Hogi Pyaar Kii Jeet-RajeevAamna FF-New Link-PG:150 - Page 44

Created

Last reply

Replies

1k

Views

115.3k

Users

54

Likes

415

Frequent Posters

Surya.Ravi thumbnail
Posted: 16 years ago

Originally posted by: nidha1983

waoh dear🤗 it's really a sweet one⭐️ so cute😍superb spl Yash; Armaan; Ridhima's talk😊 plz continue it soon😛 & thanks for the pm😉


"Dosti k vade ko uhi nibhate rhenge,
Hum har waqt apko uhi state rhenge,
Mar bhi gye to kya gum,
Hum ansu bankar aapki ankho me aate rhenge."


http://www.rajdhaniflorist.com/flowers/customer_favorites/40%20pink%20rose.jpg vspace5

"Kaanta na hota tau phool ki hifaazat na hoti,
Andhera na hota tau roshni ki zaroorat na hoti,
Agar mil jaati har khushi duniyan mein yunhi,
Tau dil ki mulaqat dard se na hoti."



With Luv: ~
Nidha🤗



thanku so much dear.. i relly like your poems.. i'll try & continue soon...😊
Surya.Ravi thumbnail
Posted: 16 years ago

Originally posted by: rajeev-bigfan

hieeeeeeeeeeeeee diiiiiii..!!!🤗🤗

pehle toh thachooo toh dat song..!!😃😃😛 ki u get inspired n likha yeh part warna toh humne pta ni kitna wait karna padhta...😭

n part was jus toooo gudie guide...!!yash n ridzi choo chweeet..!!😛..

⭐️...

ab chah ko bhi wapis le aoo..!! 😛😃..

keep rocking dii..!! post soonn..!! 😊



nehuu no shukriya yaar.. that song is really touching...i'll surely continue soon..😊
Surya.Ravi thumbnail
Posted: 16 years ago

Originally posted by: Iqbal Neha1

amazing part, I really liked the first scene were chah and yash turn around to see each other and also the way u potrayed chah's feelings towards yash was truly amazing.The scene between yash and ridz was really emotional i really liked the way yash explained to ridz that it was a joke,poor armaan really got a bad punishment but i really liked the scene between AR it was really cute.The way Yash was explaining to ridz thatt it is important to not take everything seriously and always remember the love she has 4 armaan was a really good scene finally ridz knows that yash has someoner special in his life cant wait till she finds out that it's chah who will become her bhabhi.The scene between akshat and rishi was really nice i really liked the way u showed their brotherly bond,poor akshat couldn't even get rid od rishi easily and the way rishi was annoying him was really funny.The scene between sneha and kajaal was really good i really liked the way kaajal was teasing prerna and the way u showed chah's importance in everyones lives was really amazing. The scene between AR was really cute the way both of them were keep on saying taht it was their fault was really sweet the way u potrayed their relationship was realy intresting.Yash and chah's phone convo was really intresting cant wait till they meet again and the lines that yash said were really beautiful.Also the song used within the part was really nice it really went with the scene.Cant wait to read the flash back to see how yash and chah met each other.

👏



thanku so much dear.. your xomment gave me immense happiness.. chah aur yash kii mulaqaat hogi lekin after the flashback..... thanku..i'll try & continue soon...😊
Surya.Ravi thumbnail
Posted: 16 years ago

Originally posted by: goodkashish

hi suri...i m so sorry for late reply woh maine kaha tha na ki main kuch busy hoon to....but anyway it was a wonderful part and i really enjoyed it....sabkuch is part me tha....aur sach kahoon waha ja to chah rahi thi lekin dil mera ro raha tha ki kyun chah apni sunhari kismat ko thokar marke ja rahi hai.....koi aise thodi na karta hai....i mean yash to uska dost tha to uske saath...agar aap ko kisi se pyaar na ho to iska yeh matlab to nahi ki aap unki dosti bhi tod de....aur woh bhi yash jaise insaan ki jo chah se kehta hai ki woh puri zindagi uska intzaar karega lekin chah ki jagah kiisi aur ko nahi dega....waise main chah se yahi kahungi ki bahot kam naseeb log hote hai jinhe apne dost me pyaar milta hai aur woh bahot hi khush naseeb hote hai jinhe apna pyaar khoke wapas aata hai......main aisa manti hoon ki dubara wapad lauta pyaar bhagwan ka faisla hota hai jise hum inkar karke bhi nahi keh sakte kyunki unki kismat ek dor se bandhi hai jo itne saalon me bhi nahi tut saki....khiar yeh baat chah bahot jald samaj jayegi ki woh yash se juda hoke bhi kyun use bula nahi sakti....woh yash ko mudke dekhna aanshu girna woh hichkichahat sab kuch baya karti hai ki woh yash ko piche chodke nahi jana chahti....aur yash hai jo bahar itni thand me chah ki flight ko take off karne ka intzaar kar raha hai.....waise mera dil kyun keh raha hai ki yash ko pata tha ki chah ek bar use jane se pehle zaroor baatien karegi....aur yahi hua yash ki khwaish puri ho gayi....muje aisa lag raha hai ki bahot jald kuch aisa hoga jinse chah ko dubara yash ki zindagi me aana hi hoga.....lekin muje abhi bhi yakeen nahi hota ki yash ne use jane diya aur chah bhi chali gayi....yeh chah ki problem kya hai....sabhi ko rasta dikhati hai aur khud hi khai me dub rahi hai...khir woh ab uski marzi....beautiful song lines which u wrote so keep going...now i cant wait to read the next part which we can know the truth behind them....i m so eagarly waiting for it so ple post soon........thanks for PM and IM........

love

Kashish


kashu thankoo so much for your comments.. i always just love your comments.... they make me fly high.... thanku once again.. i'll surely try & post the next part asap..😊
Surya.Ravi thumbnail
Posted: 16 years ago
silent readers please leave a comment.. even if it is a single word.. i would be happy..😊
Surya.Ravi thumbnail
Posted: 16 years ago
sorry guys but who are waiting for YC's flashback, they will get the flashback on part 13..😊
Surya.Ravi thumbnail
Posted: 16 years ago
waise guys did you see SKS promo, Rajeev looks great na..😃
Surya.Ravi thumbnail
Posted: 16 years ago
Next part coming in five minutes..😊
Surya.Ravi thumbnail
Posted: 16 years ago

Hello Guys..
How are all of you..Well sorry I know kii is baar maine aap sabko thoda sa zyada intezaar karwaya.. woh actually hua hoon kii last Saturday was supposed to be my last day of internship… tho ussi liye I was busy.. I have submitted my final report & have got approval for it… aur report likhne ke baad jab maine fanfic likhne kii sochi tab I fell sick… ab jaake theek hui hoon…guys I was thinking kii by the end of this month, that is july I'll post "Hogi Pyaar Kii Jeet" till part 17.. this is my plan for now… but let us see if it works out… waise guys are you seeing 'Sach Ka Saamna's' promo on Star Plus & Star One.. The promo is awesome… Rajeev looks great… & I'am super excited to watch the show.. anyway meri yeh baatein tho chalthi hii rahengi.. I think I should stop talking now… & I should continue with the next part of my fanfic "Hogi Pyaar Kii Jeet"… waise guys I still cannot believe that my internship is over… lekin ab chaliye ek nazar daalthe hai recap par aur dekhthe hai kii aakhir kya hua tha "Hogi Pyaar Kii Jeet" part 11 mein….

Recap:- in the last part humne dekha kii yash is kind off confused kii aakhir woh kare tho kya kare.. kyunke ek taraf woh chah ko samjha nahii paa raha that ho dusari taraf woh apne dil ko bhii tho samjha nahii paa rahii tha… woh ek tarah kii confusion mein aa gaya tha kii aakhir woh kare tho kya kare.. apni dil kii sune ya apne dimaak kii.. dil keh raha tha kii ab bhii woh umeed na chode kyunke chah kabhi na kabhi uski zindagi mein aayegi.. aur dimaak kahiin na kahiin yeh baat keh raha tha kii shayad it is better to move on.. aur yeh akshat hotha hai joh yash ko aise haalat mein samjhatha hai kii it is not good to move on… akshast words, uski baatein yash ko woh himmat de jaati hai, which had slowly started to get less….lekin ab tho yash is trying to get close to chah with double interest, he even has chah's number, because of akshat assertive behavior… ab we also saw a sweet mulaqaat between chah & yash in the airport.. jahaan par phir se woh dono dil se dil kii baatein karthe hai.. ek dusare se aisi baatein karte hai joh shayad kissi se bhii na kare… yash aur chah kii baaton se hume yeh bhii kahiin na kahiin maloom chal hii gaya hai kii un dono ka past, unki woh pehli mulaqat kii yaad ab thak unke saath hai, un dono ko harr choti si choti cheez yaad hai… shayad yahii wajah hai kii aaj dono kii apni zindagi mein agge nahii badh paa rahe hai… ek aisi dor hai joh unhe ek dusare se baande hue hai…. Then we also saw some romantic moments between armaan & ridhimma… and humne yeh bhii dekha kii kis tarah rishi akshat ko pareshaan karr raha hai… all this was very sweet lekin part 11 ke end mein yash aur chah ke beech phone par baat hothi hai… aur phir dono hii apne apne manzil kii taraf chale jaathe hai….chah's flight takes off to Delhi, while yash leaves the airport…. Chaliye yeh tho hui recap kii baat, ab zara dekhthe hai kii agge kya hoga..

*****Hogi Pyaar Kii Jeet – Part 12*****

[Guys please remember it is 2007 which is going on in the fanfic for now]
Tho hum dekhthe hai kii chah flight mein baiti hui hai… she is just reading a magazine… wahaan par air-hostess aathi hai.. aur chah se kehthi hai:- mam would you like to have any juice or cold drink…
Chah smiles & says:- yaa give me a pepsi…
The air hostess hands chah her cold drink.. chah takes it & says a thank you… and then the air hostess leaves from there to attend other people who are on board… abhi chah bas magazine ke panne hii palat rahii hothi hai… she was not really concentrating on what she was seeing or what she was reading.. aisa lag raha tha kii chah ka mann kahii aur hai.. yes physically she was on the way back to Delhi, lekin apne dil se she was still in Shimla.. chah ko aise lag raha tha kii usne apna dil wahiin Shimla kii waadiyon mein chod diya tha….chah bohat koshish karti hai is baat ko apne zehen se durr karne kii, lekin woh karr hii nahii paa rahii hothi hai.. reh, rehkarr yahii khayal hai joh uske mann mein aa rahe hothe hai.. uske dili dimaak par hawii ho rahe hothe hai..
Woh jitna yash ke khayalo se bahar nikal na chahthi thi utna hii woh khud ko yash ke khayalon mein duba hua paati thi… aur chah nahii jaanthi thii kii yeh sab joh ho raha hai woh aakhir kyun ho raha hai.. lekin dusari taraf agar chah yeh baat jaanthi bhii thi tho woh is baat se durr bhaag ne kii koshish mein lagii thi.. kyunke woh kabhi yeh baat ko sweekaarna nahii chahthi thi kii usse yash se pyaar ho chala hai.. kyunke chah kabhi bhii pyaar karna nahii chahthi thi.. lekin woh ek baat nahii jaanthi thi kii pyaar kiya nahii jaatha bas ho jaatha hai… aur shayad chah ko bhii is pyaar ke ehsaas ne kahiin na kahiin choo liya hai, issi liye chah yash se durr bhaag na chahthi thi.. apne aur yash ke beech ek distance create karna chahthi thi.. chah poori koshish karti hai to come out of yash's thoughts lekin woh mumkim nahii ho raha hotha hai.. phir chah sochthi hai kii shayad yeh one hour kii flight mein woh thoda so legi as she is very tired.. lekin jab woh sone ke liye apni aankhein bund karti hai tho uski aankhon ka neend bhi usko dhoka de jaata hai.. as soon as she closes her eyes woh pehla chehra joh uske saamne hotha hai woh yash ka hotha hai.. chah opens her eyes immediately… she suddenly starts feeling like yash kahiin na kahiin uske pass hai..aur woh yeh bhii bhool jaati hai kii woh flight mein baiti hai & she is going back home.. tab hii chah sees the surroundings aur usse yaad aa jaatha hai kii woh kahaan hai.. she heaves a sigh of relief..ab chah ko yeh ehsaas ho chala kii woh so nahii paayegi tho she gets back to what she was doing earlier that is magazine ke panne palat na… aisa karthe karthe chah kii nazar ek article par padthi hai which says "Love Lost & Found"… is article mein ek aisi kahani hothi hai jahaan do pyaar karne waale haalat kii wajah se bichad gaye hothe hai.. lekin iske bawajood bhii unka ehsaas hamesha ek dusare ke saath hotha hai.. aur aakhir mein unka milna bhii hotha hai kyunke unka pyaar harr us mushkil se bada tha joh unki raah mein aaya tha… article ke last mein ek quote likha tha, "Love Lost Can Always Be Found Back, It Just Needs A Little Effort To Do That"… chah reads that line & she starts brooding over the article… chah starts thinking:- kya joh is article mein likha hai woh sach ho saktha hai.. kya love lost can always be found… kya all it takes is an effort to make your love work… kya main kabhi apne pyaar ko wapas paa sakthi hoon.. kya maine joh pyaar khud apne haathon se tukra diya, woh kabhi mera ho sakta hai kya.. kya.. main aur yash…
Chah then abruptly, keeps a hand on her forehead aur khud se kehthi hai:- yeh main kya soch rahii hoon main aur yash.. main hum dono ke bare mein kyun soch rahii hoon.. sach tho bas yahii hai kii meri aur yash kii manzil bohat alag hai.. woh aasmaan hai tho main zameen.. aur yeh zameen aur aasmaan apne jagah hii theek hai… agar hum dono mil gaye tho zameen aur aasmaan mein tho koi antar hii nahii rahega.. lekin mere mann mein yash ke bare mein yeh khayal hii kyun aa rahe hai.. main jaanthi hoon kii main yash se pyaar nahii karti, bas aaj se theen saal pehle yash mera dost hua karta tha, lekin aaj haalat kii wajah se hum dono ke beech tho na woh dosti rahii aur na hii koi aur rishtha… tho phir kyun mujhe aise lag raha hai kii koi unkahi dor hai joh mujhe yash se band rahii hai, mujhe kyun ek unchaha force yash kii taraf kheench rahii hai.. yeh mujhe kya ho raha hai.. main tho kabhi bhii aisi nahii thi.. main kyun yash ko khud se alag nahii karr paa rahii hoon… main yash ko khud se durr na theen saal pehle karr paayi thi aur nah ii aaj usse khud se alag karr paa rahii hoon.. yeh kaisa rishtha hai mere aur yash ke beech joh chupi mein bhii hazaar baatein bayaan karr dethi hai.. joh unkahe jazbaat bhii ek dusare se hokar hii guzarthe hai.. humara yeh rishtha joh hai woh waisa kyun hai.. joh khamoshiyon mein bhii humare dil kii baaton ko ek dusare thak pohancha hii dethi hai… main yash se khud ko itna attached kyun mehsoos karthi hoon… main yash ko aakhir apne zindagi se kyun nahii nikal paa rahii hoon. Ek waqt tha jab main aur yash ek dusare ko jaanthe the lekin us waqt ke baad meri aur yash kii raahein alag ho gayi thi.. tho phir aaj bhii mujhe aisa kyun lagtha hai kii yash ke saath joh maine kiya woh theek nahii hai.. main jaanthi hoon kii yash ne mujhse kaha tha kii mujhe joh sahii laga maine wohii kiya aur usmein meri koi ghakthi nahii thi.. lekin iske bawajood bhii main khud ko kasoorwaar maanthi hoon… patah nahii lekin yeh guilt kab mera peecha chodega.. kya kabhi main is guilt se bahar nikal sakti hoon.. kya main ek aisi zindagi jee sakthi hoon jis mein yash ka naamo nishaan bhii na ho… kya kabhi main apni zindagi mein ek aisa din guzaar sakthi hoon jis mein yash kii yaadein na ho…. Chah jab yeh saari baatein soch rahii hothi hai tab uske dilo-dimaak se ek awaaz aati hai.. it says.. chah tum yash se kabhi bhii alag nahii ho sakthi.. kyunke kahiin na kahiin tum bhii yeh baat jaanthi ho kii tum usse pyaar karthi ho.. dil laga baiti ho tum yash se.. yahiin wajah hai joh tum yash se kabhi khud ko alag nahii karr paa rahii ho…aaj se theen saal pehle bhii tum usse durr hoke bhii durr nahii hui.. kyunke tab bhii tum usse pyaar karthi thi aur aaj bhii tumhare dil mein wohii jazbaat hai.. lekin haan in theen saalon mein tumhare dil ke jazbaat yash ke liye aur bhii zyada mazboot ho gaye hai… tum bhii yeh baat jaanthi ho… lekin tum jis tarah se theen saal pehle is baat se bhaagi thi aaj bhii tum waise hii karr rahii ho.. is mein koi farq nahii hai… maan lo chah tumhe yash se mohabbat hai.. tum usse pyaar karthi ho.. chahe tum is sach se kitna bhii kyun na durr ho jao, lekin sach hamesha yahii rahega kii tumhare dil mein yash ke liye special feelings hai.. woh feelings joh tum janthi tho ho lekin kabhi usse sweekaarne ko raazi nahii ho… tum darrthi ho chah.. darrthi ho tum.. kii kahiin tumhe pyaar mein koi dhoka na mil jaye.. aur issi wajah se tum yash se, khud se durr bhaagthi rehthi ho… chah tum yeh baat maano ya na maano.. tumhare dil mein yash ke liye chahat dabe hai.. tum ussi chah se durr bhaag rahii ho.. tum joh guilty feel karr rahii ho uski wajah bhii yahii hai kii tumhe lagtha hai kii yash ke saath joh tumne kiya sahii nahii kiya… yahii wajah hai joh tum aaj yash se durr hone ke bawajood bhii khud ko uske kareeb mehsoos karthi ho… bhale hii yash tumhare saath is waqt, is pal na ho, lekin yash tumhare zehen mein, tumhare har ehsaas mein harr pal rahega tum jaanthi ho kyun kyunke tumhare dil mein uske liye feelings hai… chah yeh baat yaad rakho love lost is not lost & it can be found in any instance…
Chah khud se kehthi hai:- nahiii.. yeh sahii nahii hai.. main nahii maanthi kii mujhe yash se pyaar hai.. yash aur mere beech agar koi rishtha that ho woh sirf dosti ka hii tha, aur woh bhii sirf tha… na theen saal pehle mere dil mein yash ke liye mohabbat thi aur nah ii aaj mere dil mein uske liye mohabbat hai.. aur aaj yash mera kuch nahii lagtha… uske aur mere beech koi rishtha nahii hai.. na dosti na pyaar… hum bas ek dusare ke liye ajnabee hai.. aur ajnabeeyon ka saath sirf kuch palon ka hotha… ajnabee milkar bichad jaathe hai.. mere aur yash ke beech joh rishtha hai woh bhii kuch aise hii hai.. tho kya hua agar main yash ko pehle se hii janthi hoon… lekin aaj tho main usse nahii jaanthi na.. aaj yun achanak se yash se mere kal se mera saamna hua.. lekin yeh bas ek itefaq kii baat hai.. yeh zaroori tho nahii kii meri aur yash kii raahein aapas mein phir se takraye… aur jab armaan aur ridhimma kii baat agge badegi tab bhii main yahaan se koi bahana karke chali jaaungi.. Shimla nahii aaungi.. yeh theek rahega.. issi tarah se main yash se saamna avoid karr sakthi hoon.. main yash se milkar uske dil mein jhooti umeed nahii paida karna chahthi kii shayad main kabhi is zindagi mein uski ho sakthi ho.. main nahii chahthi kii main yash ko koi bhii ghalat baat ka indication doon… kyunke mere dil mein yash ke liye na dosti hai aur nah ii pyaar… agar dosti thi, tho woh bas thi.. meri aaj kii zindagi mein nahii hai.. aur meri zindagi mein yash ke liye koi jagah nahii hai na aaj.. aur nah ii agge chalkar mujhe yash kii zaroorat hai.. shayad haan yeh sahii hai kii main yash se durr bhaag na chah rahii hoon…. Shayad yeh bhii sahii hai kii aise karthe hue main apne jazbaat se durr bhaag rahii hoon.. apni khud kii zindagi se durr jaa rahii hoon.. lekin iske bare mein main kuch nahii karr sakthi.. shayad Bhagwaan ne merei zindagi mein pyaar likha hii nahii… issi liye tho mujhe pyaar ke ehsaas se bhii nafrat hai.. issi pyaar ke ehsaas ne mere bachpann ko aasoo se bhar diya… pyaar agar kissi ko dard detha hai, tho isse behtar tho yahii hai kii hum khud pyaar se durr rahe aur khud ko takleef de.. kyunke takleef tho dono haal mein hii hotha hai.. chahe pyaar karo ya na karo… mere bachpann mein joh mujh par beeti, shayad usse kayi gunaah zyada dard main yash ko de rahii hoon, usse durr rehkar lekin yash bhii yeh seekh jaayega kii hum jitna bhii kyun na koshish kar le reth ko haath mein pakad ne kii lekin reth kabhi haathon mein nahii teher tha.. reth waqt kii tarah hii hotha hai.. yash zaroor waqt ke saath yeh seekh jaayega kii we were not meant to be… love lost is always found back… lekin mere aur yash ke beech tho koi love nahii hai.. main yash se pyaar nahii karthi hoon… mere dil mein yash ke liye koi jazbaat, koi feelings nahii hai.. yash bhii yeh baat aaj nahii tho kal seekh hii jaayega kii agar humari raahein alag ho tab hii behtar hoga… kyunke main kabhi yash ko uski zindagi mein woh khushi, woh pyaar nahii de paaungi joh woh deserve kartha hai.. yash kii zindagi mein ek aisi ladki ka hona zaroori hai joh yash ko samjhe… joh yash ko pyaar kare… joh yash kii parwaah kare.. aur main jaanthi hoon kii main woh kabhi nahii ho sakthi.. kyunke mujhe tho pyaar ke lafzz ka matlab hii nahii patah.. main yeh bhii nahii samajthi kii pyaar hotha kaisa hai.. mujhe pyaar karne ka koi hakh nahii hai.. kyunke main nahii chahthi kii agge chalkar main apne so called maa aur baba ke jaise banu… mere ragon mein unka khoon hai.. main nahii chahthi kii main Mr. Chetan Mehra aur Mrs. Trishna Mehra, opps Trishna Bajaj kii tarah banu.. shayad unke beti hone kii sazaa mil rahii hai mujhe.. shayad unki beti hone kii wajah se aaj mujhe pyaar karne ka koi adhikaar nahii hai… unki wajah se main pyaar jaise shabd se nafrat karthi hoon, joh shabd chaaron aur khushiyaan failathi hai main ussi shabd se , ussi ehsaas se koso durr rehthi hoon.. bas un logon kii wajah se jinhone mujhe bachpann mein pyaar ke bajaye yeh seekh dii kii pyaar jaise shabd se nafrat kaise karthe hai.. meri kismat mein tho yahii likha hai… lekin haan main bas yahii chahthi hoon kii chahe bhale hii yash kitna hii kyun na mana karle zindagi mein mere yaadon se agge bhadne ke liye.. chahe yash kyun nab hale hii yahii kehtha rahe kii woh hamesha mera intezaar karega lekin iske baad bhii main yahii chahoongi kii yash ko uski zindagi mein ek achchi jeevan saathi mil jaye.. shayad us din main apne guilt se baahar aa sakoongi.. shayad us din main yash ko apni yaadon se bhii nikaal doongi… meri zindagi mein main akeli theek hoon.. mujhe kissi humsafar kii zaroorat nahii hai.. mere liye mera pariwaar hai.. mere apne hai.. jinke saath main bohat khush hoon.. lekin iske bawajood yash kii kami mujhe kabhi kabhi khalthi hai… lekin I'am sure waqt ke saath main bhii agge badh jaaungi aur yash bhii agge badh jaayega.. kyunke mujhe mera past pyaar karne kii izzazat nahii detha.. [chah khud ko convinence karne ke andaaz mein khud se kehthi hai] aur yash ke dil mein mere liye joh feelings hai, joh pyaar hai I'am sure woh mehaz infatuation hai, attraction hai.. jab yash kii zindagi mein koi aura a jaayegi tab woh zaroor mujhe bhula dega… aur wohii tho main chahthi hoon kii yash mujhe bhool jaye.. meri yaadon ser bahar nikal kar nayi yaadein banaye… kyunke yash ke liye yahii sahii hoga… aur main akeli hii theek hoon.. kyunke mujhe yash ke pyaar par koi adhikaar nahii hai, kyunke main kabhi uske feelings ke liye reciprocate nahii karr sakthi hoon… main bas akeli hii theek hoon.. this is my life.. & I'am very hapy with it, how ever it is.. I don't need yash in my life… [chah kii aankhon se ek boond assoo girthe hai, from the corner of her eye.. she just wipes off the tear.. & then puts a fake smile on her face which shows she is strong aur usse kiss eke saath kii zaroorat nahii hai..] chah then just closes her eyes… & she tries to get some sleep.. as joh baat uske dimaak mein chal rahii hai usse usko ab head ache hone laga tha…

Song In The Background (For Chah):-

"Bewafa tum nahi ho…
[Chah ke zehen mein yash ka khayal aatha hai… she just closes her eyes.. aur uske saamne yash ka hastha hua, muskuratha hua chehra aa jaatha hai..]
Bewafa hum nahi hain….
[Chah is lost in the thoughts kii woh bhale hii chahe kuch bhii kyun na kar le lekin woh kabhi yash se pyaar nahii karr sakthi..]
Apnki kismat main shayad…
Ghum bhi kuch kum nahi hai….
[Chah thinks bak to the time jab usne yash ka udaas chehra dekha tha, when she refused him.. aur Chah ko yeh bhii lagtha hai kii uske dil mein kahiin na kahiin chuppi hui udassi hai.. joh woh kissi se bhii bayaan nahii karthi.. khud se bhii nahii..]
Ek hulchul si jaane…
Kyun rahe mere mann main…
[Chah thinks kii jab bhii woh Yash ke bare mein sochthi hai uske dil mein ek tarah kii restlessness aa jaathi hai…]
Kuch samaj main naa aaye…
Kya karoon uljhun main…
[Chah thinks back to the time jab woh confused hothi thi jab yash kii yaadein usse tadpathi thi..]
Tum khade iss kinare…
[she imagines Yash leaving her at the airport.. & walking back to his car… jab woh usne usse mudhke dekha..]
Oh oh oh oh…
Hum khade uss kinare…
[she thinks kii ab uski aur yash kii raahein alag hongi as she is going back.. & she does not intend to come back & meet yash kabhi bhii..]
Kaisi hai ye mujhboori….
[she thinks kii even if she wants to accept her love for yash, kuch unkahii baatein hai joh usse
rokhthi hai..]
Mudh ke jab bhi dekha hai…
Aankh bhar aayi…
[Chah thinks about the time jahaan usne Yashj ko mudh kar dekha tha airport ke andar jaathe hue.. & how he was facing the around way around & walking away.. aur kaise uski aankhein bhar aayi thi yeh baat dekhkar..]
Pyaar tho kabhi hua na tha...
Dosti bhi maine khoyi….
[Chah thinks kii kaise is pyaar ke chakkar mein usne apne azeez dost bhii kahiin kho diya tha… & she still regrests losing her friend..]
Thoda sa pyar hua tha…
[Chahe Chah yeh baat kabhi na mane kii usse Yash se mohabbat hai, lekin kahiin na kahiin Chah ke dil mein Yash ke liye feelings tho hai.. aur yeh baat Chah khud bhii kabhi jhutla hii nahii sakthi….]
Kuch nahi baaqi…"
[Chah thinks kii aaj uske aur Yash ke beech kuch bhii baaki nahii hai.. aur na hii agge chalkar unke beech koi rishtha judh saktha hai…]

[Ab yeh tho hui humare hero se bichad ne ke baad heroine kii haalat… ab heroine kii haalat dekhne ke baad yeh zaroori hai na kii hum humare hero kii bhii haalat dekhe.. tho chaliye dekhthe hai kii yash kii kya haalat hai..]

Yahaan Shimla mein dusari tarah yash ko chah ke chale jaane se ek void sa lag raha tha… chah ne uski zindagi mein aakar joh vaccum ko create kiya tha lekin ab wohii vaccum wapas aagaya hai kyunke chah phir chali gayi hai yash kii zindagi se durr.. yash kii haalat tho kuch aisi thi kii woh chahe bhii tho kuch nahii karr paayega.. kyunke chah wahaan se jaana chahthi thi yash se durr.. woh wahaan rukhna nahii chahti thi.. aur chah kii chah ke agge yash kuch nahii karr saktha tha.. kyunke all he wanted was only chah kii khushi.. woh chahtha tha kii chah ko har woh khushi mile jisse woh deprive hui hai.. he wants to give her al the love.. yash chah ke kadmo mein saari duniyaan laakar rakh detha agar bas ek baar chah usse keh dethi kii usse saari duniyaan chahiye.. woh chah kii khushi ke liye kuch bhii karr guzar jaatha aur ab in the present chah wanted only one thing kii yash usse durr ho, kyunke woh yash ko apne pass nahii chahthi thi, aur chah kii yahii khwaish ko yash ne poora kar diya tha.. yash yeh baat bhakhoobi jaantha tha kii agar woh ek baar chah se keh detha kii woh na jaye, agar woh chah ko rokhne kii koshish kartha, agar woh chah ke saamne yeh saabit kar detha kii uske dil mein uske [yash] ke liye feelings hai pyaar hai tab chah, chahthe hue bhii yash se durr nahii ho paathi.. agar chah durr jaana bhii chahthi tho yash usse jaane nahii detha.. yash pretty well was aware of the fact kii pichli baar jab woh aur chah apni apni manzil kii taraf badh chale aur is baar jab woh dono alag hue, us baar mein aur is baar mein bohat farq hai.. yash ko kahiin na kahiin dil mein yeh mehsoos hogaya tha kii chah ke dil mein uske liye koi tho jazbaat hai… chah usse nafrat nahii karthi jis tarah kii chah ne kaha tha yash se theen saal pehle.. yash ko aaj chah se milkar yeh baast tho patah chal hii gayi thi kii chah ne joh kaha kii woh usse nafrat karthi hai that was just a pretense, taaki woh pyaar se durr reh sake.. pyaar naam ke ehsaas ko apne kareeb na aane de.. ab yash itno tho jaantha hii tha chah ko… yash let chah go, kyunke chah aisa chahthi thi.. yash ko is baat ka yakeen tha kii aaj nahii tho kal chjah uski zindagi mein, uski bann kar loutegi.. lekin is matlab yeh nahii tha kii yash bas apne is vishwaas ked um par haath par haath rakhe baita hoga & will be waiting kii chah uski zindagi mein kab aayegi.. yash surely has some plans which are already cooking in his mind… bas yash ke un plans ka shuru hone kii dheri hai..
We can see that yash is on the Sunset Valley Cliff Point.. wahaan par koi nahii hotha.. bas yash, uski tanhayi aur uske aasmaan hai chaand hotha hai… yash is sitting on the bonnet of his car & resting back.. he is staring at the moon.. lekin yash ke chehre par koi shikan nahii thi… he had a smile on his face… he was intently staring at the moon… aise dekh raha tha chaand ko kii woh chah ko dekh raha hai.. yash bas chup hotha hai.. tabhi achanak se uska mobile bajne lagtha hai..
Yash picks up the mobile, still staring at the moon.. on the other side we can hear akshat's voice..
Akshat:- hello yash… kidar hai tu.. ridzi tho ghar bhii aagayi hai.. maine usse poocha tho usne kaha kii tujhe koi kaam aagaya tha issi liye tune usse armaan ke saath ghar bhej diya…
Yash jisne kii phone tho utta liya lekin phone pe akshat kya bol raha hai yash is baat par dhyaan hii nahii de raha tha..
Tab akshat phir kehtha hai:- [akshat this time says in a louder voice] yashhhhh kidarr hai tu…
Yash jisne phone ka receiver apne kaano ke pass rakha hotha hai, akshat kii cheek sunn kar his thoughts get disturbed.. yash looks at his phone & wonders kii usne phone kab utaya, usse tho is baat ka ehsaas bhii nahii hua kii akshat was on the phone.. ab is soch mein yash ek baar phir phone par nahii boltha tho akshat is baar yash ka naam aur bhii zor se pukaartha hai… ab is baar yash replies to akshat & says:- akiii chilla kyun raha hai.. main hoon yahiin.. agar tu aur thoda sa zyada chillaya hotha tho main sach keh raha hoon mere kaan ke parde phatt gaye hothe…
Akshat:- Thank God, tu hii hai.. patah nahii tu baat nahii karr raha that ho mere mann mein ajeeb, ajeeb se khayal aane lage the… aur main soch raha tha kii shayad tu kahiin kissi bar mein baitkarr devdas tho nahii bann gaya.. aur tho aur maine abhi soch bhii liya tha kii agar tu mere ek aur baar bulane se jawaab nahii detha tho main tujhe dhoond ne nikal jaatha..
Yash:- oyee akkii… mujhe yeh baat bata main kyun devdas bannkarr kissi bar mein rehtha.. mujhe kya hua hai joh mein devdas banntha..
Akshat:- arre mere bhai, maine socha kii shayad tu apni Premika ke juda hone ke ghum mein, apne Heer ke chale jaane ke ghum mein, apni Juliet ke kho jaane keg hum mein tu devdas bann gaya hoga.. [akshat tells all this suppressing his smile.. aur yash yeh baat bhii mehsoos kartha hai..]
Yash:- akii this is not funny… haan main yeh baat maantha hoon kii chah chali gayi hai lekin iska matlab yeh tho nahii na kii main devdas bann jaun.. waise akii kehthe hai kii jaathe hue log phir kabhi na kabhi lout aa hii jaathe hai… aaj main aur chah mile itefaq se, lekin itefaq bhii unhi ke saath hotha hai jinke dilon mein yeh vishwaas ho.. aur waise bhii what goes , comes around sooner or later.. aur main chah ko woh waqt den eke liye taiyaar hoon.. waise yeh Heer, Juliet se tumhara matlab chah se hii hai na…
Akshat:- obviously bhudhu… chah hii tho hai teri Premika, teri Heer, teri Juliet hai.. aur kisske bare mein baat karoonga main.. who teri Premika, Heer, Juliet aur tu uska Prem, Ranjha, Romeo joh gaali gaali mein apne pyaar ko pane ke liye batak raha hai.. waise yash jahaan thak main jaantha hoon teri Heer, Premika, Juliet, Chah, Soniyo bas chah hii hai, lekin kya teri zindagi mein koi aur bhii hai.. jiske bare mein tune mujhe bataya nahii.. very bad yash tum mujhse baatein chupane lag gaye.. aur yash yeh joh tum chah ke saath karr rahe ho yeh bhii theek nahii hai.. ek taraf tho tum dawaa karthe ho kii tum chah se beintahaan mohabbat karthe ho aur dusari taraf aisi harkatein karthe ho… Bhagwaan… tumhe sadh bhudhi de… [akshat yeh saari baatein yash ko chidane ke andaaz mein kehtha hai..]
Aur yahaan yash ko samaj mein hii nahii aa raha hotha hai kii aakhir akshat kya keh raha hai.. so yash in a confused tone asjs:- akii tu theek tho hai na.. tu aisi bhehki bhehki baatein kyun karr raha hai.. mere tho kuch bhii samaj mein hii nahii aa raha hai..
Akshat:- well yash tune hii tho mujhse poocha tha kii yeh Heer, Juliet se mera matlab chah se hii hai na… tho issi liye mere mann mein yeh khayal aaya kii kahiin tumhare zindagi mein koi aur tho nahii.. I mean chah ke alawa.. tum samaj rahe ho na main kya kehne kii koshish karr raha hoon…
Yash:- [he knows kii akshat aise hii masti karr raha hai, to get him out of the sad, void mood kyunke chah chali gayi hai… yash just smiles & says] akii main yahaan ideas sochne kii koshish karr raha hoon kii aakhir kis tarah main teri bhabhi ko apne pass wapas laun… aur tu hai kii tujhe hamesha kii tarah mazaak sooj raha hai..
Akshat:- [teasingly asks] meri bhabhi kaun yash… kya meri koi bhabhi haii… yeh dekho kya zamana aagaya hai meri koi bhabhi hai aur mujhe aaj thak is bare mein ilm bhii nahii tha…
Yash:- akii tu apni nautanki bund karne ka kya lega.. chup kyun nahii reh saktha tu.. aur haan sunn main tujhse paanch mahine bada hoon, aur is naate main tera bada bhai hua , tho chah bhii tho teri bhabie hui na..
Akshat smiles & says:- ohhh tho tu chahhhhh bhabhieeeee ke bare mein baat karr raha tha.. tab theek hai.. I don't have any problem with that… lekin waise bata chah se baat hui teri.. kya kaha usne..
Yash:- haan main mila tha chah se.. usse kuch baatein bhii kii.. aur usne kuch alag nahii kaha.. bas wohii kaha joh hamesha se kehthi hai kii mujhe apni zindagi mein agge bhadna chahiye, kissi aur ke saath apni zindagi shuru karni chahiye aur yeh baat woh bhi jaanthi hai aur main bhii jaantha hoon kii main kabhi bhii aise nahii karene waala hoon.. chahe kuch bhii ho jaye lekin main apni zindagi chah ke bagair tho soch bhii nahii saktha hoon… lekin oske bawajood chah mujhse yeh umeed lagaye baiti hai kii aaj nahii tho kal main apni zindagi mein agge badh jaaunga… lekin maine bhii usse keh diya hai akkii kii main zindagi bhar uska intezaar karoonga.. chahe agge chalkar kuch bhii kyun na ho jaye, lekin chah kii yaadein hamesha ke liye mere dil mein qaid hai.. aur mujhe in yaadon se koi bhii alag nahii karr saktha, khud chah bhii nahii karr sakthi.. kyunke joh yaadein maine chah ke saath apni zindagi mein banayi hai woh yaadein sirf aur sirf meri hai.. aur haan akkii ek aur baat maine aaj yeh bhii dekh liya aur jaan liya kii chah aaj bhii meri utni hii parwaah karthi hai, jitna kii theen saal pehle woh mujhse karthi thi.. aur haan ek similarity hai tab mein aura b mein aur woh yeh kii tab bhii chah kii mere liye parwaah baaton baaton mein, ghalthi se chalak jaathi thi, aur aaj bhii aisa hii hua.. chah jitni bhii kyun na koshish karle mujhe yeh dikhane kii usse meri fikar nahii hai, lekin bas patah chal hii jaatha hai.. all it needs is one spontaneous reflex action kii agar mujhe chot lage tho dard usse ho, aur yeh dikha hii detha hai kii usse meri kitni parwaah hai..
Akshat:- arre waaj mere majnu.. kya baat hai.. aaj bohat hii mood mein lag rahe ho.. agar tum itne khush roz rehne ka wadaa karoge tho main abhi jaake Delhi kii flight rokh doonga, uska pilot mera dost hai you see.. [akshat says this cheekily..]
Yash smiles & says:- nahii akii mujhe nahii lagtha kii uski zaroorat padegi.. waise bhii maine soch hii liya hai kii hum logon ko agge kya karna hai… ab kyunke chah mujhse durr rehna chahthi hai, tho chah kii chah main poori karoonga… aur aaj se yash atleast kuch dino ke liye yash bann kar tho usse pareshaan nahii karega..
Akshat is confused kii aakhir yeh yash keh kya raha hai so he says:- yash kyat u jaantha hai kii tu kya bol raha hai.. ya phir tujhe ghehra sadma pohancha hai chah ke chale jaane kii wajah se..
Yash:- akkii aisi koi baat nahii hai.. aur main kya keh raha hoon woh baat mujhe patah hai.. maine bas yahii kaha kii [yash repeats himself & says] main chah kii chah ko poora karoonga.. aur aaj se yash atleast kuch dino ke liye yash bann kar tho usse pareshaan nahii karega..
Akshat:- yash this really does not make sense.. theek hai mujhe yeh baat tho samaj mein aathi hai kii tum chah kii harr chah yaani kii chah kii harr khwaish ko poora karoge… lekin tum joh baaki ka keh rahe ho woh tho mere kuch palle nahii padd raha hai.. yeh kya hotha hai.. [he repeats what yash told] aaj se yash atleast kuch dino ke liye yash bann kar tho usse pareshaan nahii karega..
Yash sighs & says:- akki tu pehle meri poori baat sunn le.. main tujhe samjhatha hoon kii main kya kehne kii koshish karr raha hoon… lekin haan mujhe beech mein tokna matt..
Akshat:- achcha theek hai bol.. I'am all ears just for you.. aur main thokoonga bhii nahii tujhe..
Yash:- theek hai tho sunn.. maine kaha tha kii aaj se yash atleast kuch dino ke liye yash bann kar tho usse pareshaan nahii karega.. right…
Akshat:- right..
Yash:- tho ab iska matlab yeh kii chah chahthi hai na kii yash usse durr rahe, woh chahthi hai na kii uska yash se saamna kabhi na ho, aur nah ii yash se koi baat ho.. bolo sahii na…
Akshat:- haan sahii.. lekin phir bhii your talks makes no sense..
Yash:- akii pehle sunn le…
Akshat:- ok..
Yash:- tho ab aaj se yash yaani kii main chah ke saamne nahii jaaunga, aur nah ii usse baat karne kii koshish karoonga.. tho usse hoga yeh kii chah sochegi kii ab main usse bhool ne kii koshish karr raha hoon.. lekin iska ulta hii hoga main khud ke liye ek number mobile aur number lene waala hoon kal, aur is number se main chah ko roz call karoonga aur usse tung karoonga.. aur haan chah yeh baat nahii jaanegi kii usse joh roz calls aa rahe hai woh main karr raha hoon kyunke ya tho mere calls blank calls honge ya phir main awaaz badal kar baat karoonga.. aur isse woh mujhe pechaan bhii nahii paayegi..
Akshat who is still a bit doubtful says:- lekin isse kya hoga.. kyunke woh yash se nahii balke koi ajnabee se baat karr rahii hogi na, that is according to chah…
Yash:- oyee Mr. Einstein itna dimaak matt laga.. main ussi point pe aane waala tha aur tune mujhe rokh diya.. achcha tho ab sunn dekh main bhale hii chah ko ek ajnabee bannkarr phone karoonga lekin woh ajnabee harr pal usse yash kii yaad dilayega, indirectly main jab usse baat karoonga tab main usse yash ke bare mein sochne ke liye, yaani mere bare mein sochne ke liye majboor kar doonga.. main jaantha hoon kii chsh ke mann mein yeh shak zaroor aayega kii woh ajnabee main hoon… lekin haan mera pass ek aur plan jisse kii chah ka yeh shak durr ho jaye kii woh ajnabee main hoon..
Akshat:- achcha tho ab woh bhii bata de kii kya plan hai..
Yash:- well simple si baat hai kii main apne is mobile se usko call karoonga aur uske saamne bohat hi innocenr bannthe hue kahoonga kii chah ye mera number hai, agar tum kabhi mujhse baat karna chahthi ho tho mujhe call kar lena.. main jaantha hoon kii tum mujhe call nahii karogi.. lekin phir bhii main intezaar karoonga…. [yash just repeats it how he will tell chah.. aur phir kehtha hai..] dekha kitna simple hai…
Akshat:- arre waah bhai.. tune tho bohat durr kii planning karr rakhi hai.. good.. achcha hai.. mere saath rehkar tu bhii akalmand hogaya hai.. aur tujhe bhii intelligent ideas aane lage hai..
Yash:- oyeee mere intelligence ka credit tu kyun le raha hai.. yaad rakh tu mujhse chotta hai.. tho tujh mein joh bhii intelligence hai woh meri wajah se hai..
Akshat:- haan.. haann… samaj gaya mere bade bhai sahab.. achcha cha lab yeh saari baatein tho chod.. pehle yeh bata kii tu kahaan hai.. aur phone utta kar bhii koi jawaab kyun nahii de raha tha tu..
Yash:- main yahaan Sunset Valley Cliff point par hoon.. aur rahii baat kii main phone utta kar bhii kyun nahii bol raha tha woh darasal baat yeh hai kii main us aasmaan ke chaand apne chaand ko dhoond ne kii koshish karr raha tha.. issi liye maine dhyaan hii nahii diya kii maine phone utaya aur aur tu phone par chilla raha hai..
Akshat:- ufffff.. yash tera tho kuch bhii nahii ho saktha.. tu na abhi se chah ke khayalon mein itna khoya hua hai kii tujhe aas pass kii koi duniyaan hii nazar nahii aathi.. abhi aisi haalat hai tho na jaane jab chah teri zindagi mein aa jaayegi tab tumhara kya hoga.. I can just imagine you like a love sick puppy around her.. aur patah hai yash tu chah ke peeche peeche jaayega aur hum sab yeh gaana gaayenge "yash joru ka ghulam.. bann gaya re… bann gaye"….. [akshat giggles]
Yash:- hahahaha.. very funny akii… tujhe tho main tab bataoonga jab teri zindagi mein koi someone special hoga.. tab tujhe patah chalega.. aur tab main tujhe jee bharr ke chidaoonga…
Akshat:- aisa tho kabhi hone se raha yash.. kyunke main kabhi kissi ke pyaar mein padne hii nahii waala.. tho tum mujhe chidane waali baat tho bhool hii jao..
Yash:- dekhthe hai.. kya hotha hai…
Akshat:- achcha tum ab yeh sab baatein chodo... aur mujhe batao kii tu ghar ka baa raha hai..
Yash:- ghar shayad main abhi ek ghante mein aa hii jaaunga… waise kido aur ridzi kahaan hai…
Akshat:- main tujhse baat karna chahtha that ho maine un dono ko kissi bahane se kamre ke bahar bhej diya aur darwaza lock kar diya…
Yash laughs & says:- akkii tu bhii na.. ab woh dono tujhe nahii chodenge..
Akshat:- unko tho main sambhal loonga.. tu jaldi aa jaa.. aur sunn kal tere dusare mobile ka intezaam main kartha hoon..
Yash:- achcha theek hai… thank you much akkii.. aaj agar tu mujhe samjhatha nahii tho shayad main itna khush mehsoos nahii kartha..
Akshat:- tu kabse mujhko thank you kehne laga mere bhai.. yeh thank you kehne kii bimari tujhe kabse lagi hai.. meri hone waali bhabhie jii ek doctor hai na, mujhe unse kehna hoga kii woh tere is beemari ka ilaaj kare.. tab hii tu theek hoga.. wrna patah nahii aur kya kya, kaunsi kaunsi beemari lag jaye tujhe..
Yash smiles & says:- achcha baba.. thank you nahii kahoonga.. ab khush.. chal ab phone rakh… main ek ghante mein aatha hoon.. agar ghar pe koi mere bare mein pooche tho kehna kii main kaam se bahar hoon.. jaldi aa jaaunga.. Akshat:- achcha theek hai main bata doonga… lekin haan gaadi zara sambhal kar chalana.. kahiin bhabhieee jii ke khayalon mein koi accident na kar dena.. aur waise bhii bhabhie jiii tho Delhi chali gayi tho tumhara ilaaj woh nahii karengi.. [akshat yeh baat yash ko chidathe hue kehtha hai..]
Yash:- haan.. haan.. main jaantha hoon.. aur gaadi bhii sambhal kar hii chalaoonga… ab rakhtha hoon.. bye…
Akshat smiles & says:- bye..
Yash keeps the phone down… aur phir se ussi kaam mein lag jaatha hai joh woh akshat ke call se pehle karr raha tha.. I mean staring at the moon..
Yash thinks to himself:- aye meri zindagi ke chaand aaj tumne mere saath kuch waqt guzaar karr mujhe woh khushi de dii hai jiske liye na jaane main kabse taras raha tha.. betaab ho raha tha.. aaj mujhe woh khushi mili joh mujhse pichle theen se durr thi.. in pichle theen saalon mein jab bhii main tumhe [he means the moon] dekhtha tha, tab mere pass sirf Manali ke un yaadon ka sahara tha.. lekin aaj jab itefaq se hii sahii chah mere saamne aayi hai tho mere pichle yaadon se bhii zyada is baar mujhe yaadon ka guldasta mila hai.. aur tum jaanthe ho chaand , aaj mere chaand key un achanak mere saamne aane se mere yakeen aur bhii badh gaya hai… mera yeh vishwaas sahii ho gaya hai kii main aur chah bas ek dusare ke liye hii bane hue hai.. chahe chah is baat ko mane ya phir na mane lekin main jaantha hoon kii mera yeh yakeen, mera yeh vishwaas aaj nahii tho kal sach ho karr hii rahega.. warna aaj main yun chah se nahii miltha.. woh bhii us din parr jis din par mujhe meri itni badi khushi milne waali thi, aur aaj chah ka yun mere saamne hona yeh baat darshatha hai kii chah mane ya na mane woh meri zindagi ka ahem hissa hai.. woh hissa joh chah kar bhii na usse durr ho saktha hai aur na hii mujhse… haan na chaand… main sahii hoon na… jis tarah mujhe yeh yakeen hai kii chah sirf meri liye banii hai waise hii tumhe bhii yakeen hai na chaand mere is yakeen par.. aur mera yeh yakeen sach hoga na ek na ek din… [yash koi aisa lagtha hai kii chaand usse dekhkarr smile karr raha hai.. saying like yes you are right..]
Yash apni is imagination se behad khush hotha hai… then he keeps a hand on his heart aur kehtha hai kii dekha ab tho chaand ko bhii mere yakeen, mere umeed par vishwaas hai.. bas tumhare yakeen aur tumhare vishwaas kii zaroorat hai ab isse..
Then yash chaand ko dekhtha hai.. aur kehtha hai…:- yeh mera tumse wadaa hai chaand, kii ek din main aur mera chaand, yaani kii meri chah, hum dono milkar tumhe dekhenge ek saath hokar.. lekin haan tab tum jealous matt feel karna kyunke tab obviously mujhe zyada dhyaan apne chaand parr hii dena hoga.. tho tab please you don't mind haan.. aur uske liye main ab hii tumse sorry kehtha hoon… [yash apne kaan bohat hii sweetly pakadtha hai aur kehtha hai..] sorry…
Ab yash yeh kehkar wahiin chaand ko dekh hii raha hotha hai.. jab achanak yash hears a soft voice whispering….
The voice:- yashhh…
Yash foran peeche palat kar dekhtha hai.. tho uske saamne chah khadi hothi hai…chah was there with the sweetest smile on her face…
Yash is shocked for a bit… usse tho maano jaise yakeen hii nahii ho raha tha kii chah uske saamne khadi hai…
Tab jab yash kuch nahii kehtha, chah again says:- yash kya hua.. aise kyun dekh rahe ho mujhe.. main koi bhoot nahii hoon.. main tho bas tumhari chah hoon.. tumhara pyaar hoon..
Yash:- meri chah… tum yahaan kya karr rahii ho.. Delhi kii flight tho take off karr gayi na.. tum nahii gayi..
Chah:- main tumhe chod kar jaa hii nahii paayi yash.. haan main jaana tho chahthi thi tumse durr.. lekin mere dil ne mujhse kaha kii main tumhare pass lout chalun.. & here I'am.. main tumhare pass wapas aagayi yash..
Yash smiles:- chah mujhe yakeen nahii ho raha hai kii tum yahaan mere saamne khadi ho.. mujhe tho meri aankhon par hii yakeen nahii ho raha hai..
Chah smiles 7 walks close to yash & says:- yash agar tumhe yakeen nahii ho raha hai tho yakeen kar lo.. kyunke main yahaan tumhare saamne khadi hoon…
Yash:- chah tumne tho kaha tha kii tumhe pyaar par yakeen nahii hai.. tho phir tum yahaan kyun aayi ho… tumne mujhse yeh bhii kaha tha kii main apni zindagi mein agge badh jaaun, kissi aur ke saath apni nayi zindagi sawaar doon.. aura b tum is tarah mere saamne…
Chah smiles & says:- haan yash main jaanthi hoon, aur maanthi bhii hoon is baat ko kii maine tumse yeh baatein kahii thi.. lekin yash jab is baar main tumse durr hui tho mujhe yeh ehsaas hua kii mujhe meri zindagi mein tumhari zaroorat hai.. yash zindagi mein kehthe hai kii kissi cheez ko khona ke baad hii uski emiyath ka patah chaltha hai.. aur shayad mere saath bhii kuch aisa hii hua.. jab main tumse durr gayi, tho mujhe is baat ka ehsaas hua kii shayad main apne do azeez cheez ko yahaan chod karr jaa rahii hoon. Aur tum jaanthe ho mere woh do kya hai ek tho mera dil joh ab tumhara ho gaya hai.. aur dusara tum khud.. main mere pyaar ko yahaan chod kar jaa rahii thi.. aur yash jab mujhe is baat ka ehsaas hua tho main jaa hii nahii paayi.. mere kadam dagmaga gaya.. aur khud ba khud main yahaan chali aayi tumhare pass.. maine sahii kiya na yash.. tum ab bhi mujhse pyaar karthe ho na yash.. aur tum mujhse pyaar nahii karthe tho mujhse keh do yash.. main jaanthi hoon maine tumhara dil bohat dhukhaya hai.. main yeh bhii jaanthi hoon kii maine kayi baar tumhare pyaar ko jhutlaya hai.. maine tumhe hurt bhii kiya hai.. lekin yash aaj main tumse apne dil kii woh baat kehne aayi hoon joh aaj thak maine tumse nahii kaha, jis sach se main khud itne dino se, itne saalon se bhaag rahii hoon main tumhe woh sach batane aayi hoon.. kyunke mujhe lagtha hai kii tumhe woh baat jaan ne ka poora hakh hai..
Yash:- kaho chah tum joh bhii kehna chah rahii ho keh do.. aaj dil se saare bhoj nikaal do.. kaho mujhse kya kehna chahthi ho..
Chah: - yash main tumse yeh kehna chahthi thi kii.. yash mujhe samaj mein nahii aa raha hai kii main tumse kaise kahoon.. yash darasal main tumse yeh kehna chahthi hoon kii… yash baat yeh hai kii…. [chah keeps hesitating]
Tab Yash kehtha hai:- chah tumhe joh bhii kehna hai bina jhikhak ke kaho.. main waada kartha hoon kii main tumse kuch nahii kahoonga… please ab tho keh do kii tum mujhse kya kehna chahthi ho..
Chah again hesitates to tell..
Yash:- chah main kya tumhe khaa jaaunga, agar tum apne mann kii baat kahogi tho… [chah nods in a no.. tho yash continues & says] tho phir tum itna darr kyun rahii ho.. achcha theek hai.. agar tumhe mujhe dekhkar kehne mein darr lag raha hai, hichkichahat ho rahii ho tho tum apni aankhein bund kar lo aur phir mujhse kehna tum joh bhii kehna chah rahii ho.. theek hai..
Chah smiles & says:- theek hai..
Ab chah apni aankhein bund karr lethi hai.. aur yash chah ko dekhkar smile karr raha hotha hai.. ab chah who has her eyes closed gains some confidence & says:- yash main aaj thak tumse tho kya khud se bhii yeh baat nahii keh paayi, mujhe darr tha, lekin aaj mere mann mein koi darr nahii.. mere dil sirf aur sirf pyaar hii hai.. haan yash sahii suna tumne aaj mere dil mein bas pyaar ke jazbaat hai, aur mere woh jazbaat sirf tumhare liye hai yash.. haan yash main tumse pyaar karne lagi hoon.. beintahaan pyaar karthi hoon main tumse.. main kabhi keh nahii paayi… lekin aaj tumhare pyaar kii ghehrayi ko dekhkar mujhe yeh yakeen ho chala hai kii tum mujhse bohat pyaar kartha ho.. jitna pyaar tum mujhse karthe ho na yash utna pyaar mujhse koi nahii karr saktha.. tum mujhse , mujhse zyada pyaar karthe ho yash.. aur aaj main yeh baat samaj gayi… aur maine aaj yeh bhii seekh liye kii hum jitna hii kyun na ek dusare se bhaag ne kii koshish kare, khud se bhaag ne kii koshish kare, lekin zindagi humein humari asli manzil thak pohancha hii dethi hai.. aur meri manzil tum ho yash.. meri saari khushiyaan tumse judi hui hai.. aaj tumhara pyaar jeet gaya yash.. tum joh baatein mujhse kiya karthe the woh aaj sach ho gaya… tum hamesha mujhse kehthe the na kii mujhe aaj nahii tho kal tumhare pyaar ka ehsaas hogi, aur main khud aaungi tumhare pass.. dekho yash aaj mujhe ehsaas ho gaya kii jitna tum mujhse pyaar karthe ho utna hii pyaar mere dil mein bhii tumhare liye pyaar hai.. bas farq sirf itna hai kii tum apne pyaar ka ikraar khule aam karthe the.. aur maine ussi pyaar ko apne dil ke kissi kone mein bund karke rakha tha.. lekin aaj mujhe yeh baat patah chal gayi hai yash kii main tumse durr hokar nahii jee sakthi.. mujhe meri zindagi ke harr pal mein tumhari zaroorat hai… shayad tum sahii keh rahe the kii humara milna kismat mein likha hai.. warna hum aaj yun achanak ek dusare se nahii takrathe.. main aaj se tumhare saath apne pyaar kii shuruwaat karna chahthi hoon yash.. main humari ek duniyaan basana chahthi hoon, jis mein sirf hum dono ho.. aur harr taraf humara pyaar.. haan yash aaj main khud chal kar tumhare pass aayi hoon aur main tum se kehthi hoon kii main tumse mohabbat karthi hoon.. pyaar hai mujhe tumse.. I love you yash… I really do.. [ab chah jab yeh saari baatein keh rahii hothi hai, she still has her eyes closed.. woh apni aankhein nahii kholthi as usko sharam aa rahii hai… while saying all this she has a smile on her face… ab dheere se saari baatein kehne kehne baad chah opens her eyes & sees yash…]
Yash's happiness knew no bounds.. woh baat joh woh chah se itne waqt se sunne ke liye bekaraar tha, aaj chah ne woh baat karr dii.. chah ne apne pyaar ka izhaar karr diya… yash ke chehre par ek bhatisi smile aathi hai aur woh kehtha hai:- chah tum nahii jaanthi tumne aaj yeh baat kehkar mujhe kitni badii khushi dii hai.. woh baat joh tumse sunn ne ke liye main na jaane kabse bekaraar baita tha.. aaj tumne woh keh diya.. aaj tumne mujhse apne pyaar ka izhaar kar liya… aaj tumne mujhe duniyaan kii sabse badii khushi de dii chah… main tho tumhara intezaar apne aakhri pal thak bhii karne ko taiyaar tha lekin main nahii jaantha tha kii jis khushi ke liye main itne waqt se taras raha tha woh khushi mujhe itni jaldi mil jayegi.. tum sach mein nahii jaanthi chah tum mere liye kya ho.. tum meri zindagi ho… agar mera dil dhadak tha hai tho tum uski dhadkan ho.. tum mera pehle aur aakhri pyaar ko chah.. tumhare liye tho main kuch bhi karr guzar jaaunga chah.. tum nahii jaanthi chah tumhe paakar main khud ko kitna lucky mehsoos karr raha hoon.. thank you chah… aaj tumne mujhe meri sabse badi khushi de dii hai… I love you chah.. I have always loved you… & I always will love you till eternity.. chah will you be mine forever…
Chah just nods her head… aur yash chah ko apni baahon mein le letha hai.. yash & chah hold each other tightly… & that grip on each other shows kii unhe kahiin na kahiin ek dusare ko khone ka darr hai.. yash kisses on chah's fore head.. chah goes deeper into yash's arms.. & yash holds her tighter & let's her be..
Aise hii kuch pal beet jaathe hai.. un dono mein se koi kuch nahii kehtha.. both have their eyes closed… aur phir un dono ke beech kii khamoshi ko thod the hue yash chah se pooch tha hai:- chah tumhe kaise patah chala kii main yahaan par hoon.. jab chah koi jawaab nahii dethi tho.. he thinks for a second then he says:- haan mujhe patah hai kii tumhe kaise patah chala kii main yahaan hoon zaroor akii na bataya hoga tumhe.. tumne usse baat kii.. ek akii hii hai joh mujhe aise surprises de saktha hai… [chah koi jawaab nahii dethi.. tho yash kehtha hai..] chah kya hua tum kuch keh kyun nahii rahii ho.. bolo na main sahii hoon na.. chahhh… kya hua…
Yash tries calling chah's name one more time.. lekin is baar bhii chah koi jawaab hii nahii deti.. yash opens his eyes & sees kii chah wahaan nahii hai… uske baahon mein bhi koi nahii hai he is just holding his arms like he is holding somebody.. yash chaaron taraf mudh karr dekhtha hai.. then he sees kii us jagah uske, aur aasmaan ke chaand ke alawa aur koi nahii hai… tab yash ko ehsaas hotha hai kii all what he was thinking was just a dream.. chah ka aane.. apne pyaar ka ikraar karna.. chah aur yash ka ek dusare mein kho jaane, ek dusare kii baahon mein.. all that was a dream.. a beautiful dream.. when yash realizes this he hits a tapki on his head… aur woh khud se kehtha hai:- yash you are gone case.. you are totally, deeply & madly in love with chah…lekin sapna bada pyaara tha… yeh kehkar yash ki chehre kii smile aur bhii ghehri ho jaathi hai..
Ab yash chaand ko dekhtha hai aur kehtha hai kii:- main tumse waada kartha hoon kii main yeh sapna haqueeqat mein badal karr hii rahoonga.. kabhi na kabhi I'll live this beautiful dream, in my everyday life… aur mere sapno kii rani meri zindagi mein hogi, mere saath yeh khoobsurat sa sapna jeethe hue.. pukka waada… [then yash imagines kii chaand usko aankh marr raha hai, agreeing to what he said..]
[ab guys jinka dil toota us baat se kii it was just a dream.. main unse kehna chahoongi kii don't worry sapno ko haqueeqat mein badal ne ke liye zyada waqt nahii lagtha… aur yash ke chaand se kiye hue wade par bharosa kijiyega.. hahahaha..]

Yahaan dusari taraf Delhi mein Chah kii flight land karr chuki hothi hai.. Chah bas flight se nikal ne waali hii hothi hai, jab woh apni seat par wapas aathi hai & she asks the air hostess who is there…
Chah to the air hostess:- excuse me…
Air hostess:- yes mam..
Chah:- actually I was wondering if I could take this magazine along with me.. there is a article in there which is very interesting… so would you mind if I took it along.. [she is referring to the magazine jis mein she was reading the love lost can be found waala article…]
Air hostess smiles & says:- sure mam you can take it… till date many passengers have asked for this magazine.. especially those passengers who are in love.. so are you also in love mam..
Chah gives the air hostess a look.. tho air hostess foran kehthi hai:- I'am sorry mam.. may be I'am intruding in you personal life.. & I have no right.. sorry once again mam..
Chah:- never mind.. it is alright… & thank you for the magazine..
Air hostess smiles & says:- have a good day mam.. hope to see you on board again.
Chah just smiles aur woh magazine lekar bahar chali jaathi hai.. bahar she sees kii anurag is waiting for her..
Chah meets anurag.. & then both go home.. raasthe mein they keep talking kii kaise prerna aur gayatri anurag se naraaz hai.. as anurag ne chah ko Shimla jaane kii permission dii thi.. chah & anurag have a nice laugh about it.. & then anurag & chah become quiet… chah just keeps seeing outside…. Enjoying the fresh breeze of air.. Chah opens the window kyunke barish kii bhoondein girne lagthi hai.. aur chah apne haathon ko bahar rakhthi hai..

Dusari taraf Shimla kii waadiyon mein yash ab bhii cliff par hii baita hotha hai… he is very happy.. aisa kahoongi tho theek hoga kii yash is unusually happy.. yahaan Shimla mein bhii barish girne lagthi hai.. yash joh bohat khush tha ab usse aise lag raha tha kii even the Rain Gods are happy with his decision kii woh chah ko yeh ehsaas dilakar hii rahega kii she belongs to him.. yash bahein philakar barish ka swagat kartha hai.. he starts playing in the rain like a little kid.. yahaan dusari tarah barish dekhkar chah bhii apne saare worries bhool jaathi hai.. & uske chehre par smile aa jaathi hai… so we see yash & chah enjoying the rain…
Song In The Background:- [for both of them]
"Oooo…..
Baby, come stand by my side…
[yash imagines kii agar chah yahaan hothi tho woh uske saath kaise dance kartha.. he imagines.. chah is there & he is going down on the knees & asking her for a dance...]
Come and be my guiding light…
[yash imagines chah smiles.. she is wearing awhite saree beautiful saree.. yash thinks kii chah muskura kar apna haath uske haath mein de rahii hai....]
Oooo… I'll be what you want me to be….
I'll give all my love in whole of my life….
[yash imagines kii chah pulls him up.. & she is about to trip while doing that.. & yash holds onto her tightly..]
Soniyo, o soniyo….
[Yash imagines he is intently looking into chah's eyes… aur chah kii aankhein sharam se juykh jaathi hai…]
Tumhe dekhta hu to sochta hoon bas yahi…
Tum jo mera saath do, saare gham bhulake…
Jee lu muskuraake zindagi…
[yash sochtha hai kii agar bas chah uska saath de de tho woh chah ko uske harr dukh, harr dard ko usse durr kar dega.. & he will always make her smile..]
Tu dede mera saath thaam le haath…
Chahe jo bhi ho baat, tu bas de de mera saath…
Tu dede mera saath thaam le haath…
Chahe jo bhi ho baat, tu bas de de mera saath…
[yash imagines kii chah is moving away from him, tho woh chah ka haath pakad karr usse rokhtha hai… aur chah wahii rukh jaathi hai.. nor does she turn around nor she comes back to yash in his arms..]
I get this feeling now, I cannot wait no longer…..
I know your love will keep me happy…
Will keep me stronger…
[yash imagines that he is twirling around chah in this arms.. with a force…]
I get this feeling now, I cannot live without you….
[yash imagines that chah hits his chest hard.. & then holds onto him tightly…. Leaning into him for support..]
I know your love's the only one so true…..
[yash imagines kii both he & chah are lost in each others arms… forgetting the whole of the world around them..]
Raho me, tanha hu saath le chal yun…
[we see chah in Delhi who is going home & she suddenly imagines yash standing in the rain.. when the car stops at a signal..]
Sang tere safar poora karun….
[chah imagines as if she is also standing with yash in the rain.. & both of them are smiling away to glory…]
Raho me, tanha hu saath le chal yun…
Sang tere safar poora karun….
[chah imagines kii woh aur yash are holding hands that too in a very tight grip..… which signifies kii they are meant to be..]
Kya kahun ae zindagi….
Tu hai meri saans, rehna tu paas har ghadi…
[chah imagines kii she and yash are dancing in the rain.. they are playing with each other.. smiling… teasing each other..]
Tu dede mera saath thaam le haath…
[yeh sab baatein sochthe hue chah ke chehre par ek halki si meeti si muskaan aa jaathi hai..]
Chahe jo bhi ho baat,…
[we can see yash & chah's smiling faces.. who are lost in their world of smiles because of their immagiunary world.. which they are dreaming off with each other..]
Tu bas de de mera saath..
[chah imagines kii woh aur yash haathon mein haath liye are walking down the road slowly..]
Tu bas de de mera saath….
[on the other side yash imagines kii woh aur chah yahaan cliff point par ek dusare ka haath thame hue us aasmaan ke chaand ko dekh rahe hai..]
Tujh ko jo, paaya toh hai yeh lagta kyun..
Bahon me bas teri mehfooz hoon…
[chah imagines back to the time when she hugged yash.. before leaving to the airport..]
Tujkh ko jo, paaya to hai ye lagta kyun…
Baho mein bas teri mehfooz hoon…
[chah thinks about the dance between her & yash.. at the party…. Aur she also thinks kii kaise yash saved her from that chipku swayam..]
Tum bano, saaya mera, zindagi mein aao…
Zindagi bitaao bas yahi…
[yash sees in the front.. aur uske saamne uski aur chah kii ek tasveer aathi hai in his imagination.. where they both are hugging each other..]
Tu dede mera saath thaam le haath…
Chahe jo bhi ho baat…
[chah also imagines kii woh aur yash saath hai…]
Tu bas de de mera saath…
[yash kii nazron ke saamne se uska aur chah ka picture fade hotha hai.. dheere dheere se..]
Tu bas de de mera saath…
[chah kii nazron ke saamne se uska aur yash ka picture fade hotha hai.. dheere dheere se..]
Baby, come stand by my side…
Come and be my guiding light…
Oooo… I'll be what you want me to be…
I'll give all my love in whole of my life…
Baby…. Come and be my guiding light….."
[both yash & chah have smile on their face… thinking about a better tomorrow…]

[Courtesy:- Raaz 2, The Mystery Continues]

Now in Delhi chah comes out of her thoughts when anurag tells ter kii woh log ghar aagaye hai.. chah just gives him a smile.. aur phir woh andar chali jaathi hai.. chah ke mehra house mein aate hii maano jaise saare ghar mein jaan aagayi hothi hai.. sab bohat khush hai is baat se kii chah lout aayi hai… even though chah just left in the morning & has now come back in the night [close to mid night] iske bawajood bhii the mehra people were feeling like they have already missed her so much.. kajal aur sneha chah ke aathe hii neeche aa jaathe hai.. aur woh chah ko akela chod ne ka naam hii nahii lethe.. they keep blabbering continuously.. kajal complains about sneha, while sneha does the same thing about kajal… aur chah un dono ke beech kii yeh banter ko dekh rahii hothi hai.. sneha & kajal were treating chah like woh koi Table Tennis ke table ka net ho.. and chah was feeling kii sneha ek taraf se TT khel rahii hai tho dusari taraf se kajal TT khel rahii hai.. chah was just looking to & fro from sneha to kajal.. kajal to sneha… & this continued for about fifteen minutes.. lekin ab bhii chah kuch nahii bol rahii thi…ab prerna who sees this chitter banter between sneha & kajal, comes for chah's rescue..
Prerna:- kajal, sneha tum dono aakhir karr kya rahe ho.. kyun pareshaan karr rahe ho chah ko tabse.. woh abhi tho aayi hai.. thak gayi hogi..
Kajal makes a innocent face & says:- hum kya karr rahe hai.. hum tho kuch nahii karr rahe hai.. hum bas chah dii se baat karr rahe hai.. kyun sneha..
Sneha:- haan maa kajal bilkul sahii keh rahii hai.. hum tho kuch bhii nahii karr rahe hai.. kya chah se baat karna bhii ghalat hai.. [she makes a puppy face..]
Prerna:- tum dono na dinpar din aur bhii shararthi hothe hii jaa rahe ho… dekho tabse tumne chah ko ek bhii pal chaine kii saans lene hii nahii dii.. jab se woh aayi hai uske saamne apne complains ka pitara khol karr bait gaye ho.. arre usse thoda tho waqt do.. aathe hii toot pade ho us par..
Sneha:- maa I don't think chah will mind… kyun chah..
Chah:- nahii nahii.. main kyun mind karne lagi.. aur bolo kya aur complains karne hai tum dono ko…
Sneha & kajal know kii chah is teasing them.. tho woh dono chah ko eke k taraf se side hug karthe hai..
Chah just smiles aur woh kehthi hai:- tum dono ka tho kuch bhii nahii ho saktha.. main ek din ke liye bahar kya gaye tum dono ko ek dusare ke bare mein itne complains karne hai.. God…
Kajal: woh kya hai na dii kii aapke bina na mera dil lagtha hai aur na hii sneha ka dil lagtha hai.. issi liye hum dono din bhar ka time pass laddne se hotha hai… dii sachchi mein aap ke bina kuch bhii karne ko hii nahi jotha.. sab kuch itna boring hotha hai kii main kya kahoon..
Sneha:- bilkul sahii chah.. tu nahii hothi tho humara bilkul time pass nahii hotha….
Ab chah sneha aur kajal ko aankh marrthi hai jab prerna nahii dekhthi & sneha & kajal understand kii chah is upto some mischief…
Chah:- tho kya main tum logon ke liye mehez ek time pass hoon.. aur zyada kuch nahii.. [chah asks this in a dramatic manner..then she tells prerna..] dekhiye na badi maa in dono ke liye main bas time pass hoon… dekho tho yeh dono kya bol rahe hai..
Prerna:- kyun re tum dono ko meri pyaari bachchi time pass kii cheez dikh rahii hai kya.. kya woh tumhe entertainment kii cheez dikh rahii hai… meri bechari bachchi abhi thak karr ghar aayi hai aur tum dono ho kii…
Isse pehle kii sneha aur kajal kuch bole chah bolthi hai:- nahii badii maa rehne dijiye in dono se kehkar kya fayada… in dono ne bhii tho wohii kaha joh unke dil mein tha.. aaj main jaan gayi badi maa, jaan gayi main kii main inke liye mehez ek time pass hoon… bas badi maa ab main aur nahii she sakthi main yahaan se chali jaathi hoon.. main Mumbai mein jaakar practice kar loongi… [chah tells all of this in a very dramatic way..]
Prerna:- chah tu pagal hogayi hai kya aisi baatein kyun bol rahii hai.. tu meri aur anurag kii badi beti hai.. Mehra's kii badi beti hai tu , aur tu aisa kaise keh sakthi hai kii tu yahaan se kahiin aur chali jayegi… aur waise bhii aaj hii tho tu jaakar aayi hai.. [now she faces sneha & kajal & says] aur tum dono yeh kya keh rahe ho kii meri bachchi tum dono ke liye time pass hai… very bad girls… maine kabhi tum dono se tho yeh expect hii nahii kiya tha.. bohat ghalat baat hai.. dekho tho aaj meri bachchi bahar jaake aayi hai… aur tho aur mujhe tho lagtha hai kii isne subaah se kuch nahii khaya.. dekh tho isse dekh kar aisa lagtha hai kii isne aaj hii ke din do ya theen kilo loose karr diya hai…
Now prerna sees kii chah, sneha, & kajal are trying to supress their smiles… and tho prerna unse kehthi hai..:- kya hua tum log mujhe aise kyun ghoor rahe ho.. aur kajal, sneha tum dono ka aaj se ek haft eke liye ghar se nikaal na bund…
Sneha & kajal together say:- kyunnnnnnnnnnnnnnn…
Prerna:- kyunke tum dono ne meri bachchi ko time pass kaha… aur is baat kii sazaa yeh hai kii agle ek hafte thak na tum dono ghar se bahar niklogi aur sneha na tum kitaabein padhogi aur na music sunogi.. aur kajal tu basket ball bhii nahii khelegi..
Sneha & kajal say together:- mommm this is not fair.. hum log bas mazaak karr rahe the.. aap chaho tho chah/dii se pooch sakthe ho… please humein aisi sazaa matt do…
Prerna looks at chah & chah nods her head & says:- badii maa yeh dono sahii keh rahe hai.. main tho bas yahii dekhna chahthi thi kii agar yeh dono mujhse kuch kahenge tho aap kaise react karenge… tho bas yun hii.. mujhe thodi masti ssoojhi.. [chah says this with a cheeky smile on her face..]
Prerna goes to chah holds her ear & then says:- kyun re tujhko masti soojhi.. wais eek baat bolun main ek maa hoon aur mere liye mere harr bachcha important hotha hai.. tho issi liye tum sab mere liye ek samaan ho.. samjhe….
Chah:- samaj gayi badii maa, please mere kaan chodiye dukh raha hai… prerna smiles & leaves chah's ear….
Ab sneha aur kajal kehthe hai:- good ab hum dono kii sazaa cancel.. yaayy… woh dono ek dusare ko hi-fy dethe hai.
Ab prerna smiles at them & says:- waise main tum theeno se ek baat kahoon…
All the three ask her to say.. tab prerna kehthi hai:- mujhe patah tha kii abhi joh tum log yeh time pass kii baat karr rahe the woh mehez ek mazaak tha…
Kajal:- aapko kaise patah chala….
Prerna:- woh isliye kajal kyunke main tum logon kii maa hoon.. aur ek maa apne bachchon ke rug-rug se waakif hothi hothi hai.. mujhe patah hai kii tum dono [she points to sneha & kajal & says] tum dono kii zibdagi mein chah kii kitni emiyath hai, aur mujhe yeh bhii patah hai kii chah kabhi tum log ke khilaaf mere pass koi complain nahii karegi.. tum joh mere bachche ho na, tum theeno aur woh chauta joh Shimla mein baita hai aur yahaan aane ka naam hii nahii letha tum logon ko humne yeh sanskaar kabhi diye hii nahii.. aur mujhe tum chaaron par khud se zyada yakeen hai, & main yeh bhii jaanthi hoon kii tum log kabhi humare yakeen ko let down karr hii nahii sakthe..
Sneha , kajal & chah together tell prerna:- love you….
Prerna goes & hugs the three girls….
Ab isse pehle kii prerna replies to that, wahaan anurag aa jaatha hai.. aur woh bhii prerna se kehtha hai:- I also love you..
Prerna just stares at him.. aur woh kuch nahii kethi.. tho anurag kehtha hai:- kya mujhe tumhe I love you kehne par koi hug nahii milega…
Prerna still does not talk to him aur bas usse ghoorthi hai…
Anurag:- ohhh.. tho main samaj gaya kii loha abhi garam hai.. kya hua preru… abhi bhii ghusse mein ho kya.. dekho na ab tho chah bhii wapas aagayi hai.. ab kaisa ghussa aur tum tho yeh baat jaanthi hii ho na kii main kabhi bhii chah kii baat ko nahii taal saktha.. aur chah ne bhii tho bas barah ghanto ke liye jaane kii baat hii tho kii thi… agar main isse do din, theen din jaane kii permission detha tho main samaj saktha hoon..
Anurag ke is baat par prerna ko aur bhii ghussa aatha hai us par aur she gives him a very hard glare…
Ab kajal kehthi hai:- dad mujhe lagtha hai kii aapke liye yahii achcha hoga kii ab aap chup ho jaye…
Anurag:- kyun bhai.. main kyun chup ho jaun..
Sneha:- woh isliye my dear dad kyunke abhi abhi joh look mom ne aap ko diya hai na aapke us baat par kii aap chah ko tho ek ya do din ke liye nahii jaane diya na bolke.. ab mom kii us look ka matlab yeh hai kii agar aap ne kabhi bhii chah ko ghar se durr subaah se raat ke baad bheja tho woh aapko kitchen mein pada hua belen se mareengi…
Is baat par chah, kajal & sneha giggle… prerna unh eek look dethi hai tho woh bhii chup ho jaathe hai..
Anurag:- arre bachon biwi ke haath se marr khane mein joh mazaa hotha hai yeh tum log nahii samjoge.. bas ek aadmi hii samjhega.. jab tumhare jeevan saathi honge na tab tum log unse poochna kii apni biwi se marr khane mein kya mazaa aatha hai..
Chah:- iska matlab aap ne badi maa ke haato marr bhii khayi hai…
Anurag nods in a yes..
And sneha aur kajal apne mooh par haath rakh lethe hai.. jab kii chah kehthi hai:- I don't believe this.. Ohh My God…
Anurag:- kya Oh My God… aise reactions kyun de rahe ho tum theeno, is baat mein itna shock hone waali kya baat hai.. preru biwi hai merit ho mujhe marr ne ka hakh bhii tho usse miltha hai…
Chah chidane ke andaaz mein kehthi hai:- sneha, kajal tum dono ne suno preru… naam achcha hai na.. preru.. preru..
Ab prena kehthi hai:- [she faces anurag & tells] kya aap bhii bachon ke saamne aisi haratein karthe rehthe ho… [she blushes a little bit….]
Ab chah, sneha & kajal say:- ohhhhhhhhhhhhhhhh.. blushing haan… waahhh kya baat hai.. kya scene hai… too good..
Is baat se prerna bilkul chup ho jaathi hai.. aur anurag kehtha hai:- tum theeno meri biwi ko satana chod do… kyun tang karr rahe ho isse… anurag goes close to prerna & puts his arms around her.. ab isse hotha yeh hai kii chah, sneha aur kajal kii shararat bund hone ke bajaye aur bhii zyada badh jaathi hai. They continue teasing..
Anurag:- tho biwi ab tumne mujhe maaf kiya..
Prerna looks at him smiles & says:- haan kiya… [then she says] ab mujhe chodo… itne bade bade bachche hai tumhare, aur tum ho kii aaj bhii romance karr rahe ho.. kuch tho sharam karo…
tab anurag kehtha hai:- arre sharam kaisi.. biwi ho tum meri..
ab prerna anurag se khud ko chudakar wahaan se jaasne lagthi hai.. jab anurag starts singing:- aye meri zohara jabeen tujhe maloom nahii tu abhi thak hai haseen aur main jawaan tujh pe qurbaan meri jaan meri jaan… anurag chah , sneha, kajal ke saath yeh gaana gaathe hue prerna kii taraf jaa raha hotha hai.. dancing with the three of them.. & then prerna bhii smile karthi hai & anurag, prerna share a hug.. while chah, kajal & sneha cheer them..

So hence this part of Hogi Pyaar Kii Jeet ends on the Mehra families smiling faces..

guys here ends "Hogi Pyaar Kii Jeet- Part 12"… I hope aap sab ko yeh part pasand aaya ho.. I know is part mein the flashback of yash & chah had to start lekin flashback ek aur part se agge badh gaya….. woh kya hai na I wanted to show the mehra family & also some yash chah's chemistry before the flashback.... I'am sorry agar aap ko yeh part thoda draggy laga ho aur agar yeh part ne aap sabko disappoint kiya ho as flashback nahii hai is meinn... I promise I'll make it up for all of you in the forth coming parts.. and guys ab se the story will focus on yash & chah to a greater extent.. next part mein you will see swayam , lalit.. aur uske baad yash chah kii pichli zindagi ke baare mein bhii jaanoge.. in the next part bas ek ya do scenes will be in the present aur phir flashback shuru ho jaayega.. pukka promise.. the 13th part of "Hogi Pyaar Kii Jeet" will have yash & chah's flashback.. a start to the flashback.

Preview For The Next Part:- Yah Chah's flashback… their life… theen saal pehle kii chah aur yash kii zindagi… thoda sa jhagda in the flashback… [aur is baar tho preview pukka]

Please do send in your comments & compliments… suggestions ho tho woh bhii bhejiyega.. & even criticism is welcome.. & silent readers please leave a comment even if it is a one word comment.. I'll be very happy.. I'll surely try & post the next part as soon as I can…

This part is dedicated to all my readers who take time & read my fanfic & leave a encouraging comment…

Take Care
Byeeeeee

Love
Surya.. 😊
Edited by sun_423 - 16 years ago
goodkashish thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 2
Posted: 16 years ago

hi surili....first i m so happy as i m the first one to comment on ur ff.........OMG...Fantastic....beautiful n wonderful part....i just loved it....ab comment karna kaha se shuru karoon woh samaj me nahi aata kyunki tumne part itni gehrai se likha hai ki kuch samaj me hi nahi aata....bas padhti gayi aur chah aur yash ki kahani me khoti gayi main to.....ab to muje bhi yakeen hone laga ki barso kiya hua intzaar bhi kahi na kahi pyaar me badal jata hai......kyunki pyaar to kuch ek waqt ki tarah hai...jo apni marzi se kahi pe bhi tham jata hai....kya kare yeh pyaar pe jo bas nahi rehta aur yeh pyaar hai jo apni hi aur se kuch na kuch humse karvata hai..........lekin yeh pyaar bhi uski tarah hai na hoke bhi hota hai aur hokar bhi nahi hota................khiar ab baat karte hai kuch chah ki.......chah tum teen saal yash se durr rehne ke bad bhi yash ko bhul nahi payi to phir yeh shimla wali mulaqat ke bina to yash ko bhulna namumkin sa hai kyunki is bar tumhara yakeen sach me badal gaya hai ki yash aaj bhi tumhara intzarr kar raha hai.......chah mere khayal se bahot hi ziddi kisam ki ladki hai...kyunki koi dusman bhi itna pyaar karnewale insaan ko dekhke badal jata aur chah to uski dost hoke hi use samaj nahi rahi to phit dusro ka kya kehna................main chah ko khusnaseeb kahoon ki badnaseeb yeh samaj me nahi aa raha kyunki khusnaseeb woh isliye ki aaj bhi yash jaisa dost use deewano ki tarah pyaar karta hai aur badnaseeb is liye kyunki woh apne pyaar ko dubara thokar marke chali aaye..........kehte hai ki dusra moka aasani se nahi milata aur milne ke bad gawane pe to aap ko teesra moka koi nahi deta.......lekin hamara yash hai jo aaj bhi itna kuch hone ke bad bhi uske pyaar me koi kami nahi aayi.............lekin is bar kuch alag hua to woh yeh ki aakhir kar chah ne apne aap se yeh keh diya ki woh yash se pyaar karti hai aur nahi kabhi yash ki bhul sakti hai..........pata nahi ki kaise chah apne andar itne sare jasbat ko kaid karke rakh sakti hai jab ki woh to janti hai ki samne yash apni baahein felaye uska intzaar kar raha hai.....woh to khud jan bujke apni feeling ko mar rahi hai............pata nahi chah ke mann me kya chal raha hai lekin woh yash ko leke hamesha se hi koi na koi galat faisla karti hai..............kabhi kabhi sochti hoon ki shayad kabhi chah yash ki dost hi na bani hoti to achcha hota...kamse kam dono itna tadapte to nahi............lekin yeh yash hai na jo her namumkin ko mumkin me badalne wala hai......aur uski baatein jitni confidant hai ki ab to akshat bhi chah ko bhabhi kehne laga..........by the way i just love the idea of yash...lekin muje darr hai ki kahi yeh baat chah ko pata chal gayi to iska result kuch ulta hi na aaye ......kyunki chah ko dhoka aur jooth bolnewale logo se nafrat jo hai..........pata nahi yeh yash kis tarah se chah ko tang karega taki chah yash ke pass wapas chali jaye...........kyunki woh bhi bahot se tarike hai.......lekin yash ka tarika to bahot hi alag hi hoga...........i still cant believe ki aaj bhi yash jaise insaan hote hai lekin dusre hi pal yakeen hota hai ki yash to sirf kahani ka hissa ho sakta hai.............yash ki woh chand se baat karna usse vaada karna ....kitna achcha lagta hai lekin darr bhi hai ki kya yeh vaada pura bhi hoga kabhi.........kya yash ke sapne sapne hi rehnewale hai..........kya kabhi yash ko woh labzo haqeeqat me nahi sunke ko milenge..........kitna khush dikhai deta tha jab woh chah ko apni baahoin me mehsoos karta hai aur phir kitna bawla ho gaya jab use yeh pata chala ki waha pe to koi chah thi hi nahi.............tab main janti hoon ki uska dil yahi keh raha hoga ki kash uski zindagi si sapne me thehar jati to kitna sukoon milta use..................lekin ab intzaar hai uski pichli zindagi ka..........ple is bar to zaroor bata na ki kya hua tha.............it was a very very very very very very very very very very very very very very very very very very very very very very very very beautiful partttt....👏......pleeeeeeeeeeeeeeeeeee continueeeeeeeeeee soonnnnnnnnnn...........thanks for pm..

love

Kashish

Edited by goodkashish - 16 years ago

Related Topics

Fan Fictions Thumbnail

Posted by: zajedno

2 months ago

new morning, new day.

new morning, new day. what does the new day bring us. what will the morning be like after the storm that rages in my heart all night. What is...

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: Aleyamma47

2 months ago

Pyaar Ya Rebound? ~ Rumya SS [Completed]

Intro: Rudra fakes a relationship with his best friend Soumya to impress glamorous Bhavya-but ends up falling for the one girl who truly knew...

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: desidillse

4 months ago

ArShi OS : Pyaar Ka Naghma {Completed} ArShi OS : Pyaar Ka Naghma {Completed}

[NOCOPY] P Y A A R. K A. N A G H M A. "Friends?" a little boy extended his hand towards a girl which she responded. They smiled and embraced...

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: heavenlybliss

6 months ago

Pyaar Ka Tropefest - My Series Of 5 Crossover Couple One-Shots

Hello everyone! I will be posting my 5 one-shots over here which I sent in for the Pyaar Ka Trope-fest contest. They are all standalones and...

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: MidnightLibrary

11 months ago

Rishtey the Bond of marriage (new chapter) Rishtey the Bond of marriage (new chapter)

Chapter : Melodious Encounter https://www.indiaforums.com/fanfiction/chapter/52348

Expand ▼
Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".