hoon kii seher kii khushi mere saath nahii thi tho phir kyun main is baat ko jhutla nahii paa raha hoon.. kyun main seher ke kareeb jaane se kudh ko rokh nahii paa raha hoon… main jaantha hoon kii seher aur meri manzil kabhi bhi ek nahii ho sakthi hai, lekin iske bawajood bhi mera mann is baat ko sweekaar ne ko kyun taiyaar nahii hai…. Maine ek barr pyaar kiya, aur us pyaar ka dard aaj bhi mere saath hai, main aaj bhi us pyaar kii takleef se guzartha hoon tho phir aakhir kyun mera dil mujhe majboor karr raha hai kii main seher se dubara pyaar karoon.. ek barr pyaar karne kii katah karr chuka hoon, aur dil tootna kya hotha hai yeh bhii mehsoos karr chuka hoon, tho phir aakhir kyun mujhe aisa lagtha hai kii mujhe mere aur seher ke rishthe ko ek aur mouka dena chahiye… [agni holds his head in his palms & he is on the verge of pulling out his hairs… agni then places his hand in his pocket, he removes something which looks like a photograph & then he says:-] ek yeh din tha jis din tum meri humsafar meri humraahi bani thi, humari shaadi ka din… lekin us din hum dono mein se koi bhi khush nahii tha…. Lekin phir jab humare is rishthe mein humein khushi milne lagi, tab mera sapna toota aur mujhe is baat ka ehsaas hua kii humare beech ka woh rishtha sirf mujhe khushi de raha tha aur tum us rishthe mein ghut rahii thi, maine tumhe azaad tho karr diya… maine tumse yeh tho zaroor keh diya kii tum apni zindagi jeeya jaise tum chaho, lekin main aaj thak yeh baat kudh ko nahii samjha paaya hoon… kyun seher kya humare beech ka rishtha tumhare liye koi maayine hii nahii rakhtha tha… kya tumhari zindagi mein meri koi bhii emiyath hii nahii kii tum apni zindagi mein itni aasani se agge badh gayi… aur mujhe dekho main tho aaj bhii wahiin par hoon jahaan tumne mujhe tanha chodda tha… main kitna stupid hoon na seher main yeh baat jaantha hoon kii tum kabhi meri zindagi ka hissa nahii bann sakthi, phir bhii na jaane kyun tumhari aur meri yeh shaadi kii tasveer hamesha mere pocket mein hothi hai… wallet mein nahii rakhtha hoon kyunke nahii chahtha hoon kii tumhe harr barr dekhun, lekin phir bhi kudh ko rokh nahii paatha aur roz tumhari tasveer apne jeans pocket mein alag se zaroor rakh letha hoon…. Maine suna tha kii pyaar ek insaan ko strong banatha hai, lekin mere pyaar ne tho mujhe idiot, stupid bana diya.. aur dekho na aaj bhii is stupid ke haath mein kuch bhi nahii hai… bas ek umeed hai aur humari yeh tasveer hai… par main jaantha hoon kii in baaton ka koi matlab hii nahii hai… hum dono ek dusare se che saal pehle alag ho gaye the aur shayad meri kismat mein yahii hai kii main kabhi sachcha pyaar nahii paaunga.. shayad mere pyaar mein hii koi kami reh gayi hogayi issi wajah se aaj mera pyaar aadhura reh gaya aur tum apni zindagi mein agge badh gayi…. Pyaar adhura ho ya poora lekin mere dil mein marrthe dun thak zinda rahega aur shayad uske baad bhi… tum tumhari zindagi mein agge badh gayi ho tumhe woh zindagi Mubarak ho… meri zindagi wahiin thum gayi jahaan mere pyaar ne mera saath choda yeh zindagi mujhe Mubarak ho… [agni smiles a sarcastic smile & he places the photograph back in his pocket..] then agni tells:- chal beta agni wapas chalo…. Tujhe patah hai na tu sabke saamne apna dil ka haal bayaan nahii karr saktha… chal apno kii khushi mein wapas khush ho jaa…. Apni zindagi tho bas aisi hii hai…. Then agni with a dejected stance plasters a fake smile on his face & he starts walking back to the office building…. Agni barr barr chalthe waqt kudhko yahii kehh raha hotha hai kii he should keep a tab on his emotions when seher is around… agni issi soch mein wapas jaane lagtha hai & he just hope kii at least now seher leave him alone for a while…. There is a drop of tear which forms at the corner of his eyes, agni wipes it away even before anyone can see it….

[Song In The Background:- For Agni]

"Kuch kum roshan hai roshni...
Kuch kum gili hai baarishein...
Kuch Kum lehrathi hai hawa...
Kuch Kum hai dil mein kwahishein....
Tham sa gaya hai....
Yeh waqt aaisi....
Tere liya hi tehra ho jaise....
Mmmmm..mmmm..mmmm....
MMmmm…mmmm..mmmmm....
Kuch kum roshan hai roshni....
Kuch kum gili hai baarishein....
Kuch Kum lehrathi hai hawa....
Kuch Kum hai dil mein kwahishein....
Tham sa gaya hai....
Yeh waqt aaise...
Tere liya hi tehra ho jaise....
Mmmmm..mmmm..mmmm...
Mmmmm..mmm..mmmm....
Kyun meri saans bhi.....
Kuch bhiki si hai....
Dooriyon se huyie...
Nazdiki si hai...
Mmm….
Kyun meri saans bhi....
Kuch bhiki si hai...
Dooriyon se huyie...
Nazdiki si hai...
Jaane kya, yeh baath hai...
Har subha, aab raat hai...
Kuch kum roshan hai roshni...
Kuch kum gili hai baarishein....
Kuch Kum lehrathi hai hawa....
Kuch Kum hai dil mein kwahishein.....
Tham sa gaya hai....
Yeh waqt aaise....
Tere liya hi tehra ho jaise....
Mmmmm..mmmm..mmmm...
Mmmmm..mmm..mmmm..
Phool mehke nahin....
Kuch gumsum se hai....
Jaise roothe huwe....
Kuch yeh tumse hai....
Phool mehke nahin...
Kuch gumsum se hai...
Jaise roothe huwe...
Kuch yeh tumse hai....
Khusbooien dhal gayi...
Saath tum aab jo nahin....
Kuch kum roshan hai roshni....
Kuch kum gili hai baarishein...
Tham sa gaya hai...
Yeh waqt aaise...
Tere liya hi tehra ho jaise...
Mmmmm..mmmm..mmmm.....
Mmmmm..mmm..mmmm.."

[Courtesy Movie: Dostana]

(Yahaan yeh tho hai agni ka haal…. Chaliye ab dekhthe hai kii seher ka kya haal hai…) seher is still in agni's cabin… she is walking to & fro thinking about agni… with every passing second seher ko is baat kii bhi tension ho rahii hothi hai kii agni abhi thak lauta nahii hai… seher ko reh rehkarr yeh baat sooj rahii hothi hai kii kahiin usne agni ko kuch zyada hii extreme ko tho nahii push karr diya hai.. seher was feeling very bad because she was hurting agni at every stage… seher ka tho mann yeh karr raha hotha hai kii woh agni ke pass foran jaake usse yeh keh de kii woh (seher) usse (agni) pyaar karti hai… lekin seher yeh baat bohat achche se jaanthi hai kii she cannot do it.. seher knew that she has win over agni's heart & make agni realize his love.. seher yeh baat bohat achche se jaanthi hai kii agni ke dil mein aaj bhi uske liye pyaar hai, dil mein jazbaat hai, lekin seher yeh baat bhi jaanthi thi kii agni's love, agni's feeling for her is covered with a layer of pain, hatred & venom.. & all seher is trying to do now is to remove the pain from agni's heart… seher along with agni's heart also wants to cure agni's soul, which is hurting at every instance for the past so many years…. Seher just keeps on thinking about how she can make agni accept his lover for her again… lekin seher ke mann mein kahiin na kahiin yeh darr bhii tha kii with her tactics she should not push away agni more away from her… seher's only aim at this moment was to reduce the distance that exist between her & agni… at any cost seher never wanted the distance between her & agni to increase…. Seher keeps walking to & fro in a very fast pace…. She is very worried & tensed…. Seher then starts talking to herself:- God… yeh vaashu kahaan gaya… bilkul ladkiyon kii tarah root ke chala gaya… ladkiyaan bhi itna naraaz nahii hothi jitney yeh vaashu mahashay hothe hai… [seher makes a face & continues] ab agar damini, prachi, milind ya prithvi mein se koi yahaan aagaya aur mujhse pooch liye kii yeh agni kahaan hai, tho main unse yeh tho nahii keh sakthi na kii unke pyaare dost rootkar, natak karthe hue yahaan se chale gaye… uffffff… yeh kahaan phas gayi main… aur tho aur abhi lunch time bhi kareeb aane laga hai…. Achcha hoga agar yeh vaashu jaldi aajaye.. warna mujhe saare jawaab dene padenge…. Kahaan ho tum vaashu…. Jab main bhi tumse rootthi thi tab bhi main itna tho bhaav nahii khaathi thi… haan lekin yeh baat alag hai kii humare ateet ne humein yeh mauka bhii nahii diya kii hum ek dusare se achche se root sake… waahh.. kya kismat hai na ek dusare se pyaar ka izhaar karr paaye, na ek dusare se pyaar mein root paaye, bas ek dusare ke liye jee gaye aur zindagi bhar ke ghamon ko gale laga liya…. Vaashu main jaanthi hoon tum abhi is waqr kis daur se guzar rahe ho… main jaanthi hoon kii tum kaisa feel karr rahe hoge…. Mera yakeen maano vaashu jitni takleef main tumhe pohancha rahii hoon usse kayi zyada takleef mujhe ho rahii hai, kyunke main tumhe chot pohancha rahii hoon, main us shaqs ko chot pohancha rahii hoon jisse maine bachpann se lekar aaj thak pyaar kiya hai, main us insaan ko chot pohancha rahii hoon joh mujhse pyaar kartha tha, meri saari kaamiyon ke bawajood kisne mujhse pyaar kiya, ya shayad aaj bhi pyaar kartha hai…. Naaahhhh.. shayad nahii mujhe is baat ka yakeen hai kii vaashu ke dil mein aaj mein mere liye pyaar hai, bas woh pyaar halaton ke chalthe kahiin chup gaya hai… us pyaar par maano jaise zang (rust) lag gaya hai.. aur main yahaan issi liye aayi hoon kii main ab tumhare pyaar ke upar se zang mita sakoon… aur yeh mera waada hai tumse vaashu, yeh mera waada hai kudh se kii main is zang ko humare pyaar se, humare rishthe se nikal karr hii rahoongi… aur haan vaashu main jaanthi hoon kii tum bohat ziddi ho, lekin shayad tumne abhi thak Seher Agni Vashist Garewal kii zidd kii hadd nahii dekhi hai…. Agar is situation se bachne ke liye tumhare ass yahii ek solution hai kii tum problems se durr bhaago, problems ko avoid karo, tho main aisa bilkul nahii karne doongi tumko… main harr woh koshish karoongi jisse kii tum mere pehle waale rude arrogant Agni Vashist Garewal bann jao, joh mujh par ghussa hotha tha, joh mujh par chidtha tha, joh mujhe baatein sunatha tha, lekin in sab ke bawajood kahiin na kahiin apne dil mein mere liye care bhii kartha tha… mujhe mera pehle waala vaashu wapas chahiye… joh idiot tha, stupid tha, joh apni dil kii baatein kehna nahii jaantha tha, lekin in sab baaton ke bawajood woh sirf aur sirf mera tha…. Sirf mera… haan par main apne poorane waale vaashu ko dhoond the hue usmein ek baat zaroor change karna chahoongi main chahoongi kii vaashu apni dil kii baatein mujhse kehna seekh jaaye… woh mujhse itna pyaar kare kii woh mujhse apne dil kii harr ek baat mujhse share karr sake… chahe woh achchi baat ho ya buri, chahe us baat se ghum ho ya khushi lekin main chahthi hoon kii vaashu mujhse harr baat kahe…. Aur main yeh baat jaanthi hoon kii main ek na ek din vaashu ke dil mein apne liye woh pyaar ke jazbaat jagakarr hii rahoongi… main dubara se uska dil jeet karr hii rahoongi.. mujhse bachkarr kahaan jaaoge Mr. Agni Vashist Garewal, after all main bhi tho aapki better half hoon, main bhi tho Mrs. Seher Agni Vashist Garewal hoon…. Meri zidd ke agge tho tumhare us dard ko, tumhare us takleef ko bhii harrnas hii hoga…. Aur main tumhare harr dard ko, harr takleef ko, tumhare akelepann ko haraa karr hii rahoongi, chahe iske liye mujhe kuch bhii kyun na karna pade lekin main aisa karoongi… bhale hii aisa karthe hue mujhe kitni bhi takleef kyun na pohanche lekin phir bhii main aisa karoongi.. kyunke main jaanthi hoon kii tumhari takleef kum karne ka mere pass aur koi raastha hii nahii hai.. vaashu yeh behad zaroori hai kii tum sach jaanne se pehle apne dil mein chupe dard ka izhaar karo, & then may be when you will get to know the truth you will be in peace with yourself, with your heart, mind, body & soul…. Aur shayad tab jaakar tum is baat ko sweekaar kar sako kii haan tumhein bhii mohabbat hai mujhse…. Tumhein pyaar hai meri pagal harkaton se…. [seher smiles & then continues…] lekin haan vaashu ek baat zaroor hai, is barr jab main apna pyaar jeet loongi tab main apne pyaar ko kahiin jaane nahii doongi… pichli barr maine apne is pyaar ko, apne rishthe ko haath se choot ne diya, par is barr main aisa kuch nahii karoongi… because even I'am possessive of you & your love & this time I would never let you go, I will never let you slip away, you belong to me Mr. Vaashu alias Mr. Agni Vashist Garewal & I know how to claim what belongs to me… I'am seriously not backing off, not now, not ever forever…. Aur haan Mr. Agni Vashist Garewal agar tum yeh sochthe ho kii tum yun hii bhaav khaate rahoge aur main tumhara peecha chod doongi tho phir main tumhe bata dethi hoon aisa kabhi nahii hoga… vaashu is barr tho tum bure phase hue ho.. main tumhara peechcha nahii chodne waali hoon… kabhi bhii nahii…. Na is janam mein tumhara peechcha chodoongi na hii apne agle harr janam mein… so vaashu you just get ready, tum nahii jaanthe kii tumhara paala kiss se pada hai… tum nahii jaanthe kii tumne kis pareshaani se shaadi kii hai…. Aur bas ab tum dekhthe jao vaashu ab yeh pareshaani, jiske saath tumne agni ke saath phere liye hai woh tumhe kis hadh thak pareshaan karthi hai…. Mr. Agni Vashist Garewal tumne bachpann se mujhe pareshaan kiya hai na, tumne mujhe tang kiya hai na, ab main tumhe tang karoongi.. tumhare naak mein dum, dum karoongi… aur tab dekhthi hoon tum mujhse bachkarr kahaan jaaoge….. seher naam kii pareshaani se bachna mushkhil hii nahii namumkin hai.. [seher laughs over the things which she is saying & then she says…] vaashu main jaanthi hoon kii joh humare saath hua woh ghalat hua…. Main yeh tho nahii keh sakthi kii haalat ghalat the lekin hai itna zaroor jaanthi hoon kii ghalat haalaat paida kiye gaye the… aur haan vaashu yeh mera kudh se waada hai main kabhi un logon ko maaf nahii karoongi jinhone tumhare aur mere beech ke haalaton ko ghalat karr diya… main un logon ko kabhi maaf nahii karoongi, jiski wajah se maine apne pyaar, humare beech ka rishtha aur mera bachcha khoya hai…. Mera ek ansh mera bachcha… humara bachcha… humare unkahe pyaar kii nishaani…. Patah nahii par mujhe kabhi kabhi aisa kyun lagtha hai kii agar main tumse apni dil kii baat pehle hii keh dethi tho aaj humara bachcha humare saath hotha aur humara rishtha aur ek doosre ke liye pyaar bhii qayam rehtha.. kaash maine kabhi yeh nahii socha hotha kii tum mujhse pyaar nahii karthe, kaash maine yeh socha hotha kii shayad tumhe bhi mujhse pyaar ho saktha hai…. Kaash maine aise kiya hotha…. Tho aaj humari zindagi itni mushkhil nahii hothi… aaj humari life mein itne complications nahii hothe… hum ek saath hothe…. Lekin shayad humari kismat ko hii humara saath manzoor nahii tha… humare ateet mein joh guzar gaya woh guzar gaya, ateet mein tho main apni kismat ko badal nahii paayi thi… par aaj main apni kismat ko badalkarr hii rahoongi… bhale hii mujhe apni kudh kii kismat se ladh jagad karr hii kyun na ho, tumhe wapas paana ho, phir bhi main aisa karoongi.. kissi bhi haal mein, kissi bhi keemat par is barr meri kudh kii kismat bhii mujhe rokh nahii paayegi apna pyaar pane se…. aur mujhe aisa lagtha hai kii kismat mujhe khush hone ka, mera pyaar pane ka mujhe ek mauka tho zaroor degi… kyunke meri kismat itni buri thodi na ho sakthi hai, after all Agni Vashist Garewal mujhse pyaar kartha tha, kartha hai aur shayad kartha rahega, tho meri kismat kharaab kahaan se hogayi….. vaashu agar maine tumhare mooh se yeh nahii kehelwaaya kii tumhe mujhse pyaar hai tho main bhii tumhari patni seher agni vashist garewal nahi…. Main bhi dekhthi hoon kii kab thak meri yeh kismat aur tum mujhse durr bhaagthe ho…. Meri kismat ko tho mere saamne harrna hii hoga, agar meri kismat yeh nahii chahthi kii main apne pyaar ko paa sakoon tho mujh mein itni himmat hai kii apni kismat ko badal sakoon.. aur haan vaashu yeh mera waada hai tumse tum bhale hii kyun na kitna bhii akdo, kitna bhi kyun na bhaav khao lekin tumhe is baat ko sweekarr na hii hoga kii tumhari zindagi mein meri koi emiyath hai, tumhe yeh manna hii hoga kii tum mujhse pyaar karthe ho, tumhe yeh samaj na hii hoga kii main tumhari better half hoon… aur tumhe yeh samja ne ke liye main kuch waqt ke liye tumhari bitter half bhii bannne ke liye taiyaar ho… haan main jaanthi hoon kii joh main karr rahii hoon, jaise karr rahii hoon usse tumhare dil ko taiz pohanch rahii hai, lekin main kuch nahii karr sakthi… vaashu bhale hii kuch bhii kyun na ho jaaye, duniyaan idhar kii udhar kyun na ho jaaye, chahe mujhe apni aakhri waqt thak bhi kyun na laddna pade lekin main apne pyaar ke liye ladoongi… humare rishthe ke liye ladoongi… aur is barr koi bhi mujhe rokh nahii saktha…. I will not allow anyone to come in between us this time vaashu…. Main tumhe bhii yeh haq kabhi nahii doongi kii tum humare pyaar ke raasthe mein rukawatt bann sako… main tumhe is qadar majboor karoongi kii tumhe harr manna hii hoga apne pyaar ke agge, apne feelings ke agge.. I will break all the walls of defense you have built around yourself… mujhe yakeen hai kii aisa karne se main apne pehle waala woh vaashu wapas paa loongi, joh haasna jaantha tha, joh apno ke saath khulkarr jeetha tha, jiske dil mein mere liye bepanah mohabbat thi…. [seher then sees the watch on her wrist & then says..] yeh dekho mere patidev abhi thak wapas bhii nahii aaye hai… main tabse wait karr rahii hoon kii kab yeh mahashay wapas aayenge aur tabse lekar ab thak main kudh se baatein karr, karrke bhii thak gayi hoon lekin in janab ka tho koi aata pata bhii nahii hai… ab main kya karoon… maine socha tha kii vaashu ko tang karoongi aur uske dil mein chuppe kuch jazbaat ko bahar laaungi…. Lekin nahii yeh mahashay ko tho situation face karne se achcha usse durr bhaag na aatha hai.. na jaane yeh vaashu itna achcha business man kaise bann gaya…. Situation se durr bhaagtha hai…. actually agar socha jaaye tho woh idiot saare situation se nahii bhaagtha… woh tho bas mujhse durr bhaagtha hai.. jaise tom ko dekhkarr jerry bhaagtha hai waise mera pati mujhe dekhkarr mujhse durr bhaagtha hai… dekha jaaye tho ek ladki apne pati ke atyachaaron se bachne ke liye apne pati se durr bhaagthi hai… par yahaan tho scene hii kuch ulta hogaya ek pati apni patni se durr bhaag raha hai… agar yeh scoop kissi newspaper waalon ko mil gaya tho I'am sure they will make a very good headlines out of it… par haan ek baat achchi hai mere pati parmeshwarr sirf apni ardhangini se hii nahii, balki baaki saari ladkiyon se bhii durr bhaagtha hai… yeh baat mere liye achchi hai kyunke mera pati sirf mera hai… agar woh ladkiyon se durr nahii bhaagtha tho mujhe un ladkiyon ko bhagana padtha, lekin thank goodness ab mujhe aisa sab kuch nahii karna hai… bas mujhe apne pati ka dil jeetna hai… mujhe usse is baat ka yakeen dilana hai kii humari manzil ek hai… aur main aisa karke rahoongi…. Bas mere patidev wapas aaye tho main apna plan of action shuru kar sakoon… ab mujhe bas is baat ka intezaar hai kii kab Mr. Bhaav Khaavu yahaan par wapas laute… seher then makes a face, she walks near agni's table, she sees that there is picture frame which has agni, milind, pachi, prithvi & damini… seher runs her fingers on the picture & she says:- patah nahii kya main tum sabke beech apni jagah bana paaungi ya nahii… lekin haan meri koshish yahii rahegi kii main tum sabke beech main apni ek jagah bana sakoon… aur agar main chahthi hoon kii tum sab ke beech main apni jagah bana sakoon tho phir mujhe apne is akdoo pati ke dil mein dubara jagah banini padegi… aur main yeh tab hii karoongi na jab mujhe yeh vaashu mahashay mujhe is baat ka mauka de… yeh nahii kii mujhse durr bhaage…. God…. Yeh kahaan phas gayi main…. [seher runs a hand on agni's face in the picture & she says..] aye Mr. Arrogant… wapas aa jao na…. aur kitne dairy un hii roote hue rahoge…. Jaldi aao na… taaki main apna plan of action agge bada sakoon.. aur hum dono ke beech kii doorie ko jald se jald durr karr sakoon… dekho vaashu main tumhe warn karr rahii hoon ab agar tum wapas nahii aaye tho mujhse bura koi nahii hai…. [she sighs in frustration & says…] jaldi aao vaashu…. Seher then makes a cute irritated face & she smiles looks at agni in the picture… she takes the picture to her lips & kisses on agni's face & mumbles…. Akdoo ho… rude ho.. arrogant ho.. idiot ho… bhudhu ho….. jaise bhi ho, bas sirf mere hii ho…. Mere hii the aur mere hii rahoge hamesha ke liye… yeh mera waada hai….

Song In The Background:- For Seher

"Khudaya ve, haiii aaahh…
Ishq hai kaisa yeh ajeeb.....
Khudaya ve…
Ishq hai kaisa yeh ajeeb...
Dil ke kareeb laaya....
Dil ka naseeb re....
Dil ke kareeb laaya....
Dil ka naseeb re....
Khudaya ve, haiii..
Ishq hai kaisa yeh ajeeb re....
Khudaya ve, haiii..
Ishq hai kaisa yeh ajeeb re…
Aaaa…aaaa……tana re tana….derena....
Aaaa…aaaa……tana re tana….derena.....
Aaaa…aaaa……tana re tana….derena....
Aakhon se khawab ruthe....
Apno ke saath choote....
Tapti hue rahon mein....
Pairon ke chaale phoote...
Aakhon se khawab ruthe....
Apno ke saath choote....
Tapti hue rahon mein....
Pairon ke chaale phoote...
Pyaase tadap rahe hai....
Saahil kareeb re...
Pyaase tadap rahe hai....
Saahil kareeb re...
Khudaya ve, haiii..
Ishq hai kaisa yeh ajeeb re....
Khudaya ve, haiii..
Ishq hai kaisa yeh ajeeb re…
Ni sa re ni sa re re ga re ga re re ga re..
Ma ga re sa ma ga re sa ma ga re sa…
Aansu namak se lage....
Rishte hai kachhe dhaage....
Reth pe apne saaye...
Khud se kyu durr bhaage...
Aansu namak se lage....
Rishte hai kachhe dhaage....
Reth pe apne saaye...
Khud se kyu durr bhaage...
Kheech ke humko laaye.....
kahan pe rakeeb re...
Kheech ke humko laaye.....
kahan pe rakeeb re...
Khudaya ve, haiii..
Ishq hai kaisa yeh ajeeb re....
Khudaya ve, haiii..
Ishq hai kaisa yeh ajeeb re…
Dil ke karib aaya dil ka naseeb ve.....
Khudaya ve, haiii aaahh…
Ishq hai kaisa yeh ajeeb.....
Khudaya ve…"

[Cortesy: Movie: Luck]

Seher then places the frame back in it's place on the table, she wipes the tears forming in her eyes & then she goes & sits on the sofa & starts flipping through the magazines waiting for agni…. Aise karthe hue seher ko is baat ka ehsaas bhii nahii hotha kii kab uski aankh lag gayi hothi hai… she just leans back on the sofa & goes to sleep with a sweet smile on her face, with a belief that she can correct all the wrongs which have occurred in vaashu & her life..
[yeh tho hui humari heroine sahiba kii baat.. chaliye ab dekhthe hai kii humare hero sahib kya karr rahe hai…..]

Agni is walking up the stairs in his office… he just did not want to take the elevator because he felt that if he takes the elevator he will have to face seher rather too soon.. agni just wants to give himself sometime to calm himself & drive the confusion far away from him.. while agni is on his way to his cabin he meets milind & prithvi who tell him to join them for lunch.. they also tell him that they were just going to call seher from his cabin… prithvi, milind tell agni to call seher from the cabin & inform him that they have been trying to reach seher on her cell but she is not picking it up… agni tells them that he will check where seher is & get her…. Agni then leaves to go to his cabin… once he reaches his floor of work he asks a employee there if they have seen seher wandering outside the cabin, when he gets the answer to be a no.. he is rest assured that seher must be in the cabin itself & just to cause some trouble she was not picking up her call…. Agni then walks to his cagin, he was again irritated with seher… agni ko is baat par ghussa aa raha tha kii seher ab uske doston ko bhi apni harkaton se pareshaan karne lagi hai…. While walking to his cabin he keeps mumbling to himself saying that, seher ab thak tho mujhe hii pareshaan karr rahii thi, lekin ab woh milind, prithvi, prachi aur damini ko bhii pareshaan karne lag gayi… he was mumbling to himself saying that seher usse pareshaan karr rahii thi with her antics tab thak tho it was fine… but now she is really crossingthe limits.. agni ko is baat pe bhi aur ghussa aa raha tha thinking that because of seher's antics his friends are worried… he thinks that he knows his friends a little too well & he knows that they would have been worried when seher did not pick up the call… agni sochtha hai that he has to warn seher from doing any kind of gimmick in front of his friends… he really did not want to complicate his life further than it already was…. Issi soch mein agni walks into the cabin & starts talking in a very rude tone:- what on earth do you think you are doing… [right at that moment agni looks at the sleeping seher… who is leaning on the sofa & seeping with a smile on her face…. Agni yeh dekhkarr foran chup ho jaatha….. he sees seher & feels that some sort of attraction is pulling him towards her… seher ko dekhkarr maano jaise agni ko aise lagne laga kii mann mein ek unchahii dorr usse seher kii tarah kheench rahii hai…. Agni takes small steps towards the sleeping form of seher… jaise woh seher ke kareeb jaake tehertha hai, he sees that because of the wind from outside, her hair is coming onto her face… & agni sees that the movement of the hair on her face was disturbing seher's sound sleep…. Agni then goes to the window, he closes it & then come back near seher… agni sees that still the hair is troubling her to a extent… agni after a lot of debate with himself, bends down close to seher so that he can move away the hair from seher's face…. Agni bends down, at that moment he looks at seher's face aur seher ka chehra dekhthe hii maano jaise agni ka pyaar uski aankhon mein chalak padtha hai….. he is lost seeing seher… seher stirs a bit, agni realizes what he his doing & he very lightly pushes seher's hair back from her face…. The smile on Seher's face widens when agni touches her face… agni then straightens himself, because he really did not want seher to catch hold of him admiring her… agni looks at seher & then he says:- seher tum hamesha aise hii kyun nahii reh sakthi…. Itni shaant lag rahii ho ab… dekho kitni achchi lag rahii ho aise…. Warna jab jaagi hui hothi ho tho harr cheez ke bare mein opinion dethi ho, bilkul hyper active ho jaathi hai.. dekho ab tum khamosh ho tho mujhe bhii kitna chaine hai…. Aise hii raha karo.. this silence is so peaceful… warna tho yeh pichle kuch dino se tumhari chapad, chapad se meri haalat bilkul khaarab hogayi thi…. Good… ab tum aise hii rehna aur mujhe pareshaan bhii matt karna…. Waise patah nahii yeh neend mein itna muskura kyun rahii hai… I'am sure neend mein bhii yeh kissi ko tang karr hii rahii hogi…. Kissi ko kya mujhe hii pareshaan karr rahii hogi I'am sure of it… neend mein plans bana rahii hogi kii mujhe aur kaise, kaise pareshaan karr sakthi hai….. hmm…. Lekin joh bhii ho yeh baat main tumse tab tho nahii keh saktha jab tum jaagi hui hogi, par ab kehtha hoon kii tumhare chehre par yeh muskurahat bohat suit karthi hai…. Muskurathi raha karo… achchi lagthi ho… agni then looks at seher & he gets a smile on his face & then he says:- chal beta agni bohat dekh liya is sleeping beauty ko…. Ab kaam ar lag jaa.. kahiin yeh sleeping beauty jag gayi tho phir mujhe lecture sunayegi kii mujhe zindagi mein agge badhna hai… I have to move on & blah, blah blah…. Isko, iske lecture ko, iske presence ko avoid karna ka ek hii tareeka hai ab se mujhe isse poori tarah se ignore karna hoga.. agar main isse ignore karoonga tho yeh mera peecha chodegi…. Tho ab se mission 'Ignore Seher' shuru….. agni then calls milind & tells him that they should carry on with their lunch as he & seher are busy discussing a project & they will have lunch later…. Is baat ko milind jhat se theek hai keh detha hai, kyunke damini aur prachi milind aur prithvi ko tab hii bata rahe hothe hai kii they feel agni & seher will make a very nice pair & they want to hook them up…. Milind, prachi, damini, prithvi think that it is good that seher & agni are spending time with each other & they are just hoping for the best….. yahaan doosri taraf agni ne milind se yeh jhoot tho bol diya kii woh aur seher kaam karr rahe hai & they will have lunch later, but asli baat tho yeh thi kii agni seher ko uttakar usse disturb nahii karna chahtha tha… he did not want to spoil seher's sleep thus he lied to milind… though agni was feeling hunry but at that moment for agni seher's sleep was more important than his hunger…. Agni then goes to his seat to do some work…. Agni starts working he picks up his phone to ask his assistant for some files, jab agni kii nazar saamne rakhe farme par jaathi hai…. Agni stops talking to his assistant, he takes the photo frame in his hand & sees it keenly…. Agni then tells his assistant that he would take the details later & he cuts the call… agni observes the picture frame & he sees that in the near on his face there is a lipstick mark… agni says:- yeh nishaan yahaan kaise aaya… waise bhii koi bhii mere cabin mein meri permission ke bina nahii aatha tho phir yeh mere pic par lipstick ka nishaan kaise aaya… [agni then sees seher sleeping & he says..] kahiin yeh seher ne tho nahii kiya na… I'am sure yeh issi ki harkat hogi… waise bhii pichle dino mein yeh ek bhii mauka nahii chod rahii hai mujhe pareshaan karne ka…. yeh issi kii kartoot hai… patah nahii kab sudregi… waise bhii yeh aise behave kyun karr rahii hai…. Kuch zyada hii weird behave karr rahii hai…. Aur ab main is harkat ka kya matlab nikalun… aakhir is pick o isne kyun kiss kiya… yeh ladki sach mein pagal hogayi hai aur yeh mujhe bhii pagal karke hii rahegi… mujhe tho aisa lagtha hai kii yeh yahaan issi irade se aayi hai kii yeh mujhe pagal karke rahegi… now I know that is her secret mission…. Uska mission yeh hai kii ek achche bhale insaan ko kaise apni baaton mein aur apni harkaton mein uljhakarr pagal karna…. Ab yeh mujhse chahthi kya hai… aur kya zaroorat thi kii isne is pick o kiss kiya aur woh bhi mere chehre par kyun kiss kiya…. Ab yeh sochkarr kudh ko pareshaan karne se behtar hai kii yeh behtar hoga kii main is sirphiri madam ko jagakar isse hii pooch letha hoon… patah nahii yeh seher itni sirphiri kyun bann gayi.. pehle tho aisi nahii thi…. Pehle tho joh kehtha tha woh chup chaap sunn lethi thi… mere kaam mein dhakhal nahii dethi thi… lekin ab isse kya hogaya… total personality change hogaya iska tho… I'am very sure yeh uske sangath ka asar hoga… haan uske so called BF ka asar hoga… main bhi kya soch raha hoon, bas is sleeping beauty ko uttatha hoon aur uske is kiss waale harkat ke bare mein poochtha hoon… [then agni agni scolds himself] agni tu bhi na bewakoof hai… dekh seher so rahii hai na tho ab usse disturb karne kii kya zaroorat hai…. Sone do usse… waise bhii jitna soyegi utna achcha hoga… main tho shanti se reh saktha hoon na…. agar ek barr utt jaayegi tho phir shuru ho jaayegi iski bakh, bakh… aur iski bakh bakh sunnthe hue mere kaan pakh jaayenge… tho yahii achcha hoga kii main isse sone doon… lekin phir ab bhi yahii sawaal uttha hai kii isne mere pic par kyun kiss kiya… ab yeh sawaal kis se poochun.. suddenly a thought crosses agni's mind…. Seher ne mere pic par kiss kiya how would it feel to feel her lips on my lips & cheeks… the events of the past two days where he & seher kissed crosses his mind & it gives him goose bumps….. agni comes out of the revive of his thoughts & says:- agni tu ab yeh baatein sochna chod de… bas yeh yaad rakh kii seher is unreachable for you… bas she is a taboo for you… ab isse zyada kuch soch matt…. Maharani jii jab uthengi tho main isse mere sawaal ka jawaab le loonga… agni then keeps the frame inside… agni phir kaam par lag jaatha hai…. But from time to time uski nazar seher par jaa rahii hothi hai & automatically a smile forms on his face every single time he sees seher… every time agni gets lost in seher, he tells himself that he should not be doing it…. But he just cannot help it…. Agni kaam karthe hue issi soch mein rehtha hai kii how should he avoid seher… he was thinking of different ways to avoid seher…. Yahii karte karte woh apna kaam bhii karr raha hotha hai…. Yahaan seher slowly wakes up from her deep slumber… pehle tho seher ko samaj mein nahii aatha kii woh kahaan hai.. finding herself in a different place, seher kuch hadh thak sehem si jaati hai…. [the reason for this will be known later….] seher then sees agni working on his laptop… that is when she has a sigh of relief understanding kii aakir woh kahaan hai, she squeezes her eyes open & very sheepishly looks towards agni… agni yeh baat jaantha tha kii seher jaag chuki hai, all the while he was keeping a eye on seher, he was looking at her from the corner of his eyes…. He saw the strange restlessness which formed on her face as soon as she was awake…. Agni also observed that as soon as seher saw him, seher had a calm look on her face with a sense of realization… but agni simply chose to ignore seher, he did not want seher to know that he was keeping a eye on her while working…. Agni rather found it to cute when seher aqueezed her eyes like a child, but he just suppressed his smile & continued working… at that moment agni knew it very well that seher was looking at him sheepishly, but he was trying his level best to ignore it…. Seher sees that agni is not giving her any importance so she just rubs her eyes, get up & walks near agni's table, she stands in front of agni & says:- sorry woh aankh lag gayi thi…. Agni looks at seher & in a very sarcastic tone says:- tho aakhirkaar sleeping beauty jag hii gayi.. neend poori hogayi tumhari…. Agar tumhari neend poori nahii hui hai na tho jao aur thodi dair so jao…. Go complete your beauty sleep…. Aur waise tum itni jaldi kyun jag gayi… kuch dair so jaathi tho yahiin par sham bhii ho jaathi… aur tumhe koi kaam karne kii zaroorat bhii nahii padhthi… agar chaho tho ab bhi jaake so sakthi ho, I don't mind, kyunke issi bahane main tho apna kaam bina koi rukawat ke, bina koi disturbance ke aaraam se karr saktha hoon…. Tho jao aur thode time ke liye so jao… waise abhi agar tumhe neend nahii aa rahii hai tho main tumhare liye lullaby bhi gaa saktha hoon, taaki tum so jao… tho kya kehthi ho seher gaaun tumhare liye lullaby main… [agni asks the last sentence making a face..]
Seher knows that agni is being sarcastic with her, she chooses to ignore the sarcasm & she says:- aise kyun keh rahe ho…. Maine kaunsa bada gunaah karr diya hai… bas mujhe thodi si neend aa rahi thi isliye thode time ke liye aankh lag gayi thi…. Ab iske liye itni baatein sunane kii tho koi zaroorat nahii… haan waise maine tumhara office use kiya son eke liye, shayad isliye tumhe ghussa aa raha hai, sorry about that… seriously I never meant to sleep here… waise bhii koi pagal insaan hii hoga joh sher ke pingre (cage) mein jaakar chaine se sona chahega…. Tho sorry ghalthi hogayi… maaf kar do mujhe…. Agar maaf nahii karna chahthe na tho sue me, saying how did I use your office premises to sleep…. Aur haan agar tumhe lawyer kii zaroorat pade tho tum mere pass aana main tumhari taraf se hii case ladoongi…. Ab theek hai….. agni gives seher a look which states you are out of your mind & he says:- whatever…. Tum abhi tho utti hona aur abhi tumne apni baaton kii rail gaadi bhi shuru karr di hai…. Ab agar tumhari neend, tumhari baatein khatam hogayi ho tho hum log kaam par lag jaaye… tum India jis kaam ke liye aayi thi hum log woh kaam kare… tum yahaan jitni jaldi humari company ko review karogi utni jaldi tum wapas apne BF ke pass jaa sakogi tho issi liye let's just get to work… main tumse baatein karthe hue apna time waste nahii karna chahtha hoon…. So let's start… [agni seher ko kuch files detha hai aur ishara kartha hai to start working… seher takes the files in the hand, but still sheps looking at agni. Agni waiting for a whole ten minutes of times, he tries to busy himself in the files, but seeing that seher is still standing there without moving an inch, he looks up at her with a irritated face & says:- ab kya hogaya.. tum yahaan aise hii kyun khadi hui ho… seher:- woh kya hai na…. mujhe… tumse keh.. na…. tha… kiii…. Kiii… kiii….. agni gets angry that seher is not continuing from her kii so he says:- kii kya seher? Seher:- kiii mujhe bhook… khhh… lagi hai….. seher has a cute expression on her face while saying this…. Now agni is at the verge of giggling, he controls himself & says:- tho yeh baat tum mujhe pehle nahii bata sakthi thi…. Itni si baat kehne mein itna jhijhak kyun rahii thi… bhookh lagi thi tho pehle hii keh dethi mujhse, tumhe kya laga tumhara yun mere saamne bhut bannke khade ho jaane se, mujhe kya sapna aayega kii tumhe bhookh lagi hai…. Theek hai tum ruko main kuch order kartha hoon tumhare liye… seher just nods her head… seher kuch bol hii nahii paa rahii hothi hai kyunke she can see the care agni has for her evident in his voicve & actions.. she just does not want to say anything & spoil the moment of care…. Seher longs for such small moments, where agni shows that he does care for her, aur seher chahthi thi kii woh us lamhe ko poori tarah se jeeye…. Tho bas issi wajah se seher khamosh hogayi thi…. Then agni orders for some food for seher, he then tells seher to get fresh & the food will arrive soon.. seher does as she is told… she does not want to irritate agni & rebuke a strong respite from him… she just wants to live the moment… seher goes to the washroom… while back in the cabin agni is left wondering that why can't he be rude to seher…. Why can't he ignore her presence… agni was having a feeling that though he knew what seher did with him all those years back was wrong still he is unable to behave badlywith her…. He is unable to throw her thoughts out of his mind… this was confusing him all the more… soon seher comes back to the cabin… agni & seher decide to work for a while until at least the food arrives… they both get to work & work like typical professionals, not letting their personal feelings come in between their process of work… soon after some time the food arrives… agni asks the helper to arrange the food on the table near the sofa… once the helper is done with his work agni asks him to leave & then he tells seher to have her lunch.. seher gets up & she walks to the sofa, she takes the plate in her hand…. Seher starts playing with the food but she does not eat it…. Agni is baat ko dekhtha hii rehtha hai & he is unable to understand why seher is not eating…. Agni then says:- ab tumhe kya hua hai, khaana khaa kyun nahii rahii ho.. don't tell me tum khaana khaane ke liye achche muhurath ka wait karr rahii ho… agar aisi baat hai tho main tumhe batadun kii khaana khaane ke liye muhurath nahii, balki insaan kii bhookh dekhi jaathi hai… tumhe tho bhookh lagi thi na tho khaana khaa lo… khaane ke baad jitna jee chahe apne plate ke saath khel lena…. Khaa lo chalo… seher looks at agni & then says:- woh actually main tumhara wait karr rahii thi…. Maine socha tum bhii mere saath lunch karoge.. issi liye main tumhara intezaar karr rahii hoon… agni:- nahii… mujhe bhookh nahii hai.. tum khaana khaa lo…. Seher:- vaashu maine tumse yeh nahii poocha kiitumhe bhookh lagi hai ya phir nahii… maine bas tumse yeh kaha kii main tumhara wait karr rahii thi… woh kya hai na mujhe akele khaana bilkul achcha nahii lagtha hai… ab tho tumne bhii keh diya kii tumhe bhookh nahii hai, theek hai tho main bhii baad mein khaa loongi.. maine socha that um mere saath lunch karoge tho mujhe thodi company hii mil jaayegi, lekin khair chodo, ab tumhe bhookh nahii lagi hai tho hum karr bhii kya sakthe hai… chalo kaam karthe hai…. [seher is about to keep the plate on the table, when agni gets up from his chair, mumbles nautanki to himself & then walks to seher…. He sits by her side, makes a plate for himself & says..] ab tho main bhii khaa raha hoon na, tumhe bhii tumhari company mil gayi hai, tho chalo tum bhii khaa lo… pehle khaana hatam karthe hai phir baaki ka saara kaam dekhthe hai…. waise seher ek baat batao tumne yeh nautanki karna kahaan se seekha….. seher maintains a straight face & she says:- well maine natak karna jinse seekha hai woh tho is kaam mein ek dum maahir hai… nataak karne mein woh insaan bilkul best hai…. Woh insaan itni achchi acting kartha hai kii log kabhi is baat ka patah hii nahii laga sakthe kii kya woh natak karr raha hai ya sach mein karr raha hai…. I'am seriously telling you he is such a fine nautanki… simply too good… usse tho acting karna chahiye tha lekin woh business ke files, meetings mein hii phaskarr rehh gaya…. Kya karr sakthe hai, apni apni kismat kii baat hai…. Agni while eating says:- tho zara main bhii tho naam sunnu tumhare hisaab se yeh great, great nautanki kaun hai, jisne tumhe natak karna seekhaya hai….. seher looks at agni cheekily & says:- vaashu woh insaan joh mujhse bhi maahir hai naatak karne mein, woh shaqs abhi issi kamre mein baita hai, woh shaqs abhi mere saath lunch karr raha hai…. Woh insaan aur koi nahii tum kudh hii ho Mr. Agni Vashist Garewal…. Tumse bada nautanki tho maine aaj thak nahii dekha… harr baat pe kitna bhaav khaathe ho, kitna zyada akad the ho…. Tumse hii seekha hai maine natak karna… [saying this seher winks at agni… while on the other hand agni's mouth is open & he is staring at seher with surprise….] seher sees agni's mouth open & she says:- vaashu abhi itna bhii chaunko matt…. Aur mooh band kar lo warna agar mooh mein makkhi chali jaayegi tho us baat ke liye bhii tum mujhe hii zimedaar teheraoge….. agni closes his mouth & says:- main naatak nahii kartha…. He makes the face of a small child who is angry… seher giggles seeing agni like that & says:- ab agar tum kehh rahe ho kii tum naatak nahii karthe ho tho shayad nahii karthe ho…. Agni:- bolo na main sach mein naatak nahii kartha… kabhi bhii nahii.. seher:- achcha theek hai baba, tumne kaha aur maine maan liya kii tum naatak nahii karthe… ab hum log khaana khaaye…… agni nods his head & both agni & seher get back to eating their lunch… the lunch continues in silence.. but the silence which was engulfing the two of them was very peaceful… it seemed like both agni & seher were at ease with the silence prevailing between them… after a much long silence agni breaks the quiteness between the two of them…. Agni says:- tho seher tum joh yahaan mere cabin mein so gayi thi, yeh kyun hua.. raat mein theek se soyi nahii thi kya…. Kamre mein koi problem hai….. are you not comfortable back there in the home that you had to sleep here…. Seher looks at agni, she knows that agni is kind off teasing her, so just to tease him back seher says:- you are so very right vaashu… sorry I mean agni vashist garewal… main bhool gayi thi kii tumhe vaashu nahii bulana hai mujhe… sorry haan… hmmm…. Tho ab main kya keh rahii thi, haan main yeh keh rahii thi kii tum bilkul theek samjha tumne… woh kya hai na main tumhare ghar ke us room mein comfortable nahii hoon… main actually kissi ko miss karr rahii thi, aur ussi ke yaad mein saari raat theek se so bhii nahii paayi… woh kya hai na main us kissi special ke saath humare ghar ke baare mein soch rahii thi, tho bas theek se neend hii nahii aaya.. nothing wrong with the place, it is just that I was missing a place which will belong to me, my cocoon of love, my cocoon of comfort…. Bas yahii wajah thi kii main yahaan so gayi thi…. Agni looks at seher & he mumbles to himself in a very low tone:- your cocoon of love…. Jis ghar mein tum reh rahii hoon woh bhii tumhara hii ghar hai… bas farq itna hai kii tum us mein guest kii tarah rehh rahii ho aur main tumse kabhi yeh nahii kehh paaya kii mera haath thaam lo aur meri jeevan sangini bann jao… agar keh patah tho woh ghar humara hotha…. Our cocoon of love….. agni closes his eyes as he mumbles this… on the other hand seher hears what agni is mumbling, she thinks:- I promise vaashu, very soon Utpal Villa will be our cocoon of love.. it will be our home, where there will be a happily ever after for all of us.. I promise you that…. May be I can never return back what we have lost, but i can surely give you & myself a new reason to smile, to love & to live & I know we deserve it.. agni breaks seher's thoughts & says:- jis shaqs ke saath tum apna yeh cocoon of love share karogi na, I'am sure that person must be really very lucky…. Seher:- haan sahii kaha tumne… jis insaan ke saath main apna cocoon of love jeena chahthi hoon, woh insaan bohat hii special hai… aur us insaan se zyada lucky tho main hoon, kyunke mujhe uska pyaar milega…. Seher has a dreamy look on her face… agni looks at her & he says:- so congratulations to you & the special one in your life…. Tho kab bassne ka irada hai apne is cocoon of love mein…. Seher:- hmm…. Abhi is baare mein socha nahii hai… dekhthe hai yeh zindagi ab aur kya kya rang dikhathi hai… let's just wait & watch…… waise vaashu, sorry agni vashist garewal, if you don't mind kya main tumse ek sawaal karr sakthi hoon…. Agni just hummes a reply…. Seher says:- do you have the someone special quotient in your life…. Agni looks at seher with a question mark face & says:- kya matlab…. Seher:- well mere kehne ka matlab hai kii tumhari life mein as on date koi special person hai, jisse dekhkar tumhe aisa lagtha ho kii, us khaas shaqs ke liye kitna bhii karo kum hii hai…. You know what I'am trying to ask you is do you love someone in your life…. You know someone whom you can call the love of your life… tum samaj rahe ho na main tumse kya pooch rahii hoon….. agni:- main samaj raha hoon tum mujhse kya poochne kii koshish karr rahii ho, mujhe samajhane ka kasht matt karo because your questions are very straight… lekin is baat ka jawaab main tumhe dena zaroori nahii samajtha… shayad meri zindagi mein koi hai, you never know.. but I'am really not answerable to you…. Seher:- now Agni Vashist Garewal is being a complete spoil sport… waise bhii agar tum mujhe nahii batana chahthe ho tho matt batao lekin sach kya hai yeh main jaanthi hoon…. Tumhare doston ne mujhse kaha tha kii tum ladkiyon se durr bhaagthe ho… so I know there is no one special in your life… aur mujhe lagtha hai kii ismein chupaane layak tho kuch bhii nahii hai… accept karo na agni vashist garewal kii tumhari life mein koi nahii hai… main issi liye tumse keh rahii thi kii tumhe apni zindagi mein agge badhna chahiye…. Aur haan main tumhara yun ladkiyon se durr bhaag ne kii wajah bhi jaanthi hoon, but believe me when I say it, it is just not worth it… tum ladkiyon se humare rishthe ke failure kii wajah se durr bhaagthe ho na…. tumhe ek barr phir failure nahii dekhna hai aur isliye tum aisa karthe hona…. I completely understand…. Lekin tumhe bhi ek baat samaj ni hogi, humare alag hue itne saal hogaye, I know what happened in the past was not very pleasant, I know they are not very good memories related to our past, but main tumse sirf itna hii kahoongi kii humein hamesha sach ko sweekaar kar agge badhna hoga… I know it is very difficult to come out of a broken relationship, but you have to put in your effort & try to move on…. Dekho mere liye bhi apne past ko accept karna itna aasaan nahii tha, but still I did it… I know our past has left many scars but…. Before seher could continue to say anything further, agni puts his spoon down & he says:- seher please stop talking about our past…. Aur mera aaj ka aur mere guzre hue kal ka koi naata nahii hai… please understand this…. I'am happy the way I'am & it has nothing to do with the past… I have moved on in my life & I'am glad about the way my life has shaped up, just because tumhari tarah main harr jagah yeh dhindora nahii peet the phirtha kii I have moved on, does not mean that I have not moved on… aur haan ek aur baat main ek bohat hii secretive insaan hoon… shayad aaj thak maine apne doston se bhii nahii kaha ho if I have someone special in my life.. you never know may be I have some very special in my life and that is why I run away from all the other girls around me…. You never know, anyway you don't know me so well so stay away from me.. aur tho aur meri baaton mein unka matlab dhoond ne kii koshish bhii matt karna…. Because I'am sure you will just be empty handed & clueless.. so just stay away & don't interfere in my life…. [seher knows pretty well that agni is lying… though agni tells her you don't know me so well, she still can make out the lie he is speaking from his eyes…. But seher did not want to mention it so she just says….] seher:- okkk… point taken…. So you have someone special in your life, good for you.. [seher takes a pause for two seconds & then she says…] waise Mr. Agni Vashist Garewal kya tumne soch liya hai kii tum mujhe date par kahaan leke jaa rahe ho.. as soon as agni hears this he chokes on the water he is drinking.. he coughs & then says:- excuse me… can you please repeat it… seher:- okkk fine.. if you want me to repeat what I said then I will repeat myself…. I asked you whether you have thought about where exactly you are taking me for a date… because you see I really want to go out & have a good time with my business associate.. see a date with a business associate will be so much of fun… I have never gone on a date with a perfect stranger aur tumne kaha kii we are perfect strangers & I'am so excited about my date with my perfect stranger…. This is going to be amazing… simply great… agni:- aur seher tumse yeh kisne keh diya kii main aur tum date par jaa rahe hai…. I think tumhe ghalatfaimi hogayi hai…. I'am not taking you on a date with me… main aur tumhare saath date par jaaun, no, never…. You just forget it…. Seher gives agni a smile & says:- humare date ke bare mein bhool jaaun… aisa tho ho hii nahii saktha.. aur phir agni vashist garewal, agar mujhe theek se yaad hai tho tumne kal mera mobile toda tha aur tum chahthe the kii main tumhe maaf karoon, tumhare sorry ko accept karoon, lekin shayad tum bhool gaye ho kii maine tumse yeh kaha tha kii agar tum meri maafi chahthe ho tho tumhe mujhe apne saath date par le jaana hoga… tho ab bas baat itni si simple hai agar meri maafi chahiye tho mujhe date par le jao… warna tumhari marzi & I would not be responsible for the consequences that will follow…. Agni:- dekho seher yeh baat tho tay hai kii main tumhe koi date, vate par nahii le jaane waala hoon.. I'am not interested…. Aur tum mujhe kin consequences ke bare mein warn karr rahii ho… aur waise bhi tumhe joh karna hai karo, I just don't care.. tum aur main date pe jaayenge is baat ko tho tum bhool hii jao…. I'am not interested….. seher:- hmmm…. Ab main samaj rahii hoon kii tum kyun nahii le jaaoge mujhe date par…. Tum apne someone special se darr rahe ho na…. ab mujhe is baat ka yakeen ho chala hai kii tumhari zindagi mein koi tho hai… issi liye tum mere saath date par nahii jaana chahthe… tumhe yeh darr hai na kii agar tumhari us someone special ne tumhe kissi aur ke saath dekh liya tho woh tumse naraaz ho jaayegi…. Tho aaj mujhe patah chala kii business tycoon Agni Vashist Garewal, apne zindagi ke someone special se darrtha hai…. This is a new discovery…. Good… agni gets irritated & he says:- seher main tumse pehle bhi keh chukka hoon aur phir ek barr keh raha hoon, meri zindagi mein koi hai, ya nahii hai is baat se tumhe koi farq nahii panda chahiye… so you stay out of it…. Aur haan ek baat aur meri zindagi mein koi ho ya phir na ho, lekin main kissi bhi haal mein, kissi bhi keemat par tumhare saath date par nahii jaane waala… main tumhe apne office mein, apne ghar mein badi mushkhil se bardhast karr raha hoon, ab mujhse yeh expect matt karna kii main tumhare saath bahar jaaunga, woh bhi ek date par.. tum itni khaas nahii ho mere liye kii main tumhare saath date par jaaun…. Seher:- agni vashist garewal, baat tho tum sahii keh rahe ho… main tumhari baat se sehmath bhii hoon… but you know what I want to have some fun & that is the reason why I want to go out on a date, though it is with a boring person like you, I'am ready to put up with you… aur haan soch lo agar tum mujhe bahar nahii le jaaoge tho main tumhe maaf nahii karoongi…. Agge tumhari marzi, joh faisla karna hai soch samaj ke karna… agni:- dekho seher maine tumhara mobile todhtha, aur main tumhare liye ek naya mobile lekar aaya tha…. Bas baat wahii khatam ho jaathi hai….. yeh date kii baat maine kabhi nahii kahii…. Aur rahii baat tumhari maafi kii, well tum chaho tho mujhe maaf karo, tum chaho tho mujhe maaf matt karo mujhe is baat se koi farq nahii padtha… tumhe kya lagtha hai kii tum mujhe maaf nahii karoge tho main ek dukhyaari aatma kii tarah baita rahoonga….. naahhh…. I simply don't care… seher giggles looking at agni & very cheekily says:- waise tum dukhyaari aatma ke haalat mein bohat achche lagoge…… [seher continues to giggles & says] theek hai agar tum meri maafi nahii chahthe ho tho no problem… lekin main tumhe maaf karna chahthi hoon aur isliye tumhe mujhe date par le jaana tho hoga hii… so you better think of some place where you are going to take me…. I want to see business tycoon agni vashist garewal's style of a date & it better be good….. warna tumhe meri maafi tho milne se rahii…. agni looks at seher with a weird look & he says:- seher main tumse keh chukka hoon kii main tumhe apne saath date par nahii le jaa raha hoon… aur kitni barr kahoon tumse yeh baat…. seher:- well agni vashist garewal tum chaho tho mujhse yeh baat jitni baar bhii chaho utni barr keh sakthe ho kii tum mujhe apne saath date par nahii le jaaoge lekin yeh baat jaan lo kii jitni barr tum yeh kahoge kii tum mere saath nahii aa rahe ho, utni barr main tumse yehii baat kehthi rahoongi kii tum aur main date par jaa rahe hai aur tum mujhe date par le jaa rahe ho.. agni:- seher maine kaha na kii tum aur main kahiin nahii jaa rahe hai… & that is final….. seher cuts him off & says:- agni vashist garewal maine bhii tumse kaha na you & me are going on a date & this is final…. Agni:- seher stop irritating me….. just stop it…. What will you take to just leave me alone… pakh gaya hoon tumhare saath…. Tabse ek hii baat repeat karthe jaa rahi ho kii tum aur main date parr jaa rahe hai, tum kahiin pagal tho nahii hogayi ho…. Main kehh raha hoon na tum aur main kahiin nahii jaa rahe hai, na kissi date pe, aur na hii kahiin aur… samjhi tum… tumhe main apnea as pass bardhast karr raha hoon yahii bohat badi baat hai… ab please mujhe pareshaan karna band karo aur agar tumhara khaana hogaya ho tho hum kaam kare….. seher just makes a face while agni goes to wash his hands after eating.. even seher soon follows agni to wash her hands, but she has made up in her mind that she will make agni agree to take her on a date…. Soon agni & seher are back in the cabin, agni tries to avoid seher he sits on his chair & starts looking at the files, agni tries to portray himself as busy indirectly indicating to seher that even she has to start working on the files.. but seher was in no mood to work…. She keeps walking around agni's chair, very close to him…. But still she maintains her distance…. Seher ka yun idhar se udhar, udhar se idhar chalna agni ko distract karr raha hotha hai…. Finally after a while when he looses his patience he asks agni:- kya main pooch saktha hoon kii tum kya karne kii koshish karr rahii ho… seher gives agni a cheeky smile & says:- agar tum mujhse poochna chahthe ho kii main kya karne kii koshish karr rahii hoon tho tum mujhse pooch sakthe ho…. You see tumhe mujhse sawaal poochne ke liye meri permission lene kii koi zaroorat nahii hai…. Agni gives her a look which says, ohh ya right… & then he says:- thank you….. ab tum mujhe yeh batao kii tum idhar se udhar udhar se idhar kyun chal rahii ho…. Main nahii jaantha kii aise chalne se tumhe chakkar aa rahe hai ya nahii, lekin main itna zaroor keh saktha hoon kii tumhe dekhkarr mujhe zaroor chakkar aane lage hai… tho please tum yahaan se wahaan, wahaan se yahaan chalna band karogi…. Seher stops she raises her eye-brow looking at agni, in a very naughty tone she says:- hmmm…. Tho iska matlab yeh hua kii tum kaam karne ke bahane se mujhe dekh rahe the…. Aur isliye tumhe chakkar aa rahe hai…. Waise ab tho mujhe yeh bhi lagtha hai kii jab main yahaan so rahii thi na tab bhii tum kaam kea ad mein bas mujhe hii dekh rahe hoge…. Kyun Mr. Agni Vashist Garewal main sahii kehh rahii hoon na… dekho tumhari chori pakdi gayi…. Ab kya kahoge tum…. Agni looks at seher & he fumbles with his replies & then finally manages to say:- nahii main tumhe nahii dekh raha tha… mujhe koi interest nahii hai tumhe dekhne mein, samjhii…. Tumhara yahaan yun chalna mujhe disturb karr raha hai, so tum please ya tho kuch kaam karo ya phir yahaan se jao aur mujhe atleast kaam karne do… seher:- arre tum tho bas rehne hii do… tum kuch bhii samajthe hii nahii ho… yahaan main soch, sochkarr pareshaan ho rahii hoon aur tumhe meri kahaan padi hai… tumhe tho tumhare kaam kii hii padi hai… tho theek hai tum apna kaam continue rakho main apna chalna chaalu rakhthi hoon… tum mujhe baaton mein matt uljao, aur meri taraf dekho bhii matt.. is tarah na tumhe koi disturbance hoga aur na hii mujhe koi disturbance hoga….. [saying this seher starts walking to & fro again…] agni again looks at seher, though he is bothered about seher, he just does not want to show his concern, he just does not want to show he cares so he just decides to ignore her…. Aisa hone ke bawajood bhii agni keeps a eye on seher, just to make sure that she is fine…. Kayi barr he just wants to ask seher what is she thinking that she is walking like this….. but he does not want to ask her, kyunke agni ko aisa lagtha tha kii agar woh seher se uski aise chalne kii wajah par zor dekar poochega tho seher will point out to him asking him why does he care…. & agni surely did not want to face a volleyof questions from seher… so thus in short to avoid seher's questions he was just keeping quiet, but still he just could not stop himself from looking at seher, from the corner of his eyes…. Seher yeh baat bohat achche se jaanthi thi kii agni usse dekh raha hai, she wants agni to ask her why she is walking frantically like this, she wants him to ask becauseshe wants to kick start the topic of their date in that context again.. lekin yahaan tho seher chal, chalkar thak gayi hothi hai par agni tho usse pooch bhii nahii raha hotha hai, kii what is wrong with her…. Seher was just about to stop her to & fro walking when agni finally looses his cool & says:- why on earth are you walking like this…. What is wrong with you…. [agni sees that seher still is continuing to walk, so agni gets up from the chair, he holds seher arm & pulls her to himself & pins her to the wall behind his chair, seher looks at agni with wide eyes, now agni looks at her with a frustrated look & he says…] agni:- now can you please tell me what is wrong… tum yahaan se wahaan, wahaan se yahaan chalkar kya soch rahii ho…. Please mujhe batao kya hua hai.. seher makes a cute face at agni & tells him:- main tumhe bataoongi bhii tho tum meri madat nahii karr paaoge… aur phir socho yeh kitni kharaab baat hogi kii business tycoon agni vashist garewal, ke pass meri baat ka jawaab nahii hoga tho… aur tumhe bhii bura lagega na, isliye main tumhe nahii bataoongi kii meri kya problem hai…. Tum apna kaam karo aur mujhe apni problem ka solution sochne do…. Agni in a very irritated tone says:- will you please shut the he** up & tell me what is your dam* problem, jiski wajah se tum kudh tho pareshaan ho rahii ho, mujhe bhii pareshaan karr rahii ho… batao kya hua… seher:- agni maine tumse kaha na tumhe fikar karne kii koi zaroorat nahii hai, yeh problem meri hai tho us problem ka answer bhi main kudh hii dhoond loongi…. Tum please mujhechodo aur apna kaam kar lo…. I do not want to be a hindrance between you & your work…. So you just carry on….. mujhe mere haal par chod do….. [seher knows it very well that she was irritating agni with her attitude, but it was just that seher was waiting for the right moment to strike the right chord…] here Agni tightens his hold on seher… he has a very stern expression on his face & he says:- seher main tumse aakhri barr pooch raha hoon tum mujhe batani waali ho ya nahii…. Agar nahii batana hai tho matt batao lekin mere saamne rehkarr mujhe pareshaan matt karo…. Aur haan agar nahii batana hai tho matt batao you & your so called problem can just go to he**…. I don't care…. Yeh baat kehkarr agni leaves seher with a jerk & he walks away from seher…. Seher looking at agni walking away from her in a mischievous tone says:- okkk fine Mr. Agni Vashist Garewal, me & my problem will go to he** lekin jahannum jaane ka raasta tho bata kar jao…. Tumhara yun hii chala jaana is not fair na… agni turns around, he looks at seher with a expression of ready to charge her down… seher sees this & very slowly she starts taking small steps further away from agni, agni knows what seher is trying to do, he acts like he is not seeing seher, taking this as a opportunity seher runs past agni, she is close to the sofa, when agni blocks her way…. Seher tries to move away from agni, but this time agni does not give her a chance to escape.. seher keeps trying & agni keeps blocking her way, telling her that he will now tell her the way to he**… seher in her attempts to move away from agni, trips on a mere step, but by the time she can touch the ground agni holds her in his arms…. Agni makes seher stand properly, seher's hands are snaked around agni's neck while agni is holding seher by her waist…. Both agni & seher get lost in each others eyes, forgetting the world around them… with every passing by second agni keeps pulling seher closer & closer to himself… while seher shivers every single time when agni holds her…..

Song In Background:- [For Agni & Seher]

"Namkin si baat hai, har nayi si baat mein....
Teri khusboo chal rahi, hai jo mere saath mein.....
[seher & agni come out of their dream world… seher is very happy but agni is embarrassed…..]
Halka halka rang beetay kal ka...
Gehra gehra kal ho jaayega....
Ho jaayega....
[seher is lost in thoughts of a happy & pleasant tomorrow with agni…]
Aadha ishq, aadha hai, adha ho jaayega...
Kadmon se meelon ka vaada ho jaayega....
Aadha ishq, aadha hai, adha ho jaayega....
Kadmon se meelon ka vaada ho jaayega....
[agni gets seher out of her thoughts & asks her if her leg is fine… seher just nods her head & gives agni a assuring smile…]
Beshumaar raatein, behisab baatein....
Pass aate aate gum ho jaati hai....
Bekhudi mein dhal ke, bekali mein jal ke....
Sau hazaare yaadein nam ho jaati hai...
[agni thinks that why is he not being able to stop himself from getting attached to seher… he is confused in his heart as to why he gets lost in seher everytime he looks at her..]
Pheeka pheeka pal beetay kal ka...
Mehka mehka kal ho jaayega....
Ho jaayega...
[seher thinks about the time jab woh aur agni sahii maayino mein ek hue the, she gets a smile on her face & she thinks that soon everything will be fine..]
Aadha ishq, aadha hai, adha ho jaayega....
Kadmon se meelon ka vaada ho jaayega...
Aadha ishq, aadha hai, adha ho jaayega....
Kadmon se meelon ka vaada ho jaayega...
Aadha ishq ...
[seher thinks about how being in love completes two people…. She thinks that when you have the love from your loved one, life is surely complete in every sense, in every possible way….]
Intezaar sa hai, imtehaan sa hai....
Itmenaan sa hai, kya hai na jaane.....
[seher thinks that it is just a matter of time when the things will become perfect again…. She feels that the present situation is really a test of time for the love she has for agni…. On the other hand agni thinks that though seher is not part of his life anymore, but his quest for her, his wait for her never seems to end…]
Itra rahi hai, itna hui hai....
Inteh hui hai kaise na jaane....
Chalka chalka, pal beetay kal ka...
Tehra tehra, kal ho jaayega....
Ho jaayega....
[seher thinks that there will be a day when everything in her life would be perfect, with her vaashu beside her, holding her hand & supporting her forever….]
Aadha ishq, aadha hai, adha ho jaayega....
Kadmon se meelon ka vaada ho jaayega....
Aadha ishq, aadha hai, adha ho jaayega.....
Kadmon se meelon ka vaada ho jaayega....
Aadha Ishq..."
[both agni & seher look at each other at the same time, when they feel the other is not looking… but this time being caught, both lokh away immediately… seher gets a smile on her face… jab kii agni kudh ko daanttha hai for looking seher's way….]
[Courtesy: Movie: Band Baaja Baraat]

Soon enough agni once again tries to keephimself busy with work, while seher sits on the sofa & she starts going through the reports of the organization…. Things carry on like this till the evening were agni & seher are involved in work & they keep stealing glances at one another when the other is not looking… aise hii dekhthe hii dekhthe, it is evening time, agni & seher decide to go home, as prithvi, damini, milind, prachi are already home & they will be waiting for them to have dinner… once seher & agni are on their way back home…. Seher starts speaking to agni & she says:- woh tum mujhse pooch rahe the na, kii main kyun dopaher mein to & fro chal rahii thi…. Agni just says a hmm.. & seher continues:- woh darasal baat yeh hai kii main yeh soch rahii thi kii main humare date ke liye kya pehenun…. Agni looks at seher with a expression like a dress…… it was about a dress after all…. & he says:- seher tumne lunch ke baad itna naatak kiya woh bhi yeh sochne ke liye kii tum humare date mein kya pehenne waali ho… wowww… this is just great…. & this proves you are a woman…. Kaam ke waqt bhii kapdon kii padi hai…. Aur waise bhii tum ek aise date ke liye kapdon ko lekar pareshaan ho rahii ho joh date hone waali hii nahii hai…. You are just impossible.. tumhe samaj na mere bas mein tho nahii hai…. Seher:- Mr. Agni Vashist Garewal, date par tho hum dono jaa hii rahe hai… tum haan bolo ya phir na we are going…. Tumhe meri maafi nahii chahiye, it's fine with me… lekin ab agar hum dono date par nahii gaye tho I will make sure that tumhare doston ko humare ateet ke bare mein patah chal jaaye… main unhe kudh jaake humare ateet ke bare mein bata doongi… soch lo agar tum chahthe ho kii humare ateet ke panne tumhare doston ke saamne khul jaaye tho phir mujhe date parr matt le jao… now the ball is in your court, Agni Vashist Garewal… agni looks at seher with disbelief, he stops the car by the side of the road & he says:- no way seher… main jaantha hoon tum aise kabhi nahii karogi…. Seher gives agni a smile & says:- well karoongi tho main kuch aisa hii… tho ab tum soch lo tumhe kya karna hai…. Agni:- theek hai seher, agar tum humare ateet ke baare mein mere doston ko batana chahthi ho tho go ahead, bata do unko… I don't mind…. Tum unhe sach batao, aur unhe main samjha doonga…. Tho bas tum jao aur unhe sach bata do…. Ab kya karogi seher…. Tumhara tho harr ek idea mere upar back fire karr raha hai…. Kyun…. Agni gives seher a challenging look which says now do what you can…. Finally seher sighs & says:- ok fine, Mr. Agni Vashist Garewal main tumse aakhri barr keh rahii hoon, soch lo, warna tumhare liye achcha nahii hoga…. dekho agar tum mere saath dinner pe nahii chaloge tho main tumhare doston se yeh keh doongi kii tum gay ho.. main tumhare doston se yeh keh doongi kii tumhein ladkiyon mein nahii balki ladkon mein interest hai….. agni makes a face at seher & says:- aur tumhe lagtha hai kii mere dost tumhari baat ko maanenge…. Aisa kabhi nahii ho saktha seher dear, kyunke milind, prachi, damini, prithvi mere most hai, woh tumhari baat kabhi nahii maanenge….. agni says with a satisfied look on his face, which indicates to seher a question like, ab tum kya karogi…. Seher is not the least perturbed she still maintains a smile on her face & says:- hmm…. Well as a matter of fact tumhare dost meri baat sunenge…. kyunke tumhare gharwaalon ko already shak hogaya hai kii kahiin tum gay tho nahii ho, aur iski wajah yeh hai kii tum, yaani kii business tycoon Agni Vashist Garewal, hamesha ladkiyon se koso durr bhaagthe ho…. Tho bas do din pehle hii tumhare dost mujhse kehh rahe the kii tum ladkiyon se durr bhaagthe rehthe ho, tho un logon ne mujhse yeh kaha hai kii main tumhe test karoon… ab tum mere saath dinner date pe jaane ke liye maana kar doge, tho soch lo tumhare dost tumhara kya hashal karenge… aur main kudh tumhare doston se keh doongi kii I have seen you flirting with guys…. [seher says this with a smirk on her face…. While agni is trying to understand all the information that seher has told him…. Seeing agni quiet, seheragain says] seher:- tho Mr. Agni Vashist Garewal mujhe jaldi batao kii tumne kyaq socha hai… tum mujhe dinner date pe le jaa rahe ho, ya phir tum yeh chahthe ho kii main sabse yeh keh doon kii business tycoon Agni Vashist Garewal, the great Agni Vashist Garewal, gay hai… soch lo….. seher turns her face to the other side while agni keeps looking at her in a state of shock… after a whole of five minutes, agni comes to a conclusion & he says:- ok fine… tumhe kissi se kuch bhii kehne kii zaroorat nahii hai…. Kal raat hum dono dinner 'Date' (he stresses on the word & says) pe jaayenge… sharp 7 ko ready ho jaana, I willpick you up….. seher gives agni a winning smile.. & says:- yessss… I knew it tum kabhi mujhe na nahii kahoge… by hook or by crook mujhe meri baat mannwaani aathi hai…. Then seher in her excitement goes near agni & kisses him on his cheeks…. Agni looks at seher with wide eyes, when seher in a very sweet tone says:- woh kya hai na maine apne kal ka sweetner miss karr diya tha, aur tumhare gaalon par mera lipstick bas ussi sweetner ka ek chota sa kishtt hai…. Agni:- uffff…. You know what seher, I really hate you….. I really, really hate you… na chahthe hue bhi mujhe tumhare saath date pe jaana hoga…. God… I just wish I can scream to the world that I just hate you…. Seher says:- okkk you want to scream to the world you hate me, okk common do it… be my guest.. jao Mt. Everest par chad jao aur wahaan se chillao that you hate me… but I don't care… tum mere saath date par chal rahe ho ab mujhe issi baat kii khushi hai… aur ab tum yun sadak par ruke hue kyun ho, jaldi chalo mujhe ghar jaana hai aur humari kal kii date kii taiyaari karni hai…. Chalo…. Agni shakes his head in a no in frustration & mumbles:- women we can never understand them…. Why are they so complicated…. Seher once again nudges agni saying:- chalo na gaadi start karo…. Chaloooooo….. agni in irriation answers:- haan chalo.. agni starts the car… seher turns her face to the other side & she tells herself:- wowww… a date with my husband… this will be interesting… on the other hand even agni is thinking the same thing… he thinks:- a date with this baatein express, well kal tho mujhe ear plugs lene hii padenge… I'am sure going to need them…. Chalo ab in madam ke saath date par bhii jaake dekh lethe hai… warna agar nahii gaya thon a jaane yeh madam mere bare mein kya baatein phaila dengi… agni beta isse tujhe bachkarr rehna hoga…. Agni then wipes the sweat on his forehead… seher looks at agni from the corner of her eyes & she thinks:- I will make our date a very memorable event for both of us vaashu, I promise you that…. Seher has a sweet smile on her face, while agni keeps driving & also anticipating about his date with seher in his heart…
thus the situation is like both agni & seher both are looking forward & also anticipating about their date… some with happiness, some with anger, some with nervousness…. But the main point was that both agni & seher were looking forward for the date……

So on this note ends the 11th part of 'HumraahI'…….. I hope all of you liked the part… please do tell me if you found the part draggy… I will try torectify my mistakes in the next parts… please do write in your comments… even criticism is welcome…. & members who are unable to comment just like the post…. Thank you very much..

Preview For The Next Part:- The Most Awaited Date…. Some New Entries.. Jealousy…. A Picnic Planned…. & Loads Of Agni, Seher Moments On The Cards……

I'am really sorry for the delay once again…Please do leave your comments & most likely you will get the next part of the ff in this week itself…. I have written about 18,003 words, in the part, I hope it was worth reading…. Keeping my fingers crossed…… do comment soon…. Waiting for your comments eagerly….. Thank you once again..

Take Care…
Byeee…..

Love
Surya….😊
Edited by Surya.Ravi - 14 years ago
Tv-Fanatic thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail
Posted: 14 years ago
Phewww Finalllyyy apne UD kiyaa..!! 😊 and yu knw wat dii.. iss part ko padhne ke liye mereko peechle part ka thoda ja go thru karna padha😆😆😆

wooohhhh this part toh was full of agni n seher😳😳 juss loved it too the coree..!! the way yu expressed agni's feelings n state he's going thru was just mindblowing..!!👏👏👏
and i always wonder abt ur song selection.!! dey are like "bang on " just too perefct for the situation n feels like dey are written for ur ff only.!!😳😉

Just superb part dii..!! i knw apko likhne mein jitna time lga usse kum time hume padhne mein lagta hai..!!😆😆

and yeaaah thankoooooooooo 🤗🤗 for the special PM.!!😉 yu gave me abt dis UD hehe n i won't say update soon as i knw wen u Ud nxt part so i wil see pleej time pe UD dena.!!😆

Veryy awesumly full of emotions wala part.!!👏👏
Edited by Inu-13 - 14 years ago

Related Topics

Fan Fictions thumbnail

Posted by: sakshi5050 · 1 years ago

Ranveer's unsaid feelings #14 updated Episode 1021 page no 31

Welcome to the new thread of Ranveer's unsaid feelings. Keep enjoying the world of Ishveer. Their unconditional Love, their friendship, their...

Expand ▼
Fan Fictions thumbnail

Posted by: sakshi5050 · 3 years ago

Welcome you all to the new thread of RANVEER'S UNSAID FEELINGS #13 Keep Travelling in the world of ISHVEER LOVE Warm Regards sakshi ❤️ Index...

Expand ▼
Fan Fictions thumbnail

Posted by: desidillse · 11 months ago

[NOCOPY] P U R I T Y O F S O U L S T E A S E R "bungle ke piche teri beri ke niche aha re aha....kanta laga!!!" The song was too loud in the...

Expand ▼
Fan Fictions thumbnail

Posted by: SillySoni · 2 years ago

Sarang | AarYa FF - Chapter 28 page 24 - 27/1/25

Hi guys, thanks for loving Dolent!! Here is my new story. As the title suggests this ff is about love and affection 💖 Soon I'll post the first...

Expand ▼
Fan Fictions thumbnail

Posted by: Saumya96 · 2 years ago

Hello everyone ☺️ This is Saumya ❤️ I have completed the five long threads of my FF "Hum Sath Sath Hain.!" A modern time story Following are the...

Expand ▼
Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".