Okay so I know this is more than 20 dialogues... But I selected based on whether the dialogues were interesting/insightful and/or impacting and these starting episodes had a lot of dialogues that met these criteria. Lots of foreshadowing, back story, character filling etc etc. 😳
Also apologies for phonetically murdering the language. Spoken Hindi I kind of manage...written Hindi using English letters is barely possible. So feel free to change/edit/shorten as necessary. Some bigger chucks of dialogue, I did not know where to trim... 😕
So I leave it up to you guys to pick the final lot. Plus side is that combined with all the other dialogues, we will definitely hit 100 for sure 😆
-------------------------------------------------------------------
Episode 1 -
- Apne baap ki ek seek yadh rakhna. Khoobsurat aurate kisiki nahi hoti. Na apne baap ki. Na apne pati ki. Na apne aulad ki. Kisiki nahi!
Episode 2 -
- No interesting dialogue 😔
Episode 3 -
- Sarkar jor jabarjasthi se zameen pe kato ke bard gardh sake, hain himmat to humare dillon main ye kato ke bard gardh dekhave, sarkar. Mhere liya koi sarhad nahi, aapke liye koi sarhad nahi, mhare betiyo, mhare jawan ke liye koi sarhad nahi!
- Jab tak zinda hu, tab tak na to khudh, na apne, apne kabhi BSD ke gulaam bane doonga.
- Iski sapno mein na aayaho par iski sapno ka raj kumar issi lejane aa raha hi hoga. Iss registan me uske pair iske ghar ki taraf murdh hi gaya hoge. Iske aankhon mein na aye tho kya hoya, uske aankhon mein Paro baisa ki sapne avela.
- Isse dhyaan ho naho par manne tho dhyaan hain ki isse kaisa bheendh chahiye; seedha, dheeme dheeme boltha, pyaar bhare dilwala; voh kavi nahi hote? Jo geet likne vala? Vaisa. Har jiv ki jaan samajne wala, jo nazar niche karke chale ki kahi bhoolse paoke niche koi cheeti na aajave.
- Tumne rules ki book ulti pardhe ho kya? Pehle dushman se bhirdo, phir unne khatam karthe ho, phir apne team ko kehete ho unke bodies uthane ko, aur uske baad me tum jaake apne seniors ko inform karthe ho. Ye bewakoofi nahin, suicidal bhi hain!
- Rudra, remember, apne duties dil se karo aur actions dimaag se.
Episode 4 -
- Yaha ki logon ko BSD se itni nafrat hai ke lagta hai inki sabziyo mein namak nahi, BSD ke khilaf zeher khilayi jaata hai inkon
Episode 5 -
- Bas! Gaon mein ghoomte kutte ki baddai kar lijo par dobara kabhi BSD walon ki baddai na karjo
- BSD aag hai, aag! Aur aag janmi hai chitha ki saheli banne.
- Yes, you and your men may go home. Aaram kar. Bohot busy din tha na aaj? Do ladkiyo ko pakardne mein takhat lagayi, Kesari Ram ko bhagane diya. Thakgaya hogaya. Rest karo.
- Thakurainsa chahathi ki unka diya jhoda pehne, par shayad Ishwar ki marzi na thi. Woh chahathe the ki ma ki jhoda mein beti beendini bhane.
- Birpur ki hawa bolti hai, baat karti hai aur bhatke hue ko rasta dhikati hai.
- Thare aankein uski hai! Inhe podhle, bhool jayenge uskon!
Episode 6 -
- Biwi na ban, na hai na banegi. ~ Khush hu ki nahi hu, agar hote tho ghar, bachche aur bartan sambhalthe hue tujhe kab sambhalthi?
- Kya hai? Inn aakhein mein, iss avaaz mein? Jo itne bezaati aur beruki ki badh bhi kichi chali athi hai? Koi aur hoti to laath maarjaathi.
- Kabhi kisse sher ko shikar karthe hua dekha, Amandeep? Shikar ko dekhkar who ek kadam aage bardatha hai aur phir do kadam peeche letha. Sirf takhat nahi, chard, chardtha hai who apne shikar ko. Shikar dhoke mein aakar samajtha hai ki khatra gaya magar sher ka chard aur baas ek charda sab khatam.
- Anne do. Anne do iss baraat ko. Iska swagat aisa hoga jaisa aaj tak kisse baraat ka nahi hoga.
Episode 7 -
- Kamene guns ko lekar BSD ke naak ke niche aisa nikalgaye, jaisa apne baap ke pajama silwane aiye
Episode 8 -
- Pura gaon haveli mein hoga, sir. Kabootoro ke beech mein kaweh beteh hoge. Pehchana muskhil hoga
- Apne suna na Bholeji? Kya kehre the woh? Woh matlab...woh. Aur koi na jaane iss baat ko, kyunki pehle kabhi hoto pe na layi. Par aapke to mann ki avaaz sunaijave hai. Haazaron bar suna hoga aapne, mhare mann ka yahi sapna. Ki mhara bhi ek chota sa ghar ho, jaha ki deewaron pe bina hijak mhare pasand ka chuna karvao, ki mharo calendar tangvao, mhari rasoi, mhara apna parivaar.
- Manne bahot darr lagraha hai, Bholeji. Itni saare khushiyan ek saath aapne pehle kabhi di nahi. Aapse kitna rootna, manana kiya. Ab patha chala, sab aaj ke liya jhama kiye tha na? Ab aapke darshan naye jaga pe hi hoge, mhare naya ghar pe. Main na, aapke Parvatiji ke liye ek nayi se futri chunri banaogi, taj ki kaam ki, neele neele rang mein, aapke rang mein. Par patani waha mhari pasand ki kapde milenge ki nahi? Unse poochlungi. Unse matlab...Varun se.
- Bas yahi ek khami rahegi, kaash unka naam aapka naam mein se ek hota!
Episode 9 -
- Bagwan ne mardh teen kisam ke banaye...Teesri kisam ka mardh hota hai janwar. Janwar aur iss kisam ka mardh pe farak itna sa hota hai; janwar ke paas dil hota hai aur unke paas... unke paas dil ke jaga hota hai katare. Andhar hi andhar, khud bhi cheelthe rehete hai aur unhe bhi cheelthe hai jo unke gale parda hota hai. Jaisa mera Rudra.
- Baisa, kab tak moh maya ki bandhano mein jakhre rahoge? Mhari Paro, mharo gaon, mhari jindagi, tyaag do mooh maya ne. Vaise bhi Baisa, aaj thane zaroorat je zyaada janliya hai.
- Tejawat, museum me pardi keemti murat ki tarah hai jise hum dekh to sakthe hai lekin choo nahi sakthe. ~ Chooenge bhi aur thapad bhi marenge! Iss Tejawat ki duniya, oolatni hai aaj.
- Risk to jeene mein bhi hai, Aman. Safe to murdha ghar mein rakhe hui bodies hoti hai, bas.
- BSD mein do thara ki log hote hai; ek won jo rules ke hisab se chalte hai aur dusre wo jo apne rules khud bannathe hai. Badkismati se tum aise insaan ke saath kaam kar rahe ho jo dusre category mein aatha hai.
- Sarr math katwana, cap kaha pehnoge?
Episode 10 -
- Bidaai dulhaan ki nahi, aapki dos aur aapki azaadi ki hogi
- Ladke, apne bachpan mein jab tumne chaddi pehne shura nahi kiya tha na, Raja Thakur tabse pagdi pehentha araha hai... Darvasa maro inke mooh pe.
Episode 11 -
- No special dialogue. Just lots of shooting
Episode 12 -
- Yeh dekho parda hai ek aur Hindustan ke rakhwala, apne hi mitthi mein dhool chatthe hue.
- Aur ye tiranga, ithrahte hue, lehrahte hue, accha nahi lagraha hai. Iss desh ki mitti mein humare jhoote gandhe hogaye hai, aaj jatte jatte saaf karenge.
Episode 13 -
- Kuch nahi hua, kuch nahi hua, sab teekh hojayega. Maa, bapusa aaraha hai.
- Apne usse lardayi mein legaye the, aur aaj aap hi ke vajese mera beta... Itni himmat, itni himmat kaha se ayi? Ke ek maa ke samne aake ye kahe ki kya hogaya? Koi baat nahin ki usne apna baccha khodiya. Tum officer the na? Tho aapne apne chahtipe par uss goliyon ko kyun nahin khaya? Kyun mere bacche ko aage kiya? Kyun? Aaj woh... aaj who kehke gaya tha ki main seema par karch lagane jarahi hu isse liye aaj dopar ke khana mein bane uske pasandiya dhal banayi thi par woh... par woh nahin aya. Mera baccha nahin aya. Arre main poochthi hu, kyun chodke aya uske? Kyun apne saath nahin leke aya? Kyun?
- Iss Maa ki badua hai tuje, ki jis tarah se tune aaj mere beta ko mujse alag kiya na? Ussi tarah iss Ishwar bhi tuje teri maa se alag kardega.
Episode 14 -
- What the hell is this? Tumhe laashon ko dekhne ka shauk hai kya? Itne insaan maare tumne ki itne keerde makorde bhi hote tho dekhke dukh hota. Kya paya itna khoon kharaba karke?
- Ye chote mote morche jeetne se fateh nahi kehlata; akri ladrayi jeetne ko kehte hai fateh. Apne witness ko azaadi ka lalach do; darr se nahi, hope se.
- Balidaan! Mhari ijaat, mhari mariyada, mhari swabhimaan, balidaan mange aap saabse. Iss gaon ki jamaisa ke badi nirmamta se hathiya kardi unn BSD walo ne. Iss beti ki haath ke mehendi sookne se pehle, uska bhagya cheenliya BSD walo ne. Itte par bhi unka dil nahi bhara, to Paro baisa utha legaye BSD walo ne. Paro baisa abhi bhi hai unke kabze mein. Ab main aap sab ke sabar, atma saman ko lalkartha hu! Kya jitne dege unn BSD walo ko? Tayar ho balidaan dene keliye?
- Birpur se bahar kabhi nahi nikari shayad. Jindagi inn reth ke teelo mein kaate hue dikthi hai. Kuch logon ke liye bade khaas, bade apne se hota hai ye reth ke teele, tumhare liya bhi hain na?
- Teen kadam aur tu apne ghar. Teen deen shareer me koi zakhm hove voh khatam. Teen mahine tere saath jo ghata uska dard khatam. Lekin teen janam bhi legi to chup rehekar apne inn logon ke saath jo galath karegi na uska karz nahi uttar payegi.
Episode 15 - COULD NOT GET EPISODE LINK 😡
Episode 16 -
- Kinnko bacha rahe hai tu? Kinnko bacha rahe hai tu? Unnko, jinno ne tere saath me rishta rehne se manna kardiya?
- Naya kya kiya. Aurat ho na. Tum bhi aur woh bhi. Rishta todke, mudke, wapas na aane ke khasiyat paidha hote ho na tum log. Kuch naya sabhit nahi kiya. Sirf itna sabit kiya ki aurat ho.
- Ek vidwa Paro ke liye, pura gaon vidwa bann jata. Bilkul sahi kiya mhare gaon walon ne. Bilkul sahi.
- Par main apne ek beti ko ghar vapas lane ke liya, Birpur ke har bahu aur beti ki izzat aur jaan khatre mein nahi dahlunga. Aaj agar main BSD walon ko Birpur mein kadam pasarene ka jaga dhedhu to kal ko inhe BSD walon ke wahi kadam Birpur ke galiyon se hote hue mhare gharo mein ghoos jayenge. Aur uske badh aapko Birpur ke naliyon mein Birpur ka mardho ka rakht aur yaha ki bahu betiyan ka izzat behti hui nazar ayega.
Episode 17 -
Episode 18 -
- Manne iss jallad ke saath nahi rehna!
- Sahi pukara tha uss ladki ne. Jallad ho tum. ~Mention not!
- Aur the sunlo, Dilsher ya uska janme hue uss bhode main mhare ghar mein kadam nahi rakhne doongi.
Episode 19 -
- Parvatiji, hum to aapka sahi naam jante hain. Par jiss insaan ke apne jallad ka naam diya hai, usne aaj raat apke jaan bachai hain... Isliya Jallad nahi, apne rakshak, apne suraksha chakra ka naam dijiye unhe. Woh zyaada sahi hoga.
- Ye ladki humari akri gavaah hai isliya iski khamoshi todna bahut zaroori hai. Kyunki hum main information nikalni hai isliya isse zinda rakhna zaroori hain. Na toh murde bolthe hain, na hi unke baaton pe koi yakeen kartha hain.
- Aman bol isko maine BSD join nahi ki iski jaan bachane keliye. Gavaah hai yeh, sirf gavaah.
- Dhyaanse meri baat sun dobara nahi bolunga. Iss pure duniya mein, iss pure duniya mein akela main hu main, shayad tu khud bhi nahin, jo tujhe jinda rakhna chahta hain.
Episode 20 -
- Darr mujse, nafrat kar mujse. Muje dekhke seene mein aag lagti hain na? Yeh darr, yeh nafrat, yeh aag bahot zaroori hain. Kyunki yahi tuje mujse alag nahin hone denge aur yahi tuje jinda bhi rakhkenge
- Woh apne aage bagwaan ko bhi nah manne, toh santan koh kya mannegi? ... Usne aaj tak na kabhi thara bapusa ko chaha, na tujhe.
Edited by Payali09 - 11 years ago
555