Bas ek raat ki, ab kahaani hai saari,
Yahi raat antim, yahi raat bhaari.
(Raavan in thought process)
Nahi bandhu baandhav, na koi sahaayak,
Akela hai Lanka me Lanka ka naayak;
Sabhi ratn bahumulya ran me ganvaaye,
Lage ghaav aise, ke bhar bhi na paaye;
Dashaanan, isi soch me jaagata hai,
Ke jo ho raha, uska parinaam kya hai;
Yeh baazi abhi tak na jiti, na haari,
Yahi raat antim, yahi raat bhaari.
(Ram in thought process)
Yahi raat antim, yahi raat bhaari,
Wo bhagvaan maanav to samjhega itna,
Ke maanav ke jeevan me sangharsh kitna;
Vijay antatah dharmveeron ki hoti,
Par itna sahej bhi nahi hai yeh moti;
Bahut ho chuki yuddh me vyarth haani,
Pahunch jaaye parinaam tak ab kahaani;
Vachan poorn ho, devtaa hon sukhaari,
Yahi raat antim, yahi raat bhaari.
(Mandodari in thought process)
Yahi raat antim, yahi raat bhaari,
Samar me sadaa, ek hi paksh jeeta,
Jayee hogi Mandodari ya ki Sita;
Kisi maang se uski laali mitegi,
Koi ek hi, kal suhaagan rahegi;
Bhalaa dharm se, paap kab tak ladega,
Ya jhukana padega, ya meetana padega;
Vichaaron me Mandodari hai bichaari,
Yahi raat antim, yahi raat bhaari.
(Sita in thought process)
Yahi raat antim, yahi raat bhaari,
Yeh ik raat maano, yugon se badi hai,
Yeh Sita ke dheeraj ki antim kadi hai;
Pratikshaa ka vish, aur kitnaa piyegi,
Bina praan ke deh, kaise jiyegi;
Kahe Rom Rom, ab to Ram aa bhi jaao,
Dikhao daras, ab na itnaa rulaao;
Ke ro ro ke mar jaaye, Sita tumhari,
Yahi raat antim, yahi raat bhaari.
Yahi raat antim, yahi raat bhaari (Ram),
Bas ek raat ki, ab kahaani hai saari (Ravan),
Yahi raat antim, yahi raat bhaari (Mandodari),
Yahi raat antim, yahi raat bhaari (Ravan).