Originally posted by: serialbuff
Yaar, hum Indians deewaney hain, paagal hain, we are foolish, we don't know what music is, we have no taste in singers, we can't appreciate true talent, but remember we do have the power and we are using it to promote who we want to hear. You also have the power. You don't have to listen to them - change the channel, don't buy their music, get a pair of ear plugs. The choice is yours. We have exercised our freedom of choice, you exercise yours. No need to get hyper, don't u agree? 😊
On behalf of Qazi fans, lines from a recent Shahrukh movie:
"Hum to bhai jaise hain, waisey rahengey
Ab koi khush ho ya ho khafa
Hum nahin badlengey apni ada
Samjhey na samjhey koi hum yahi kahengey
Hum to hain jaisey hain waisey hi rahengey"
(http://www.raaga.com/channels/hindi/movie/H000750.html)
AND on behalf of the Indian janta, lines from another Shahrukh movie:
Hum logon ko samajh sako to samjho dilbar jani
Jitna bhi tum samjhogey utni hogi hairani
Apni chhatree tumko de dein kabhi jo barsey pani
Kabhi naye packet mein bechein tumko cheez purani
Phir bhi dil hai hindustani, phir bhi dil hai hindustani...
Thodey anari hain thodey khilari
Ruk ruk ke chalti hai apni gaadi
Humein pyaar chahiye, aur kuch paise bhi
Hum aisey bhi hain, hum hain waisey bhi
Hum logon ko samajh sako to samjho dilbar jaani
Ulti seedhi kaisi bhi hai apni yahi kahani
Thodi hum mein hoshiyaari hai, thodi hai naadaani
thodi hum mein sachchayee hai, thodi beimaani
Phir bhi dil hai hindustaani...
Aankhon mein kuch aansoo hai, kuch sapney hain
Aansoo aur sapne dono hi apney hain
Dil dukha hai lekin, toota to nahin hai
Ummeed ka daaman chhoota to nahin hai
Hum logon ko samajh sako to samjho dilbar jaani
Thodi majboori hai lekin thodi hai manmaani
Thodi tu-tu main-main hai aur thodi kheencha-taani
Hum mein kaafi baatein hain jo lagtee hain deewani
Phir bhi dil hai Hindustani...
(http://www.raaga.com/channels/hindi/movie/H000063.html)
Both penned by the inimitable Javed Akhtar!