Raj's Past -
Raj Saumya grewal aur Pari grewal ka eklauta beta hai.. Jab Raj 3 saal ka tha tab Saumya aur Pari ki plane crash mein death ho gayi woh dono apne bahot hi close friend Rishab Roy se milne ja rahe the, Raj ko saath nahi le ja sakte the isliye usse ghar par hi apni dadi ke pass chod gaye.. Maut kya hoti hai aur uske maa baap kaha chale gaye yeh sabb samajhne ke liye bahot chota tha Raj.. uski dadi usse jitna pyaar dular de sakti thi unhone diya.. tabiyat kharab rehne ki wajah se woh Raj ka theek tarah se dhyan bhi nahi rakh pa rahi thi.. isliye unhone Raj ka dhyan rakhne ke liye kaushalya ko appoint kiya.. Raj unke saath bahot ghul mil gaya aur unhe dai maa kehta tha RAj.. Raj ki Dadi ko tassalli ho gayi ki kaushalya unke na rehne ke baad bhi Raj ka pura dhyan rakhegi.. Raj ki dadi ki tabiyat bahot kharab rehne lagi.. Raj ka 4th Bday dadi ki tabiyat kharab hone se raj bday celebrate nahi karna chahta tha, woh apni dadi ke paas gaya, doctor aur dai maa bhi thi waha -
Raj - dadi aapko kya ho gaya hai?? maa papa ki tarah aap mujhe chod kar matt jana.. mujhe akele acha nahi lagta.. aap jaldi se thik ho jao na dadi mujhe bilkul acha nahi lagg raha.. (Raj yeh sabb rote rote bol raha tha..)
Dadi(unhe bolne mein bahot takleef ho rahi thi..) - mere bacche tu ro mat.. tu akela kaha hai teri dai maa haina.. woh .. hamesha.. tera kh khayal rakhegiii.. aajjj.. tera janamdin haina.. meinnn tere liye ek tohfa.. tohfffa layi hoon.. aisa tohfa jo zindagi.. zzindagi bharrr ke liyee tere.. terrree saath rahegaaa.. (unhone kaushalya ko kuch ishara kiya..)
kaushalya apne saath ek chote se 3 saal ke bacche ko lekar ayi.. Raj dauda uske pass.. uske gaal par haath bhi lagaya.. usse aisa lagg raha tha jaise ek chota sa khilona mil gaya ho usse..
Raj - dadi ab yeh hamesha mere hi saath rahega.. mein hamesha iska dhyan rakhunga.. isse apne khilone bhi dunga aur apne dosto se bhi milwaunga..
Dadi - haa mere bacche.. issi liye tooh mein isse layii layyiiii hoonn.. aabb meinn chainnn se ja ja sakthiii hoonnnnnn..
(yeh kehkar dadi ki akhri saas bhi tut gayi..)
Raj - dadi dadiii dadii utho na dadi.. dadi kya hua dadi bolo na kuch dadiiiii (Raj rone laga..)dekho na dai maa dadi ko kya ho gaya.. woh bolti bhi nai hai.. aap dadi se kaho na mujhse baat kare..
dai maa - beta teri dadi chali gayi hai.. tu ro matt tu janata hai na dadi ko kitna dukh hota ahi jab tu rota hai..
Raj - mein nai rounga par dadi se kaho na wapas aa jaye.. kaha chali gayi dadi.. dadi utho na..
dai maa ne raj ke aansu puche aur usse samjhane lagi..
dai maa- beta teri dadi tere mummy papa ke paas gayi hai.. tere mummy papa ko bhi to unki jarurat haina.. ab tu ro matt.. tu ta samajhdar haina.. acha beta haina.. dekh yeh tera naya dost bhi roo raha hai tujhe dekh karr.. chal isse chup kara.. dadi ne tujhe iski zimmedari di haina.. phir agar tu iska khayal nahi rakhega to dadi kabhi wapas nahi ayegi..
Raj - yeh mera dost nahi hai.. yeh to mera chota bhai hai.. mein hamesha iska khayal rakhunga.. isse apni har cheez dunga.. tab to dadi bhi wapas aa jayegi na mujhse khush hoke..
dai maa ne kuch nahi kaha woh raj ko gale lagakar rone lagi..
Raj bada hota raha apni dadi ka intazaar karta raha.. roz raat ko aasmaan ki taraf dekh kar apne maa papa se kehta ki"aapko dadi ki zarurat hai isliye maine unko apke paas bhej diya lekin mujhe unki bahot yaad ati hai mujhe aapki bhi bahot yaad ati hai.. aap sabb mere paas wapas aa jao na.. main bilkul shararat nahi karunga, pata hai main apne chote bhaijisko dadi ne mujhe gift diya usska bahott khayal rakhta hoon.. main uska naam arjun rakha hai.. aap wapas aa jao na hum sabb milkar khelenge.. mein god se pray karta hoon lekin woh sunte hi nahi.. phir bhi mein roz pray to karta hoon.. aap bhi unse kaho na ki woh sun le.. dadi kehti hai ki chote baccho ki har baat manni chahiye to dadi se kaho na woh bhagwan ji se bhi kahe ki meri baat manle.."
waqt nikalta gaya aur saath saath Raj ka dil bhi tut gaya.. usse dhire dhire ehsaas hone laga ki abb uske mumma papa aur dadi kabhi laut kar nahi ayenge..
Raj arjun se bahot pyaar karta tha.. usse chot lage usse pehle usse cover kar leta tha raj.. hamesha har musibat aur pareshani se bachane laga woh arjun ko aur ab to arjun hi uski zindagi hai aur uske jine ka maqsad bhi.. Raj apna har dukh dard pareshani apni dai maa ko hi bata tha.. jab thak jata to dhire se aa kar dai maa ki gaud me sir rakh kar soo jata tha usse bahot sukun milta tha..
Raj ne engineering ki electronics and communication branch se. college mein aise koi ladki nahi thi jo uspe marti na hoo.. par Raj kissi ki taraf dekhta bhi nahi tha.. usse lagta tha ki "yeh ladkiyaan jab choti bacchi hoti hai tabhi tak samajhdar rehti hai aur baad mein jab badi ho jati hai to na jane kya bhut sawar ho jata hai.. make up aur boyfriend ke alawa inhe kuch nazar hi nahi ata.." Raj ka best friend hai Angad Khanna. Angad Raj ke dil ki baat har baat uske bataye bina bhi jaan jata hai.. Angad ne Raj ko har kadam par support kiya hai.. Raj ne MBA nahi kiya, apni padhai yahi rok di..usse ab apna family business sambhalna tha.. saumya ke jane ke baad business ki halat bahot kharab ho gayi.. sare employees aur workers ne kaam chod diya.. kuch logo ke copany chodne ki wajah paisa aur jyada acha offer tha to kuch employees aur workers bahot loyal the unhone kaam isliye choda taki woh log iss pariwar par bojh nahi banna chahte the, par inn sabb loyals ko uss din ka besabri se intezaar aur vishwas tha jab Raj phirse iss business ko bulandiyon tak le jayega.. inn loyals mein ek hai Mr. sharma.. jab Raj ne phirse business shuru karne ki baat ki to sharma ji ne Raj ka support kiya aur usse himmat bhi di aur madad bhi ki.. Sharma ji ki madad se Raj ne sare loyals ko bulaya.. sabhi ne Raj mein vishwas jataya aur Raj ki har mumkin madad ki.. Rasta aasan nahi tha, bahot mushkile thi, ek waqt to aisa aya jab Raj tut gaya usse abb aur bardasht nahi ho raha tha.. sab kuch sambhalna bahot mushkil ho raha tha uske liye woh bass harr manne hi wala tha lekin jab usne arjun ki taraf dekha to usmein phirse jaan aa gayi usne dugni mehnat ki aur aaj woh bulandiyon par hai.. He is business man of the year..
Times magazine (1 Jan 2009) mein Raj ki puri zindagi, uski struggle par article chapa hai.. (arjun uska real bro nahi hai yeh nahi chapa hai.. yeh kissiko pata bhi nahi hai sirf raj aur dai maa jante hai..)
35