Originally posted by: ShivangBuch
Kaalnaymi song
Van paravat saagar nadi, karte jaate paar;
Ram kaaj ki lagan me, ud chale Pawankumaar.
Ram jai jai Ram, Shri Ram jai jai Ram, mai to Ram hi Ram pukaarun;
Shri Ram nahi mori sudh lini, mai kabse raah nihaarun.
Ram jai jai Ram, Shri Ram jai jai Ram, mai to Ram hi Ram pukaarun;
Shri Ram nahi mori sudh lini, mai kabse raah nihaarun.
Ram jai jai Ram, Shri Ram jai jai Ram, mai to Ram hi Ram pukaarun;
Bateu...... Jaanevaale....... Shri Ramprabhu ke matvaale..
Tu Ramnaam ras pi le, tan man ki pyaas bujhaa le.
Ram jai jai Ram.......
Kapi ke kaano me pada, Ram Ram jai Ram;
Utare Hanumat jaankar, Rambhakt ka dhaam.
Jai Shri Ram
Aayushyamaan, aao Hanumaan.
Mahatman, aap mujhe pehechaante hain?
Ham trikaaldarshee hain. Ham sabkuchh jaante hain.
Achchha!
Han. Yeh bhi jaante hain.
Meghnaad ne shakti maari hai, tera Ram bada dukhaari hai;
Ho o o tujhe ek vaid ne pathaaya hai, tu sanjeevani lene aayaa hai.
Aur?
Ham sab jaante hain.
Kitae se aave kitae ko jaave,
Kitae se aave kitae ko jaave, baba ne sab bera re;
Jaano hai badi dur bateu, kar le rain baseraa re;
Jaano hai badi dur bateu, kar le rain baseraa re.
Rain baseraa? Nahi mahaaraaj. Sevak ko vishraam ka avkaash nahi hota. Sooryoday se pehle agar mai wahaan nahi pohonchaa, to wahaan andhkaar chhaa jaayegaa. Bhagvan mujhe aage ka maarg bataaen aur aagyaa den.
Yahi Bhagvan ki aagyaa hai, tu aaj yahi visharaam kare;😈
Tu kyun chinta karta hai? Jo karnaa hai so Ram kare, jo karnaa hai so Ram kare;😈 🤪
Ram Lakhan ke jeevan me,
Ram Lakhan ke jeevan me, kabhi hoga nahi andhera re;
Jaano hai badi dur bateu, kar le rain baseraa re;
Jaano hai badi dur bateu, kar le rain baseraa re.
Mujhe kshmaa kare Bhagvan. Mujhe mere swaami ki aagyaa hai ki mai raat hi raat me booti le kar pohonch jaaun. Mai to ek Rambhakt ki kutiyaa dekh kar, keval pyaas bujhaane utaraa tha.
Tujhe bhookh-pyaas nahi laage, mai aisa mantra bataa dungaa;😈
Achchha!!!!!?😎
Tujhe jis paravat pe jaana, mai palbhar me pohonchaa dungaa;😈
Sach mahaatman?😎
Han.
Snaan-dhyaan kar ke tu aajaa,
Snaan-dhyaan kar ke tu aajaa, tohe banaa dun chelaa re;
Jaano hai badi dur bateu, kar le rain baseraa re;
Jaano hai badi dur bateu, kar le rain baseraa re.
Ji bahut kripaa hai aapki. Mai abhi snaan karke aataa hun.😎
Ram jai jai Ram, Shri Ram jai jai Ram, mai to Ram hi Ram pukaarun...
Kaanti mitaane ke liye, karan gaye Kapi snaan;
Magarmachchh ke jaal me, ulajh gaye Hanumaan.
(After killing of the crockodile - a divine lady appearing in front of Lord Hanuman revealing the secret of devil in disguise)
Shraap mukt bhai apsara, Kapi kinho kalyaan;
Bhed bataave hai saadhu ka, ho gayee antardhyaan.
🤢