Yeh Rishta Kya Kehlata Hai - 07 Sep 2025 EDT
Bigg Boss 19: Daily Discussion Thread-8 Sept 2025| Teams DT note P.58
NASEEB vs BADNASEEB 7. 6
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai Sept 8, 2025 Episode Discussion Thread
BHAGODI MAIRA 8.9
Anupamaa 08 Sept 2025 Written Update & Daily Discussions Thread
Kareena Kapoor in London/ Birmingham for Malabar Gold and Diamonds
BALH Naya Season EDT Week #13: Sept 8 - Sept 12
The ba****ds of bollywood trailer
I'm trying to update since last 30 mins but there seems to be some problem with site....I'm nt being able to update....
still trying
sorry jeni & fariaa.....i'm still trying....is it with only my pc that the page is taking too much time to load???
Okay i'll try to post in parts....Please dont reserve till I finish reserving 3 columns to break in parts.....
Please do look at the important note I've written in ending.😊
RECAP:
Gunjan's death.Everyone mourning.Samrat hospitalized.Nupur-Inspector's conversation.They are shocked to know gunjan was not raped before murder.
PART 19-A:
Nupur & Inspector sat in silence for few minutes to analyse the situation.
In: ek baat samajh mein aati hai ki uss killer ne 15 minutes mein gunjan ko kaise maara hoga…..usne uska rape karne mein ya usse drugs dene mein time waste nahi kiya….usko thoda torture karke maar diya…
Nu: lekin usne laash washroom mein hi kyu rakhi??usse pataa tha uske paas waqt kum hai….isliye usne gunjan ka rape hi nahi kiya….fir itna risk kyu uthaaya….
In: us se bhi badi baat agar usko torture kiya gaya tha toh kissi ko khabar kaise nahi milli….I mean gunjan ko agar drugs nahi diye gaye the toh iska matla woh zaroor chilaayee hogi toh fir logon ne uski awaaz kaise nahi suni???
Nu: haan woh dinner time tha….sab log udhar hi the….kissi na kissi ne toh awaaz suni hoti…
In: iss killer ne humme aur confuse kar diya hai….kya gunjan ko maarne ke peeche uska koi motive ho sakta hai?
Nu: haan tha na….woh mujhse badla lena chahta tha….
In: nahi mera matlab hai koi aur baat…jaise ki gunjan ko uske baare mein kuch pataa chal gaya ho ya fir kuch aur….
Nu: mujhe nahi lagta gunjan ko uske baare mein kuch pata tha warna woh mujhe zaroor bataati….woh hamesha ki tarah normal hi thi….
In: uske mobile mein bhi kissi private number se koi sms ya call nahi tha….par mujhe lag raha hai ki usne gunjan ka murder kissi aur motive se kiya hai…agar woh sirf tumse badla lena chahta toh I'm sure woh gunjan ka rape zaroor karta aur uska mms banaakar tumhe bhejta jisse dekhkar tum aur dukhi ho…Par usne bahut jaldbaazi ki hai…yaad karke bataao jab tum dubaara washroom jaane ke baad apne doston ke paas gayi toh kya baaki sab wahin par the?
Nupur tried to remember.
Nu: haan…shayad….nahi mayank wahaan par nahi tha….
Nupur realized what she said.She had given the inspector another reason to doubt mayank.He was giving her 'I-told-you-its-mayank' look while she was giving him 'don't-start-again' look.
In: mujhe batao mayank ke shoes ka number kya hai?
Nu: shayad 7….kyu?
In: kyunki humme kuch shoes ke print mille hai jo shayad uss killer ke hai….aur uss print ke hisaab se woh killer bhi saat(7) number ke shoes pehanta hai….kya ab bhi aapko mayank par bharosa hai?
Nu: mujhe mayank par pura bharosa hai…main apne pyaar ko pehchaan-ne mein galat nahi ho sakti….saat number ke shoes kitne saare log pehante hai….
In: aapko yeh nahi lagta mayank ka iss case ke saath kuch connection hai…jahaan shaq hota hai wahaan mayank hota hai….Yeh kuch zyaada hi co-incidences nahi ho rahe?
Nu: aapko jo samajhna hai samjho….mayank killer nahi ho sakta….woh gunjan ko apni behan maanta tha….koi bhai apne behan ka khoon nahi kar sakta….
In: shayad issi liye usne gunjan ka rape nahi kiya….seedha maar diya….yeh bhi toh possibility ho sakti hai….
This was the last straw.Nupur got up in frustration.Her chair fell down with loud bang.She was boiling with anger.
Nu(shouting): TUMHE JO KARNA HAI AUR JO SAMAJHNA HAI WOH SAMJHO…..YAHAAN KI POLICE KITNI EFFICIENT HAI YEH MAIN DEKH CHUKI HOON…..BAS EK BAKRA CHAHIYE JISKE SEER PER AAPLOG SAARA ILZAAM DAAL SAKE…..IN STUPID CHOTE CO-INCIDENCES KI WAJAH SE AAP LOG MAYANK KO ARREST NAHI KAR SAKTE……AGAR ISSI TARAH AAP LOG MAYANK KE PEECHE PADHE RAHE TOH DO DIN BAAD WOH KILLER MUJHE MAARKAR YAHAAN SE CHALAA JAAYEGA….FIR APNI STUPID THEORIES RAKHNA APNE PAAS….AB MAIN JAANTI HU KI MUJHE APNI JAAN KHUD HI BACHAANI HOGI…ISLIYE GOODBYE.
Saying this she stormed away in anger.The inspector was shocked with her sudden outburst.Then he told himself'love is blind,deaf & dumb…..She'll only believe when mayank will kill her too.'
PLEASE SCROLL DOWN FOR OTHER PART...
NIGHT TIME:
Everyone were standing surrounding samrat's bed.He had gotten up in evening.Since then he hadn't talked to anyone.He was in his own world.He had finally accepted gunjan was no more.He didn't feel like talking about it to anyone.They had left him alone in evening but now they were determined to make samrat talk.He cant remain silent for lifetime.
Ma: samrat hum jaante hai jo hua galat hua…..gunjan ke jaane ka ghum hum sab ko hai….par kissi ke jaane se life nahi rukti samrat….
RV: haan samrat tumhe aage badhna hoga…..iss tarah se tum sabse dur akele nahi reh sakte…
Nu: tumhe apne liye nahi toh gunjan ke liye yeh karna hoga…gunjan tumhe kahin se dekh rahi hogi…usse tumhe dekhkar bahut bura lag raha hoga….tumhe iss sadme se baahar aana hoga samrat….iss tarah se chup rehkar tum usse bhi rula rahe ho…
Dia: tumhe ab tumhaare aur gunjan dono ke sapne poore karne hai….
So: tumhe unn sapno ke liye iss bed se uthna hoga…..jab liza ki death hui thi tum sab ne milkar mujhe uss ghum se baahar nikaala tha…aaj main tumhe wahi baatein yaad karaana chahti hu samrat…jiss tarah se main aage badhi ab tumhaari baari hai…
Samrat started crying hysterically…..He quickly hugged mayank who was closest to him.Everyone started crying with him.
Sa: tum log theek keh rahe ho….mujhe gunjan ke liye jeena hoga….gunjan mujhe kabhi aise nahi dekh sakti….agar gunjan ke saath nahi jee paaya toh kya hua uske adhure sapno ke saath toh jee sakta hu….Uske sapno ko main zaroor pura karooga….par ab main modeling nahi karooga….iss modeling ne mujhse gunjan ko cheen liya…sirf do din baaki hai….inn do dino mein uss killer ko zaroor pakdooga jisne mujhse meri gunjan ko cheen liya…main usse choduga nahi…
Nu: hum sab tumhaare saath hai samrat….Gunjan ko maarne ki sazaa hum sab milkar usse denge…
Everyone joined their hands in union.
Dia: par hum uss tak pahunchege kaise?
Nu: ab hum uss tak nahi woh khud humaare paas aayega….
RV: kya matlab?
Nu: Parso aakhri din hai…parso raat ko fashion show ke baad woh mujhe maar daalega…..iske liye usse khud chalkar mere paas aana hoga….aur uss hi samay hum log usse pakad lenge….
Dia: par woh nahi aaya toh?
Nu: Woh zaroor aayega…woh mujhe maarne ke liye India se yahaan tak aaya hai….usne meri maut ke liye din bhi pehle se soch kar rakha hai….woh mujhe itni aasaani se nahi chodega….woh mera khoon karne zaroor mujhe pakad lega….par uss din tum sab ko sambhaal kar har pal mera peecha karte rehna hoga taaki agar woh mujhpar hamla kare toh tum log peeche se usko pakad lo….woh jo kehta hai woh karta hai….aur mujhe pura yakeen hai woh mujhe paane ki koshish zaroor karega…usne iss din ka wait ek mahine se kiya hai…woh mujhe chodega nahi….bas ab humme yeh show hone ka intzaar karna hai…yeh show ke saath-saath iss killer ka bhi The End hoga….
RV: Excellent!!!!!humme police ko bhi iss plan ke baare mein bataana chahiye….
Nu: nahi…mujhe yahaan ki police par bilkul bharosa nahi hai….woh ek baar already sab mess kar chuki hai….unke naak ke neeche se woh killer chalaa gaya aur woh kuch nahi kar paaye….iss baar sirf hum milkar uss killer ko pakdenge….
So: par humme koi proof dena hoga police ko…I mean woh pakde jaane par zaroor kahega ki woh killer nahi hai aur police without proof usse killer nahi maanegi…
Nu: Shooting…..uss killer ko mms videos banaane ka bahut shauk hai….iss baar bhi ek video banega jo uske liye faasi ka fandaa banega…kya kissi ke paas camera hai?
Dia: haan mere paas hai….
Nu: toh tum log woh camera apne paas rakhna…..jab woh mujhpar attack kare toh usse shoot kar lena…hum usse sab sach ugalwaayege aur usse aur uss video ko police ke hawaale kar denge…
Ma(speaking for first time): kya tum jaanti ho nupur iss mein tumhaari jaan ko kitna khatra hai?
Nu: jaanti hu mayank but its time to act….gunjan ke saath jo hua uske baad main aur bhi determined hu…..Main jaan na chahti hu usne gunjan ko kyu maara…
Sa: apne shauk ke liye…..jiss wajah se usne aur bhi masoom ladkiyon ko maara…
Nu: nahi yeh sach nahi hai…usne gunjan ka rape nahi kiya tha…
Everyone were shocked to hear this.She explained them about her conversation with inspector.
RV: isska matlab uska koi motive tha gunjan ko maarne ke peeche???
Dia: aur ussne gunjan ko maara…uske kapde nikaal diye aur fir laash washroom rakh di jisse humme lage ki gunjan ka rape hua hai…
Ma: par usne gunjan ki laash washroom mein hi kyu rakhi?
Sa: aur hum mein se kissi ne gunjan ke chillane ki awaaz kyu nahi suni???wahaan par kitne saare log the…
Nu: inhi sab sawaal ke jawaab mujhe bhi chahiye….aur yeh sirf uss killer ke paas hai…
Dia: chahe jo bhi ho jaaye hum sab milkar usse zaroor pakdege.
Ma: main bhi saath hu…I'm proud of you nupur….
Sa: we all are proud of you….
PLEASE SCROLL DOWN FOR REMAINING PART29th NIGHT:
11:55 AM:
Nupur was trying to get some sleep.She was anxious & nervous not knowing what the following day would bring for her.She had just received a sms from private number saying that its her last night so she gets a beautiful sleep.She was afraid not because of the killer but because she had been getting a nagging thought that something was going to go wrong.She did her prayers & asked god to give her strength.Yet somewhere her 6th sense was telling her the plan is not going to work.She had always afraid such intuitions.Generally her such intuitions would come true.Since childhood she was afraid of such intuitions & now her intuition told her a dreadful danger will be coming.She tried the entire day to calm herself down.She tried to justify & pacify herself.Yet she couldn't make the feeling go.Someone knocked at nupur's door.Nupur opened the door slightly.She found mayank standing outside.She opened the door fully.
Nu: by god mayank tumne toh mujhe darra hi diya tha….tum itni raat ko yahaan kya kar rahe ho?
Ma: tumhe kuch kehna chahta hu…
Nu: kya?
Ma: main nahi jaanta kal kya hone wala hai…humaara plan kaam karega ki nahi…par main tumse kehna chahta hu main tumse bahut pyaar karta hu….agar tumhe kuch ho gaya toh main khud ko sambhaal nahi paoga…main samrat jitna strong nahi hu….tumhaare bina main nahi jee paoga…
Nu: tum chinta mat karo….mujhe kuch…
Ma(cutting in between): baj gaye baarah…chalo time paas khatam hua….
Nupur confused.He was tensed a minute back & now he is smiling.
Ma: woh…actually main baarah bajne ka wait kar raha tha(showing her the watch)…woh main paanch minute jaldi aa gaya toh kuch toh time paas karna tha na isilye woh ghise peete puraane dialogues bol raha tha…
Nu(folding her hand in anger): aur tum baarah bajne ka wait kyu kar rahe the?
Ma: apni aankhen bandh karo….
Nu: dekho mayank main iss waqt bilkul mazaak ke mood mein nahi hu…
Ma(placing his finger on nupur's): sssssshhh….
He took out a ring & sat on his knees.
Ma: aaj humaari 10th anniversary hai…aaj se theek dus saal pehle humaari pehli mulaaqat hui thi….tab hum ajnabee the…ajnabee se dost aur dost se humsafar kab ban gaye pataa hi nahi chalaa….har saal hum iss din ko akele manaate hai….uss din tumne mujhe shaadi ke liye propose kiya tha par maine theek se jawaab nahi diya tha…main chahta tha jab main tumhe propose karu koi special din ho par tumne khud hi mujhe propose kar diya…mere proposal ka wait hi nahi kiya….aaj humaari 10th anniversary par main tumse poochna chahta hu kya tum aaj bhi mujhse shaadi karna chahti ho?
Nupur had tears in her eyes.Her dream of mayank once proposing her for marriage had finally come true.
Nu: tum jaante ho mayank mera jawaab kya hai….fir itna formally kyu propose kar rahe ho?
She kissed him on cheek.
Nu: happy 10th anniversary…
Ma(kissing her cheek): not just 10th anniversary…even engagement…
He slid the ring in her finger.She looked at it excitedly.
Nu: thanksss mayank I love you…
Ma: I love you too…
He kissed her on lips.Not too passionate.Both just trying to express their happiness.
Ma: I'm sorry nupur….
Nu: kis baat ke liye?
Ma: woh….actually main tumhe sabke saamne propose karna chahta tha…main humaari 10th anniversary sabke saath manaana chahta tha….main jaanta hu tum chahti thi ki main tumhe sabke saamne propose karu par jo gunjan ke saath hua uske baad humaari anniversary manaane ko dil nahi karta….kitna galat lagega agar hum aaj ke din ka jashna manaaye aur wahaan humaare dost udaas aur tension main hai….unhe kitna bura lagega…
Someone opened the door saying "bilkul theek kahaa tumne…."
Okay done….I wanted to write more but I'm tired….I tried to make it long but now my fingers are paining….I know I had told I'll write bigger….So instead I had decided to update laaga chunari mein daag but it took me 1 hr to update this ff only....with this speed of my stupid net i dont think i can update today.....hopefully tomorrow it'll be better...😊
IMPORTANT NOTE:
Okay all my friends have been crying after reading the previous parts….No one wanted gunjan dead…Now I seriously want to know how many of you want gunjan back???I know it'll be little ekta style but I write this ff to entertain everyone.This ff doesn't go at the cost of my friends tears.The main reason to show gunjan's death was to make nupur stronger when she punishes the killer.But if you all want then I don't mind bringing gunjan back…..I'll take the final decision of gunjan's comeback after counting what the majority favours…This even includes my silent readers….So my silent readers can atleast reply to this….I'll be waiting to know everyones response.
COVER BY AISHWARYA (Mystic_Muse) SUMMARY Suzanne Miller , an Indian Origin Canadian Citizen adopted by the Miller family, who goes on a quest to...
35