Adi is adamant on making Zoya realizing her love for him. He is sure that her heart beats for him the same way as his beats for her.
Zoya has decided to marry Arshad in a week & Adi realizes that he must come up with some idea soon to make Zoya realize her feelings.*
*Adi calls Zoya on her mobile.
A: "Zoya tum ek baar Zosh aa sakti Ho?
Z: "Kyun? Taaki aap phirse humhe aapke liye pyaar ka ehsas karwaein? Nahi! Bilkul nahi
A: "Agar tum bhool gayi Ho toh yaad dilata hoon ki shaadi ka contract mujhe diya hai tumne. Ab event manager ko baat to karni hoti hai na apne client se?
Z: "accha theek hai, hum aate hai wahan
Adi gives a smirk & cuts the call.
Zoya enters Zosh & finds Adi standing outside his cabin
Z: "Kya baat karni thi aapko? Kal engagement ki tayari bhi karni hai humhe.
A: "Zoya mujhe tumhare saat dino mein se ek din chahiye
Zoya is shocked
Z: "Kya? Kya kaha aapne? Ek din chahiye matlab? Irada Kya hai aapka?
A: "Aaj Kal toh tumhe mere har irade pe shak hai, toh Haan Maine wahi kaha Jo tumne suna, ek din maanga hai tumse
Adi pulls out a handcuff from his pocket and puts it on her left wrist and clicks the other side on his right wrist.
Z: "Yeh Kya kiya aapne? Yeh hathkadi koliye abhi ke abhi!
Adi gives a huge smirk and takes the handcuffs keys with his left hand and throws it out the open window
A: "Ab toh yeh hathkadi 24 ghante ke baad ki khulegi
Z: "Aap apne aap ko police samajte hai? Hathkadi ko pant mein lekar ghumte hai aap?
A: "Nahi! Mein apne aap ko tumhara aashiq samajta hoon, aur yahi tumhe realize karwaana chahta hoon
He raises his right hand
A: "Iske ilaawa mujhe koi dusra raasta nahi dikaayi diya. Agar door jaane ki koshish ki, Toh dard Ho sakta hai, isiliye mere paas hi rehna
Z: "Aap samajh bhi rahe hai ki kya kiya aapne? Kuch ghanto mein sagai hai humari, Arshad ke saath. Humhe aise bandhe hue dekhenge toh Kya sochenge woh aur unke ami abbu? Hamare abbu toh maar hi daalenge
A: "Sab ki fikr hai tumhe, siwaai apne aap ki. Tumhare dil ki kab sunogi tum?
Z: "Jab bhi dil ki suni humne, dhoka khaaye. Hum aapse pehle bhi keh chuke ki hum aapse pyaar nahi karte
A: "Acha toh tumhe koi farak bhi nahi padta ki hum dono aise bandhe huye hai ek hi hathkadi mein?
Z: "Koi farak nahi padta, aapse ya hathkadi se
A: "Toh lag gayi shard? Tum woh sab karo joh aaj tumhare schedule mein hain. Mera hone ya na hone se koi farak thodi padta hai tumhe? Ya phir darr hai tumhe ki distract Ho jaogi?
Z: "Hum kyun distract honge? Yahan se humhe Arshad ke ghar jaana hai, sagai ki anguthi select Karne
A: "Tum jahan, mein wahan
How was it guys? If you like the story then I'll continue. If translation in English is required do let me know in the comments.