Iss baat ka malal hai, shikwa nahi mujhy
Main uss ko bewafayi ka ilzam kaise dun
Uss net uh ibaida se hi chaha nahi mujhy
Kia kia omedien band ker aaya tha samney
Uss ne tuh aankh barr key bhi daikha nahi mujhy
Pathar samajh ker paon ki thokar pe rakh diya
Afsoos teri aankh ne parkha nahi mujhy
Kab theherna tha Faraz aaj uss key pass
Acha hoa jo uss ne bhi roka nahi mujhy