Toh jaisa ki aap sabhi jante hain,mewar mein kayi aisi paramparayein hain,jo sadiyon se chalti aa rahi hain.Aur har raja ka kartavya hai inn paramparaon ka maan rakhna.
Kintu mewar mein ek aisi parampara bhi hai,jiska baare mein hum sabko ab tak nahi pata tha.Aur vo parampara ye hai ki mewar ke rana ko apni tajposhi par ya kisi bhi mahatvapoorna utsav par pichle rana ke ya apne pita ke kapde pehenne padte hain!!Kya? Aapko meri baat par vishwas nahi? Toh phir khud hi dekh lijiye.
😛😆😉
Ye hain humare pyaare pyaare naye maharana,apni tajposhi ke agle din,holi parv par--

Aur ye hai inke pyaare dajiraj arthat swargiya rana udai singhji aka paan boy aka shouterbox,jinhone yahi vastra inke vivah par pehne they!😲

Ab zara ye dekhiye,
Ye hai humare maharana,phool ke saath apne vivah par

Aur ye apne gaune par

Chalo maan liya ki phool ke saath apne vivah se pehle samay kam tha aur isliye unhone apne gaune wale vastra hi pehen liye.😛
Kintu ab zara isse dekhiye.

Ye vahi vastra hain jo inke dajiraj ne apne punar vivah par pehne they.
Picture toh abhi baki hai mere dost.😛😎
Humare priya fake maharana aka jagmalini aka kajal ki dukan aka ka shasan toh chaar din ki chandni hi tha par phir bhi unhe issi parampara ko nibhana pada tha apni tajposhi par.


Ab toh mante ho na meri baat mitron?😳😃
Forum rank ki khatir hi sahi,iss atut ,anmol parampara aka cv's ki maya par apne vichar vyakta karna na bhoolein.😉
Enjoy!🤣🤪
PS-Please no offense to anyone.