Jaane Tu Mera Kya Hai, Jaane Tu Mera Kya Tha,
Tu Hi Mera Har Pal, Tu Hi Har Lamha Tha..
Jaane Kaisi Kashish Hai, Jaane Kaisi Khalish Hai,
Kyu Yeh Saans Thami Hai, Aankhon Mein Kyu Nami Hai..
Hai Dosti Humko Yakeen Tha, Dosti Aur Kuch Bhi Nahi Tha,
Hai Kaisa Yeh Dard Naya Sa, Kyu Dil Lagta Tuta Tuta Sa,
Janaa Dil Jaana, Kaise Maine Naa Jaana,
Ki Pyaar Yahi Hai, Yeh Jaane Tu Ya Jaane Naa..
Janaa Dil Jaana, Kaise Tune Naa Jaana,
Yeh Pyaar Yahi Hai, Haan Jaane Tu Ya Jaane Naa..
Jaane Tu Mera Kya Hai, Jaane Tu Mera Kya Tha,
Tu Hi Mera Har Pal, Tu Hi Har Lamha Tha..