Not so good just for time-pass😆 😃

...
Abhijeet & Shreya are in Pune as they came here for a case in disguise of husband & wife. It was a high profile case so whole CID team was busy in their task & Abhijeet- Shreya got a task to find out some information & for this they had to act like a couple...Well, Finally case got solved & both are preparing to go back Mumbai with a victory smile as they successfully complete their mission...
Abhijeet : Shreya , sab preparation ho gayi hai ...?
Shreya: ji Sir , sab ho gaya , maine vo details bhi email kar di hai ACP Sir ko..
Abhijeet : very good ...well, I am going down , you come soon as we are already late...
Shreya: sure Sir...I am coming..
Abhijeet goes down near his car & waiting for Shreya , soon Shreya comes & both starts their journey towards Mumbai...Abhijeet is driving & Shreya starts conversation as they have lots of time & can't expend their journey with shut mouth...
Shreya: vaise Sir , it's really hard to believe ki Rajan ne ye sab apni girlfriend ke kahne par kiya...disgusting
Abhijeet: Shreya log pyar mei kuch bhi kar sakte hai...
Shreya: ye baat tou hai Sir...bdw mai aapo thanks kahna chahti thee..
Abhijeet: aur vo kisliye..?
Shreya (softly) : Sir aapne meri jaan bachai , agar aap time par nahi aaate , tou vo Rajan mujhe bhi maar dalta...thank you for save my life...
Abhijeet : Shreya , ye hamari duty hai aur phir Mai thumara senior hu aur as a junior tum meri responsibility ho , phir aise kaise Mai time par nahi aata...thanks kahne ki zarroart nahi hai..
Shreya: zarrorat tou hai Sir...(added in sad tone) mujhe bachate hue , aapko chot bhi tou lag gayi...agar aapko kuch ho jata tou..
Abhijeet: Shreya hone ko tou , kuch bhi ho sakta thaa ...par hua tou nahi ...aur Mai bilkul theek hu , ye choti moti chote tou kuch bhi nahi hai...hum CID walo ko inki habit ho jati hai...
Shreya(thankful tone) : Sir I am very lucky ki mujhe aap , ACP Sir aur Daya sir jaise Seniors se sikhne ko mil raha hai...thanku sir..
Abhijeet: phir se thanku...ary thume baar baar thanks kahen ki habit hai kya...aur tum bhi bahut brave ho...We too are very happy ki hamre juniors itne brave aur dedicated hai..
Shreya (smiling): Sir aap tou aise hi meri tariff kar rahe hai...mai tou bass ..
Abhijeet: nahi Shreya I am telling the truth ...ha brave cop hone ke sath , tum thodi emotional bhi ho...right..
Shreya: Yes Sir...vaise emotional tou aap bhi hai...vo case yaad hai , jab meri jaan bacane ke liye aapne ..
Abhijeet(smiling) : Shreya bass bass...ab aur taraif mat karo , varna Mai mota ho jaunga..
Shreya(naughty tone) : accha hai sir...thoda health ka bhi dhyan rakhna chahye...
Abhijeet (while laughing) : accha...tum bhi na...
Abhijeet & Shreya share a soft laugh & keep talking on random topics...
...
After some time Abhijeet stops car near a mall & Shreya gets confused..
Shreya: Sir yaha car kyu rok di...kya kuch kaam hai yaha..?
Abhijeet: ha Shreya , mera ek informer hai , usne mujhe yaha milne ke liye bulaya hai , usse Black-Snake gang ke khilaf koi lead mili hai...
Shreya: lekin Sir , aapka vo informer kya pahle se yaha aapka wait kar raha hai...yaha iss mall mei..?
Abhijeet: nahi Shreya...usne kaha thaa 2 baje mujhe call karega...
Shreya: lekin Sir abhi tou 1:30 hi hua hai...
Abhijeet: ha thoda wait tou karna padega ...vaise bhi yaha milne se logo ko hum par doubt bhi nahi hoga , iss tarh ki meetings ke liye , aise crowded place acche rahte hai...aur usne kaha thaa thoda time lag sakta hai ...lagta hai kafi kuch hath laga hai...
Shreya: lekin Sir vo aapko call tou karega na...
Abhijeet: ha call tou karega...aisa karo Shreya tab tak tum lunch kar lo...
Shreya: Sir aap lunch nahi karege...
Abhijeet: nahi Shreya , pata nahi kab uska call aa jaye...
Shreya: lekin Sir aapne tou kaha thaa vo 2 baje tak aayega , abhi tou time hai , tab tak aap bhi lunch kar lijiye...varna Mai bhi baad mei hi lunch karungi..
Abhijeet: Shreya tum bhi na...accha theek hai , chalo pahle lunch kar lete hai...
Shareya(happily) : chaliye Sir..
Abhijeet & Shreya takes their seat & Shreya noticed Abhijeet orders simple food for him & Shreya orders the same as it's really seems weird if you ordered food of your choice in front of your senior...
Shreya (softly) : Sir lagta hai aapko bahar ka khana jyada pasand nahi...
Abhijeet: sahi kaha Shreya...mujhe fast food jyada pasand nahi aur Mai ghar ka bana khana jyada pasand karta hu...vo tou kabhi kabhi Daya zidd karne lagta hai , isslye bahar khana padta hai , varna mujhe ye sab pasand nahi..
Shreya: vaise Sir , mujhe bhi ghar ka khana jyada pasand hai , simple food...market food par trust nahi hota aur phir calories bhi jyada hoti hai...
Abhijeet: ha vo tou hai , lekin hum cops ki kismat aisi hi hoti hai , mostly bahar ka food hi khana padta hai...itna time hi nahi mil pata , ki regular ghar par khana bana sake aur phir late night ghar aakar , kitchen mei entry karne ki himmat hi nahi hoti...aur phir se vahi packed food...
Shreya (smiling) : vo tou hai Sir...vaise jab aapki Shaddi ho jayegi , tab koi problem nahi hogi...
Abhijeet (smiling) : accha...aur agar mujhe koi meri jaise hi mil gayi tou...
Shreya (happily) : tab tou aur bhi accha hai sir...lunch , dinner sab kuch special ho jayega...log tou sath mei bahar khane ka plan banate hai , lekin aapka tou daily candle light dinner ho jayega...
Abhijeet(naughty tone) : lunch aur dinner tou theek hai Shreya , lekin sayad Breakfast ek din bhi na mile...bhooke pet hi Buearu bhago..
Both starts laughing & Shreya says in naughty tone..." Sir aap bhi na..."
Both are really feeling relax & enjoying these light moments of their life as cops hardly finds such happy , relaxing moment of their lives..
Before waiter comes with their order , Abhijeet received a call from his informer & he left with..
Abhijeet: Shreya , mujhe nikalna hoga...tum lunch kar lena...
Shreya: it's ok Sir , aap apne informer se mil lijiye , hum baad mei lunch kar lege...
Abhijeet: but Shreya , it'll take time , so you have your lunch...
Shreya: koi baat nahi Sir...vaise bhi mujhe bhook nahi hai , agar time milega tou theek hai , varna hum Mumbai tou pauchne wale hai , vahi jakar lunch kar lege...
Abhijeet(teasing tone) : Shreya tab tak lunch time tou nahi rahega...ha dinner tak pauch jayege...issliye kah raha hu , mujhe time lagega , tum lunch kar lo...
Shreya (smiling) : it's ok Sir...aap jaye , mujhe sach mei bhook nahi hai..
Abhijeet: ok Shreya , as you wish...after meet my informer , I'll call you...
Shreya: ok Sir...
Abhijeet left & Shreya goes in other section of mall to spend her time & soon gets busy in shopping...
...
After taking required information from his informer , Abhijeet calls Shreya & they both meet outside the mall where Abhijeet see Shreya carrying some bags with her , so he tease her with naughty tone...
Abhijeet: vaise girls chahe Cop ya kisi aur profession mei , Shopping karna sabko pasand hota hai...
Shreya(smiling): Sir mai bore ho rahi thee tou socha , yaha se kuch shopping hi kar lu...
Abhijeet(teasing tone) : better use of time...right..
Shreya (getting his tease so reply in naughty tone) : ji Sir...
Abhijeet & Shreya smiles & sits in car & their journey again gets starts to their home town Mumbai...
...
In the way Abhijeet feels jerk in car & suddenly car gets stopped, Shreya gets confused & Abhijeet come out to check his car...
Abhijeet (disappoint) : O God...isse bhi abhi kharab hona thaa...
Shreya(confused): kya hua Sir...?
Abhijeet: Shreya Car mei kuch problem ho gayi hai...mai check karta hu...
Shreya too comes out & Abhijeet trying to find out the problem but got failed & finally called a car mechanic after getting a number from shopkeeper whose shop is near the road ...Mechanic comes & starts his work , Shreya see a stall on corner of the road where people are enjoying GOL-GAPPA , ALOO TIKKI , CHAT & a smile comes on her lips & she feels hungry on seeing GOL-GAPPA...
Shreya(thinking) : wow GOL-GAPPE ...kitna time ho gaya , ab tou yaad bhi nahi last time GOl-GAPPE kab khaye the...kya karu , dil kar raha hai , ek baar taste tou karna chahye...lekin Abhijeet Sir kya sochege...pahle tou lunch ke liye mana kar diya aur ab...lekin ye GOL-GAPPE kitne tasty lag rahe hai...
Abhijeet(coming towards Shreya) : mechanic kah raha hai half an hour lag jayega car theek hone mei...(finds no reply from Shreya) Shreya kya hua...?
Shreya (shocked) : ji Sir...aapne kuch kaha...
Abhijeet: maine tou kah diya jo khana thaa , lekin tum kaha khoyi ho...aur vaha kya dekh rahi ho..?
Shreya(hesitate): Sir vo stall dekh rahi thee...(added in happy tone) jab mai college mei thee , tab hamare College wali road ke pass ek GOL-GAPPE wala thaa , Mai aur meri friends college se vapas aate time , vaha zarror jate the ...hum sab friends vaha jakar GOL-GAPPE khati the aur baato hi baato mei time ka pata hi nahi chalta thaa , aur GOL-GAPPO ka khatta meeta Pani aur bhi tasty lagta thaa...bahut maza aata thaa...
Abhijeet(sadly) : ha college mei tou maza aata hi hai...friends ke sath...
Shreya realized a sad shade in Abhijeet's voice & feels sad to hurt her senior who forget his past & can't remind those college days..
Shreya (guilty tone) : sorry Sir...mai tou bass...
Abhijeet: koi baat nahi Shreya...vaise sirf college mei hi kyu , friends ke sath tou hum kabhi bhi enjoy kar sakte hai...kyu...& I know you are feeling hungry...meri vajah se tumne lunch jo skip kar diya...
Shreya: ary nahi Sir , aisa kuch nahi hai aur phir aapne bhi tou lunch nahi kiya...aur mai tou abhi bhi jab time milta hai Purvi , Tarika aur kabhi kabhi apni college friends ke sath , jo aaj bhi mere touch mei hai goomne nikal jati hu aur phir se issi tarah road ke kinare , stall par khade hokar Chat , Tikki aur GOL-GAPPO ka maza lete hai...bahut accha lagta hai... ...aur aaj aise hi achanak se ye stall dekhkar ...kafi time ho gaya hai , last time kab friends ke sath Gol-Gappe khaye the , yaad bhi nahi...
Abhijeet: ha vo hamara kaam hi aisa hai , friends ke sath enjoy karne ka time hi kaha milta hai...lekin accha hai , jab bhi chance mile tou usse miss nahi karna chahye...vaise thume Gol-Gappe bahut pasand hai kya...?
Shreya (smiling): ji Sir...I love Panipuri...bahut tasty hote hai... Vaise tou ye restaurant mei bhi milte hai.. lekin GOL-GAPPE kahne ka asli maza tou aise hi hai... restaurant mei vo maza nahi , jaisa iss tarah khule aasman ke niche khane mei aata hai...
Abhijeet (frankly) : ary agar thume Gol-Gappe itne pasand hai tou , wait kya kar rahi ho...abhi tou vaise bhi car theek hone mei time lagega , tum agar chaho tou phir se khule aasman ke niche Gol- Gappe enjoy kar sakti ho...
Shreya (hesitate) : kya sir aap bhi...abhi aksie...
Abhijeet: kyu nahi ..mujhe koi problem nahi hai...aur thume bhook bhi lagi hogi , ab Mai itna Khadus Senior bhi nahi hu , ki apne junior ko bhooka rakhu...
Shreya: Sir ye aap kya kah rahe hai...aur phir bhook tou aapko bhi lagi hogi...
Abhijeet(naughty tone) : smart girl ha...dekho abhi thoda time hai , uske baad tum kahogi , tou bhi mai car nahi rokne wala...so don't miss the chance...
Shreya(smiling) : Sir aap sach mei...
Abhijeet(naughty) : kya...bahut khadus hu...
Shreya: nahi Sir...(Shreya speak in low tone )bahut cute...(Abhijeet seeing her & she hurriedly says) I mean , bahut acche Senior hai..
Abhijeet: Shreya , ab agar tumne meri aur tarrif ki , tou mujhe lagega , bass aise hi hawa mei kah rahi ho...
Shreya (fake anger) : kya Sir , aap bhi na...
Abhijeet: tu phir jao , time waste mat karo , varna baad mei mat kahna...
Shreya(softly) : Sir aap bhi chaliye na...kya aapko Gol-Gappe pasand nahi...
Abhijeet: Thanks Shreya , but mai jyada spicy food nahi khata...aur Panipuri tou bahut tikha hota hai...
Shreya: tou sir aap Aloo Tikii taste kariye...kafi tasty lag rahi hai..
Abhijeet: mai ye nahi kha sakta Shreya , actually mujhe Aloo se allergy hai...
Shreya: oh ...sorry sir...tou phir rahne dijiye , mujhe bhi kuch nahi kahna..
Abhijeet: ary aise kaise nahi kahna , abhi tou kah rahi thee bahut tasty hai , bahut accha lagte hai aur ab achanak se kya hua ...
Shreya(stubborn): tou phir aapko bhi kuch lena padega...
Abhijeet: accha theek hai...ab chalo , varna kahi aisa na ho , yahi khade rah jayege aur sara time nikal jaye...
Shreya(happily): chaliye sir...
Abhijeet & Shreya goes to stall & Shreya says to Vender...
Shreya: ary Bhaiya...jara doo Plate GOL-GAAPE lagana..
Vender: Ji madam..
Shreya enjoying GOL-GAPPAS & other people too enjoying their Chat & Tikki , environment seems tasty & Chatpata , people enjoying tasty Gol-Gappa at corner of the road. Mostly people are passengers & after parked their vehicles at road's corner they are coming & enjoying tasty Panipuri ,Aloo Tikki & Chat...Abhijeet really feels hesitate to taste such spicy food because he doesn't like Chatpata but Shreya encourage him & after seeing other people , finally Abhijeet keep one piece in his mouth & in next second feeling too spicy & starts coughing...
Shreya(tense): Sir...(To Vender) ary jara pani dena..
Shreya gives water to Abhijeet , who feels relaxed after drinking some water...
Abhijeet: I am fine Shreya...actually ye bahut thika hai...
Shreya(worried) : rahne dijiye sir...hum chlate hai..
Abhijeet: ary nahi...ye bahut tasty hai par sayad chili bahut jyada hai...
Shreya : koi baat nahi Sir...aap sweet sauce le lijye..
Shreya tells Vender to add little sweet sauce & then Abhijeet too enjoyed Gol-Gappa with Shreya & both colleagues expend a free time like good friends...Mechanic completed his work & After paying bill Abhijeet & Shreya sits in car & Abhijeet drives towards their next destination Mumbai ...
...
Shreya(happily) : Sir , aapko kaise lage Gol-Gappe ..?
Abhijeet(smiling) : too good...you are right Shreya...khule aasman ke niche , ek alag hi ahsaas thaa...accha laga...thanks for the treat..
Shreya: kaisi treat Sir , bill tou aapne pay kiya hai...
Abhijeet: lekin idea tou thumara thaa...
Shreya(smiling) : ur welcome sir & thanks to you for accepting my request...
Abhijeet smiles & rest of the journey both enjoying each other company & talking on random topics...
...
After some hours journey they enters in Mumbai city..
Abhijeet: Shreya , abhi mai thume ghar drop kar deta hu , Maine ACP Sir se baat kar li hai , case details hume kal deni hai aur e-mail tum pahle hi kar chuki ho...
Shreya: ji sir...
Abhijeet: tou phir theek hai , work is done so we'll discuss tomorrow about case..
Shreya nodded & Abhijeet drives towards Shreya's home & after reaching there, Shreya comes out from car but seems little hesitate..
Abhijeet: kya hua shreya...kuch kahna hai...
Shreya(hesitate) : vo Sir...actually jab aap apne informer se milne gaye the , tou maine kuch shopping ki thee & I purchased something for you too...aapko tou vaha zara bhi time nahi mila aur maine sabke liye kuch na kuch purchase kiya hai tou aapke liye bhi...
Abhijeet: Shreya...tum bhi na...iski koi zarrorat nahi thee..
Shreya: Sir jab sabke liye , liya hai tho...vaise bhi mai aapke birthday par bhi aapko kuch nahi de payi aur pata nahi , aapko pasand bhi aayega ya nahi but plz aap mana mat kijiyega ...
Abhijeet(softly) : Shreya , mere birthday par tum mission par thee aur ab tou uss baat ko bahut time ho chukka hai...tum bhi na...
Shreya: Sir ab tak time hi nahi mil paya...aap plz...
Abhijeet: accha theek hai , nahi mana karunga...varna tum aise hi khadi rahogi...
Shreya(happily) : thanku Sir...
Abhijeet(naughty tone) : gift mujhe mil raha hai , thanku tou mujhe bolna chahye...
Shreya smiles & gives a packed black shirt in transparent beautiful packing...
Abhijeet(surprised) : Black shirt..
Shreya: vo Sir mujhe pata nahi thaa , aapka favorite color kon sa hai , issliye Black choose kar liya...mujhe laga aap par accha lagega...
Abhijeet: thanks Shreya...vaise aaj thumne mujhe bahut surprise de diye...aur sach kahu itne hectic case ki sari tiredness dur ho gayi...
Shreya: Sir kaam tou hamesha laga rahta hai , lekin agar kuch pal apno ke sath bita liye jaye , tou sari thakaan dur jati hai...friends , colleagues ye sab tou hamari life ka ek important part hai aur kai baar inka sath , hame hamare dukh dard bhula deta hai...
Abhijeet : you are right Shreya...vaise mujh pata nahi thaa , tum itna deep soch leti ho...
Shreya(smiling) : aapse hi sikha hai Sir...
Abhijeet smiles & left for his next destination after accepting that gift...Shreya watching him until he gets disappear from her eyes after that she enters in her house with a sweet smile...
Shreya's Mother: ary Shreya aa gayi beta...kaisa raha din...?
Shreya(happily) : bahut bahut accha...
Mother(naughty tone ) : bahut kush lag rahi ho...lagta hai Pune mei koi naya friend mil gaya...kyu..
Shreya(smiling): ha , kuch aisa hi samjh lijiye...
Mother: kabhi hame bhi apne uss naye dost se milana...
Shreya: zarror Mom, lekin abhi aap jaldi se khana laga do...bahut bhook lagi hai...
Mother: kyu lunch nahi kiya tumne...?
Shreya: nahi , time nahi mila...
Shreya's mother goes in kitchen to bring food for Shreya who is lying on her bed in her room & thinks..
Shreya: sach mei , kai baar kuch acche dost hamare aas paas hi hote hai , lekin hum unhe pachaan nahi pate...vaise aaj ka din kuh alag , lekin bahut khass thaa...
...
...
Sometimes , little moment gives us the real pleasure in our hectic or boring life , so don't miss the chance & enjoy those moments with your friends because those little moments can give us a true friend , who makes our life more happy"
" Happiness ka size matter nahi karta hai , 😉
kyuki Tini Tiny Happiness zarrori hota hai "😛
...
The End.😊