*~H.G.O.R.C. #543~*- $~Invites Only~$ - Page 10

Created

Last reply

Replies

1.1k

Views

37.7k

Users

2

Likes

3

Frequent Posters

Forgotten-Toy thumbnail
15th Anniversary Thumbnail Achiever Thumbnail + 2
Posted: 6 years ago
#91


jo tumhain khushi main yaad aye samjho os se tumhain muhabat hai,
or jo tumhain gham main yaad aye to samjho wo tum se muhabat karta hai,




abhe is pe kya bolon main? lol khushi to nahi hai mere paas, gham hai, or mujhe gham main jo yaad ata hai os ko mujh se muhabat to nahi, phir is baat ka kya matlab hova bhala, coz khushi ho ya gham mujhe to 1 he naam yaad ata haiđź’”
Forgotten-Toy thumbnail
15th Anniversary Thumbnail Achiever Thumbnail + 2
Posted: 6 years ago
#92


phir 1 raat gham se mar geya tha kahin,
tumahre pyaar ko andar se marte marte, lol
Forgotten-Toy thumbnail
15th Anniversary Thumbnail Achiever Thumbnail + 2
Posted: 6 years ago
#93


jo karna hai dil se kijiye,
beshak nafrat kijiye,
Forgotten-Toy thumbnail
15th Anniversary Thumbnail Achiever Thumbnail + 2
Posted: 6 years ago
#94


hamari hadon ko kuch log,
hamara gharoor kehte hain..
Forgotten-Toy thumbnail
15th Anniversary Thumbnail Achiever Thumbnail + 2
Posted: 6 years ago
#95


os ko chahna os ko sochna,
mera aaj bhe yehi kaam hai..
Forgotten-Toy thumbnail
15th Anniversary Thumbnail Achiever Thumbnail + 2
Posted: 6 years ago
#96


i thnk mujhe laptop ke samne nahi bethna chahiye, puri raat soya nahi, itni deir long drive ki, or abhe laptop ke samne nahi, sar dukh raha hai, khaya bhe nahi kuch oper se,
Forgotten-Toy thumbnail
15th Anniversary Thumbnail Achiever Thumbnail + 2
Posted: 6 years ago
#97
mujhe shayed programing seekhne ka janoon tha, lol
hmmm, khatam nahi hova meri health ne sath nahi diya tha jan feb main :(
main janta tha mera dil mujhe karne nahi dega,
main ne Naaz jee se help li thi onhon ne kaha tha C++ se start karo, or main ne bus install kiya ,!
Forgotten-Toy thumbnail
15th Anniversary Thumbnail Achiever Thumbnail + 2
Posted: 6 years ago
#98
mere kuch friends hain jo bohot kabil bhe hain, main on se zara bhe help nahi lena chahta, os ki waja hai ke bohot saal pehle main ne on se kaha tha ye degree le kar Ap ko sakoon nahi milega, hard work karte rahoge sari life, magar mujhe dekhna bina degre ke life ko eysa banaon ga ke Ap dekhte rahoge,

abhe main to barbaad hova, magar phir bhe osi dost ko aaj main ne visa diya hai, wo apni degree side pe rakh ke wahan meri he company ka visa le kar pese kama raha hai, jis se sabit hova ke main theek tha :) meri soch or manzil zeyada oper ki thi, wo khud kehta hai ke computer ki job ne os ko samosa he bana diya tha din raat mehnat, magar is kaam main pese hain zeyada or mehnat hai kam,

is reason se main kisi se kisi bhe tarhan ki help nahi lena chahta, ager li to wo kahin ye na samjhain ke ansar seekh kar job karna chahta hai, lool

jab ke main computer se itni muhabat karta hoon ke is se pese kamane ka soch bhe nahi satka,! main bus is ko har tarhan se seekhna chahta hoon :)
Forgotten-Toy thumbnail
15th Anniversary Thumbnail Achiever Thumbnail + 2
Posted: 6 years ago
#99
1 se main ne kaha kisi or ko help chahiye to btao, wo kehta paython se start karne ko bolo, main ne socha ye banda theek nahi, Naaz ne kaha c++ wo keh raha hai python, to i think Naaz ki baat sahi hogi,

main ne 1 week lagaya bhe tha, os ke baad phir health eysi kharab hoi ke main IF pe bhe nahi a saka, lol

ager main ne ye seekh liya to eysi ki tesi sab ki, lol

os ne mujhe kuch SS diye jo coding os ne ki,
Forgotten-Toy thumbnail
15th Anniversary Thumbnail Achiever Thumbnail + 2
Posted: 6 years ago
mujhe 1 cheez ki samjh nahi a rahi, wo itna kabil insaan hai, itna agey hai in sab main, magar os ne kuch months pehle mujh se help li PC build karne main,
i think ye sab nahi ata programing karne walon ko, ye shayed on ka kaam nahi,

intel ka processor, os ki detial main bohot kuch hota hai, or aj tak jitne bhe aye, mujhe on sab ka pata hai, on ki speed, model, os main kitne transistor hote hain, A to Z sab, wikipedia pe check karo, kitni detail hoti hai, mujhe sab ke sab yaad hain, hazaaron main,


jese ke mere paas abhe intel i7 hai laptop main, magar ye kya hai? lol i7 to har saal ata hai, ye wala kon sa hai,

ye i7 7820 hai,

jis ko pata hai os ko maloom hoga 7820 kya cheez hai, jis ko nahi maloom os ko nahi, isi tarhan se dimaag kharab kar dene wali list hai jo mujhe sari ki sari yaad hai,

Related Topics

Chat Clubs thumbnail

Posted by: naadanmasakalli · 1 years ago

This CC is for discussions regarding IB + idhar udhar ki baatein .. Rules: NO Discussion of any other Fandom allowed in This CC in regards to...

Expand â–Ľ
Chat Clubs thumbnail

Posted by: Forgotten-Toy · 4 years ago

Rules for this CC This is a "NO ENTRY" CC. Meaning, don't dare set your foot in here because we WILL NOT allow anyone else into our CC anymore....

Expand â–Ľ
Chat Clubs thumbnail

Posted by: Sumaiya27 · 2 years ago

Welcome everyone to the SEVENTH CC thread where will share our dewaangi as pankhis (fangirls) of our fav itv shows, fav actors and actresses...

Expand â–Ľ
Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".