SU: Bhai.. Maa ne kaha hai to jaana to padega hi.. tumhe pta hai naa maa ko choti choti baat pr kitna gussa aata hai.. aur tum jaan bhujh kar maa ko gussa dilane ki taiyari kar rhe ho..
S : Suhani.. to maa ko mujh se bina puche meri shadi fix karne ki kya zarurat thi.. aur upper se uss ladki ko lene main hi railway station jau...
Su : Bhai tumhari shadi bachpan me hi fix ho gyi thi.. Ab tumhare kehne pr ki bina dekhe tum kisi se bhi shadi nhi kar sakte isliye maa ne uss ladki ko bulaya hai.. aur maa bahar gyi hai to usse lene tumhe hi jaana hoga..
S : No way suhani.. main to chahta hu wo ladki aise hi wapas chali jaye.. Mujhe shadi me koi interst nhi hai
SU : haan aur wo waps jaa kar wahaan se maa ko call karke bataye k usse koi lene nhi aaya tha.. tumhe pta hai naa maa ka gussa satve aasman pr hoga.. aur bhai agar tum usse lekar aaoge.. to usse apne bare me bta dena.. K actual me tum kaise ho
S : matlab??????
Su : matlab sach batana thoda sa tod marode kar.. tum drink karte ho..
S : Pr main nhi karta
SU : pr usse kya pta tum kahoge to wo manegi naa...
S : Great idea.... aaj se main drink bhi karta hu.. smoke bhi.. aur ladkiyo k piche bhi jaata hu.. right..
SU : right bhai.. to ab jao
S : ok main jaata hu.. pr usse pehchanunga kaise
Su : wo mumbai ki nhi hai.. aaram se pechan loge... ab jao..pta chale train time se hai aur wo bechari ro rhi ho
S : correct main jaata hu.....
(samrat station pahuchta hai.. train already station pr aa chuki hoti hai, Samrat jaldi se train ki taraf badhta hai.. jaldi k chakker me wo ek ladki wo ek ladki se takrata hai.. jis se uss ladki ka saaman gir jaata hai aur uss ladki k sath ek old lady bhi hai)
S (bina dekhe) : I am sorry main jaldi me hu..(aur samrat aage badhne lagta hai)
G : Koi baat nhi.. koi jaan bhuj kar kisi se nhi takrata..
(Ladki apna saaman uthne lagti hai. aur uske sath jo old lady hai usse wo ek jagah baith deti hai. samrat itni mithi awaz sun kar palat kar dekhta hai.. Ladki ne white colour ka pajami suit pehan rakha hai, uske chehre pr bilkul gussa nhi hai, wo apna saaman uthate huye bhi muskura rhi hai, aur uske baal khule huye hai, jo hawa k sath udd kar baar baar ladki k chehre pr aa rhe hai, Jo uski khubsurti ko bada rhe hai. aur ladki unhe baar baar apne kaan k piche kar rhi hai, pr hawa ki wajah se wo baar baar aage aa rhe hai, pr fir bhi ladki k chehre pr pareshani ki ek lakeer bhi nhi hai, wo ussi muskurahat k sath unhe piche kar rhi hai. aur samrat ne uss ladki ko dekha aur dekhta hi reh gya)
S to Himself : wow beautiful... kitni sweet smile hai iski..
(then samrat realise uss ladki ka samaan uski wajah se gira hai.. wo sochta hai issi bahane uss ladki ki mithi awaz sun ne ka dusra mauka milega wo uski help karne lagta hai saaman uthane me)
S to G : I am really sorry... Maine ye jaan bujh kar nhi kiya
G : Koi baat nhi... Koi kisi ko jaan bujh kar chot nhi pahuchata.. wo to by chance hi kuch galat hota hai...
S : Aapne bilkul sahi kaha... aap agar kahe to main aapki aur koi help kar du
G : Ab to aapne help kar hi di hai, aur sara saaman bhi ikatha ho gya hai, Thanx..
S : welcome.. waise sach me aapko ab meri help ki zarurat nhi hai...
G : Actual me thodi si help chahiye thi.. Pr syad aap jaldi me hai.. tabhi to aap takraye
S : Main jaldi me tha.. pr ab bilkul nhi hu.. Aap batye main aapki kya help kar sakta hu
G : actual me mere sath aunty bhi hai.. aur samaan thoda zyada hai.. kya aap bahar tak thoda sa samaan le chal sakte hai.. bas thoda saa.. kyunki itna sara samaan main akeli nhi utha paa rhi hu.. isliye gir gya
S : haan kyun nhi...
(samrat sara samaan utha leta hai, ladki k kafi mana karne pr bhi wo sara samaan khud hi utha leta hai.. samrat, ladki aur wo old lady station se bahar aate hai.. to ldki taxi se uss old lady ko bhej deti hai, Jise dekh kar samrat surprise hota hai)
S: wo aunty ji aapke sath nhi thi
G : haan.. bas hum safar me sath the.. actual me unke bete ka call aaya k wo kisi wajah se unhe lene station nhi aa payenge.. to unhone mujh se phone pr kaha k main unhe unke ghar tak ki taxi karwa du.. bas unka aur mera itna hi sath tha..
S (thinking) : kitni achchi ladki hai.. jo dusro ki help karti hai, aur kitni sunder bhi hai...
G : kya hua aap kuch soch rhe hai.. waise syad aapka mera sath bhi itna hi tha.. syad aap kisi ko lene aaye hai, aur mujhe bhi chalna chahiye....
(ladki taxi lekar chali jaati hai.. samrat usse jaate huye dekhta hai.. jaise hi taxi run karti hai samrat ko yaad aata hai k kam se kam naam to puch le.. pr taki tezi se aage badh jati hai.. aur samrat k face pr smile aati hai.. aur wo ghar wapas chala jaata hai)
Ghar pr
Su : Bhai tum akele???????
S : Haan kisi aur ko bhi aana tha kya..... & he smiles
SU : tum station kyun gye the š” š”
S : Main uss ladki se milne gye the & he lost in his dream about that station girl
Su : ladki se milne?????? tum ladki se milne nhi gye the ya usse lene gye the bhul gye maa ne tumhari shadi fix ki hai uss ladki se...
S : kash meri shadi ussi ladki se ho...kitni sunder ladki thi.. aur kitni sweet muskan thi uski.. aur kitni helpful thi wo...
Su : sunder, sweet smile...helpful?????? bhai kaun si ladki ki baat kar rhe ho.. aur jise tum lene gye the wo kahaan hai
S : mujhe nhi pta wo kahaan hai.. mujhe to bas uss ladki se milna tha isliye gya tha...
Su : kaun si ladki????? aur bhai tujhe ho kya gya hai.....
S : Mujhe pyar ho gya hai uss ladki se............
SU : pyar ?????? agar maa ko pta chal gya to.. aur uss ladki ka naam kya hai jis se tum pyar karte ho
S : pta nhi.... maine pucha bhi nhi.. Mujhe usse dekhte hi pyar ho gya...
Su : wow tumhe uska naam nhi pta aur tumhe pyar ho gya.. kahaan mili aisi ladki
(samrat station ka sara incident batata hai.. & uske baad wo apne room me jaa kar guitar bajane lagta hai.. wo bahut hi romantic dhun play karta hai.. jise sun kar suhani uske room me aati hai.. jise dekh kar samrat gaana gaana start kar deta hai)
Tera khayal mere dil se ja nahi sakta
Tamam umar mein tujhko Bhula nahi sakta,
bhula nahi sakta Aaja
(suhani samrat k room k door pr khadi hai aur samrat usse dekh kar gaana gaana start karta hai.. Jaise wo suhani k piche koi khada hai usse yeh song dedicate kar rha hai.. suhani piche palat kar dekhti hai to wahaan koi nhi hota....)
Ek baar tujhko dekha Phir dekhu yeh dil kahe
ek baar tujhko dekha Phir dekhu yeh dil kahe
Ab mein jaha bhi jau teri justaju rahe
Deewana kiya hain teri yaadon ne
Tu aake zara dekh le, aaja
Deewana (deewana) Kiya hain teri yaadon ne (yaadon ne)
Tu aake zara dekh le (dekh le) Aaja (aaja)
(jab samrat yeh lines gaata hai to suhani ko pta chal jaata hai k ye gaana uska bhai wo station wali ladki k liye gaa rha.. Jis se milne k baad uska bhai sach me diwana ho gya hai.. aur wo samrat k pass aa kar baith jati hai.. taki wo uska pura gaana sun sake..aur wo dhere se samrat k forehead pr marti hai.. aur ishare me usse diwana kehti hai aur samrat wo station wala sara incident yaad kar rha hai.. )
Mera tasavur meri deewangi tu hi to hain
Kash tujhe khabar hoti
Yeh zindagi tujh bin har lamha Mujhe tadpaati hain
Mein kya karu ? Zindagi se bhaag kar kaha jau ?
Tera pata bhi to nahi
(samrat uss ladki k bare me sochte huye yeh lines gaata hai.. aur suhani ko ishare se batata hai k kash uss ladki ko sach me ye sab pta hota...)
Ashaon ka banke darpan,Tune badla mera jeevan
Anjaane mein jod di maine, Tujhse apne dil ki dhadkan
Aai hain yaad phir tu Phir hosh kho gaya
Phir dil machal machal ke Betaab ho gaya
Hooo deewana kiya hain teri yaadon ne
Tu aake zara dekh le, aaja
Deewana (deewana) Kiya hain teri yaadon ne (yaadon ne)
Tu aake zara dekh le (dekh le) Aaja (aaja)
(samrat ussi ladki k bare me sochta hai k wo kitni achchi thi k ek unknown old lady k liye uss ladki ne khud bhi help kari aur jab usse laga wo akele nhi kar payegi to usne samrat se bhi help mangi.. samrat ye bhi feel karta hai k anjane me hi sahi usse uss ladki se pyar ho gya hai.. aur wo usse baar baar dekhna chahta hai.. wo yahi suhani ko bta rha hai.. k uss ladki se samrat pr aisa jadu kiya hai.. aur suhani smile karti hai aur apne bhai k hairs ko hath se bigad deti hai.. then samrat fata fat se mirror k aage jaa kar apne hairs set karta hai aur comb ko mike samjh kar hi shuru ho jata hai.. jise dekh kar suhani muskura deti hai)
Ab tak maine khwab jo dekhe
Un khwabon ki chahat hain tu
Lagta hain kyo aaisa mujhko
Dil ki pehli hasrat hain tu
Yeh meri beqaraari yeh meri bekhudi
Has has ke roj mujhse karti hain dillagi
Hooo deewana kiya hain teri yaadon ne
Tu aake zara dekh le, aaja
Ek baar tujhko dekha Phir dekhu yeh dil kahe
Ab mein jaha bhi jau teri justaju rahe
Deewana (deewana) Kiya hain teri yaadon ne (yaadon ne)
Tu aake zara dekh le (dekh le) Aaja (aaja)
Deewana (deewana) Kiya hain teri yaadon ne (yaadon ne)
Tu aake zara dekh le (dekh le) Aaja (aaja)
(samrat fir se uss station wali ladki k bare me sochne lagt hai & wo apne bed pr gir jaata hai, usse gira dekh suhani darr jaati hai.. wo uske face pr pani ki kuch drops dalti hai.. jise to samrat apni ek ankh khol kar dekhta hai.. aur ishare me puchta hai kya hua.. suhani ishare me usse mana kar deti hai aur usse deewana bata deti hai.. to samrat suhani ko hi pakad kar dance start kar deta hai.. to suhani kuch step karne k baad samrat k face pr googly woogly karti hai aur jaane lagti hai.. to samrat suhani ko train ka engine bana kar aur khud dibba ban kar ghar me gumne lagta hai tabhi door bell bajti hai jise samrat nhi sunta pr suhani sunti hai.. to wo samrat ko aise hi uske room me chod kar aa jati hai)
(suhani door open karti hai to uski mom aur ek ladki bahar khade hote hai.. thodi derr me samrat realise k uski mom aa gyi hai.. wo hall me aata hai to wo uss station wali ladki ko dekh kar itna khus hota hai k usse khud bhi nhi pta.. jaise usse sab kuch mil gya.. aur wo fir se uss ladki ko dekhta hai aur dekhte hi reh jata hai yeh baat suhani notice karti hai aur wo samrat k pass aa kar)
su :(whishpering) : yeh gunjan hai.. jise lene tum station gye the
S : yeh wahi ladki hai.. station wali.........
Su : kya????? sach me
S : haan.....
SM : tum dono kya baatein kar rhe ho.. aur samrat tumne kya socha hai
S (jo bas gunjan ko hi dekhe jaa rha tha aur bahut khus hai) : to kab karni hai shadi.................
(samrat ki mom aur suhani hairaan hai)
Pls guys do comment................. It's my first Sajan FF
278