22c)
Anandi and Shiv go out for breakfast. They see no one. The entire family was missing. "Yahan toh koi bhi nahi hai. Sab kahan gaye?" "Hmm itni subah subah sab kahan ja sakte hain? Aapse ma ne kuch kaha tha ki wo log kahin jaane wale hain." "Nahi Mummyji ne aisa kuch nahi kaha." They look for the family everywhere in the house. They then go out into the garden. The entire family is there with embarrassing smiles on their faces. "Aap sab yahan kya kar rahe hain? Anandiji aur main kabse aap logon ko dhoondh rahe hain." "Bhaiyya wo kya hai na ki December ki sardi mein ye halki halki dhoop bahut pyaari lagi aur aap dono ko baaton mein busy paya toh aapko inform nahi kiya. Hum Sarpanchji aur Collector Sahib ko important discussion ke dauraan disturb nahi karna chahte the." Mahi hinted that their cute towel tiff was heard by all.
They blushed copiously as the others had a hearty laughter. They lowered their eyes shyly thinking 'that the ground splits and they get buried in it.' "Anandiji aap bhi na kabhi meri baat nahi sunti. Dekha sab ne aapki towel nikaaliye towel nilkaaiye wali rat suni sab kya sochenge?" "C S main rat nahi lagati na agar aap mujhe bata dete. Mujhe laga ki aapko chot lagi hai aur aap hamesha Doctor ke paas na jaane ke bahane banate hain. Mujhe laga issiliye aap mujhe apni chot nahi dikha rahe. Iss liye mera shak aur pakka hua ki aapko chot lagi hai. Mujhe aapki bahut zyaada fikar ho rahi thi iss liye keh rahi thi." They were whispereing. "Accha bhai ab yahan nayi rat lagana shuru mat karo tum dono humen bhook lagi hai." Ira jaldi se naashta bana do. They all go inside. Anandi goes to the kitchen but is being sent out by Meenu and Ira. "Anandi beta kaha na tum bahar jaakar sabke saath baitho ya koi kaam karna hi hai toh table laga do."
She was hesitant to leave. She had something to say but was not sure how to say it. It was a new experience for her. She had been changing ever since her C S entered her life. Ira and C M see her still standing in the kitchen thinking about something. They jerk her. She comes out of her thoughts. "Kya hua Anandi beta kuch kehna hai?" Anandi was hesitant and determined at the same time. She had to speak her mind. She thought about the time when she told him in front of eeveryone that he is the one for her then she should be able to speak up to fulfill his small wish. "Mummyji wo mujhe kuch kehna hai actually kuch poochna hai. Mummyji wo main jaanti hoon ki aapne kaha tha ki meri choolah poojan ki rasam Kesarbuag mein hogi. Main jaanti hoon ek bahu hone ke naate meri har rasam apne sasural mein hi hogi. Par jaise mera yahan bhi griha pravesh hua. Kya main yahan bhi choolaah poojan kar sakti hoon? Wo Kesarbuag mera sasuraal hai main maanti hoon par C S jahan honge wahi mera asli ghar hoga aur hum yahan rehne wale hain toh meri rasoi toh yahi hogi na? Iss liye kya main yahan bhi choolah poojan karke meetha bana sakti hoon? Wo C S ko halwa khana hai. C S ne pehli baar mujhse kuch maanga hai main unke liye halwa banana chahti hoon. Please mummyji please choti ma."
They look at one another and smile. They decide to have some fun with her. She was feeling like a scared bahu so they too decided to show her the typical saas swaroop that she thought she would see from them post wedding. Ira looked at her with a straight face and said, "Tum yahaan bhi choolah poojan karna chahti ho? Tumhe acchhe se pata hai na ki tumhaari saari rasme tumhaare sasuraal jaakar hi hogi. Griha pravesh iss liye hua kyun ki uske bina tumhaare pag pacchha karne ki rasam nahi ho sakti. Anandi maana ki yeh tumhaara ghar hoga par saari rasmein pehle Kesarbuag mein hi hogi phir jab tum yahaan wapas aaogi tab yahaan choolah poojan karke Shiv ke liye halwa banana." Anandi sadly nodded OK and was about to turn just then she heard her two ma in law burst into laughter. She turned to face them and they came and pulled her cheek.
"Anandi agar tum ye bechaari bahu banogi to hum bhi tumhe Hitler Saas bankar dikhayenge. Beta tumhe agar Shiv ke liye kuch karna hai toh isme itni jhijhak se kyun pooch rahi ho. Tumhe poora haq hai uski khushi ke liye kuch karne ka." C M had made her understand. That there was nothing wrong in her wanting to do things for Shiv. They wanted her to begin to get used to the new ways of her new family. "Theek hai tum bahar jao hum yahan thodi safai kar lete hain. Phir tumhaare choolah poojan ki rasam karenge." She was very happy that she will get to make halwa for her C S. Her smile was so broad that her pearly whites were in full display.
"Didi ye ladki bhi na bilkul pagal hai. Aapne dekha ki jo ladki badon ke saamne apni zubaan nahi kholti kabhi kaise wo Shiv ke liye kuch karne ke liye itne haq se baat kar rahi thi. Usne ye bhi nahi socha ki aaj sasuaraal mein uska pehla din hai. Uss din bhi kitni sahajta se Shiv uske liye kya maayne rakhta hai sabke saamne boli thi. Shiv ko lekar kabhi bhi ise kuch kehne ya karne se darr nahi lagta. Aap bataiye ise ki ye Shiv ko pasand karne lagi hai warna na jaane kab ise ehsaas hoga. Ek best friend samajhkar hi Shivke liye sab kare jaayegi."
"Nahi Meenu Anandi ko apne aap hi realize karne do. Hum sab jaante hain iss baat ko par sab chup hai. Humaare batane se shayad wo theek se na samjhe par jab khud iss baat ko jaanegi tab duniya jahaan ise rok nahi payega Shiv se pyaar ka izhaar karne mein ya use pyaar karne mein. Ab chal hum C S ki Sarpanchji ke liye choolah poojan ki tayyari kar le. Sarpanchji ke C S ko halwa khana hai. Meenu Anandi ko batana padega ki sab ke liye banaye warna sirf apne C S ke liye hi na bana de." They laugh. In the hall Anandi comes with a huge smile on her face. Shiv was sitting there and she smiled and blinked at him that she would be doing meetha rasam in some time. He was all smiles too. It was hard to say whose smile was broader.
"Acchha sab suniye ab naashta thodi der baad milega pehle Anandi ki choolaah poojan ki rasam hogi. Wo pehle meetha banayegi phir hi naashta banega." "Arre bhai waah. Aaj toh meri badi pota bahu meetha banyegi. Toh batao Anandi beta kya meetha banaogi?" Daddu teased her. He knew that she would want to make halwa for Shiv but would be shy and not say it herself. "Daddu jo aap sab kahenge main wahi banaoongi." Ira and C M see her change right in front of their eyes from the feisty Anandi of Shiv to an agyaakaari bahu. They were standing behind her and mouth to Daddu that she wanted to make halwa. Shiv was all smiles because halwa was his and Daddu's weakness. His sarpanchji made a ghotala by asking as the halwa plan could easily go south. It was the morning after their wedding and everyone were still in the teasing zone. He was sure that even after the blunder of the agyaakaari bahu Daddu was going to tell her to make halwa. "Nahi beta jo tum chaho wo banao." "Jee theek hai Daddu toh main.."
Mahi had seen his ma and badi ma mouth to Daddu about Anandi wanting to make halwa. Before Anandi could finish her sentence Mahi decided to pull a fast one on his dear bhabhi. "Bhabhi meri ek choti si farmayish hai. Ab Daddu ne toh koi choice nahi batayi par main aapka ek lauta nanha sa pyaara sa dulaaraa sa devar hoon na?" Anandi nodded in a yes. "Toh bhabhi meri pasand ka meetha banaiye na. Mujhe na 'Maal pooye aur rabdi' bahut pasand hai. Please aaj meri pasand ka meetha bana dijiye na. Please bhabhi please aapka devar pehli baar kuch maang raha hai." He was standing with his hands folded in front of her and with a very desperate pleading look.
"Chalo bhai koi nahi aaj hum sab Mahi ke pasand ka meetha khayenge." Daddu commented on seeing the look on Anandi and Shiv's faces. They all got her helplessness and had secretly decided to continue with the prank played on AnSh. Anandi looks at Shiv and gives a helpless smile. He gets up and signs her to come to the room. She comes to the room after making an excuse and the cute but kadak kadak collector is waiting for her. Shiv was sitting on the bed with his hands crossed at his chest. His brows were furrowed and he had a cute babyish pout that he always made when he would not get his halwa especially now that she was there to make it for him. "Anandiji aap bhi na kya zaroorat thi bolne ki jo kahenge wo banaoongi. Maine kaha tha na ki halwa khana hai. Ab banaiye apne laadle devarjee ke liye maal pooye aur rabdi. Aur wo Mahi Ashi se kyun nahi kehta maal pooye aur rabdi banane ke liye."
Anandi came and stood in front of him well she was standing too close. Anandi too with a cute helpless pout said. "Meri kya galti hai maine Daddu se poocha kyunki main jaanti thi wo halwa banane ko kahenge. Aapki tarah unhe bhi halwa bahut pasand hai. Jab unhone meri pasand se banana ko kaha main bol hi rahi thi ki main halwa banati hoon. Par devarjee ne mujhe beech mein hi rok diya. Mujhe kya pata tha ki devarjee aisa kahenge. C S aapko pata hai mummyji ne mujhse kaha tha ki choolaah poojan Kesarbuag jaakar hogi. Aapne halwa khaane ki baat ki iss liye maine unse kaha ki main yahan bhi pooja karke meetha banana chaahti hoon. Aur aap mujhe daant rahe hain. Aap jaante bhi hain kitna mushkil hota hai ek bahu ke liye pehle hi din apne sasural mein apni saas se aisi baat kehna ki mere pati ko khana hai iss liye mujhe banana hai." They have a friendly tiff. 'Pati she called him pati.'
"Anandiji aapne mere liye aisa kiya? Sorry wo main aapke haat ka bana halwa khana chahta tha. Bahut din ho gaye na iss liye par koi baat nahi aap maal pooye aur rabdi bana dijiye. Main wo bhi bahut chaav se khaoonga. Lekin dinner mein aap halwa banyengi na?" "Jee pakka banaoongi." They smile at each other. Shiv understands that she does not only have to do things for him but also has to cater to the needs of the other family members too. He will have her undivided attention when they were alone. He could not wait for that day and she too subconsciously wished for her to be alone with him. They go out and everyone look at them as if they had gone to the room for some lovey dovey moments. They go red in the face. Anandi is taken to the kitchen. Everyone else goes to the kitchen. She does the choolaah poojan. Alok records the entire ceremony and all the men are sent out. Shiv did not want to leave. He wanted to help her like he had at the haveli.
In the kitchen Anandi sees the ingredients for making halwa. "Ye kya mujhe toh maal pooye aur rabdi banana tha na? Toh ye halwe ka samaan kyun?" "Anandi you make halwa for your lover boy. Maal pooye and rabdi the crazy boy will get when he gets married. Hey par tumko mujhko teach karna parega." Ashi whispered in her ears. They giggle and C M and Ira notice them. "Ye aaj kal ki ladkiyaan." They shake their head and go out. She was very happy that she got to fulfill her promise made to Shiv. She was gonna put her heart and soul in making his favorite dish. Her happiness was not hid from anyone. Ashi, Saachi and Anandi are in the kitchen. She will make the meetha and they will assist her. Mahi comes in the kitchen,"Saachi wo ma tujhe bula rahi hai. Arre ja na koi aur rasam batayengi tujhe jahaan tu Shiv bhaiyya ki aur jeb kaat payegi ja." She went at once to learn about more money making rasams. He sits on the kitchen counter and looks on the bahus work. He was actually inspecting what they were doing. Shiv sneaks in the kitchen. He sees Mahi and Ashi there too. He gets annoyed on seeing the two kabab mein haddi's. He had to get rid of them.
"Aap yahan kya kar rahe hain. Aap dono bahar jaiye humen aapke madad aur inspection ki koi zaroorat nahi hai." "Haan Mahi tu aur Ashi ja baahar suna na teri bhabhi ne kya kaha. Chal ja jaldi kar." Mahi and Ashi leave and go to the garden. "C S maine aapse aur devarjee se kaha tha. Aap jaiye main kar loongi." "Wo halwe ki khushboo mujhe yahaan kheench layi. Aur aise kaise chala jaaoon. Main chahta hoon ki aapka halwa hamesha se behtar bane. Iss liye aapki madad ke liye aaya hoon. Dekhiye banne hi wala hai shayad last 45 seconds bache hain mujhe dijiye ab main chammach hilata hoon." Anandi blushes as she remembers the tabela romance day and their time in the kitchen. She did not mind a bit of his healthy flirting. She had also made aloo poori simultaneously. After much persuasion from Anandi Shiv goes out and sends Ashi to help Anandi. Mahi and Shiv come join the others. Saachi opened her mouth to say something teasing Shiv and Mahi about spousal relation. C M comments on the actions of kids these days looking at Shiv and Mahi. "Humne kya kiya hai?" They had no idea about the sp. mehndi karnaama of the girls being revealed.
Edited by chahat11 - 12 years ago