Originally posted by: sun_423
summi jaanu, kashu yaar dekho main aagayi with my comments on the parts you have posted... i hope mere comments tum dono ko pasand aye.. 😊 now coming to my comments on the two parts which you guys have posted... woahhh..maann.... in do parts mein kitna kuch badal gaya... shayad issio liye kehthe hai waqt aur haalat badalthe hue dher nahii lagthi.. sahii kehthe hai waqt kissi ka moutaaj nahii hotha.. waqt ko jab badal na hotha hai waqt badal jaatha hai.. waqt kabhi bhii kissi se pooch kar, ya kissi se salha mashhora kar ke nahii badal tha... aur waqt ke saath saath insaan ko bhii badal na padtha hai.. people have to adjuct themselves do the changing times.. because change is a part of life.. at every stage, at every inch change occurs.. aur kabhi yeh change zindagi ko barbaad kar detha hai tho kabhi yahii change zindagi ko aabaad kar detha hai.. lekin this depends upon the person jiski zindagi mein change occur hua ho.. agar woh insaan chahe tho he can look at the possitive changes because of the challenges & time.. or yeh bhii ho saktha hai kii woh shaks agge badhthe hue waqt se harr maan karr, ladna hii chod de... part kii shuruwaat was very surprizing.. nandini calling kripa & telling her kii woh sujal ke saath ghar aaye... aur then coming to sujal kii haalat.. bechare kii haalat par mujhko bohat bura lagg raha hai.. pyaar karna koi gunaah nahii hai, tho phir kyun sujal ko pyaar karne kii itni sazaa mil rahii hai.. he does not deserve it.. he is so sweet.. kitna achcha hai woh sab ke saath aur khaas karke kashish ke saath... yeh kashish na jaane kyun samajthi nahii.. mujhe tho lagtha hai kii kashish sujal kii haalat ko samaj kar bhii na samaj bann rahii hai.... kyunke kashish khud ko rishton mein bhaand na nahii chahthi.. this is because of two reasons i think.. first tho because of her past life experiences & second because may be kashish ko yeh lagtha hai kii agar usne kissi rishthe mein bhand ne kii koshish kii tho woh rishtha uska jakad lega & it won't let her fly high in the open air.. sujal kii aisi haalat tho mujhse dekhi nahii jaathi.. dil mein dard, honto par muskaan.... i really don't know how he manges it.. it is so difficult... then sujal, kripa aur angad reach nandini's house.. wahaan unke beech argument.... kashish ka ghussa... yeh kashish na sachchi mein ghussa bohat zyada karti hai... ek taraf nandini hai joh zabardasti se kashish kii shaddi sujal se karwana chahthi hai.. well sahii baat bolun nandini joh yeh zabardasti karr rahii hai na woh ghalat.. nandini ko yeh samaj na chahiye kii kashish ab koi bachchi nahii hai, woh khud ka bhala bura samaj sakthi hai.. you know main bhii badi ziddi hoon, agar koi mujhe kissi kaam ke liye force kartha hai main woh kaam kabhi nahii karti... at this moment kashish ke saath zabardasti nahii balki usse aaraam se samjha na chahiye.. lekin ek taraf se dekha jaye tho nandini kii zabardasti bhii ghalat nahii hai.. kyunke yeh kashish tho nandini kii ek bhii baat nahii sunn rahii hai.. and from a mother's point of view woh sahii hai kyunke woh chahthi hai kii uski beti kii zindagi agge bade & she settles down with sujal.. lekin waise seeing kashish & nandini arguing, dono mein se ek bhii is baat ke liye taiyaar nahii tha kii woh apni zidd chode.. kashish ko yeh zidd joh mili hai woh zaroor nandini se hii mili hai... dekho na maine tho socha tha kii kashish se zyada zidd koi nahii karr saktha, lekin nandini hai tho uski maa na, tho woh bhii ziddi hai bilkul kashish kii tarah.. aur tho aur nandini ko khoob aatha hai.. aur yeh kya jab bhii kashish ko kuch bhii achcha nahii lagtha ya phir aise hii kashish kissi cheez ka saamna nahii kar paathi tho all she does is leaves the place.. kashish mushkhilon se durr bhaagthi hai.. jab usse koi solution nahii nazar aatha tho all she does is to move away from the place.. kashish hamesha se yahii karti hui aa rahii hai.. kashish yehj baat bohat achche se jaanthi hai kii woh apni maa kii zidd ko poora nahii kar sakthi tho instead of fighting she leaves the place.. & i don't think this is done.. musibat se durr bhaag ne se musibat durr nahii ho jaathi.. then the talk between sujal, nandini.. where nandini tells him kii woh ghar jaye aur shaddi kii taiyaari kare.. that talk was really emotional i liked it very much... then nandini asking swati to get sweets & eating them.. well nandini se main kehna chahoongi kii aisa karna theek nahii... though she wants kashish to agree to get married to sujal yeh koi tareeka nahii hua.. she is abusing her own health.. woh jaanthi hai kii she should not eat sweets par phir bhii she is... ab tho i'am cent kya infinite percent sure kii kashish kii yeh zidd karne kii aadat zaroor usse uske maa se hii mili hai.. aur ab yeh kya nandini behosh ho jaathi hai.. aur jiska darr tha wohii hua, she is in a critical condition.. aur woh sujal se milna chahthi hai.. kashish fear of losing her mother.. uska calling kripa & telling her kii mom unse mil na chahthi hai.. woh sujal ka naam apne zubaan par nahii laana chahthi.. hichkhicha rahii hai.. shayad kashish yeh jaanthi hai kii joh usne sujal ke saath kiya woh ghalat kiya iss liye she has this hesitation now... & now kripa, kashish, sujal, angad's scene with nandini.. this scene was so touchy.. kashish ka pain could be felt from her talks.. woh nahii chahthi kii uski mom ko kuch ho as she is all she has.. bechari... kashish ke zindagi mein siwaye uske maa ke aur koi nahii jisse woh apna maan sake.. aur dusari taraf sujal abhi tho usse ek maa ka pyaar milne laga tha aur ab yeh kya hogaya.. nandini breathing her last breaths... this is so very sad.. kashish ka life support hai nandini & uska chale jaana ka matlab kashish ka akeli ho jaana... then kashish ka worst fear has come true, she has lost her mother.. lekin uske aankhon se aasoo bhii nahii nikalthe.. ghum mein agar royenge tho dil halka ho jaayega, lekin jab hum ghum ko apne andar hii daba rakhenge tho woh nasoor bann jaayega aur kaat ne daudega.. is scene mein sachchi mujhe rona aagaya.. i really felt so bad.. then sujal, kashish, angad, kripa ka Haridwaar jaana to perform the last rituals.. wahaan Puja ke samay the Pandit saying kii Pati Patni have to do the Ritual saath mein.. Kashish ka for the first time calling sujal by his name aur usse kehna kii woh uske saath Puja mein baite.. Nandini jaathe jaathe sujal, kashish ko ek dor mein bhaand kar chali gayi.. woh aaj jahaan bhii hai woh khush hogi kyunke uski beti kashish ke saath uska humsafar hai.. & even kashish has accepted her mom's last wish.. all these scenes were very touching.. the emotions in these scenes was very well potrayed... then karthe hai ghar kii baat jahaan kashish goes to nandini's room touches her photo, this shows kashish ke liye uski mom kitni zyada mayine rakhthi thi.. then coming to the packet joh nandini ne khareed ke rakha, the laal joda.. & jewellery.. mannnnn.. this is so saddening.. nandini kyun chali gayi.. mujhe rona aa raha hai.. nandini ka woh letter it seriously broke my heart.. meri aankhon mein nami aagayi thi yeh scene padh kar tho.. kashish ka standing at the window staring at the open sky, shows as if kashish feels kii uske mother ke chale jaane kii wajah se uski zindagi khalli ho gayi hai.. good that kashish sujal se shaddi karne ke liye raazi ho gayi hai.. chalo register marriage hii sahii..ab i'am sure sujal sab kuch theek kar dega... then sujal ka being thoughtful & asking kripa to be there with her.. & then sujal ka telling kashish to take care... this shows how much sujal cares for kashish.. uske baad ab agli subaah yaani kii sujal, kashish kii shaddi kii subaah.. unka meeting at the registrar office... kashish & sujal ka signing the papers.. is baat par tho talliyaan honi hii chahiye.. aakhir sujal, kashish kii shaddi joh hui hai.. aur yeh sab joh bhii hua hai sirf nandini ke wajah se hua hai.. ab jab sujal, kashish kii shaddi ho gayi hai tho i'am sure sujal apne pyaar ke zariye sab kuch theek kar dega.. he will teach kashish to live life to the fullest.. woh kashish ko khulke jeena seekhayega... i'am sure of it.. then kripa & angad are very good.. woh mangalsutra le aaye.. aur ab sujal takes it & goes to kashish... then sujal, kashish ke beech kii baatein.. mannn.. that was really wonderful.. sujal kashish kii kitni zyada izzat kartha hai woh baat humein uski baaton se patah chal hii gayi.. aur mujhe lagtha hai kii kashish bhii yeh baat mehsoos kar rahii hothi hai... mujhe pukka yakeen hai is baat par.. i'am so happy kii sujal ne kashish ko mangalsutra pehenaya aur kashish ne object bhii nahii kiya.. this shows kii though just to fulfill her mother's last wish kashish ne sujal se shaddi karne ke liye haan keh dii, par phir bhii woh yeh rishtha nibha ne ko taiyaar hai.... gooddd... then sujal, kashish ka woh drive back home in khamoshi.. lekin us khamoshi mein bhii aisi bohat saari baatein thi joh bayaan hogayi.. that silence was worth more than a thousands of words spoken.. sujal ka telling kashish kii aaj se uska ghar kashish ka bhii hai.. his telling kii aaj thak mera ghar bas makaan tha aaj ghar hua hai.. all these small talks show the depth of his feelings he has for kashish.. then sujal ka showing kashish his home.. the description you guys gave to his house was very nice.. unka ghar bohat hii achcha hai.. just like a dream house.. kashish ghar dekhne ke saath saath sujal ke baare mein bhii jaan rahii hai.. chalo good.. aur usse us ghar mein apnepann sa lagtha hai kyun na ho after all uske pati ka ghar joh hai , joh ab se uska bhii ghar hoga.. hehehe.. then sujal ka kamre ka description, har jagah white aur red.. waahh kya baat hai.. unka talking about the painting all this was very nice.. sujal, kashish ka ek dusare se kehna kii they woh nahii chahthe kii the other person change themselves.. that was very sweet.. then the scene of kashish telling all the best to sujal.. sujal kii smile.. hyee... this scene was out of the world.... then kripa aur kashish ke beech kii baatein.. hmm.. i think kashish will slowly start finding a friend in kripa... jis tarah sujal ne angad, kripa ko saath laaya.. wass tooo goodd.. sujal is really shona... he is so intelligent.. aur sahii bhii hai jealousy always work in pyaar.. kyunke pyaar mein possessiveness is the key.. aur jahaan baat possessiveness kii hothi hai wahaan jealousy bhii hothi hai.. then kashish clearing her mann ke doubts & asking kripa kii kya woh baat kii sujal loves her sach tha.. kripa agreeing & telling to what extent sujal loves her... all this was very nicely written.. lekin yeh dekho kashish phir se sach se bhagging & she wants time for herself aur uska camera lele chale jaana.. yeh kashish kii aisi haraktein put everyone in pareshaani.... bechara sujal pareshaan hogaya.. uffffffff... lekin i'am sure bas ek baar sujal kashish ko khul ke jeena seekha de phir kashish kabhi akeli nahii rehna chahegi.. Thank God.. kashish wapas aagayi... sujal ko tho aise laga hoga jaise uske jaan mein jaan aayi ho.. then kashish madam ka khane ko lekar nakhre.. yeh kashish should think about sujal na subaah se bechare ne kuch nahii khaya.. khud tho bhooki rahegi sujal ko bhii bhooka rakhegi.. very bad... i liked the way kripa ne kashish ko samjhaya... then mujhe sujal, angad, kripa ka rishtha dekh kar bohat achcha laga.. then phir kashish bechari ko apni mom kii yaad aagayi.. she leaves the place.. i really feel bad for her... lekin woh theek hogi sujal hai na usse sambhal ne ke liye.. then sujal, kashish kii baatein in the room.. sujal wants to make kashish comfortable aur he is going to the other room.. aur kashish ka usse rokhna.. sujal ka telling kashish she will address him as tum & not aap.. all this was so very nice.. & communication hona un dono ke beech is very necessary, kyunke is tarah they will understand each other better.. then sujal ka sleeping on his side of the bed.. & kashish ka working till 2 in the night.. kashish itna kaam karri hai just to rum away from her problems & happenings in her life.. lekin mujhe joh baat sabse achchi lagi woh yeh hai kii sujal ke kehthe hii kii go to sleep usne sujal kii baat maani aur woh so gayi... goodddddddddddddddddddddddddddddd......... guys story bohat hii achche se agge badh rahii hai.. keep up the good work goingh.. mujhe bohat mazaa aa raha hai to read the parts... the story is progressing too damn well.. awesome.. amazing..rocking... simply superb...great going...👏ab guys coming to my guess work on the forth coming parts.. well in the coming up parts i think the parts are going to be very interesting.. pehle tho shayad sab logon ko office mein yeh baat pata lagega kii sujal, kashish ne ek dusare se shaddi kar li hai.. sujal har woh koshish karega jisse kii kashish comfortable ho.. sujal will see to it kii kashish khud ko kabhi bhii kissi bhii keemat par akela na mehsoos kare.. i think sujal will try every means to cheer kashish up.. then mujhe tho yeh bhii lagtha hai kii sujal, kashish ek dusare ke saath zyada se zyada waqt beetayenge, kyunke office mein bhii dono saath hii honge.. aur ab se sujal kashish ka khayal rakhega, yeh khayal rakhega kii kashish eats her breakfast, lunch & dinner on time.. i think kashish bhii sujal ko samaj ne lagegi... dono hii ek dusare ko samaj ne kii poori koshish karenge.. & i also think kii shayad aaj nahii tho kal, kal nahii tho baad mein kashish ka saamna apne ateet se zaroor hoga.. now this is my guys please mujhe zaroor batana i really want to know..😉 summi, kashu please continue soon.. waiting for the next part eagerly..😊😛😃
😛
324