Part # 1 Aaj ka din'.kayi mayno me har din ki tarah hai'.bilkul aam'.par phir bhi aaj ka din mughalistan ke liye bahot khass hai''kyunki aaj mughalistan ke bhavishya ki nayi neev rakhi jani hai'..kyunki aaj mughalistan ko ek naya raja milne wala hai'..
MAHARAJ RAJVEER CHAUHAN!!!
Lekin Kuwar Rajveer ki umr ki wajah se janta ko inki kabiliyat pe shak hai'..Ya phir yun kahein ke....kuch logo ko inki kabiliyat pe shak hai '' kuch log hai jo kisi kimat pe yeh nahi chahte ki kuwar rajveer ke haath mein mughalistan ki bagdor jaye.. agar aisa hua to woh log apne naapak irado main kabhi kamiyab nahi hoo payenge.. lagaan ke naam par garib janta ko lutne wale yeh log aaj kuwar Rajveer ki kabiliyat pe ungli utha rahe hai..
Par saath hi kuch logo ko apne kunwar pe bharosa hai ki wo ek kaabil raja banenge....
kehte hai na "FANOOS BANKAR JISKI HIFAZAT HAWA KARE WO SHAMMA KYA BUJHE JISE ROSHAN KHUDA KARE.."
Aaj Kuwar Rajveer har uthi hui ungli ko jhuka kar sinhasan ki taraf badhenge!!!
Dusri taraf'..
Mughalistan k ek ghar me'.ek budha insaan kisiko kaafi waqt se bula raha hai'. "Megha'..Sumedha!! Jaldi karo tum dono'.humein der ho jayegi"
Tabhi andar se do awazein ati hai'.ek saath'. "Ayi Baba"
To wo ladkiya thi Megha aur Sumedha'.aur unhe unke Baba bula rahe hai'.kaafi waqt se'.kuch der baad dono ek saath bahar nikalte hai'
Baba: Aa gaye tum dono'.ab jaldi chalo'.Rajyabhishekh k liye der ho rahi hai'
Megha: Baba'.aap to aise keh rahe ho'jaise waha sab hamare pohuchne ka intezaar kar rahe hai'
Sumedha: Aur jaise hamare bina abhishekh shuru nahi hoga'
Baba: Aisa bhale hi nahi hai'.lekin hum iss rajya k praja hai'.aur hamara naya raja sinhasan me baithne wale hai'.ye hamare liye ek khaas din hai'.waise bhi'..kuwar Rajveer bahut achhe aur nek dil insaan hai'.hum waha unhike liye jayenge'.unka saath dene'.warna shayad kuch log'.unhe sinhasan par baithne se rok sakte hai'.
Sumedha: Koi unhe kyun rokega Baba?
Baba: Kyunki wo bahut achhe hai'aur sab itne achhe nahi hote'.isiliye suna hai'.sinhasan par baithne se pehle'unhe apne aap ko sabit karne k liye'kisi mamle ka faisla karna hoga.'.khair'tum dono abhi ye sab baatein nahi samjhoge'. Par shayad kabhi samajh jao'.
Megha: Baba'.abhi humein der nahi ho rahi hai kya?
Baba: Arre haa'chalo'kuwar ka rajyabhishekh shuru hota hi hoga'
Megha n Sumedha: Chaliye Baba'.hum bhi dekhte hai ye kuwar Rajveer Chauhan aisa kya faisla karte hai'. (aur dono hasne lagi'.shayad abhi bhi unhe ehsaas nahi tha ki ye sab kuch kitni ahem baatein hai')
Yaha'.Raj Mahal me'.
Kuwar Rajveer apne kaksh mein chale gaye..
Rajveer: (aaine k saamne khade ho kar) kya hum sahi mayne main iss sinhasan ke layak hai.. kya hum iss sinhasan aur janta ke saath insaaf kar payenge..
Tabhi Rajmata waha ati hain'.
Rajmata: kuwar hum jante hai aap abb bhi inhi sawalo se ghire hue hai magar aapko aapke har sawal ka jawab khud aapke hi ek faisle se milega..'..woh faisla jo rajyabhishek ke baad aapko lena hai..
Rajveer: Hum bhi ussi ke bare me soch rahe the Maa'.kya aapko lagta hai hum sabki umeedo pe khare utar payenge? Kya hum sahi faisla le payenge?
Rajmata: Jitna hum apne bete ko aur iss rajya k Kuwar ko jante hai'..usse hum itna to keh hi sakte hai ki wo kabhi kuch ghalat nahi karenge'..hamein yakeen hai Kuwar'..aap jo bhi karenge wo sabke heet me hi hoga'..par philhal aap ye sab mat sochiye aur hamare saath chaliye.. praja apne hone wale raja ka besabri se intezaar kar rahi hai'..
Aur ab Kuwar Rajveer bahar ate hai'.aur dekhte hai ki pura ka pura Mughlistan unke ane ka intezaar kar raha tha'.aur uske ate hi'.unke chehre ki shikand ek muskaan ka roop le leti hai'.Rajveer unn chehro me apne liye bharosa aur vishwas saaf saaf dekh raha tha'.aur ab Rajveer ko yakeen tha'.wo sabki umeedon pe khara utar payega'..kyunki uske paas sirf kabiliyat hi nahi'.duyaein bhi thi!!
Aur phir'.Kuwar Rajveer ko mamla sunaya jata hai'.wo kuch aisa tha ki'.ek aurat k pati dusri shaadi karna chahte the'..jo ki rajya me kaafi aam baat thi'.lekin uss aurat ko ye swikar nahi tha''.aur isiliye wo apni faryad lekar Rajmahal chali ayi'.
Dono paksho ki baat sunne k baad'.sab hi log Rajveer k faisle ka intezaar kar rahe the'.sabko kahin na kahin yehi laga tha'.ki faisla pati k haq me hi jayega'.kyunki do chaar shaadiyan karna uss samay koi badi baat nahi thi'.yaha tak ki patniya bhi kabhi aisi shikayat lekar Rajmahal tak nahi pahuchi'.sab ko lag raha tha'.wo aurat fizul me hi waqt zaya kar rahi thi'..sabka kehna tha'..Kuwar kabhi bhi sadiyon se chalte aye iss reeti k khilaaf koi faisla nahi lenge'..lekin'..
Rajveer: Humne dono paksho ki baton pe gaur kiya'.aur yakeen maniye'.ye faisla lena hamare liye bahut asan tha'.(sab ko lag raha tha'.ye mamla sach me khaas nahi thi'.faisla to har koi pehle se hi janta tha'..ye shayad Rajveer k liye asan pareeksha ho gayi thi)'..Aur hamare kehna ye hai'.ki ye admi'.dusri shaadi bejhijhak kar sakta hai'.. magar yeh admi dusri shadi sirf ek hi shart pe kar sakta hai aur woh yeh hai ki use khud apni patni ki bhi dusri shadi karani hogi.. saath hi woh apni iss biwi se jo beti hai uski zimmedari khud uthayega.. yahi hamara akhri faisla hai..
Kuwar k iss baat se achanak ek sannata chha jata hai'.sabhi log bahut chakit ho jate hai'.kisine ye nahi socha tha'ki Kuwar Rajveer aisa kuch kahenge'.aurphir ye faisla unke liye kaafi ahem tha'.wo aaj rajsinhasan pe baithne wale hai'.issi faisle se unhe janta ka dil jeetna tha'lekin ab unhone jo kaha'.uske baad kya hoga?? Kya Kuwar ko iss baat ki fikr nahi hai ki unke iss faisle se'bahut se log unse naraz ho sakte hai'.unki praja ka ek ansh unhi k khilaaf jaa sakti hai??? Kya iss baat ka unhe ilm nahi hai?? Sabke dil aur dimag me yehi ek sawal tha'..sab hi soch me the'..ki tabhi achanak'.bheed me se taaliyon ki gunj sunayi deti hai'.aur dheere dheere taaliyon ki gargarahat badhti hi jaati hai'.saari aurtein Kuwar k iss faisle se khush thi''lekin saare mard shayad thode khafa the'.wo Kuwar k faisle ki burayi kar rahe the'.aur shayad usse ulanghan karne ki bhi soch rahe the'.ki tabhi phir se Rajveer ki awaz gunj uthi'.aur mahol apne aap shant ho gaya'.shayad uski awaz me ye bulandi hamesha se hi thi'.ki jab bhi wo bolta tha'.tab sabhi aise hi khamosh ho jate the'.
Rajveer: Hamein pata hai'hamare iss faisle se aap sab shayad khush nahi hai'.lekin'yehi faisla hai'.aur ye atal hai'.to ab hum'.ye poochhna chahte hai'kya aap abhi bhi dusri shaadi karna chahenge?? (Rajveer ne uss aadmi se poochha) agar haan'.to hamein aapki biwi k liye bhi ek naya var dhundna hoga'.bas isiliye chahta hu'.ki aap apna faisla yehi suna de'.taaki hum apni talaash shuru kar sake'.
Rajveer ki baatein sunn kar uss aadmi ko unn shabdo ki sacchayi aur kathorta ka bhi ehsaas ho gaya tha'.usse pata chal gaya tha'.Rajveer ne jo bhi kaha'.uska sach hona koi namumkin baat nahi hai'.aur kuch der baad'.usne dheemi awaz me'.dusri shaadi karne se inkaar kiya'.isse puri praja hairaan reh gayi'.aur Rajveer k chehre pe ek muskaan khil uthi'.
Rajveer: Ye to hui aapki baat'.lekin hum abhi bhi'aapki patni se poochhna chahte hai'..kya aap iss aadmi k saath apna sansar aage badhane ko tayyar hai'.ye janne k bawjud ki'.inhone ek baar aapko dhoka diya??
Rajveer k iss sawal se sab phir se hairaan reh gaye'..yaha tak ki wo aurat bhi hairaan thi'.lekin phir usne apne pati ko maaf kar diya'.aur kaha ki wo ye sab kuch bhul ke'.phir se apni sukhi zindagi jeena chahti hai'.
Rajveer: Hamein pata tha'.aapka yehi faisla hoga'(aur ab wo aadmi se kehta hai) Aaj jo bhi hua'.hamein yakeen hai'.aap use kabhi nahi bhulenge lekin saath hi'.hum chahte hai'.ki aap ye bhi jaan lijiye'aaj aapki patni ne aapko maaf kiya hai'.ek aisi baat k liye jiske liye aap kabhi unhe maaf nahi karte'.ye baat hamare saath saath'.aap bhi jante hai'.hai na? (uss aadmi ka jhuka hua sir uski sehmati bayan kar raha tha) Ab jab'.ye mamla mit chukka hai'..to hamein lagta hai'.Rajyabhishekh ki tayyari shuru ho jani chahiye'.hum apne kaksh me hai'.jaise hi hamare aneka waqt ho'.hamein bula liya jaye'.
Aur itna keh kar Rajveer apne kaksh me chale gaye'.lekin jate jate apni awaz ki bulandi aur kabiliyat ke zor se'.ye bhi keh gaye'.ki wo iss rajya ka ek saccha raja banega'.
Yaha praja kahin na kahin'.iss soch me thi ki Rajveer k sinhasan pe baithna sahi hoga ya nahi''unko Rajveer ka vichaar samajh me aya hi nahi tha'.lekin wo jante the'.ab yehi unke Raja banenge'.aur dil hi dil me unki bas yehi dua thi ki kabhi wo Rajveer k iss faisle ka tatparya samajh sake'.
Lekin yaha ek insaan zarur tha jinhone iss faisle ka tatparya samajh liya tha'.aur isiliye bheed me jaha har chehre pe ek shikand thi'wahi iss ek chehre pe muskaan thi'.wo the Megha aur Sumedha k baba!!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Edited by sumaiya wahid - 15 years ago
41