Sukhs, Guddi jaanu already translated it...i mean into Hindi only but it's easy to read too... ALL THANKS TO GUDDI!!
Heading -- Abhinay (acting ) ko nikhaarne ka jazba..
Ronit Roy ka abhinay yeh darshata hai ke unmei badhti umr ke sath sath ( ) abhinay ko nikharne ka jazba hai.. Ronit prasannata ke sath apne kirdar (char) ke sadarbh (?) mei kehte hai, DharamRaj mere career ke chunautipurn (challenging), yaadgaar (memorable) ewang ( and! ) prabhawi (effective) bhumika hai..DM desi (Indian) paatr (boy ROFL) hai.. Unke bhashaa, pehnaav, aur webhaar ( LOL behaviour ) mei desipan hai.. uska apna status hai.. aisi bhumika mei pehli baar (?) nibha raha hoon..
Kasautii Zindagi Kii serial mei Mr.Bajaj ke bhumika ke liye maine Urdu sikhi thi..Woh DM ke liye kaam nahi aayi.. Balki iske liye maine ab tak jo kuch sikha tha sab bhulana padha..DM hindi bolta hai jisme Gujju touch hai.. Woh tone laane ke liye maine Gujrati logo ke baatchit ke tareeko pe gaur kia.. DM ne mujhe niji taur par prabhawit kia hai..
Imagine mei prasarit Bandini mei zyada tar naye kalaakaro ko mauka mila hai.. Ronit isme ek maatr senior actor hai.. Set par kaisa maahol rehta hai ispar Ronit praticria ( answer ) dete hai, Meri soch dabdaba (?) banane wali nahi hai.. Manaa ki mai w(g)aristhya (aged) kalaakar hoon, magar mai kisi par haavi hone ki kosish nahi karta hoon.. mai naye kalaakaaro se sikhta hoon aur yadi ( if ) unhe koi galat kaam karte hue dekhta hoon, toh unhe samjhata hoon.. Mai naye kalaakaro ko protsaahit ( encourage ) karta hoon.. Jab mai iss kshetra (field) mei aaya tha, tab mujhe koi sahi maarg ( to guide me) dikhane wala nahi tha.. Aaaj mere paas anubhav (experience) hai.. mai uss anubhav ka laav nahi pidhi ( new gen) ke kalaakaaro ko dene ki kosish karta hoon..
Ronit ne abhinay career ki suruwaat film Jaan Tere Naam se ki thi.. baad mei unhone serial mei kaam karna shuru kia.. Peechle dino unhe Farhan Akhtar abhinit (starring) Luck By Chance mei mehmaan bhumika mei dekha gaya.. iss sandarv (?) mei Ronit kehte hai, nirmata ( director ) Ritesh Sidhvani ( or whoever ) mere mitr (friend) hai.. Unke kehne par maine Luck By Chance mei choti si bhumika ki.. Gat ( last ) 4 saalo mei mujhe kai filmo ki prastaav ( offer ) mili.. Lekin mujhe unme dum (challenge) nahi dikha..mai filmo mei chunauti bhari bhumikaayei nibhana chahta hoon..Aajkal baatei chal rahi hai.. Ummeed hai jald hi phir mai bade parde par dikhunga..
Ronit ke chote bhai Rohit Roy nidarshan ( producer ) mei kadam rakh chuke hai.. Kya Ronit bhi uss disha mei kadam rakhenge, Jawaab mei we ( woh ) kehte hai, Mere paas samay ka abhaav hai ( doesn't have time ). mai din mei 16 ghante shooting karta hoon.. Mera security agency ka business hai.. uske liye samay nikaalta hoon aur baki samay parivar ke sath rehta hoon.. Rohit ki tarah mai har kaam ke liye samay nahi nikaal sakta.. mai kisi daud ka hissa nahi hoon.. Mai kam magar gurutwapurn ( important ) kaam karne mei viswas rakhta hoon..
Ronit apne vaktigyat ewang professional zindagi se santusht (satisfied) hai..Chote parde ke Big B kahe jane pe puchne par woh haste hue kehte hai, Amitabh Bachchan jis sthaan ( where AB is ) par hai, waha pahuchne mei mujhe 50 saal aur lag jayenge ( ) unse meri tulna karna galat hai.. Dusri taraf ek living legend se log meri tulna karte hai toh mujhe bohot khushi hoti hai.., sath hi uttardaayitwa ( responsibility ) badh jata hai..Big B ke naam ke fikr(?) badh jati hai..Meri kosish yahi hai ke darshako ne jo pyar aur sammman diya hai, khud ko uski yogya ( eligible ) saabit karta rahoo..
Hehe.. done