Yeh Rishta Kya Kehlata Hai - 30 July 2025 EDT
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai - 31st July 2025 EDT
TRIALS OF BOND 30.7
MERI MUMMA GEETU 31.7
Kyunki Saas bhi kabhi Bahu thi 2 : EDT # 1
Param Sundari song Pardesiya out now
Anupamaa 30 July 2025 Written Update & Daily Discussions Thread
🤱Surrogacy: Womb For Hire ! Is It A Blessing Or A Curse For Women?👶
Emotional support 😢 animal 😍😍🥰🥰🥰 silly boy ☺️☺️☺️
Paravarish
After so long we see Katrina with Vicky
S2 not making sense ?
Sitaare Zameen Par Straight to YouTube
Chhaava continues to remain the biggest HIT of 2025
🏏India tour of England 2025: 5th Test: Eng vs India- Oval, London🏏
Anupamaa 31 July 2025 Written Update & Daily Discussions Thread
War 2 Run Time 3h 5m
National Awards For Vikrant Massey Rani Mukerji
Who did it better?
21 years of Mujhse Shaadi Karogi
Originally posted by: bakula_gandhi
Wow
A fantastic begining...Raj is leaving for Delhi...i hope that naina gets her first posting with raj.Eager to know what was the gift that raj has given to naina.and thanks for the clarifications given..Please continue soon
here's d 2nd part-
final pass out parade chal rahi hai..har koi bas is moment ko apne andar samett lena chahta hai..cadets jo sapna lekar iss academy mein aaye the vo sapna iss parade ke khatam hote hi poora hone waala tha....sab khush the...cadets,unke pariwaar waale,kma ki faculty...lekin in sab ke beech ek insaan jo sab se zyada khush tha vo tha cadets ke rajveer sir...jahan raj ko khushi thi apni favourite cadet ke liye vahin uski khushi baaki 5 cadets ke liye bhi kuch kam nhn thi...vo sab uske liye special the...raj ko dekhkar koi bhi keh sakta tha vo us pal kitna fakar mehsoos kar raha tha...
sab ke parents ke doosre se mile..kma ke teachers bhi aaj sab se aise mil rahe the jaise ki sab ek pariwaar ho..par ussi beech.....
"congratulations sir..mam"
naina ke parents peeche mud ke dekhte hain...to wahan raj khada hai
raj-aaj naina iss academy se pass out ho rahi hai,usne jo socha vo karke dikhaya..iss liye main yahan aapko congratulate karne aaya hun
naina's dad(in a cold manner)-thankyou captain....
raj-mujhe poora yakeen hai ki na hi naina aaj best cadet banegi par aage chal ke ek best soldier bhi banegi
naina's dad-thankyou captain..humein bhi iss baat ka yakeen hai..par naina to apni kaamyaabi ka saara shrey aapko deti hai..
raj- no sir...naina ne jo kiya vo khud kiya hai iss mein kisi ka koi haath nhn hai...mera bhi nhn..
naina's dad-humne bhi yahi lagta hai...par naina ko kaun samjhaaye(unhone raj ko sunaate hue kaha)
raj ko samjh nhn aaya iss baat par vo kya kahe...vo jaanta hai ki naina ke parents usse nafrat nhn karte...agar aisa hota to vo abhi raj se baat nhn kar rahe hote par vo ye bhi jaanta hai ki vo usse maaf bhi nhn kar paaye hain....
naina's dad-ab humein chalna chahiye captain...humaari train ka waqt ho gaya hai...
raj-sir aap shaam ki ceremony ke nhn rukenge????
best cadet declare karne ke saath hi ek ball dance party hai...all parents are invited too..
naina's dad-nahin captain hamari train ki booking hai...meera(naina's mom) ko ghutno mein dard rehta hai...doctor ne zyada exersion karne se mana kiya hai...
isspar raj ne kuch nhn kaha...vo jaanta hai ki naina ke parents zyada der academy mein rukna nhn chahte...kyunki aaj bhi unhein yahan naveen ki yaadein satati hain aur shayad kahin na kahin vo raj se bhi door rehna chahte hain...
raj-ok then have a safe journey sir..mam
isspar naina ke parents sirf apna sir hilaya aur vahan se chale gaye.....
inn sab se door kisi ne raj aur naina ke parents ki saari baatein sunni...vo koi aur nhn naina hi thi...jo samjh gai thi ki naina ke parents raj ko maaf nhn kar paayen hain.....
naina{in her mind}-maine to socha tha ki aaj main captain rajveer se jab ma baba ko milwaayungi to unke beech ke differences aaj iss academy mein mere aakri din ke saath hi khatam ho jaayenge...par lagta hai ma-baba captain rajveer ko maaf karna hi nhn chahte hain..vo sab samjhte hain ki rajveer sir ne kinn haalaton mein naveen bhaiya ko maara..par fir bhi unka iss tarah ka bartaaw sir ke saath???i just hope vo unhein maaf karden...
uske baad naina ne parents ko gate pe see off kiya..aur baaki cadets ke saath milkar shaam ki ball ki tyaari mein jutt gai...sab teachers bhi iss taiyaari mein unka haath batta rahe the...iss beech har koi ek doosre ka saath mazaak karke poorani yaadon ka taaza kar raha tha...
naina-aalekh tu ye kya kar raha hai....
naina ne dekha ki aalekh ne saare balloons ko apne shirt ke buttons ke sath baandh rakhe hain....
aalekh-kya kia apun ne?????
naina-ye balloons tujhe lagane ko diye the na ki balloon seller bann ke ghoomne ko kaha tha...
aalekh-arre isko lagaayega kaise...agar cellotape ko pakdo to gubaara udd jaata hai...aur iss saale gubaare ko pakdo to tape haath se choot jaata hai...
peeche se oye kaidii...itne saare gubaare khud par chipkaaye ghoom raha hai kahin inke saath tu bhi udd mat jaana...army officer bana hain...airforce pilot nhn...
iss par har kisi ka dhayaan aalekh par jaata hai aur sab usse dekh kar hasne lagte hain...
aur jab aalekh sab ko apne typical style mein ghoorta hai to sab vaapis apne kaam mein lag jaate hain
doosri taraf ali aur pooja-
pooja ne saare hall ko circus banaane ki thaan li thi....vo alag alag rangon ki frills ke saath hall ko sajaane mein jutti thi
ali-arre pooja ye kya kar rahi hain aap????
pooja-kyun ali...tujhe day blindness ho gai hai kya???koi bacchha bhi dekhke bata dega ki main kar rahi hun....ruk main dikhati hun...oye yudiye ithe aa..
yudi-yess pooja...
pooja-zara bata to main kya kar rahi hun
yudi ne jab peeche dekha to usse laga ki vo koi kids annual function ke stage ko dekh raha hai
pooja-bata to ali ko...mujhse pooch raha hai ki main kya kar rahi hun...arre saaf to dikh raha hai na ki main hall decorate kar rahi hun
yudi ko pata tha ki pooja se panga lena theek nhn to ussne bas apni jaan bachane ke baare mein socha..
yudi-ofcourse....ali kya problem hai tumhein
ali-yudi bhai dekhiye na pooja ne atleast 9 rangon ki frills lagaii hain..to hum keh rahe the ki....
yudi-ki bahut acchi lag rahi hain...hain na..??????
ali ne bhut hi confused ho ke yudi ko dekha...
yudi-alright bro i have to go mujhe kitchen mein kaam hai...soori ji ne help ke liye bulaya tha
isse pehle ki ali kuch bol pata yudi wahan se rafoo chakar ho gaya..
ali-pooja humein lagta hai ki aapko do rangon ke combination mein frills lagaani chahiye..
pooja-oye ali dekh tu iss waqt mujhe paka mat...main pehle hi academy se hamara connection tootne se dukhi hun ab tu apni loud ringtone mat baja....silent mode pe chala ja....mujhe pata hai mujhe kya karna hai...jab bhi meri family mein meri kissi cousion ka bday hota tha na to sab mujhe hi bulaate the decoration ke liye....
ye sunn ko ali ki aanken badi ho gai...ki pooja ko bday party aur ball ke beech koi farak nazar nhn aata...par uski himmat nhn hui ki vo pooja se panga le....ussne chup chaap wahan se chale jaane mein samjhdaari samjhi..
ye sab bhi koi dekh ke hass raha tha...bas vahi ek insaan tha jo pooja ko apne ishaare pe nachaa sakta tha...jissse dekhti hi pooja aaj bhi hypnotized condition mein chali jaati hai...vo aur kaun ho sakta tha siwaaye captain rajveer ke
raj-cadet ghai
pooja-yes shahhrr......rajveer sir
raj-aapne bhut acchi decoration ki hai
pooja{bas raj ko dekhte hue}-jiiiiiiii sir..i mean thankyou sir
raj-but mujhe dukh ho raha hai...main aapse ye kehna nhn chahta hun par fir bhi,aapka dil toote ye main nhn chahta par fir bhi
pooja-kahiye na sir
raj-vo baat ye hai ki mujhe to personally aapka decoration bhut pasand aaya..but ye sab ne decide kiya tha ki dress code jis colour ka hoga decoration bhi ussi se matching hogi...par mujhe lagta hai ki kisi bhut hi irresponsible insaan ne aapko inform nhn kiya aur aapki itni acchi decoration ab change karni padegi{raj ne apni hassi ko dabaate hue aur kuch zyadaa hi sweet tone mein ye sab ek saans mein bol dia}
pooja-aapko to acchi lagi na sir???{still lost in raj}
raj-ofcourse..but yahan mere kehne se kya hone waala hai??? aap ab ek kaam kijiye..jaayiye aur aaraam kijiye...aap bhut der se kaam kar rahi hain aap....main dekh hi raha tha...ye sab main change kar deta hun
pooja-no sir...main hoon na..mere hote hue aap kyun change kareinge?? main kardungi sab...
raj-but...
pooja-no sir aap jaayiye....main abhi thodi der mein hi sab theek kar dungi..
raj-pooja..meri baat to....
pooja-sir please aaj mera iss academy mein aakhri din hai na...to aaj to aapko meri baat maanni hi hogi
raj-ahh ab iss pe main kya kahun...theek hai agar aap itna force kar rahi hain to....ahh byeeee
pooja-c u sir
raj thodi si door aakar{khud se}-ahh mission accomplished...good work captain rajveer...
fir achanak se raj ko kuch yaad aaya aur uss ke expressions badal gaye...."mujhe naina ne uss gift ke baare mein kuch kaha hi nhn...aisa kaise???? kahin vo usse dekhkar udaas to nhn ho gai...i guess mujhe vo gift usse aaj dena hi nhn chahiye tha...mujhe kal tak rukna chahiye tha..."ye sochte sochte raj naina ko dhoondte 2 usske girls hostel ki taraf jaane laga....
ahhhhhh...{to be continued}
Originally posted by: sumaiya wahid
Gr8 part. I luved it when u portrayed Raj's state of mind seeing his fav cadets becuming soldiers. Sach me usse zyada khush iss baat pe koi nahi ho sakta. After all ye sab ussi ki to den hai.
The convo btwn Raj n Naina's parents was very sad. Raj was being so sweet to then but wo to usse samajh ke bhi samjhna nahi chahte. I hope this coldness gets away sumday.
Aalekh's scene was really funny. And so was Pooja's scene wid Ali n Yudi. Bechara Yudi na khud bol paya na hi Ali ko bolne diya. But then achha hi hua. Coz phir pyare Rajveer Sir ne apni pyaari andaz me Pooja ko samjhaya aur wo jhat se maan gayi. I just luved this scene of Raj n Pooja. This again proves dat Raj is the sweetest n cutest n smartest person of the whoooooooole world.......hehe.
The precap is nice n now I'm very much eager to knw wat gift Raj has given to Naina.
Pls continue soon n Thnx 4 the PM.
Originally posted by: rajeev fann
thanks for d comment...dnt worry naina's parents will be fine soon...i m sooo happy that u liked raj and pooja's scene....and d gift part....now i m getting worried about it...everyone is waiting for that only....i dont know whether u people will like it or not😭
Originally posted by: srojaleen
sab se pahle....mera sawal....😊 "NAAAAAAAAAAAAAAAM...??????" 😕 😕 😕 😕 😕 😕
Now abt d ud......😊too gud se kaam chalega ya awesome bhi kahna padega...!!! 👏 👏 👏 👏 👏 👏vaise kis gadhe ne yeh kaha hai ki tumhara yeh pahla fic hai...!!! i m 100% sure ki koi bhi insaan apni pahli fic me itni achhe uds nahin de payega...😃!!! emotions ko tumne kitne achhe se describe kiya hai...ki mai bata nahin sakti...😃!!! just awesome yaar...👏 👏 👏rajveer k emotions apne fav cadets ko soldiers bante hue dekh ne k baad...just perfect...!!!👏 👏 👏i hope ki ek din sayad naina k parents raj ko samajh payenge... aur use kabul bhi kar lenge...!!!😊 😊 😊 😊 😊 😊alekh aur pooja ek sikke k do pahlu...😆!!! matlab...koi bhi un k kamon ko nahin tok sakta ...😆!!! jo voh kar rahe hain ya kah rahe hain vohi sahi hai...😆!!! sirf ek insaan hain....un k fav capt rajveer...voh hi unhe apni baton se badal sakte hain aur koi nahin...!!!😆 😆 😆 😆 😆 😆rajveer ne bhi apna kaam baht hi intelligent tarike se pooja se karwa liya...!!! 😛 😛 😛 😛 😛 😛by d way...raj ne aisi kya gift di hai...jise dekh kar naina emotional ho gayi...😭 !!! lagta hai next ud thoda senti hona wala hai...!!!😭par tumne kaha hai na ki yeh ek short fic hai...toh mai ummed karti hun ki baht jald RN ek ho jayenge...aur jo kuch bhi humain LRL me dekhne ko nahin mila tha...voh hum sab ko is fic me dekhne ko milega...i mean padhne ko milega...!!! 😛 😛 😛 😛 😛 😛cont soon...😊arre mai phir bhul gayi....😛!!! tum se ek sawal puchna tha...😛"NAAAAAAAAAAAAAAAAAM....????"😛 😛 😛 😛 😛 😛
Siggi by Sandhya (@sevenstreaks) (P.S this was my pitching picture to the production houses - which Sandy had done for me a couple of years...
193