Aye muhabbat! teri qismut k tujhy muft mily
hum sy dana jo kamalaat kiya krty thy
khushk mitti ko bhi emaraat kiya krty thy;
Aye muhabbat! ye tera bakht k bin mool mily
hum sy anmool jo heerun mei tula krty thy
hum sy munhh zor jo bhonchaal uthaa rukhty thy;
Aye muhabbat meri! hum tery mujrim thehry
hum jesy jo sawalaat kiya krty thy
hum jo sau baatun ki ek baat kiya krty thy;
Teri tehweel mei aany sy zara pehly
hum bhi is shehr mei izzat sy raha krty thy
hum jo bigrty tou kaye kaam bana krty thy;
Aur ab teri sakhawat k ghaany sayee mei
khalqat-e-shehr ko hum zinda tamasha thehry
jitny ilzaam thy maqsoom humara thehry;
Aye muhabbat! zara andaaz badal ly apna k
tujh ko tou aainda bhi ushhaq ka kho'on peena hy
hum tou mar jayein gy magr tujh ko tou jeena hy...
306