Swaron back to school days : The gals inter school cricket match !
In between of the economy lecture nil whispered to vickey .
Nil : aye vickey score kya hua dekhna .
Vickey : ghanta score bey , ishant sharma ne band baja ke rakkhi hai
Swayam : usse aachi bowling meri Sharon kar leti hai .
Vickey : teri Sharon haan .
Bharat : aur nahi toh kya , aise aise , English mein fast ball daaliti hai sala sab bouncer jaata hai .
Nil : voh chod tu yeh bata Sharon se bowling ka kya sambanhd .
Swayam : aree yaad nahi voh interschool gals cricket match .
...FLASH BACK ...
Class was making noise , it was growing louder n louder .
Sharon : tum meri seat pe nahi baith sakti samjhi
Kriya : yaha mai pehle ayi thi toh mai hi bathungi
Sharon : HOW dare , tum ...tum samajhti kya ho apne aap ko haan ...
Swayam : aye rey kal ka homework kia biology aur maths dono ka aaj hi submission hai.
Rey : bio gaya tel lene mai toh maths karke aaya hun chaar baar recheck kiye answers ko swathi miss ke saamne image kharab nahi honi chahiye
Swayam : dikha zara .
Rey : yeh dekh saare complete kiye .
Swayam : char baar recheck kia naa
Rey : phir kya chaar baar
Swayam : issmein se che toh galat hai , aankh band karke char baar check kia ya bass hava mein chod raha hai .
Rey : abbey kya bol raha hai maine toh kriya se copy maara .
Swayam : well in that case kriya ko dhundo
Swayam : yeh tum dono kitna ladoge , shaanti ...
Vickey : aye..mai kisi ...
Swayam : chup reh vickey mai jaanta hunt u kisi shaanti ko nahi jaanta -_- kriya tumhare sums galat hai
Sharon : khudke sums galat hai aur mujhe sikha rahi hai , weakling .
Swayam : tumhare jaise saare rite hai , dikhao toh zara .
Sharon : voh ...voh mai , mai book ghar pe bhul gayi
Swayam : kyu jhoot bol rahi ho suit nahi hota tumpe .
Sharon : abb tum mujhe bataoge ki mujhpe kya suit karta hai kya nahi .
Swayam : dekho Sharon tumne homework nahi kia koi baat nahi atleast sach toh bol hi sakti ho na
Sharon : oh plzz swayam mere itne bhi bure din nahi aye ki tum jaise wat eva se gyan lena padhe samjhe tum .
Kriya : oye Sharon ki bacchii voh wat ever nahi hai samjhi naa tum .
N teacher enters
Ms breganza : SILENCE ! SHUT UP , is this a class or fish market ! if u want to talk go out n talk , this is skool not your home .
Nil whispering : chal vickey bahar jaate hai
Vic : haan chal
Swayam : pagalo chup chaap khade raho .
Vickey : aab mam ne hi toh bola bahar jaake baat karo
Nil : barabar .. n they start giggling
MB : wat is so funny going on dere , tell us we will also laugh .
Swayam : no no nothing miss ...
MB : now listen very carefully , next week hamare school ka interschool galz cricket match hai , our school will be facing St.marks international school .
Neha : oh wow great idea it is .
Sharon : wat great idea , school ke pass toh galz cricket team hi nahi hai
Kriya : haan toh khelega kaun
MB : cricket team nahi hai , dance team toh haina , voh khelegi
All gals together : WHAT !!!!!!!
aashi : ayese kaise types ho sakta hai , hamlog yeh match kaise types khel sakte hai
Neha : rite telling sneha is , how we kheling this match .
Sharon : wat rubbish ham kyu khelenge yeh match , n on first place skool ko yeh match except hi nahi karna chahiye tha kyuki skool ke pass koi team nahi hai .
MB : St .marks ke school ke principal hamare skool ke principal ke bhai hai , unke beech kuch aapsi ladai hui toh unke bhai ne unhe challenge kar diya as their cricket team is the best , n josh mein inhone accept kar liya.
-___ -
taani : yeh kya baat hui Krishna ji , ayese kaise do week mein ham cricket seekh lenge
rinni : cricket omg , maine kabhi TV pe bhi dhang se nahi dekha hoga .
simmi : same here rinni , but we have no choice now .
Sharon : cricket my foot mai nahi khelne waali , m out of this .
Kriya : thik hai ham jaak e principal sir se keh denge hamse nahi hoga yeh sab .
Swayam : ek second ek second guyz , tum ayese kaise back out kar sakte ho , yeh skool ki reputation ka sawal hai .
Rey : he is right , aur socho agar ham yeh match jeet gaye toh hamari kitni respect hogi baaki schools ke beech .
aashi : respect toh tab types hogi naa jab ham yeh match jeete types jayenge , yaha toh kisiko bat tak dhangse pakadne types nahi aata .
taani : aur bowling , usska kya, maine toh kabhi paper ball bhi nishane pe nahi pheka hoga .
kriya : tabhi toh tera rey ko pheka letter pritam pyare sir ke haat lag gaya tha .
taani : shhh kriya yaha cricket ki baat chal rahi hai , bhai aap hi bolo hame cricket sikhayega kaun .
boyz : HUM !
galz : TUM !!!
rey : haan kyu nahi ham sikhayenge naa tumhe .
rinni : hey Sharon ham log match fixing kardete hai , simple !
bharat : abbey tu match fixing kar bhi legi naa to bhi tereko maidan mein utarnaich hi padega samjhi .
rinni : aree haan yeh toh socha hi nahi .
simmi : guyz yeh sab baatein chod ke practise chalu karte hai .
Sharon : u r rite I guess hame give up nahi karna chahiye .
Vishaka : dude ham total sirf 8 log hai baaki 3 players kaha se layenge .
Vickey : aye aye voh Rachel ko pakdo
Swayam : kaun Rachel
Vickey : aree apni class ki rachel
Rey : ussko kyu pakadna hai ?
Nil : aree tujhe pata nahi kya cricket khelti hai voh , mere aur vickey ke compound mein rehti hai , ball agar usske haath mein aagaya naa , bass saamne wale ka ek over se zyada tikna possible hi nahi hai .
Rey : ladki hoke itna aacha khelti hai .
Vickey : aree sirf naam ki ladki , maidan mein utar gayi naa batter ki dhagiya uda deti hai .
Rachel fernandes - height 5 foot 7 inch. Shanti niketan complex ki fast bowler , malinga aur akram ka perfect combo . ek toh height dekh ke hi saamne wali ki hawa tight ho jaati hai , ball itna saamne phekegi ki tappi ke baad ball ka bat pe lagna super se uppar wala difficult .
Nil : mai bolta hun agar yeh khelne ke liye maan gayi naa bowling department solve , baating bhi aachi hi karleti hai .
Sharon : toh wait kiska kar rahe ho pucho ussko .
rey : ham kyu puche bhai tumhe khelna hai , team tumhe banana hai ,aur jeetna bhi tumhe hai , u have to ask her .
swayam : and mind it haan Sharon u have to ASK ! her usko order nahi dena
Sharon : how..dar
Swayam : how dare u baad mein karna pehle puchke .voh dekho last bench pe baithi hai .
She gives him a furious steep n walks upto Rachel .
Sharon : amm hi ...
Rach : tum mujhse baat kar rahi ho .
Sha : haan ,off course aur koi hai bhi nahi yaha .(trying to stay as polite as possible )
Rachel : koi kaam tha aapko .
Sha : tum toh bohot hi aachi cricketer nikli yaar , hamari team mein aajao naa ham sabki match set hojayegi .
Rachel : kaunsi cricket team , kaha ki match .
Sharon tells her about the upcoming match n requests her to join the team .
Rachel : thik hai , I will join u people , but if u promise to talk to me in the same manner , pura practice week .
Swayam : haan karegi na sharon . aachese baat karegi , tumse kya infact sabse karegi kyu Sharon .
Sha : hmm... (swayam u will pay for this )
Rey : toh fir thik hai kalse practise chalu .
DAY ONE :
Everyone gets collected in skool ground sharp at 7 in morning .
Vickey : toh mai batata hun ki batting kaise karte hai , sablog dhyan laga kar dekho haan , aye Rachel ball daal .
She takes the ball n throws it towards him . wicket !
amar : abbey vickey teli wicket gil gayi , ayese sikhayega tu batting .
nil : ruk mai batata hun shot kaise lagega , Rachel tu haina ball rey ko de , rey tu bowling kar .
kriya : ek sec tumlog kya apne mein hi cricket kheloge hamko bhi koshis karnedo , match ham khelne wale hai .
swayam : haan nil inko bat de . so kaun try karega pehle .
everyone took one step back leaving Sharon in front .
swayam : ok Sharon tum try karogi .
Sharon : wait wat mai , kaise ...tum sab cheaters ho .
Swayam : try toh karo Sharon some one has to begin .
She looks at his approaching hand and then his innocent face trying to persuade her to take the start , she could never deny his requests , nor she could resist his words ,but force herself to show how rude and arrogant she was . why she did this still remains a mystery but he had all those keys to her inner chest of mysteries . a person who knew straight pathway to her heart but the darkness of her ego always tried to misguide him in his journey . but he always proved himself strong enough to keep going through the darkness , somehow trying to make it up to his ultimate destination ...
Swayam : hey Sharon , heres the bat .
She took it from him .
Sharon : bat toh leli aage ball kaun dalega .
Swayam : mai daalta hun .
Sharon : zara aaram se plzz .
Swayam : I noe Sharon tumne life mein kabhi apne haat mein make up ke alava aur kuch nahi pakda .
Sha : errr will throw the ball .
N the practise continued till 9 am . after practice they used to attend school and go home .but that night Sharon reached skool ground at 7 pm .
Sharon while walking to the ground .
Sharon : cricket match ek week mein hai aur... aur mujhe kuch bhi nahi aata aaj morning mein practise kam aur time pass zyada chal raha tha , ayese toh mai kabhi concentrate nahi kar paungi mujhe akele mein batting practise karni hogi .
Swayam : but tum yeh bhul gayi ki batting karne ke liye kisi bowler ki bhi zarurat hoti hai Sharon .
She flipped back as the voice interrupted her from back .
Sharon : tum ..tum yaha kya kar rahe ho ??
Swayam : mai jaanta hun Sharon tumhe haarna pasand nahi chahe voh dance competition ho yaa match ho .
Sha : par tumhe kaise pata mai yah ape aaungi .
Swa : tum bohot predictable ho Sharon , yaa phir yeh kehsakte hai ki mujhe tumhare intuitions milte hai.
Sha : kya bole jaa rahe ho , meri kuch samjh mein nahi aaraha .
Swa : iss point pe tumhara cricket samajhna zyada zaruri hai , toh shuru Karen .
Sha : hmm
He taught her cricket as if teaching a kid how to write his first letters , all those small small techniques with so much perfection and ease , that could make any newbie catch the pace with the game . she actually started enjoying the game she was cursing some moments back . a magically atmosphere filled with mutual give and take , neither her ego nor her arrogance did have any space . he said it to her somedays back , "jaha tum aur tumhara ego saath ho vaha kisi teesre ke liye koi jagha nahi hoti aur voh teesra mai hun " uss din bhi voh jagha bhari thi aur aaj bhi voh jagha bhari hai , uss din ego ne bhari thi aaj swayam ne li hai . there was no world to see her or compare her,or recognize her inner self if somebody was around, it was him , and there was nothing hidden from him , yet she tried her level best to keep it hidden but all in vain ...
Swayam : I guess aaj ke liye itna kaafi hai , n kal tum dusri gals se better play karogi .
Sha : hmm...
Swa : toh chale
Sha : hmm..
Swa : after u Sharon .
Sharon starts walking n he follows her . as they walk out of the ground .he walks ahead when she stops her .
Sharon : amm hey swayam .
Swa : bolo
Sha : thanks , tumne voh itna time nikaala aur aaye .
Swayam : anything for u Sharon .
HHLL
Swayam : mai tumhe chod du
Sha : mai driver ke saath aayi hun .
Swa : ok then see u tomorrow 7 pm sharp on ground .
DAY 2
Simmi : yeh Sharon kaha reh gayi kal toh tym pe thi
Nil : actually kal voh tym pe ayi thi I was more tensed , aaj late hai toh m relived she is back to normal.
Swa : abb voh kahi phas gayi hogi aaj jayegi .
Rey : yaa guyz lets start
Bharat : aye bantae tumlog kya ladkilog ko sirf batting hi sikhaoge bowling ka kya hoga .
Swayam : rachel tum inlogo ko thoda bohot basic sikha do , tab tak ham baaki strategies discuss karte hai .
Rachel : ok J
rey : hey boyz iidhar aao , (they clump in a circle ) in galz ko ayese kuch samjh mein nahi ayega kuch different karke dikhana padega .
swayam : mai kya bolta hun lets change the game !
amar : matlab .
swayam : matlab inhe cricket cricket ki tarha nahi alag tareeke se sikhana hoga samjhe .
nil : haan haan samjh gaye , kya bolta hai vickey chaalu kare
vickey : yes yes .
nil hey galz attention attention sab iddhar aao .
vishaka : wat ur problem man , tum hame practise bhi nahi karne de sakte kya .
vickey : aree vahi toh sikha rahe hai .aab ham jaisa karte hai vaise hame follow karo thik hai
nil : gimme the beat guyz . dhoom dhoom chak dika dika dum chak
uudhar se aaneka.. niche dabaneka ..uupar uthaneka ..ha ha
galz were confused looking at wat weird stuff boyz were upto .
neha : babu what u doing , yeh cricket match hai not dance completion .
vic : tum galz ki naa yahi problem hai puri baat sunte hi nahi ho , abb apna bat uthao aur hamare saath yeh karo .
uudhar se aaneka ...niche dabaneka ..upar uthaneka ..ha ha ha
nil : aab samjhe
simmi : this seems interesting , lets practise it .
rinni : mujhe toh aabhi nahi samjha
amar : ale linni luko mai samjhata hun , tumne kabhi saadi pehni hai .
rinni : haan voh mai fancy dress competition mein indra Gandhi bani thi tab .
nil : tu aur indra Gandhi... hahahaha...
amar : aye tu chup ..linni tum iddhar dekho aab jaise tum saadi ka pallu uthati ho na vaise hi bat ko utha aur shot laga .kalo mele saath .. haaye mela pallu haye , haaye mela pallu hai . samjhi
rinni : haan re this is so simple .
amar : very gud aab match mein bhi ayese hi karna .
Sharon : wat is this pallu vallu errr m not understanding a thing .
Swayam : aree kya Sharon tum bhi yeh dekho
He surrounds her from back holds her hands over the bat n ..
Swayam : kaske pakad jamke jakad laga... Aree mujhe mat mudke dekho batting pe dhyan do , phirse karte hai ...kaske pakad jamke jakad lagaaa . yeh dhoni ka winning helicopter shot . samjh gayi
Sharon : hmm...
Swayam : very gud aab match mein bhi ayese hi karna .
Kriya : universe ji mai kya karu , koi toh signs do .
Rey : unse kya signs maang rahi ho yaha dekh , tu palti bahut khati hai tere liye yeh samjhna easy hoga
Abb dhyan se dekh mai kya karta hun ... Alti palti de jhumaake , aab bat pakad aur kar mere saath .
Kriya : aalti palti de jhumaake .
Rey : very gud aab match mein bhi ayese hi karna .
Simmi : batting ka toh thik hai guyz bowling ka kya hoga .
Nil : tu tension kyu leti hai mai sikhata hun yeh dekh yeh index finger is ungli n the little finger is tingli , aab ungli aur tingil ke beech mein ball fix kar aur bowling kar dekh ayese ungi pe tingli tingli pe ungli aaha .
Simmi : hey that's much easier .
Nil : kaha than a maine abb match mein bhi ayese hi karna .
Swayam : awesome girls tum log bohot mehnat kar rahe ho , aab zyada din nahi bache hai , yahi techniques pe concentrate karo , jeet hamari hogi .
5 days passed by n they practised with all energy n enthusiasm , finally the day arrived n so arrived all the gals to change the game . ...😎
TO BE CONTINUED ...
Promo for part two : fun filled and crazy cricket match don't miss this match 😉
9