na chahte hove bhe door na reh saka.. os ne BD wish ki or muhe rula diya. kiyon ke family ke baad kisi ne itne ache se wish kiya he nahi tha shayed is liye,
main ne phir se koshish ki ke ansar door raho is se. phir 10 nov a gayi or Mama ki death ke baad jese kisi ne care ki mujhe laga yehi hai wo... lekin phir se koshish ki or door raha..
magar kab tak rehta....
phir april 2014 wo larki meri life me pyaar ban ke ayi. dil se os ko accept kiya. lekin phir socha nahi.!!! main phir se sochne laga ke door rehna chahiye. but tab nahi kar saka or mera the end ho geya,
dil ne kaha yehi hai wo jo tumhain dil se khush kar degi, yehi hai wo jo os sad ansar ko zinda kar sakti hai jo kahin na kahin kho geya hai..
main ne kaha os larki se ke dekho agar sath dena hai to sath chalna mere.. or ager nahi to abhe side pe ho jao becoz kal ko tum to side pe ho jao gi lekin main nahi kar sakon ga. to abhe soch lo, os larki ne kaha nahi ansar tum he zindagi ho meri. os ne mujhe majboor kiya ke main os ka yakeen kar loon. or main ne kiya,
phir jab apne plan ko le kar agey chala to samjh aya ke sab asaan nahi hota.. zindgi me sab se bura waqat chal raha tha. future ka kuch pata nahi tha ke kya hoga or kya nahi. lekin itna pareshan hone ke baad bhe feel karta tha ke main dil se sad nahi hoon. matlab wo dard jo andar he andar mujhe maar raha tha wo nahi tha.
kaam ki waja se pareshan tha lekin kasam se dil sakoon me a geya tha.
to main khush hova ke eyse he himat haar geya tha or socha a gayi hai meri zindgi to ab khush he rehna hai hamesha..
931