Ramanand Sagar's Ramayan & Shri Krishna CC#4 DONE! - Page 74

Created

Last reply

Replies

1.1k

Views

239k

Users

22

Likes

473

Frequent Posters

Dpka1415 thumbnail
17th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail + 2
Posted: 15 years ago

Here r siggies of Shiv pooja by Shree Ram ..

hope u like it.... free to use .. 😳😳😳
please feel free to drop comments/criticisms on
D CREATIONS LOUNGE @ www.dpka1415.wordpress.com
for posting any request on my lounge please visit ... : http://dpka1415.wordpress.com/2010/03/26/348/
JAI SHREE RAM !!
DamRyeong thumbnail
17th Anniversary Thumbnail Stunner Thumbnail + 5
Posted: 15 years ago
awesome creations deepi..n thanx for liking my work...
Dpka1415 thumbnail
17th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail + 2
Posted: 15 years ago

thnks alottttt Swati.. πŸ˜³πŸ˜ƒ

frnds here r Shiv pooja pics from NDTV Imagine.. as its Shiv pooja theme goin on in the CC so thot of sharing them here... 😳😳
Made an avi from this scene .. hope u like it :
JAI SHREE RAM !!
arun-deeps thumbnail
15th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 2
Posted: 15 years ago

πŸ˜ƒHello every1!!!πŸ˜ƒ

Here is a Ram-Siya vanvaas...cute scenes sig😳 Hope U like it!!!πŸ˜› FEEL FREE TO COMMENT...😳n off course FEEL FREE TO USE!!πŸ˜ƒπŸ˜ƒπŸ˜ƒπŸ˜ƒ
*****DIFFERENT STYLES *****
arun-deeps thumbnail
15th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 2
Posted: 15 years ago

Hello guys!!!πŸ˜ƒπŸ˜ƒ

Here is a cute SIya-Ram siggie!!😳 Hope U'll like!πŸ˜› FEEL FREE TO USEπŸ˜ƒπŸ˜ƒπŸ˜ƒπŸ˜ƒπŸ˜ƒ n plzz comment!!πŸ˜ƒπŸ˜ƒπŸ˜ƒπŸ˜ƒπŸ˜ƒ

*****DIFFRENT STYLES *****

Dpka1415 thumbnail
17th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail + 2
Posted: 15 years ago
wwwwooooooowwwwww Gunia ....fantastic siggies.... πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘all r superb but loved this one the most... 😳😳😳😳
loved the colour scheme of this one... will use it wenever i'll update my slideshow.,... πŸ˜ƒπŸ˜ƒ
Dpka1415 thumbnail
17th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail + 2
Posted: 15 years ago

heyyyy frnds ...

made two avis of Viraat swaroop from SK ... hope u like them ...

free to use πŸ˜ƒ

arun-deeps thumbnail
15th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 2
Posted: 15 years ago
@Dpka Di
SUPERB answers to Loleshwari Di's quesπŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘
⭐️⭐️⭐️⭐️
I'm impressed Di!!!
ShivangBuch thumbnail
15th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 15 years ago
Jai Shri Krishna Deepika. Thoroughly enjoyed your answers to all questions. There is hardly anything left to be asked. Yet here are my questions 😊:

(1) Just in 1 line/word phrase for each, give the most important reason of liking respectively each & every movie you have named to be your favourites in your answers to Lola (The reason can be anything - because of message, story, direction, acting, intensity of comedy, intelligence in comedy, etc, etc - just consider this list as guiding/illustrative list);

(2) Name the movies which you haven't watched so far at all (or perhaps watched very negligible portion and hardly remember about the movie or its story) but are willing to/wishing to/desirous of/eager for/waiting for the opportunity or time or peace to watch them sometime (You may also add the reason why you want to watch them & still you haven't managed to watch them for long time).

(3) Most favourite 10-20 songs of 1960s movies and 5 most favourite 1960s movies including those mentioned already (Inaccuracy would be alright keeping in mind mainly that decade to be in the center with rough information or logical guess work - I mean a few 1957-58 or 1972-73 movies here or there would also be fine)

(4) Most favourite 10-20 dohas of Mahabharat (perhaps the only spiritually meaningful question asked by me here)

(5) Most favourite cricketers and team - both other than Indian 😊

(6) Most memorable matches and innings

Bas itna bahut hoga I think (And last two questions just asked because of common interest between us). πŸ˜ƒπŸ‘πŸΌ And you are free to exceed the upper limit condition of any question. πŸ˜ƒπŸ˜ƒπŸ˜ƒ
Edited by ShivangBuch - 15 years ago
ShivangBuch thumbnail
15th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 15 years ago
Here I post the dialogs of Vibhishan and then forthcoming will be entire Bharat milaap scenes sequence.


After Ravan expelling Vibhishan


Vibhishan: Maharaj ne bhi keh diya ke Lanka se chale jaao. Maine bhi keh diya ki Lanka chhod dunga. Kehna aasaan tha. Parantu apni janmbhoomi ko chhodna kathin lagta hai. Mujhe baar baar apni prajaa aur raakshas jaati ka dhyaan aataa hai. Keval ek paapi ke paap aur ahankaar ke kaaran saari nirdosh prajaa maari jaayegi. Veer raakshas jaati ka naam mit jaayega. Apni prajaa ke prati uttardaayitva ka aabhaas baar baar mann me uthata hai. Is samasya ka koi samaadhaan nahi dikhta. Mai kaise apni maatrubhoomi ka samool vidhvans hone se bacha sakun?

Advisor 1: Abhi in baaton ke sochne ka samay nahi raha. Isse pahele ke maharaaj Ravan ke mann me aapko bandi banakar kaaraagaar me daalne ka vichaar aa jaay, aapko yahan se nikal jaana chaahie.

Vibhishan: Par mai kahan jaun?

Advisor 2: Ho sake to Shri Ram ke paas jaa kar unse praarthana kariye ki we Raavan ke paapon ka dand Lanka ki nirdosh prajaa ko na den.

Vibhishan: Parantu yuddh me to kuchh bhi ho sakta hai. Aur yeh yuddh avashya hoga.

Advisor 3: Phir to aur aavashyak hai. Unse milkar yuddh ka rookh is prakaar moda jaay, jisse prajaa ki kam se kam kshati ho. Iske liye, aapko Shri Ramji se milkar, unka vishwaaspaatra bankar, yuddh ki baagdor sambhaalne me sammilit hona padega.

Vibhishan: Mai Shri Ram ka bhakt avashya hun, parantu is samay, we Lanka ke shatru hain. Kya mera dharm unka saath dene ki aagyaa deta hai?

Advisor 4: Han raajan. Paheli baat to yeh ki Shri Ram Lanka ke shatru nahi. Ravan ke shatru hai. Woh Ravan jo is samay ek prakaar ka DESHDROHI hai kyunki is samay woh niji kaam ki agni me bhadkaa hua kisika updesh na maan kar; dharm, niti aur maryaada ko, apne ahankaar ke paanv tale rondata hua; saare desh ko yuddh ki aag me jhonk raha hai. Isiliye is desh ko bachane ke liye Raavan ka ant aavashyak hai. Iske do hi raaste hain. Pahela yeh ki aapke paas aisi sena ki shakti ho, to use sinhaasan se utaar kar Ram ke saath sandhi kar li jaay. Parantu yeh sambhav nahi.


Isliye, doosra ek hi raasta hai ki aap swayam Shri Ram se milkar, yuddh ka sanchaalan aise karen, jiska lakshya, keval us aatataayi Ravan ka ant ho. Is samay, yahi aapka dharm hai.

Vibhishan: Yeh itna gambhir vishay hai, ki koi bhi nirnay lene se pehele, isme gurujano ki sammati, aur aashirvaad aavashyak hai. Atah mai apni maata ke paas jaata hun. Woh jaisi aagyaa dengi, mai wahi karunga.



(Then he goes to meet his mother)

Vibhishan: Maa. Mai ek bahut gambhir samasya ke samaadhaan ke liye aayaa hun. Mera maargdarshan karo maataa.


Kaikasi: Bahut asthir chitt se baat kar rahe ho. Aisi kya baat ho gai hai vats?

Vibhishan: Bade bhaiya mahaaraaja Ravan ne mujhe desh nikaalaa de diya hai.


Kaikasi: Ravan ne tumhe desh nikaalaa de diya hai!! Kyun?


Vibhishan: Aaj darbaar me, unhone mera bahut apmaan kiya. Maine apne mataanusaar unhe paraamarsh diya ki pratham to Sita ka haran karna hi uchit nahi tha. Ek parstri ko, uski ichchha ke viruddh apne ghar me rakhna dharm viruddh hai. Woh pativrata stri hai. Maa. Is paap ke kaaran Lanka ka vinaash ho jaayega. Udhar Shri Ram, Kishkindha ke mahaaraaj Sugreev ki sahaayata se, ek vipul vaanarsena ko le kar, Lanka ki ore badh rahe hain. Aur idhar, hamare mantri unhe paraamarsh de rahe the ke Ram aur Lakshman ki koi chinta na kare. Hamare raakshas, sena sahit unka ant kar denge. Parantu maine unhe kaha ki jinka doot Hanuman, akele hi saari Lanka ko jalaakar raakh kar gaya hai, unki shakti ko kam nahi samajhna chaahie. Ek stri ke liye, kisi shaktishaali shatru se, ladaai nahi mol leni chaahie. Hame devi Sita ko, sammaan ke saath, unke pati ke paas pahuncha dena chaahie. Unhe yeh mat nahi bhaaya. Maine apna mukut unke charno me rakh diya ke "bhaiya, keval apni hath ke liye Lanka ka vinaash na karo." Parantu unhone, pair ki thokar se mera mukut darbaar me faink diya aur mujhe Lanka se nikaal diya .


Kaikasi: Yeh Ravan ne achchha nahi kiya. Parantu iske pashchaat tumhare paas aur koi raasta nahi hai. Raja ki aagyaa hai. Tumhe jaana hi padega.


Vibhishan: Maa. Is samay ye sankat unpar to aaya hi hai. Parantu unke kaaran, sare desh par sankat ki chhaya pad rahi hai. Aise samay me, mai mere deshvaasion ko sankat me chhod kar kaise chala jaun? Apni praja ke prati, saare raajkul ka uttardaayitva hota hai. Is samay jaane se deshdroh nahi hoga?


Kaikasi: Yadi yahan rehkar, tum praja ki raksha kar sako; tab to tumhara jaana uchit nahi hoga. Parantu yahan rehkar tum kuchh nahi kar sakoge. Kyunki Ravan tumhe yahan swatantra nahi rehne dega. Isliye pehela kaarya to yeh karo ke ati shighra yahan se chale jaao. Lanka ke bahaar jaakar socho ki tum Lanka ki nirdosh prajaa ki raksha kaise kar sakte ho. Kiski sahayta le kar kar sakte ho.

Vibhishan: Mere mantrion aur mitron ka mat hai ki mujhe swayam Shri Ram ke paas jaana chaahie, aur unhe kehna chaahie, ki unka bair Ravan se hai. Unke kaaran, Lanka ki nirdosh prajaa ko dand na diya jaay.


Kaikasi: Vichar achchha hai. Parantu isme bahut sankat hai. Shri Ram tumhe kyun apnaayenge? Tum shatru ke bhai ho. Isliye niti anusaar unhe tumpar vishwaas nahi karna chaahie. Unhe tumhare saath wahi bartaav karna chaahie jo we Ravan ke saath karenge.


Vibhishan: To doosra upaay kya hai? Kya mai Lanka chhod kar saadhu ho jaun? Kisi gufa me baith jaun aur apne desh ka naash hone dun?


Kaikasi: Nahi. WOH AKARMANYATA HOGI. Jiska desh sankat me ho use yeh nahi suhaata. Tumhare mantri thik kahete hain. Tumhe prajahit ke liye apne jeevan ko dav par laga kar bhi Shri Ram ke paas chale jaana chaahie. Ya to we tumhe shatrupaksh ka samajh kar mrityudand de denge. Aur is balidaan se, raajkul me utpann hone ke apne uttardayitva se tum mukt ho jaoge. Yadi we ek baar tumhe vachan de denge, to phir koi darr nahi. Kyunki maine suna hai ki Raghukulvale apne vachan ke bade pakke hote hain. Praan de denge parantu apna vachan jutha nahi hone denge.

Edited by ShivangBuch - 15 years ago

Related Topics

Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".