Originally posted by: drp_usa
Jo banda khud hafte mein ek baar nahaata hai, ek hi kacche mein ghoomta hai, woh chauda hokar sabko duties baant raha hai aur khuleaam yeh bhi keh raha hai ki haan mai apne logon ko priority doonga. Ab shuklis kahan shupe pade hain, kya kuch bolenge nahi ya phir unhone dekha hi nahi ki kaise Mahira ne Sid ko kaha ki Shefali bartan nahi karegi and Paras ko easy duty mili to khush ho gayi, chai banane mein kitna time lagta hai afterall. Sallu ne bhi Vishal ko itna down kar diya hai aur upar se ab yah Saand bhi usse bartan karwaane par tula hua hai. Paras, Mahira never want to do bathroom duties as they know that those scenes are rarely shown and moreover yeh unki tauheen hogi ki woh bathroom saaf kare ya jhoothe bartan. Well, Mahira baby kisi aur ki Jhoothan (akanksha) to use kar hi rahi hai, bartan bhi kar le, par nahi na, aakhirkar uska faaltu glamour kaise dikhega phir. Sid ne to khud saara season kaam nahi kiya aur upar se ab sabko hukam de raha hai, yahi position agar Asim ya rashmi ko mili hoti tab Sid, paras and mahira khoob tamasha karte aur koi bhi kaam nahi karte jaise unhone Himanshi ki captaincy mein nahi kiya tha. Sallu ji, aap sun rahe ho, jo banda kambal mein fumble kar karke thak gaya, woh aaj duties baant raha hai jaise uske Baap ka raaj ho. Maja to tab aaye jab Sid se bartan aur bathroom karwaaya jaaye. Manisha ji, ari O manishaji aapka boyfriend kuch jyaada hi ucchal raha hai.