DIL DOORMAT 27.9
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai Sept 27, 2025 || EDT
🏏T20 Asia Cup 2025: Match 19 - Final: India vs Pakistan @Dubai🏏
BOOTH ROAMING 28.9
Bigg Boss 19 - Daily Discussion Topic - 28th Sep 2025 - WKV
Is noina mandira post plastic surgery?
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai Sept 28, 2025 EDT
CID episode 81 - 27th September
70th Filmfare Awards Nominations
Revisiting 90's nostalgia
Ranbir Kapoor Birthday Celebration Thread 🎂🎂
Diana praises Deepika Padukone’s work ethic
SAMAR ki hogi re entry !!
Mihir ka Noina pe ato..oot vishwas
🎶🎵Tribute to Lata Mangeshkar on Her 96th Birth Anniversary🎵🎶
Ahaan’s next with Sanjay Bhansali? 🔥
Geetanjali to die?
Its OK dear take your own time.. to do the updated...
Any way one thing is for sure.. as long we will wait as sweet we will get....
Xtra - 5
Dono ke bich kuch din pehle hui galatfaimi ko lekar dono thode pareshan the, lekin ek dusre se bahat pyaar karte hai yeah ehsash un dono ko achhi tarah se ho chuka tha, dono ne hi ek dusre ko aur achhi tarah se samajh ne ki kaushis jari rakhhi thi, khas kar Raj.
Sanibar Raj dopehar ko aise hi jaldi kam se aa jata hai aur us din to aur pehle aa gaya tha, khane ke kuch der baad hi usne Kranti ko taiar hone ke liye kaha. Kranti ne pucha itni jaldi, Raj ne kaha chalo jate jate mera kuch kam hai.
Raj ne bua ji ke sath ja kar uske pichle din Kranti ke gharwale ke liye taufa kharid ke laya hai aur Kranti ke liye bhi ek bahat pyari dress le kar aya hai. Par Kranti ko sharam si ayi isi liye usne wohwali kapde aaj nehi pehne, usne socha ke kuch din baad jab sablog sath me puja me jayenge tab woh yeah kapde pehen legi. Raj expect kar raha the ke Kranti uske laya hue naye kapde pehnegi. Par ….. Raj ko laga ke Kranti sayad usdin ko le kar aaj bhi upset hai…woh to koi dusra hi dress pehni hai. Raj ne aaj shirt-pant ke sath chappal pehna hai…yeah dekh Kranti ko bahat ajeeb laga lekin usne kuch pucha nehi.
Dono gari me nikal pare….. jate jate……
(Raj Kranti ke mood ka andaza lagana chahta hai)
R: Buaji ne tumhe kal koi kapda diya tha, aaj pehnne ke liye?
K: Hya
R: Tumhe woh pasand nehi Aya?
K: Nehi to bahat achha hai,
R: Asal me woh kapda Buaji ni pasand ki thi tumhare liye. Unhone bare chao se liye the, Unhe laga ke aaj tum use pehnogi matlab ke aaj agar tum woh kapda pehenti to bahat achha lagta, par…
K: Kise?
R: Mujh…matlab?
K: Main puch rahi thi kise achha lagta….
R: Buaji ko, Sab ko….Mujhe bhi… (Kranti Raj ke taraf dekh ki mushkaraya)
K: Nehi maine socha ke agle hafte jab Manohar chacha ke ghar jayenge puja ke liye tab pehen lungi…
R: Fir thik hai…mujhe laga ke tum abhi bhi gussa ho
K: Kyun main keya hamesha bina wajah gussa hoti hu….
R: (sirf mushkuraya)
K: Shukriya
R: Thik hai par kis liye
K: Woh kapda bahat achha tha…to jo pasand karke laya uska shukriya to karna chahiye na…….
R: (Sharmake) Oh…Main nehi woh to Bua ji layi thi….
K: Accha (joking tone), hya… ab meri kismet itni achhi thodi na hai ke mere pati pyaar se mere liye koi taufa pasand karke laye
R: (Turant palat gaya) Nehi nehi woh to maine hi Buaji ko kaha matlab ke maine hi pasand ki hai tumhare liye…(dono hash pare)
K: To pehle kaha kyun nehi
R: Maine socha agar tumhe bura lage aur tum fir mujhse ruth jao
K: Iska matlab hai ke main hamesha waise hi gussa hoti hu….
R: (fir se sirf mushkuraya)
K: Keya hua aise kyun mushkura rahe ho…bolo na
R: (Kuch bol ke marna hai keya) keya bolu…
K: keya matlab …maine pucha keya main hamesha gussa karti hu..
R: Sach bolu
K: (Raj ke taraf jhute gusse se dekh ke) Hya.
R: Dekho fir baad me na kehna ke….
K: (Bich me hi rokh di) Nehi kuch nehi kahungi…tum bolo to sahi
R: Keya pata kabhi kabhi kuch aur mehsush karta to sayad…
K: Keeyaaa….
R: Ruko ruko let me explain…. Mera matlab hai ke maine dekha hai tum mere.. ..hamare parivar ko kitna pyaar karti ho…sab pe jaan chhirakti ho…par …
(Raj kuch der chup rehta hai)
K: Par keya?
R: Par mera nasib bhi to tumhari tarha hi hai…..
K: Keya kehna chahte ho tum.
R: Jaise abhi abhi tumne kaha ….mera bhi itna achha nasib kaha ke meri patni mujhse thodi si pyaar kare…
K: (Sharma gayi aur khus bhi hui)
R: (Mauke ka pura faida uthana chahta hai) Kuch kehna nehi hai?
Kranti kuch na kehke bahar ki taraf dekhti hai….Man me sochti hai….Raj aajkal mauka mila nehi ke suru ho jata hai….lekin sach baat to yeah hai ke use sunna bhi achha lagta hai….
R: Kranti…
K: Hu….
R: Ek baat pata hai tumko?
K: Keya?
R: Is mamle me tumhara nasib mujh se achhi hai… atleast tumhara pati to pyaar se bahat kuch dena chahta hai par tum ho ke kuch bhi lene se darti ho…
R: Darti ho na…(Raj ne apna hat halke se Kranti ke hat ke upar rakhha)
K: (Chauk ke dhire se apna hat hata leti hai) Main…main kisi se nehi darti
R: Kisise nehi?
K: Kisise nehi
R: Koi bhi baat se nehi?
K: Hya…nehi darti….
R: Thik hai fir…abhi thodi der me dekh lete hai…
K: (Keya jane keya karne wala hai) hya hya thik hai
Kranti man me soch rahi thi keya jane abhi thodi der me Raj keya karne wala hoga…jo bhi hai woh piche nehi hategi…..Raj aapne aapko samajhta keya hai….par usko Raj ke ankho me nehi dekhni hai….aajkal who Raj ke ankho ke gehrai me khone lagti hai….aur sabse buri baat Raj yeah baat samajhta hai aur pura faida uthata hai..
K: Arrey arrey, yeah bari sadak ke taraf kyun ja raho ho?
R: Isi raste jayenge humlog.
K: Kyun…isme to bahat samay lag jayega… aur fir yeah rasta khali bhi to rehta hai….
R: Tumhe dar lag raha hai keya (smiling mischieviously)
Kranti ne jabab me na me sar hilaya….kuch der jane ke baad Raj ne gari side karke rokh li aur Kranti ke taraf dekhne laga…Kranti ko kuch samajh nehi aa raha tha…woh bhi Raj ko dekh rahi thi…Raj Kranti ke taraf barne laga…..ekdam uske pas ja ke baith gaya aur sidhi uski ankho me dekh raha tha…..Kranti ekdam darwaje ke taraf simat gayi thi…Raj aur agge bar ke Kranti ke kan me dhire se
R: Tumko dar to nehi lag raha hoga….kyun?
K: (Raj ko itne pas dekh ghabrai hui thi) Nehi …nehi to…
Raj Kranti ke ankho me dekhte hue daya hat agge barha kar Kranti ke taraf ka darwaja khol deta hai…Aur Kranti ko utarne ka ishara karta hai.
K: Keya hua
R: Abtak to kuch nehi par aab hoga (smiling mischieviously)…get down please..
Kranti utar gayi par use dur dur tak kuch samajh nehi aa rahi thi….Raj ne darwaja bandh ki aur Kranti ko driver ke seat ki taraf ishara kiya…..
K: Rajveer keya main jan sakti hu ke yeah sab keya ho raha hai (thodi si gussa hui)
R: Maine tumhe kaha tha na ke tumhe gari chalana sikha dunga….to aaj se hi suruwat karte hai…..
K: Yun achanak tumhe keya sujhi…aur mujhe gari chalani sikhne ki itni keya jarurat aan pari.
R: Arreey tum sirf ghar me to baith ne se rahi…to tum jo kam karti ho na usme to bahat bhaga douri karni parti hai…to gari chalana ayega to tumhe aur tumhare sathiyo ki madad ho jayegi.
K: Tumhe achanak humlogo ki itni fikar kyun hone lagi…aur tumhe chinta karne ki koi jarurat nehi…
R: Yeah thik nehi hai Kranti….tumhe pata hai ke main tumlogo ke nazariyeko samajh ne ki puri koishis kar raha hu…arrey bhai abhi to tum keh rahi thi tumhare pati tumhara thik se kheyal nehi rakhte…aur ab main jab kuch karne ki soch raha hu tab mera sath nehi de rahi ho
K: Hya thik hai na baad me sikh lungi…aur waise bhi gari kaha hamare kam me itni ati hai
R: Yehi to problem hai hamesha josh me kam karna chahti ho…gari kam me nehi ati to dhire dhire kam pe lagana hoga…isme koi burai to nehi…..aur gari chalana ana to achhi baat hai…kabhi man lo ghar me bhi jarurat par sakti hai….aur tumhe yeah pata to hai ..usdin doctor bulane ke liye tumhe kitni pareshani uthani pari thi
Kranti keya bole use samajh nehi aa rahi thi… woh wohi khadi thi.. .usne karim chacha se gari chalani sikhni suru to ki thi jab unlogo ko English taur tarike sikhayi ja rahi thi ta ke jab jab jarurat pare woh log bare bare partyio me ghus kar information juta sake…par tabhi use gari chalani achhi nehi lagi thi…lekin woh English ballroom dance bahat achhe se sikh gayi thi ….woh aur Nirmal didi ghar me practice kiya karte the aur jyadatar din Lovely ki sikayat karne se use daat parti thi…..use purane din yaad aa rahe the….
Raj ne horn bajaya….Kranti mathe pe sikanj liye gusse se use dekh rahi thi…aur soch rahi thi yeah Raj ka asli matlab keya hai….
Udhar Raj kuchdin o se soch hi raha tha ke Kranti ko gari chalana sikha de…is bahane woh uske aur thoda karib bhi aa jayega aur Kranti gari chalani sikh bhi legi to jarurat parne pe ghar ki gariya chupchap issemal kar sakti hai…. par usse pehle dhire dhire uska brain wash bhi karni paregi…par woh baad me dekh lenge …
R: Tumko mamaji ke ghar jana hai ke nehi
K: Hum kisi aur din nehi sikh sakte keya
R: Nehi aaj hi…aa jao main hu na….daro mat…(use pata hai Kranti se kaise koi kam karana hai)
K: (Kranti Raj ke khidki ke pas aa kar bahat mithe mithe se) Dekho abhi agar tum mujhe sikhaoge to kitni samay lag jayegi to hum kab pahchenge …aur fir tumne to kaha tha ke raste pe tumko koi kaam bhi niptana hai…fir humko jaldi jaldi ghar lautna bhi to hai
R: Hya woh kaam na…..hmmm…to tumhe keya lag raha hai main abhi keya kar raha hu aur hum itni jaldi kyun ghar se nikle hai
K: Par koi dhakka lag jayega to…kisiko chot aayegi to
R: Is time pe yeah sadak khali hi rehti hai….kabhi kabhi gari dikh jaye to main hu samhalne ke liye…tumhe sirf bharosa karna hai….aur mere rehte main tumhe kuch hone nehi dunga…..baki rahi meri baat….(sidhi Kranti ke ankho me dekh kar)….main to tumhare liye sab kuch de sakta hu…to jaan ki keya baat hai…
Aab Kranti ke paas kuch aur kehne ko nehi tha woh sirf Raj ko dekh rahi hai…..Raj sirf muskura raha hai…. Kranti sochte sochte dusri taraf bar rahi hai ke usne to do ek din chalayi thi par abhi keya woh chala payegi…aur khas kar Raj ke samne…..Raj ko maja aa raha hai use chhed kar yeahi baat use aur gussa dila rahi thi……woh driver seat me baith gayi…aur Raj ko jaise ankho se hi jala degi aise dekh rahi thi….
R: Oho…Suru karne se pehle ek baat batana to bhul hi gaya tha…..aaj tum bahat khubsoorat lag rahi hai…roj ki tarha….
(Garam tawe pe pani chhirak diya…..Kranti hash pari…)
Raj samjhane ja hi raha tha to Kranti ne agge se clutch, break, accelerator, gear ke bare me bol di…Raj yeah expect nehi kar raha tha…..Par Kranti ko man hi man accelerator, clutch aur break me gadbad ho rahi hai…aur stearing pakar ne ke baad to aur ghabda rahi hai use thik se kuch yaad hi nehi hai…..na jane Raj ko aajkal keya keya sujhta rehta hai….lekin usne sab parts ke nam to bata diya par chalayegi kaise…aur sidhe se puch bhi nehi pa rahi hai…Raj agar uska majak urayega to….
K: Keya hua guruji sikhana nehi hai keya…
R: Tumhe pata to hai…aab chalao main hu…
K: Guru banna asan nehi hai… guru bane ho to mehnat karo …socho ke mujhe kuch nehi ata….suru se sikhao…
R: Hya hya kyun nehi…
Yeah keh kar usne achhi tarha se sari functions bataya Kranti ko….Kranti soch rahi thi chalo kuch yaad to ayi….aab rab jane….usne gari start ki par jaisa hona chahiye tha tin charbar start bandh par gayi….Kranti fir se start de ne ke liye chabi pakri … Raj Kranti ekdam karib aa kar baith gaya… Raj ne uska hat pakra aur start ki…Raj ne bhi Kranti ki tarha apna chappal utara aur pair Kranti ke pairo ke upar rakhha…Kranti sochi achha to isi liye sahab aaj chappal pehen ke aye hai….Ek hat Kranti ke piche se ghuma ke stearing ke upar Kranti ke daya hat ke upar hai…baya hat Kranti ke baya hat ke upar gear me hai…aab pairo ko halke halke se daba kar clutch aur accelerator ka synchronization samjha raha tha…Kranti sunne ki koshis kar rahi thi par uske dil o dimag me to kuch aur hi hulchal chal rahi thi…. woh soch rahi thi ki Raj kitna sundar hai…uski yeah halki sararat bhari muskaan dekh ke to koi bhi ledki pagal ho jayegi…. Uski ankhe kitna kuch bol deti hai…..uska sina kitna chaura hai….usme gum ho jane ko man karta hai….Raj ki badan se aa rahi khusbu aur uska yun karib ana use usrat ki yaad dila rahi hai….Raj usdin kitni deewangi se use pyaar kar raha tha….Raj ka yun chhuna use ek alag hi duniya me liye ja rahi hai… Raj chupchup Kranti ko dekh raha tha…Kranti ke gaal, kan sab lal ho rahe the ….
Gari dhire dhire agge barhi …..Kranti Raj me aur khoti chali ja rahi thi….rasta khali hi tha….driver seat pe Kranti baithi jaroor thi lekin gari Raj hi chala raha tha par yeah baat hai ke isbaar Kranti ne Raj ko puri chhut di thi …. Kash undono ki jindagi bhi aisi dono milake chalate to….undono ki bich ki sari duria mit jati to….Kranti sharmati hai to aur bhi pyaari lagti hai…na jane aur kitne din usse dur rehna parega…. Kranti ke hat pair kitne naram hai, bilkul ful o ki tarah… uska chehra, uske honth aur uske yun sharm se lal hue gaal, use baho me bhar ke pyaar karne ka man ho raha tha Raj ka….
Raj apne hontho se Kranti ke kano ko halke se chhuke ahista se bola…. Meri student to kafi tej nikli…bahat achhi chala rahi hai….Kranti Raj se najre nehi mila pa rahi thi….aur kuch boli bhi nehi…kuch der baad Raj ne apna daya hat stearing se utha ke Kranti ke kandho pe rakhha……Raj Kranti dono is lamhe ke puri tarah se ji rahe the… kuch der baad Raj ne apna baya hat bhi stearing se hata liya….tab Kranti ne kaha…
K: Raj chhodo mat main akeli nehi chala paungi.….
R: Main hamesha tumhare sath hu…(Kranti ke kandhe ko aur jor se pakra)
K: Staering pakro na …. (Kranti gari ko control me rakhne ki puri koishis kar rahi thi)
Raj samay samay pe stearing sidhi kar raha hai….lekin lagatar nehi pakra hua hai…sirf Kranti ko kas ke pakra hua hai…..Kranti ka hausla bar raha hai…..use jaise pata hai ke Raj uske sath hai to kuch bura nehi ho sakta…..
Gari chal rahi thi… Kranti ko bahat achhi lag rahi hai…..Kranti ka pura dhyan abhi dhire dhire gari ki taraf ja hi rahi thi ke…. Rasta khali hai to Raj ko thodi sararat karni ki sujhi…. Uska daya hat aab dhire dhire Kranti ke bazu me, kandhe pe aur fir pith pe ghumne lagi …. aur pair ke ungliya bhi bahat hi halke halke se shararat karne lagta hai…..…..Kranti ka dhyan fir gari se hatne lagi …..aur Raj abhi Kranti ki taraf dekh raha hai…. Kranti puri koshis kar rahi hai ke Raj ke taraf na dekhe aur use kuch keh bhi nehi pa rahi hai…. na to chhodne ke liye na hi pakarna ke liye….kuch der aise chalne ke baad Kranti se baitha nehi ja raha tha… Raj pura samay uspe najar rakhhe hue tha woh kuch kehni hi ja rahi thi….lekin Raj ne uska hat kaske pakar liya …woh chauk ke Raj ke taraf dekhi to Raj kuch pal ke baad muh ekdam pass la kar bola agge mod hai to aise jor se horn bajana …dono ke hat aab horn pe hai….aur Kranti Raj ko dekh rahi hai….Raj bola mujhe tum baad me fursat se dekhna aab thodi raste pe dhyan do…Kranti ne turant najre nichi ki aur fir raste ke taraf dekhi to kuch dur me hi ek truck aa raha tha…..woh ghabra gayi…
K: Raaaj….truck (yeah keh kar stearing chhod di aur Raj ko kas kar pakar li)
Raj ka dhyan tha usne jaldi se stearing pakar ke gari side ki aur jor se break mar ke gari rokh di…….truck chala gaya…
Aab Raj Kranti ke bahon me hai….Kranti ke ankhe bandh hai, uska sar Raj ke sine pe hai aur Raj ka thuddi Kranti ke sar ke upar hai….. Raj soch raha tha kash yeah khuli sadak na hoti……tabhi uske dimag me achanak ek kheyal aya ke aaj raat ko jaldi se ghar lautna parega…kash tab bhi woh aise hi Kranti ko bahon me le sake…..Kranti kuch soch nehi rahi thi sirf aapne aap ko Raj ke bahon me mehsush kar rahi thi ….
Raj ka man to nehi ho raha tha lekin…….kuch der baad
R: Kranti
K: hmmm
R: Dekho sab thik hai
K: Mujhe pata hai
Fir se dono chup
R: Kranti
K: humm
R: Mamaji ke ghar jana hai na.
Kranti ne gardan hilai…..
R: To chale…
Kranti dhire dhire aapne aapko Raj ke bahon se nikali…..
R: Main drive karu
K: Nehi main karungi….(kuch pal baad)….tum khali mujhe chhodna mat…..
Raj ne muskurake Kranti ko dekha…aur dono fir se waise hi gari agge barhane lage…..
Who log mamaji ke ghar pahach gaye. Sham ko sab eksath me baith ke baante kar rahe the. To Sanjay ke kisi majak pe sab bahat hash rahe the….Raj ka sar bhi kuch bar piche ke taraf hila…..aur Sanjay ko Raj ke thuddi par sindoor dikha ….aur fir keya tha majak suru…..
S: Achha Raj tu yeah baata ek wakil ke liye saboot kitne maine rakhte hai.
R: Arrey yeah keya baat hui bhai saboot to ek case ke liye sab kuch hota hai.
S: Sahi me yani ki tera kehna hai ke kuch bhi karo lekin sabot nehi chhodne chahiye kahi bhi.
R: (Shaq ke najro se dekhta hai aur andaz karne ki kaushis karta hai ke kaun sa naya majak kar raha hai Sanjay) hya thik hai.
Sanjay mushkura raha tha…Kranti bhi uski najro ko dekh rahi thi tab usne Raj ke thuddi pe sindoor dekha aur use baat samajh aa gayi…..
S: To ek baat bata tu…..(Kranti uski baat kat deti hai)
K: Kuch bhi se keya matlab tumhara….kaam galat ho tabhi na saboot ki baat ati hai….aur kayi log to kisike bhi samne jo dil me aye kar lete hai…kaun dekh raha hai, keya sabot chhut raha hai kuch parwa hi nehi karte (yeah kehte kehte usne apne hath hontho pe rakhke ekbar Sanjay aur ekbar Nirmal ki taraf dekhne lagi) … hai na ..
Sanjay turant samajh gaya aur kuch bola nehi aur Nirmal udash shi mushkurai. Raj ne Kranti ka ishara to samajh liya par Sanjay keya bolna chahta tha use samajh nehi aya.
L: What jejajis aaplog what talking kar rahe hai mujhe kuch bhi understand nehi ho rahi hai.
S: Ha bhai aab baante samajh ne ke liye jo chahiye hota hai woh sabke pas thodi na hoti hai. (yeah baat sun ke mamiji ko gussa aa gayi)
Mami: Hya jaise ke kuch log to kuch bhi nehi karte hai…. khali baith baith dinge hakte rehte hai.
Nirmal baat ko ghumana chahti hai aur kehti hai ke Lovely tu woh naya jo English gana sikhi hai woh suna na sabko. Rajveer jejaji ko bahat achha lagega.
Mami: Hya hya suna de puttar.
L: Ok.. party sharty ki tarah lekin aap sab ko dance karna parega. Nehi to I no sing….
S: Hya hya sali sahiba aap ki har baat manjoor…..
Mamaji kehte hai ke aaplog baatchit karo main abhi ata hu…..aur tum jara sunna to…mamiji ki ichha to nehi thi lekin mamaji unhe aapne sath le gaye.
Kranti Raj ko ishare kar rahi thi ke woh sindoor saaf kar le…par Raj ko kuch samajh nehi a raha tha….
Itne me Lovely ne record chala di aur uske sath gana bhi suru kar di…Sanjay ne jake Kranti ko dance ke liye hath baraya…Kranti Sanjay ko dekh ke Raj ke taraf dekh rahi thi Raj ne ishara kiya aur jaake Nirmal ko dance ke liye le aya.
Ek hi waqt Sanjy, Kranti aur Raj, Nirmal
S: Mujhe bahat achha lag raha hai Kranti tum dono ko eksath itna khush dekh kar. Raj bahat achha ledka hai, uska dil bahat achha hai aur woh tumse bepanah mohabbat karta hai……dekhna woh tumhe bahat khush rakhhega
Kranti ne dil se mushkurayi
K: Sanjay main ek baat puchhu tumse agar tum bura na mano to.
S: Hya hya bolo Kranti..
K: Nirmal didi aur tum mujhe aaj hamesha ki tarha utne khush nehi lag rahe ho….tum dono ke bich sab kuch thik to hai na…..meri didi to itni achhi hai usse kisika bhi dukh bardast nehi hoti aur woh jaanbujh kar kabhi bhi kisiko koi dukh nehi pahchayegi….
S: Nehi waise to koi baat nehi hai Kranti…sab kuch thik hi to chal raha hai..par agar tumhe lagta hai to tum Nirmal se baat karna aur main bhi jaroor karunga…tum bilkul chinta mat karo, main use apni jaan se bhi jyada pyaar karta hu aur sari jindegi usko koi taklif nehi hone dunga…..
N: Jejaji main aap dono ko khush dekh kar bahat khush hu…..meri behen bahat achhi hai…aap uska kheyal rakhna…. usne bachpan se bahat dukh dekhi hai …aakhir khusi pe uska bhi to haq banta hai….uske dil me sabke liye bahat pyaar hai…
R: Main janta hu parjai ji … aur aap mera yakin maniye main use duniya ki sari khusiya dena chahta hu…..main uska pura pura kheyal rakhunga….Dont mind parjai ji par aaj mujhe Sanjay kuch ukhra ukhra lag raha hai…..pata nehi yeah mera wahem bhi ho sakta hai …aap dono me sab kuch thik to hai na?
N: Ji…ji aap chinta mat kijiye sab kuch thik hai…..par yeah keya aap sirf shali ji ke sath hi dance karenge keya jaiye jaiye aapne biwi ke paas jaiye….mujhe baad me koi shikayat nehi sunni…
Aab Kranti Raj ke sath hai aur Nirmal Sanjay ke sath….
S: Unlogo ko lag raha hai ke hum dono pareshan hai…….aab unhe keya pata ke tum to mujhe bhi aapne pareshani ka karan nehi bata rahi ho….aur tumhe pareshan dekh ke main khush to reh hi nehi sakta….
N: Hum is bare me baad me baat karenge…bahat din o baad yeah dono ek dusre ke sath khush dikh rahe hai….aab hamare wajah se yeah fir se pareshan nehi hone chahiye…
S: Bilkul sahi….aur dekho mera dost hamesha mera kaam ata hai …..aur kuch pal ke liye sab kuch bhul jao ….aur pehle ki tarha…..
(Yeah keh kar Sanjay ne Nirmal ko aur pyaar se aapne bahon me le liya aur ek duje me khoye hue halke se dance kar rahe the)
R: Tumne notice kiya ke Sanjay thoda bujha bujha sa nehi lag raha hai …mujhe to aisa bhi laga ke woh mujhse kuch chupana chah raha hai…
K: Hya mujhe bhi Nirmal didi kisi baat se pareshan lag rahi hai….tum Sanjay se baat karke dekho na aur main didi se baat karungi mauka milte hi…..
R: Lekin yeah dono itni asani se hum e kuch batayege nehi…dekho abhi kaise happy couple ke tarha dance kar rahe hai…jahir si baat hai ke yeah hum dono ko itna pyaar karte hai ke humko pareshan nehi karna chahte hai….par baat to karunga mauka dekhke…
K: Ji thik hai…
R: Waise Kranti tum dono bahat achhi dance kar leti ho kaha se sikhi?
K: Chalo bilayti babu ko kuch to pasand aya…
R: Bilayti babu…….agar main bilayti babu hota to pata hai main abhi keya kar raha hota…( Kranti ko Raj ne aapne aur karib laya aur dhire dhire uski taraf jhukne laga Kranti uska ishara samajh ke sharma aur ghabra gayi)
K: (jaldi se Raj ka muh upar ki aur aapni chunri se Raj ka thuddi se sindoor ka dag mita diya) Chhoti chhoti baton ka kheyal nehi rehta ..aur sahab ishare baji me lage hai……
R: Keya saaf kiya?
K: Woh kuch laga tha
R: Keya
K: Tha kuch…
Gana khatam ho gaya tha to un charo ko rukhna para lekin kisika bhi man nehi kar raha tha rukhne ko…..sab ne clap ki…Raj aur Sanjay ne to Lovely ki itni tariff ki ke usne ek aur gana laga diya aur sur milane lagi….fir dance suru….
R: Par (hath lagake) tumne bataya nehi yeha keya laga tha
K: Oh ho wakil babu thoda sa sinddor laga tha …abhi saaf kar di hai
R: Sindoor!!! Kaise….(Kranti sharma gayi)…(kuch pal baad)..oh achha achhha gari me.. Isi liya Sanjay tab case saboot yeah sab baante kar raha tha….
K: Ji….sukar hai meri najar par gayi …nehi to na jane Sanjay aur keya keya majak karta
R: Hya tumne to uski bolti hi bandhi kar di thi…..(Raj ne ek ungli aapne hontho pe rakh ke) par mujhe nehi pata tha ke tumhe yeah sare ishare bhi samjah me ate hai….
Kranti Raj ke bahon me thi…kuch nehi kaha….
R: Par tumne jo kaha bilkul sahi kaha….Kaam galat to nehi tha…..saboot reh jaye to jaye…. (Usne apna thuddi fir se kRanti sar ke upar pyaar se rakh di)
Lekin isbaar Kranti ne yaad se baad me sinddor ka dag saaf kar di thi. Shaam bahat achhi ja rahi thi…..
Bich me Raj ne dhire se Kranti se kaha….
R: Jaldi khana kha ke nikal jayenge humlog…thik hai na…aur raat me to practical driving nehi sikha sakta isi liya ghar me ja kar driving ki kuch theory batana hai…khas kar samne se jab ek bariiii si truck aye to kisiko kitna kas ke pakarna chahiye….tum samajh rahe ho na…
Kranti ne pyaar bhari narazgi se Raj ko dekha aur fir Raj se dur bhagi….lekin Raj ki kismet kharab thi…. pehli bar ki tarha aaj bhi curfew elaan ho gaya aur wohlog usraat ghar nehi laut paye…
Raat ko Raj aur Sanjay ka ek kamre me sone ka intezam hua…..dono bole chal chhat pe sote hai….lekin ledkiya boli ke barish hogi to ….to Sanjay ne kaha aaj humdono ko to saaf saaf chand dikh raha hai to mujhe to nehi lagti ke barish hogi kyun Raj…bilkul mujhe bhi saaf saaf mera chand dikh rahi hai….aur yeah najara bahat khubsurat hai….Nirmal ne Kranti ke taraf dekha aur sab hash pare…
Raat ko Nirmal Kranti ke baalo pe tel lagane baithi….baal khole hi thi ke upar se Sanjay ne awaj lagai Nirmal thora pani mil sakta hai keya…..Nirmal Sanjay ke samne nehi jana chahti thi …usne Kranti se kaha pani dene ke liye kyunke Lovely tab tak so chuki thi….Kranti ne kaha maine Raj ko pani diya to tha jab woh dono upar ja rahe the…dono ke kitni piyas lagi ke sara pani pi gaye…. Kranti akele chhat pe jana nehi chahti thi keya pata Raj ka aajkal koi bharosa nehi keya kar de…… har waqt deewana bana firta hai…yeah kheyal ate hi woh has pari….
N: keya hua has kyun rahi hai
K: Kuch nehi …..tu jaake pani deke aa….Sanjay bula raha hai na…..
N: Main tel lagane wali hu na tu jhat se ja kar de kar aa na…
K: Main kyun jaaon…aapke pati aapko bula rahe hai aap jaayie…
Tab Raj ki awaz aayi …. Koi sun raha hai keya, thori paani bhej dijiye na …..
N: Le aab to tera bhi bulawa aa gaya….ja jaldi ja…nehi to ma jag jayegi….
K: Tu bhi chal …aaj main dekh rahi hu ke tu Sanjay se khali dur bhag rahi hai
N: Nehi to aise to koi baat nehi hai …tujhe galafaimi hui hai
K: Pehle to kabhi aisa nehi laga …fir aaj kyun lag raha hai
N: Tu kitni sochti hai sab ke ware me …. Arrey ja na jeejaji tujhe bula rahe hai…
K: hya aur mere jeejaji ne bhi tujhe bulaya hai…chal dono saath me chalte hai…dekhe to sahi itna paani ka keya kiya un dono ne
Nirmal ko laga Kranti ke man me aur koi sawal na aaye isi liye usse jana chahiye…. Woh yeah bilkul nehi chahti thi ke uske pareshhani ke wajah se Kranti fir se soch soch pareshan ho jaye…
Dono upar gaye….. bahat din o ke baad Kranti chhat pe aayi raat ko ….aaj purnima to nehi hai par chand ki roshni kafi achhi hai…..Sanjay aur Raj ek kinare khare the….Kranti unlogo ke taraf ja hi rahi thi ke Raj jaldi se unlogo ke paas aa kar pani ka glass lete hue kaha …..
R: Thank you… Kranti aur ek kaam karogi please…main apna ghari sayad niche bhul gaya…tum jara la dogi …
Kranti thodi der is pal Raj ke saath rehna chahti thi….par usse to uski ghari ki pari hai…na jaane itni raat ko ghari le kar keya karega…
R: (Kranti ko sochta dekh) woh subhe jaldi uthna hai na ..isi liye agar (krani ne bich me rokh di)
K: Main le kar aati hu…
Nirmal bhi uske saath jane lagi…to Raj ne usse rokh liya aur kaha…
R: Parjai ji….jara rukhiye na Kranti ghari le kar aa jaye to aap log chale jayega…
N: ji
Kranti niche chali gayi. Sanjay abhi tak chhat ke dusre kinare pe hi khara hai.
R: Woh …baat yeah hai ke parjai ji ke ….. ghar me Kranti hamesha mujhse dur bhagti rehti hai…aur na jaane kab kis baat pe gussa ho jati hai….aaj woh bahat khus lag rahi hai yeha aa kar….to aap abhi thodi der rukhiye na chhat pe …. aap ke saath who bhi rukhegi … main thodi der uske saath waqt bitana chahta hu…. Udhar aap aur Sanjay baante ki jiye idhar hum dono kuch pal saath gujarte hai….. waise bhi mujhe to Sanjay kisi baat se pareshan lag raha hai…par usse jitni bar bhi puch raha hu hashi me ura raha hai…
Nirmal ko laga jo woh nehi chahti thi wohi ho raha hai….Kranti aur Raj dono Sanjay aur usko le kar pareshan ho rahe hai….lekin kaise bhi inlogo ka shaque dur karni paregi…
Kranti ne sidio se awaz lagai ….humko koi ghari wari nehi mil rahi hai…
N: (mushkurake) Jeejaji aap ja kar dekho …..hum kuch der yehi hai unke saath us kinare … aaplog idhar jitni marji baat kijiye…..
R: ji…thank you very much parjai ji….
Raj sidio ki taraf jaane laga….Kranti bich o bich apna hath kamar pe rakh ke thodi gusse me khari thi….uske sar pe dupatta nehi tha, usne aapne purane kapde pehne hue the aur uske baal khule the…….Raj kuch sidi upar khade ho kar use dekhne laga … use pehli wali Kranti yaad aa rahi thi … abhi kuch der pehle jab Kranti upar aayi thi to Raj ne gaur se use dekha hi nehi…. lekin abhi gaur se dekha to woh bahat alag dikh rahi thi aur pyaari bhi…
K: tumne ghari kaha pe rakhhi thi…mujhe mil nehi rahi hai…
Raj ka man ho raha tha uske gaalo ko bachho ki tarha dono hatho se pakar kar khich de .. uske khud ke kheyal pe hi usko hashi aa gayi….aur keya tha Kranti ka para aur chad gaya..
K: Mushkura kyun rahe ho…mujhe sach me nehi mil rahi hai….
Raj aur do sidi utar ke sidio pe baith gaya … aur use dekhe hi ja raha hai … Kranti ko achanak kuch kheyal aaya to usne sar par pallu de di
R: Pehle jyada achhi lag rahi thi …
Kranti chupchap khadi hai…. Aur Raj dekh raha hai…
K: Ghari …
R: shhhh….. yeha aao …(Raj ne Kranti ko uske pas baithne ka ishara kiya)
Kranti upar ja kar Raj se ek sidi niche baithi… Raj uske paas niche wali sidi me aa kar baitha…to Kranti gusse se do sidi upar ja kar baithi to Raj fir se uske pas ja kar baitha…Kranti khadi ho gayi aur kaha…..
K: Itni raat ko saap sidi khelna hai keya tumko
R: (hamesha ki tarha usko maja aa raha tha Kranti ko sata kar, kyunke use pata tha asli baat pata chalte hi woh khus ho jayegi) nehi woh baat nehi hai… aab itni raat ko meri biwi aur to kuch karne… mera matlab hai ke aur kuch khelna chahti hai keya
K: Bakwas bandh karo….subhe tumko jaldi uthna hai na … to niche ja kar apna ghari khud dhundo aur aa kar so jao….main didi ko lekar niche ja rahi hu..
R: arrey arrey ruko (Kranti ka hath pakar ke roka)… thik hai bula lena par pehle meri ghari to dhund do…
K: (hath chhurake wapas aayi, aur thoda jor se) maine kaha na mujhe nehi mili….
R: Ahista ahista….mujhe pata hai tumhe nehi mili aur yeah bhi pata hai ke kyun nehi mili
K: Kyun?
Raj ne fir se Kranti ko pas me baith ne ka ishara kiya…is bar Kranti baith gayi… Raj ne kaha
R: Suno tum abhi Nirmal didi ko mat bulao… Sanjay aur unko thodi der baat karne do…maine Sanjay se pucha tha to usne kaha ke parjai ji sach me kisi baat se pareshan hai par Sanjay ko batana nehi chahti hai aur mamiji har waqt Nirmal didi ko aapne pas se hatne nehi deti…..par tum yeah baat parjai ji se nehi puchhna … tumko jo kuch bhi puchna ho alag tarha se puchhna…. maine plan bana kar parjai ji ko chhat pe roka hai… lekin uske liye tumhe kuch der mere saath hi rehna parega…. Woh dono chat ke us kinare hai aur hum dono idhar rahenge thik hai …
K: Tabhi main sochu itna pani itni jaldi kaha gaya….chalo tumhara khurafati dimag koi achhe kaam me to lagaya ….
R: Tumne meri khurafat dekhi hi kaha…. Mujhe mauka to do fir main mere dimag ki khurafat dikhaunga tumko… (bahat pyaar se Kranti ke taraf dekh kar)
K: (baat ko ghumane ke liye) achha woh sab thik hai par pehle niche chalo tumhari ghari dhund lete hai
R: Keya Kranti main to baith baith ke kitna kaam kar liya aur tum ek ghari nehi dhund payi…
K: (Thoda sa murjha gayi) thik hai main aur ek baar dekh kar aati hu…(woh niche jaane lagi)
R: hya hya jao jao… par mujhe pata hai ke tumhe is baar bhi nehi milegi…..
Kranti aur niche chali gayi thi tab tak……
R: kyunke ghari to mere jeb me hai…to tumhe niche kaise milegi …
Raj bhaga aur Kranti uske piche bhagi….. dono haste haste ja kar chhat ke jis taraf Sanjay Nirmal the dusre taraf khade ho gaye….Raj ka ek hath Kranti ne apne dono hato se pakar rakhha tha jaise ke chor ko pakarte hai…..
S: Keya hua Raj
R: Kuch nehi …kuch nehi ….woh kisi kisi ka gussa hamesha nak me rehti hai to kabhi kabhi dour bhag lagi rehti hai….
Jab tak Raj aur Kranti sidio pe the tab tak Nirmal ne tai kar liya tha ke kisi bhi tarha Kranti aur Raj ko use yakin dilana hoga ke uske aur Sanjay ke bich sab kuch thik hai …usne Sanjay se kahi ke use pata hai ke Sanjay uske wajah se bahat pareshan hai…lekin kuch din baad sanajy ko sab kuch batayegi filhal Sanjay usse kuch na puchhe aur uska saath de ta ke uske dost ki aur Nirmal ki behen ki fiqar dur ho….. Sanjay ne kaha woh hamesha Nirmal ki baat manata hai is baar bhi manega …. Fir Sanjay ne kaha chalo hum abhi ki baat chhod dete hai lekin hamne jo pal saath me aur khusiyo se bitaye hai use to yaad kar sakte hai na … dono wohi baante karne lage ……
K: Achha to mera gussa nak pe rehta hai…kyun
R: Maine kisi ka nam to nehi liya… par agar tumhe laga ke main tumhari baat kar raha tha aur isi liye tum gusse se mere hath pakar ke khadi ho … to to main hamesha tumhara hi nam lunga….
Kranti ne sharmake Raj ka hath chhod diya. Raj thodi aur dur ja kar khara ho gaya, Kranti bhi uski pas gayi…
K: Keya hua
R: Aab wohdono humko aur hum unko nehi dekh payenge….
Kranti ne piche mud ke dekha …
K: hya sahi kaha…..shukriya Raj tumne Nirmal didi ke liye…
R: Aab yeah sab baat mat karo…. Sanjay aur tumhare gahrwale to mere apne hi hai na….
Kranti ka chehra khusi se khil utha…..kuch der koi kuch nehi bola…Raj Kranti ko dekh raha tha aur Kranti bahar ki taraf…..Raj ne uska pallu hata diya to woh Raj ki taraf mudi…
R: Tum khule balo me kitni alag lag rahi ho…
K: Alag …..
R: Hya roj se bilkul alag aur aaj tum bahat khus bhi ho yeha aa kar…. Hai na
K: (ankho se hya ka ishara kiya)
R: Main ek baat bolu ghar me hamesha tumko parjai ki har baat manne ki koi jarurat nehi hai…..aur khas kar tumko unki niyat ke bare me pata to hai na…
K: Tum is ware me jyada mat socho…. maine wada kia hain ke unki puri puri kheyal rakhungi
R: Par uske liye tum mu bandh kar ke woh jo kehti jaati hai wohi karti jati ho …jab ke tumhe pata hai ke sayad unko utni problem nehi hoti hai jitna who dikhati rehti hai….
K: kuch hi dino ki to baat hai…ek bar sab kuch achhe se ho jaye….fir aapne aap yeah sab bandh ho jayega…..aur maine isse kai jyada dukh dekhe hai.
R: Lekin meri ek baat tumhe manni paregi…..tum na parjaiji se apni khub seba karwana
K: Main…kab aur kyun…
R: Tumhe koi pareshani na bhi ho tabbhi karana jaroor…thik hai na
K: Tum keya baat kar rahe ho mujhe kuch samajh me nehi aa raha hai
R: ok ok…Let me explain…. Jab tum parjai ji ki tarah ho jaogi tab unse seba karana…
K: Main jaisi hu waisi hi thik hu…aur main unki tarah kisi ko pareshan nehi kar sakta…
R: Achha kisiko pareshan nehi ….
K: (Raj ka ishara samajh gayi) Hya bematlab kisi ko pareshan nehi karti main
R: Chalo yehi baante hai jo mujhe maidan me tike rehne ke liye hausla dete hai…
K: Waise ek baat baatao tum kyun chahte ho ke main parjai ji ki tarah ho jau (muh bana kar)
R: Aab isme mere chahne na chahne se keya hota hai….yeah to bhagwan ke den hote hai na…
(Kranti ko aab thodi thodi kar ke baat samajh aane lagi thi…)
R: Main to chahta hu ke tum jaldi se parjai ji abhi jaisi halat me hai…. Matlab ke yeah jo unhone sare ghar ko apne sar pe uthake rakhhi hai…aur koi unse kuch nehi keh pa raha hai…tum bhi jaldi se waisi ban jao……
Kranti itni sharma gai ke woha se jaane lagi thi…par Raj ne turant uska hath piche se pakar liya aur dhire dhire uske bahat karib aa kar…
R: Tum samajh rahi ho na …
Kranti ne bahat dhire se gardan hya me hilayi
R: ya aur detail me samjhau…
Is baar na me gardan hilayi…Raj uske samne aa kar khara ho gaya….. aise khule aasman ke niche chand ki roshni me khule baalo me Kranti ko itne karib pa kar Raj ka use pyaar karne ka man ho raha tha….. aur use laga aaj sayad Kranti bhi use na roke…..
R: Main abhi kuch mangu to milega …..
Kranti waise hi sar jhukae khadi thi…Raj abhi tak uska ek hath pakara hua tha…aab usne Kranti ko kamar se pakra aur ek hat se uska muh uthaya aur dekhta raha….
R: Kuch mangu….
Kranti ke hontho pe halki si muskurahat thi….. Raj uski ankhe parne ki koshish kar raha tha….
K: Mujhe lagta hai aab tak didi aur Sanjay ki baat ho gayi hogi…
R: Hya par meri baat aab tak puri nehi hui… tumne mere sawal ka jawab nehi diya abhi kuch mangu to milega…..
K: Nehi….(Kranti ne apna sar Raj ke sine par rakhha) haq se lena parega…
R: Achha to waise hi sahi … maine aaj tumhe kuch sikhaya na aur tum mujhe guruji guruji keh rahi thi….to aab mujhe meri mu mangi gurudakshina chahiye….
Kranti kuch na bol ke waise hi khadi thi…..Raj ne fir se uska chehra apne hatho me liya aur kaha I love you Kranti….i love you very much …. Raj dhire dhire Kranti ke hontho ke taraf jhukne laga …Kranti dari nehi bhagi nehi ankhe bandh kar ke Raj ke bahon me khadi thi…..dono ke hontho ke bich fasla khatam hone hi wala tha ke…..
Niche se kuch bartan girne ki awaz aayi aur saath hi mami ki chillane ki bhi …sab chauk gaye …aur Kranti jhatke se Raj ke bahon se aapne aapko chhura li…par Raj ne fir se uska hath pakar liya
R: (muh bana kar) meri dakshina
K: maine to de di aab tumhe nehi mila to main keya karu…(bahat hash rahi thi)
Mami : Arrey kisne rasoi ka darwaja khula rakhha ….dekho billi ghus gayi na…
Nirmal aur Kranti douri niche (Nirmal ko laga uski ma ne jan bujh ke bartan giraye honge usko niche bulane ke liye) ….. Raj aur Sanjay tarap te hue wohi khade reh gaye…
Subhe Raj Kranti dono ko jaldi se ghar lautna tha …. Aur raste pe Mamaji ko bhi kahi chhodna tha is liya dono me jyada baatchit nehi hui…..khali Kranti ghar me jab parjai ji se mil kar aapne kamre ke taraf ja rahi thi to Raj ne use darwaje ke pas pakar liya… aur kaha
R: (uski ankho me shararat thi) aaj se raat ko thodi thodi driving ki theory sikhaunga tumko aur agle hafte fir niklenge driving sikhne …thik hai
K: Waise gurudakshina dena pare isse to achha hai main driver chacha se sikh lungi…. Aur abhi mujhe chhodo bahat kaam hai..
Yeah keh kar Kranti chali gayi… Raj bhi khusi khusi aapne kaam me lag gaya…par BBR ne sun liya aur man hi man kaha raat ko deraiving sikhana hai….dekhti hu kaise sikhate hai….. aur fir lagatar char raaton tak Kranti ko BBR ki seva karni pari….. aur Raj bhi kamre me akele tarpta jagta raha…
Isi liye dopehar ko sote hi pichle kuch din o ki baante sochte sochte Kranti ko neend aa gayi thi….. aur udhar Raj ko office me yeah sab sochte sochte jhapki aa gayi thi…… Raj ki jhapki tuti use agle hearing ke liye jana hai thodi hi der me…lekin usne socha aaj raat kuch bhi ho jaye koi bhi bahana bana kar Kranti ko rokhna parega…. Ek to use dhero baante karni hai Kranti se aur khub sara pyaar bhi….yeah kheyal ate hi uska man khush ho gaya…..aur fir lagatar roj raat ko Kranti jag rahi to uski tabiyat bhi to bigar jayegi…
Udhar Jagat kaka Kranti ko bulane aaye….. aaj shaam ko un sabko kisi ke ghar koi utsav me jana hai……….
thankyou so much bonai it is always a treat to read your update 😃
Thanks alot for such lovely RK feast dear... 👏
A N A R H I F F ---- Iss Darr Ko Kya Naam Doon Summary: Khushi is an internet famous 27 year old fashion designer from Lucknow. She has a chirpy...
Kassir Extremes Intro 9pm - London Airport - Christmas Day It was a cold chilly night in the beautiful city of London. We arrive at Heathrow...
41