Hello Friends,
I always use to read all the posts for edkv and enjoy them. But today I thought I should write something new.
This is the first time that I'm creating a new topic here on this forum. I hope you all will like it.
Actually, since a long time even I'm also waiting for the Shraman confession, and that confession day would be the happiest day for all of us.
But after watching the precap yesterday, I thought there should happen something different.
As we all know, the CVs of the show have always surprised us beyond our expectations. And this series of surprises would continue in today's episode also.
So it is always possible that, the moment Shravan says, I miss you-somebody will enter there and there would be no further dialogue, or may be something else will happen.
But what I think is, something different should happen. As like, When Shravan says, tum janti ho ki main tumhe miss karta hun...
Then there will be a silence for a few seconds,
aur phir Sumo thodi emotional hoke kahegi ki, han Shravan janti hun ke tum muze miss karte ho.. Isi liye mein tumhe kabhi akela nahi chhodna chahti.. tum chahe kitna bhi gussa karo, danto, mein phir bhi tumhare paas chali aati hun...
ye sach hai ki bachpan mein maine tumhara dil dukhaya tha, aur iss baat ke liye mein aaj bhi guilty feel karti hun.. lekin wo mera bachpana tha aur mere us bartav ke liye agar koi explaination ho sakta hai, to meine wo diya tha tumhe..
Shravan, tumne to kai bar kaha ki, you have moved on, lekin shayad tum aaj bhi wahi ho.. ek dayra bana liya hain tumne apne liye jiske aage badhkar tum dekh hi nahi pa rahe ho. Agar dekhte to samajh sakte the ki waqt ke saath kai chijen badalti hain, log badalte hain, unhe apni galtiyon ka ehsas bhi hota hai..
Shravan, ye sach hai ki akelapan hum dono ne saha hai, bhale hi hamari akelepan ki wajah alag ho...
Lekin tumhare liye shayad ek ummid ab bhi ban sakti hai, ki shayad tumhari family firse ek ho.. Aur kuchh nahi to kamse kam tumhare Papa to hamesha the tumhare saath, jinhe tumhare hone na hone se bahot fark padta hai, tum jaan ho unki...
Par Mere liye aisa kuchh nahi tha Shravan. Bachpan se mein kisi ke liye bojh hun aur kisi ke liye jimmedari... mein agar nahi rahungi to kisi ko koi fark nahi padenewala...
Han, ek tum hi ho jisne meri hamesha se kadar ki hain.. tumhare liye mein kabhi bojh ya jimmedari nahi thi.. Aur shayad isi liye mein tum par apna haq jatati rahi... Tumhare saamne wo sari bachkani harkatein karti rahi, jo shayad ghar mein nahi kar pati thi...
Shravan shayad mein tumhare dil ki baat janti hun, aur isi liye meine tumhe kaha bhi tha ki apne pyaar ko ek aur mauka do..lekin tumne baat tal di thi..
Lekin, isme tumhari koi galti nahi hain.. galti to meri hi hai ki pehle meine apni feelings ko samzne me der kar di aur phir tumhe samazne me mein itni kho gayi ki tumhe kabhi bata hi nahi payi.. ki mein tumhare liye kya feel karti hun...
Ho sake to meri is galti ke liye muze maaf kar dena...
- And then Sumo leaves the place...
Friends, I think Sharavan is so stucked in his past that he is not being to able to observe the positive changes, that time has brought in Sumo. He is not being able to read her mind..He can't see that her feelings for him are beyond friendship.. and she can go to any extent for him..
So that's why I think that this is his time to realize her feelings for him...