Hi all CIDians, this is my first attempt so please bear with amateur writing. Actually inspiration for this came when I saw the recent "Sunsan sadak" episode. Please share your valuable feedback for part 1. I am still in the process of writing the story so will keep all of you updated.
Scene (Late night near a highway)
---------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
Two friends were returning to Mumbai in a jeep.
Anil: Yaar neeraj kaafi late ho gaye ab Mumbai raat ke 2 baje hi pahuch payenge
Neeraj (driver): Main kya karoon baaton baaton mein waqt ka pata hi nahin chala
Anil: waise manana padega tu gaadi chalata toh acche tarike se hai
Neeraj: Gaadi chalana art hai, kala hai aise har koi nahin chala sakta
Suddenly jeep breaks down
Anil (smiling): Haan samjh gaya
Neeraj: Dammit ab kya kare ?
The two of them see a big house in the horizon view (in the jungles)
Neeraj: chal raat ko wahi ruk lenge
Anil: Nahin yaar yeh thik nahin lag raha
Neeraj: Ha ha mujhe pata tha tu yehi bolega darpok kahi ka
Anil: Darrrpok....main dar..pok nahin hu....aaaa ......yaar mere gale mein kuch aa,,,,,
Neeraj: Oye Anil tujhe kya hua ???
Suddenly Anil's drops to ground and lay motionless. Neeraj shaken by this stands still and looks
on his left. Even before his mouth can scream, his eyes largen than normal and heart skipping
beat more than once.Due to sudden visual impact, [I mean to say he saw something] he suffers
a stroke and drops dead himself.
---------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
Anil now conscious and awake finds himself in the bed sweating in his house. He
cautiously inspect the surroundings until his wife woke up.
Aneeta (wife): Kya hua ? Aap itne dare hue kyun hai ?
Anil: Woh kuch nahin shayad bura sapna dekha
Anil now calls up Neeraj's mobile it rings many time no answer
He again call...this time someone picks up the phone.
Anil: "Neeraj?"
Other Side: Dekhna chahega neeraj ko ?
Anil: Tu..tum ka..un bol rahe ho ?
Other Side: Kya hai na kee tera driver friend ab is duniya mein nahin raha
Anil: KYA?? KYA BOL RAHE HO TUM ?
Other Side: Zara bed ke neeche dekh.
Anil looks below to find the corpse of Neeraj ....He screams loudly in despair
Other Side cuts the call
Anil: Ab kya kare ?
Aneeta: CID ko phone karte hai...........
---------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
Scene (CID Bureau)
Vivek: Freddie sir aapko sapne acche lagte hai ?
Freddie: Kya ?
Vivek: M..Mera matlab kee sapne dekhna ?
Freddie: Kash Vivek dekh pata CID kee 24/7 duty mein sapne dekhne ka time nahin hai
Vivek: Sir aapko pata hai sapne kyun aate hai ?
Freddie: Agar mujhe pata hota kee kyun aate toh aaj mein yaha nahin balki ....
ACP [enters the room]: balki ??
Freddie: k..k kuch nahin sir
Phone rings...Abhijit picks up
Abhi: Kya ? Kaha par ? thik hai hum abhi aate hai
---------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
Scene (CID team standing besides Neeraj's corpse)
Abhi: Yaha par kya hua tha ? Thik thik bataiyee ?
Anil (crying): Ssir....yeh mera best friend Neeraj hai...hum log picnic se laut rahe the...phir achnak....
Aneeta (Surprised): Picnic ? Anil tum toh pure din ghar par hi the ?
ACP: Ek minute yeh kya chakkar hai Anil, tum picnic par gaye the kee nahin ?
Anil: Sir ....Oh...Sorry....Yaad aaya...maine ek bura sapna dekha ......
Abhi: Phir ?
Anil: Jab mein jaga toh maine Anil ko phone kiya...kisi ne..kisi aur ne baat ki aur phir aur phir....
[sobs]
Abhi: Aur ?
Anil: Us aadmi ne kaha kee Neeraj mar chuka hai aur bed ke neche pada hai....
ACP: Kya ?
[Abhijit/Daya/ACP in a short meeting]
Abhi: Sir chakkar kuch samajh mein nahin aya ... yeh lash yaha par pahuchi kaise aur aayi bhi toh kisi ko pata kaise nahin chala
Daya: Haan sir aur body par koi bhi nishaan nahin hai kisi chot ka ya goli ka
ACP: Wohi toh ...(moving to the body)
ACP notices bulging eyes of Neeraj
ACP: Abhijit yeh dekha...iski aakhein dekho bahar ki taraf nikal rahi hai...
Abhi: Haan sir kuch toh hai jiskee wajah se yeh hua hai kuch ajeeb sa lag raha hai
Freddie: A..aisa lag raha hai kee yeh mujhe hi ghoor raha hai.....sir kahi yeh......
ACP: Bas aage mat bolna ... fingerprints utao is kamre se
Daya: Sir hume us aadmi ke baare mein pata karna chahiye jisne mobile par Anil se baat kee
ACP: Hmmm...kuch toh gadbad hai....Vivek pata karo Neeraj ka mobile kaha hai is waqt aur is
laash ko forensic lab bhijwa do
Vivek: yes sir
Vivek receives call from Exchange: What ? Aapne thik se check kiya ? Ek baar phir dekh lijiye
Daya: Kya hua vivek ?
Vivek: Sir..sir...company wale keh rahe hai kee mobile trace hi nahin ho paya ..
ACP: Yaani kee usne mobile switchoff kar diya hoga...
Vivek: Sir baat yeh nahin hai...company wale keh rahe the kee unhone last 3 hours kee reading
dekhi par mobile ka koi trace nahin hai...
[Freddie now getting freaked out]
Daya: What? Yeh toh namumkin hai.....
Abhi: Anil yaad rakhna CID se jhoot bologe toh bahut bura fasoge
Anil: Sir main aapko apna mobile dikhta hoon...
He brings mobile and shows outgoing call of 2 minutes to Neeraj's mobile
Suddenly Freddie receives a call on his mobile and almost lets out a scream but controls
Freddie (on hearing from other side): KYA ??
----------------------------- TO BE CONTINUED ---------------
7