Here is the next dialog friends from Sundar Kand as per Lola's direction
Hanumanji in Ravan's court
Ravan: Hmmm. Is vaanar se darr rahe the? Isme aisi kaunsi visheshta hai jisne na keval hamare sainikon ka sanhaar kiya hai varan Rajkumar Akshkumar jaise yoddha ka vadh bhi kiya hai.
Meghnad: Maharaj. Yeh dekhne me jitna sidha hai, vaastav me utna sidha-sada nahi hai. Yeh param maayaavi hai. Anek prakaar ki chhal vidhyaaen jaanta hai. Isliye yeh kisike vash me nahi aa sakta. Iske saath yuddh karte samay, ek baar to mai bhi vichlit ho gaya. Phir brahmaastra ka prayog karke maine use apne vash me kiya.
Ravan: Iske liye tumhe brahmaastra chalana pada?😲 😕
Meghnad: Jee pitaashree.
Ravan: Tab to yeh avashya hamare saamne laaye jaane yogya hai.
Bol vaanar. Kiske balbute par tune hamare sundar upvan ko ujaad diya? Hamare raakshas, jo wahan ke rakshak the, tune unhe kis apraadh ke kaaran maara?
Hanuman: Prabhu. Apne sharir ko svasth rakhna aur uski raksha karna, praani ka pehela dharm hai.😊 Isi dharm ke anusaar, jab sharir atyant bhukha ho, aur khane ka padarth saamne ho, to use kha lene me, dharm aur nyay ki drishti se koi dosh nahi. Mai sau yojan samudra langh kar aayaa tha. Is parishram se, mai bahut thak gaya tha, aur bhukh bhi lagi thi. Isiliye, Ashok vatika ke phalon par, apna adhikaar samajh kar, kha gaya.😊 Mahaaraaj, raatri ke samay, jab vriksh so rahe hon, to unke phal aur patte aadi todna varjit hai. Isiliye, mai pahele, unhe hila hila kar jagata tha.😃 Unko hilane-dulane me, kuchh vriksh ki jaden, bahaar nikal aayeen. Bas. Phir aapke sainikon ne, mere sharir par prahaar kiya. Apne sharir ki raksha ke dharm ke liye, mujhe unse ladna pada. Mahaaraaj. Jinhone mujh par prahaar nahi kiya, maine unko kuchh nahi kaha. Bas. Keval maine unhi ko mara, jinhone mujhe maarne ki cheshta ki. Isiliye, aapke putra, raajkumar Aksh ko, mujhe parlok bhejna pada.
(Ravan and Meghnad very angry)
Mahaaraaj. Jo yuddh ki ichchha se aaye, unhe maarna, adharm nahi.
Ravan: Hamare priya putra, raajkumar Akshkumar ka vadh karte samay, tumhe hamari shakti ka koi bhay nahi tha. Shath! Tune hamara naam, aur hamari kirti abhi tak nahi suni.
Hanuman: Suni hai mahaaraaj. Aapki kirti, aur aapke kaarnaamo ki yashgaatha, suni hai.😉 Kaise, Sahastrabaahu ke saath, aapne veertapurvak yuddh kiya tha (Sarcastically). Aur phir kaise, Vaanarraaj Baali, apko apni kaakh me dabaaye dabaaye, chheh mahine tak ghumte rahe. Mahaaraaj. Jo chhal se, bhikhari ka vesh banakar, ek akeli ablaa stri ko, choron ki bhaanti uthaa laaye; aisa paramveer, apke atirikt aur kaun ho sakta hai?
Ravan (Shouting): Vaanar!!!!! (Stunned silence in the court) Hamare darbaar me, aisi dhrishtata se baat karne ka saahas, koi nahi kar sakta. Senapati, iski jihva abhi kaat di jay.
(Prahast stops the commander to move)
Amaatya Prahast! Aap hamari aagyapurti me rukavat dal rahe hain (Prahast is Ravan's son).
Prahast: Maharaaj! Aisa saahas mai nahi kar sakta. Parantu aapki aagyapurti se pahele, mai aapki seva me, ek vinamra nivedan karna chaahta hun.
(Ravan rudely allows him to speak ahead)
He Lankeshwar! Yeh koi saadharan vaanar dikhai nahi padtaa. Aur iska yahan aana bhi koi saadhaaran si baat nahi lagti. Yeh vaanar roop iska chhadm vesh dikhai deta hai, kyunki, jitna tej isme hai, utna vaanaron me nahi hota. Ho sakta hai yeh Indra ke kehne par yahan aaya ho. Ya Kuber athva Yam Varun ka doot ho. Ya Vishnu ne hi ise yahan bheja ho. Sabse pehle yeh jaan lena aavashyak hai.
Meghnaad: Maharaaj! Mantivar Prahast ka kehna thik hai. Yeh janna param aavashyak hai ki kisne ise yahan bheja hai aur uske pichhe kisi shatru, ya swayam devtaaon ka kya shadyantra hai.
Prahast: Yeh sari jaankaari, jo iske dwaara mil sakti hai; iski jibh kaat dene se, uska avsar kho jaayega. Senapati, sabse pehle isse sari jaankaari len. Aur yadi yeh sidhi tarah se na bataae, to ise itni yaatnaaen di jaae, jisse yeh sabkuchh batane par vivash ho jaay.
Ravan: Ham aapke vivek ki prashansa karte hain.
Senapati! Amaatya Prahast ki aagya ka paalan ho.
Hanuman: Itne bade kaaryakram ki koi aavashyakta nahi hai maharaaj. Itni si baat to mai, swayam bata deta hun.😉 Mai vaayudevta ka, auras putra Hanuman hun. Mujhe, na Bhagwan Vishnu ne bheja hai, aur na Indra aadi devtaaone. Mai teeno lokon ke swami, amittejasvi, Bhagvan Shri Ram ka doot hun; jinki bhaarya Sita mata ko, tum chhal se har laye ho. Mai unhi Sita maata ka pata lagane, aur aapko milne, sau yojan samudra laangh kar aaya hun. Maine Sita mata ke darshan kar liye hain. Ab aapse milne ke liye hi, maine is prakaar, baandha jaana, swayam hi swikaar kiya hai. Nahi to devta aur asur tak, mujhe kisi bhi astra, athva paash me baandh nahi sakte; kyunki mujhe Brahmaaji se, aisa vardaan mil chuka hai. Mai to yeh dekhne ki laalsa se chala aaya ke maharshi Pulatsya, jinka yash, nirmal Chandrama ke samaan hai, unke vansh me, unki kirti ko kalankit karnevala, aisa kaun sa murkh hai, jo Shri Ram se bair karne ka saahas rakhta hai. Jise Raghunathji ki shakti ka na bhaan hai, na bhay hai.
Ravan: Tu ek tuchchh maanav ki shakti se, Ravan ko darane aaya hai? Ravan, jise Brahmaa, aur swayam Bhagwan Shiv se, shaktiyan praapt hui hai.
Hanuman: Yadi mai Bhagwan Shiv hota to is samay, aapko yahi updesh deta ki "Vats! Meri shaktion aur meri anukampa ka durupayog na karo. Tune dharmpurvak, tapasya ke dwara, jo shaktiyan mujhse paai hai, unka prayog, vinamrata se, dharm ke kaarya me hi karo. Yadi unke kaaran, apne andar, paap, ahankaar, aur adharm ki prabaltaa aane doge, to uska ek hi parinaam hoga. Vinaash. Samool vinash. Atah vinaash ka maarg chhod ke Shri Ram ki sharan me chale jaao; jinhone ek hi baan se, mahabali Baali ko maar daala, aur Khar Dushan ka, sena samet ant kar diya. Unhe pehchaano. Woh sare jagat ke swami hai. Teeno lokon me, unse takkar lenevala koi nahi hai. Samast devtaa, Brahmaa, swayam mai bhi, unke saamne, sada nat mastak rehte hain.
So putr, ab bhi samay hai. Janki ji ko lekar, un sharnaagat vatsal ki, sharan me chale jaao."
Ravan: Chapal vaanar! Yeh Bhagwan Shiv ke vaakya hain, ya teri bhramit buddhi ke pralaap? Wah!! Ab vaanar jaise adham praani bhi, Ravan ko guru ki bhaanti shiksha denge!!
Hanuman: Achchhi shiksha kahin se bhi mile, grahan kar leni chaahiye. 😊 Raajan, aapka roop aur dhairya adbhut hai. Aapka saahas anokha aur kaanti niraali hai. Aap me ek mahaan raja ke, sabhi lakshan vidhyamaan hain. Keval man ki vrutti badal dene se hi, aap woh sthaan praapt kar sakte hain, jahan devta, aapki pooja karen. Yad rakhiye. Dharm viruddh kaarya se, sada anarth hi utpann hoga. Paap swayam hi, apne karta ko, jadmool se nash kar deta hai. Atah aap jaise buddhiman ko, doosre ki stri ko, ghar me kaid rakhne jaisa, nindit kaarya shobha nahi deta. (Then suddenly tone of anger)😡 😡 Yahi ek paap, aapki samast shaktion aur sone ke mehelon samet, is Lanka ka nash kar dega. Is haste gate desh me, ek chitkaar ke siva, kuchh nahi bachega. Mrit aatmaao ko, paani pilaanevala bhi koi nahi bachega.
Ravan (Shouting):😡 😡 😡 Bas. Bahut ho chuki yeh anargal baaten. Apni mritaatma ko paani denevale ki chinta karo. Hamare liye tumhe sochne ki koi aavashyakta nahi. Brahmaaji ke aashirwaad se, dev, daanav, yaksh, gaandharva, kinnar, naag, asur; yahan tak ki koi bhi yoni ka praani, hame nahi maar sakta.
Hanuman (With authority): Us vardaan me, nar aur vaanar se, aapko nirbhay nahi kiya gaya tha. Bhagwan Shri Ram is samay nar roop me hai. Aur Sugreev vaanar hai. Raajan, mai phir haath jod kar kehta hun. Shri Ram ke saath droh karne wale ko swayam Shankar, Vishnu, Brahmaa bhi nahi bacha sakte. Ram se vimukh ho kar, lakhon karodon ki sampatti, aise hi shrihin hai, jaise ek naari ka sharir, sone ke aabhushan pehen kar bhi, vastron ke bina maryadahin hi rehta hai. Maharaj Ravan. Mai aapko antim chetavani deta hun ki jinhe aap Sita samajh rahe hain, woh vish-mile bhojan ke samaan, aapki mrityu ka sandesh hai. Sita ka roop dhaaran karke, aapke paas, kaal ki phaansi aa pahunchi hai. Maharaj Ravan. Yeh antim chetavani hai. Nahi to marne ke liye taiyraar raho. Mai swayam bhi, tumhe mrityudand dene ki shakti rakhta hun, parantu mujhe, Shri Ram ki aagya nahi. Waise bhi, yeh gaurav, Shri Ram ko hi milna chaahiye.
Ravan: Mrityudand dene ki shakti kisme hai, is khal ko yeh bata do. Isi samay, iska sir kaat do.😡
(Then Vibhishan stops and advises him with witty words not to do that. Ravan initially doesn't agree saying that "Paapion ka vadh karne me koi paap nahi" 😆 because Hanuman destructed his personal garden. Meghnaad doesn't agree with Vibhishan but Prahast agrees saying that Hanuman was a DOOT – a messenger and not a GUPTACHAR – a spy because he came in front deliberately at his will – "Doot ke liye mrityudand maine kabhi nahi suna". If a DOOT breaks any limits, he can be punished in any different manner other than death. And then came the thought of burning the tail in Ravan's mind. There is no further dialog from Hanuman's side. He was silent observer 😊 – smiling in mind.)
Links for the referenceshttp://www.valmikiramayan.net/sundara/sarga49/sundara_49_frame.htm
http://www.valmikiramayan.net/sundara/sarga50/sundara_50_frame.htm
http://www.valmikiramayan.net/sundara/sarga51/sundara_51_frame.htm
http://www.valmikiramayan.net/sundara/sarga52/sundara_52_frame.htm
http://hindi.webdunia.com/religion/religion/hindu/ramcharitmanas/SunderKand/9.htm
Youtube linkshttp://www.youtube.com/watch?v=RMx4sduRSpQ
http://www.youtube.com/watch?v=9ECAftx3WMo
Edited by ShivangBuch - 15 years ago