Mein bahut khush hua.. yeh jaankar..par hairan bhi hua ki Priya ne mujhe kehne ki bajaye.. chitthi kyu di..
Par laga ki usse sharam aa rahi hogi.. maine bahut hi excited ho kar chitthi kholi...
Par jab padha to laga jaise sab kuch chala gaya.. tufan aa gaya tha.. aur mein ghir chuka tha...
Mujhe pata nahi chala kab meri aankho se aansu beh nikle.. Mein samaj nahi paya.. ki mujhe itna dard kyu ho raha hai.. Ek aisa dard jo aaj se pehle kabhi mehsus nahi hua tha.. ya abhi bhi hai..
Uss din apne pyaar ko apne se dur jane se nahi rok paya.. Kuch nahi kar saka..
Uss din jab vo khat kaka ne mujhe diya.. to ek alag se khusi mehsus hui.. usse khole bina hi usme se Priya ki khusbu thi.. Aur aaj bhi hai.. Uss khat ka ek ek labz aaj bhi yaad hai.. Vo mere zehen mein iss kadar basa hua hai jaise vo mere hi jism ka ek aham hissa ho..
Aur kyu na ho..
Usme meri Priya hai.. usme mera dard hai.. mera pyaar hai.. mera sab kuch hai...
Uss khat ko padne ke liye mujhe usse kholne ki zarurat nahi padi.. mujhe muh zabani yaad hai..
jab bhi uss khat ke baare mein sochta hu.. ek jaana pechana sa dard mehsus hota hai.. vaise uss khat ki har baat mujhe yaad hai.. Yaad usse kiya jata hai jisse kabhi bhulna padha..
Aur vo khat mere jeevan ka aham hissa hai.. Uss din jab Priya ka khat padha tha..
Uss khat mein izhaar tha .. uske pyaar ka mere pyaar ka.. Aaj ek baar phir mera dil uss khat ko padhna chahta hai..
Mein kho gaya unn yadon ek baar phir..
Priya ka khat kuch iss tarah tha...
"Ram"...
Mein nahi jaanti... kaha se shuru karu.. kaise karu.. Bas itna batana chahti hu.. Ki mein apse bahut pyaar karti hu.. Nahi janti kab se..Shayad apse milne se bhi pehle.. Jiss din maine aapki pehli kitab padhi thi.. Uss din mujhe apke akelepan se pyar ho gaya tha.. Shayad iss liye kyunki mein bhi akeli thi.. Apki kitab mein kuch aisa hota hai.. jo mere akelepan ke ehsas ko dur kara hai..
Mein bahut khushnaseeb hu ki apse milne ka bhagwan ne mauka diya.. Uss din agar bus nahi chut ti.. To apse nahi mil pati.. Uss din milne ke baad hi.. mujhe apse milne ki tadap mehsus hone lagi thi..
Aapke chehre par ek massomiyat hai.. jisse mujhe pyaar hua.. Aapki aankho mein apnapan mehsus hua.. jisse mujhe pyaar hai..
Jab jab hum milte the.. ek ajeeb sa ehsaas hota hai.. Pata nahi kyu nahi rok pati thi apne aap ko.. aapse milne ke liye... Accha lagta tha.. jab aap yaha baccho se milne aate the.. Hamesha yahi sochti thi ki.. ek na ek din aap zarur kahenge.. ki Priya aaj mein tumhare liye aaya hu.. par kabhi nahi bole..
Par mujhe afsos nahi ki.. apne aisa nahi kaha.. Kyunki aap jiss bhi karan se yaha aate the.. par mein aapko dekh paati thi.. aur issliye mujhe aapse koi shikayat nahi hai..
Kal aapka janamdin tha..mein aapko apne dil ki baat batani chahti thi.. Batana chahti thi ki mein bhi aapse pyaar karti hu.. Maine aapki aankho mein apne liye pyaar dekha hai.. kal raat ko jab aapne roka tha mein samajh gayi thi ki aaj ka din mere liye behad khubsurat hi jaega.. Aap jiss tarah jijhak rahe the.. Mujhe accha lag raha tha..Par apne nahi kaha.. aur nahi mein keh paayi..
Jaante hai Ram kal raat jo hua mujhe uska koi afsos nahi hai.. Vo mere jeevan ka behad khusurat ehsaas hai.. Vo sabse haseen pal mein se ek hai.. aur shayad hamesha rahega..
Bas ek afsos reh jayega ki.. jo ehsaas zindagi ka khubsurat ehsaas hota hai.. vo galat tha..
Shayad galat bhi nahi keh sakte .. par vo sahi nahi tha.. Mein iss ehsaas ko mehsus karna chahti thi.. par tab jab hum Pati- Patni ke khubsurat rishte ke bandhan mein bandhe hote ..
Har ladki ki tarah yeh mera bh sapna tha.. ki aapke saath mein bhi iss bandhan mein bandh jaau.. Zeevan bhar ke liye... Ram galti to galti hai.. Chahe behad khubsurat hi kyu na ho.. Mein jaanti hu ki hum bahut jaldi shaadi kar sakte the..
Par mein aapko nahi samjha sakti ki.. mein kya mehsus kar rahi hu.. Ek taraf to khusi hai ki.. hum ek ho chuke hai.. Mein aapki ho gayi.. Par bahut takleef mehsus ho rahi hai ki.. hamne kudrat ke kanoon ko todha hai..
Humne jo kiya vo sahi nahi tha.. Mein aapko dosh nahi de rahi hu.. Kyunki isme meri bhi galti hai..
Mein nahi rok paayi apne aap ko.. Hum beh gaye uss ek lamhe mein..
Ram hamne kudrat ke kanoon ko todha hai.. Hamne galti ki hai..
Ram mujhe samay chahiye apni galti sudharne ka.. Mein vapas aaungi.. aapke paas ... apne pyaar ke liye..
Par abhi mujhe kuch samajh nahi aa raha ki hum sahi hai ya galat..
ram mera intzaar karna... Mein zarur lautungi..
Ek baat aur Ram .. kabhi iss sab ke liye apne aap ko dosh mat deejeyega..
Aur jab tak mein nahi aau.. aap baccho ka dhyan rakehnge...
Unhe keh dena ki Unki Priya di unse bahut Pyaar karti hai.. aur unke Ram unkle se bhi...
Priya..
Ram open his eyes.. wipes his tears..
Priya tum kaun se kanoon ki baat karti ho.. yeh kanoon hamne hi banaye hai.. manta hu Ki hamne galti ki..
Par uss galti ki itni badhi saza Priya.. yeh bhi sahi nahi hai..
Kash uss din mein apne aap ko tum mein nahi khota to aaj hum saath hote .. Priya har din har pal yeh sochta hu.. ki galti hai bhi ki nahi.. Maine sirf pyaar kiya.. behad pyaar kiya tumhe..
Manta hu hum uss pavitra bandhan mein nahi bandhe the... Par humne jo kiya vo galat nahi hai Priya..
Priya tumhe kya lagta hai ki tum apne aap ko saza de rahi ho.. Nahi Priya tum mujhe bhi saza de rahi ho..
Maine tumse tan se nahi mann se bhi pyaar karta hu..
Kaise batao Priya ki mein khud nahi jaanta tha ki kabhi aisa karunga...
Par Priya mujhe koi afsos nahi hai ki.. maine kuch galat kiya.. Maanta hu saari bediyaan todhi.. par maine vo sab tab kiya jab mein tumhe apne mann se jeevan saathi maan chuka tha.. bas rishte mein bandhna reh gaya tha...
Kya tumhare liye sirf duniya ki baatein mayne rakhti hai..
Hamara pyaar uska kya..
Galti ki hai maine.. Par kabhi bhi uss haseen pal ko.. uss khubsurat ehsaas ko galti nahi maan sakta..
Maine tumhe vo pyaar diya uss din jo sirf tumhara hai..
Galti yeh ki mein tumhe samajh nahi paaya...
Priya tumne kaha tum mere akelepan ko jaanti thi.. to phir kyu akela choda.. batao Priya.. kya galti hi meri..
Sirf yeh galti ki beh gaya uss din tumhari madhoshi mein...
Kya saath rehna sirf.. hamari unn haseen pal ko jeena hota hai .. Nahi Priya.. nahi..
tum ek baar mujhse baat karti.. mein saari zindagi sirf tumhare saath bitana chahata hu.. sirf tumhara saath chahiye.. Mujhe koi aisa haseesn pal nahi chahiye.. jo hamein dur kare..
Mein tumhari dil ki dhadkan se apna naam sunna chahta hu..
Aaj mein bahut khushnaseeb hu r badkismat bhi..
Khushnaseeb isliye ki mein janta hu ki tum mujhse pyaar karti ho.. par badkismat isliye ki tum mere sath nahi ho.. Thak gaya hu tumhe dhundte dhundte..
Thak gaya hu tumhara intzaar karte karte..
Har roz issi umeed ke saath uth ta hu ki aaj tum laut aaogi..
Har roz issi umeed ke saath sota hu ki..kal hum saath honge..
Priya barish to bahut hoti hai,, par tumhe saath nahi laati.. Priya khilta to gulaab aaj bhi hai. par usme.. vo kashish nahi hoti.. usme tumhari khusbu nahi aati..
Priya.. Zindagi mein pyaar ka ehsaas ek baar hota hai..
Usse khone ka ehsaas baar baar hota hai..
Aur tumhare jaane ke baad yeh ehsaas baar baar hota hai..
Priya yeh ehsaas bahut dard deta hai... Nahi jiya jeeta iss dard ke saath... nahi janta tha ki pyaar jitna haseen.. khubsurat hota hai.. usse kahi zyada dard bhi deta hai..
Bhaag raha hu sabse .. apne aap se...
Priya kal mein hamesha hamesha ke liye.. yeh jagah chod ke jaa raha hu.. Yeh mat sochna..ki tumse pyaar nahi karta..
Mein isliye ja raha hu.. kyunki ab bahut dard hota hai.. ab aur saha nahi jaata.. Bas kal ke programme ke baad yaha se chala jaunga.. tumhari yaadon ko lekar.. hamare pyaar ko lekar..
Jaanti ho Priya kal vahi tarokh hai.. jab hum pehli baar mile the..
Kal hi ki tarikh ne mujhe zindagi ke behad khubsurat pal diye hai.. behad pyara ehseaas diya hai..
Par sab kuch cheen bhi liya hai.. Kyunki nahi bata paya ki tumse bahut pyaar karta hu.. kaash bata pata..
... ... ... Ram after attending his new novel's ceremony leave from there..On the way...
Ram- Driver.. jo bus stop aaye udhar gadi rokna...
Driver- Saab bahar barish tez hai..
Ram- sirf 2 minute..
Ram- Aaj phir mein vahi hu. jaha se jeevan ka yeh behad khubsurat ehsaas shuru hua tha... he closed his eyes..
Priya mehsus kar sakta hu tumhe aaj bhi.. hawa ki thandak.. barish ki yeh boonde ehsaas dila rahi hai ki,. tum mere paas ho.. behad paas ho.. tumhari Khusbu mehsus karta hu barish mein..
Jo barish kabhi mujhe sakun deti thi.. aaj bechaini deti hai.. Barish ki bundhe ehsaas karati hai ki mein kho chuka tumhe..
Tumhare saath zindagi bitane ke khwab dekha tha... shayad hai.. par lagta hai ki ab tumhari yaadon ke saath jiyunga.. ..Hamesha tumhara intzaar karunga.. Laut aao Priya.. Jisse tum hamari galti samajh rahi ho.. vo galti nahi hai.. Bas vo haseen lamhe hai.. jo hamein zindagi ke khubsurat rishte mein bandhne ke baad bitane chahyie the...
Par iska matlab yeh nahi ki hum galat hai Priya...
Vaada karta hu Priya ab kuch galat nahi karunga.. bas ek baar laut aao.. Barish mein bhi Ram ke aansuo ko dekha ja sakta tha.. ek aisa dard jisse sirf Priya hi dur kar sakti hai..
Driver- Saab chalna nahi hai kya..
Ram- tum chale jao.. mein aa jaunga.. Ram vaha se chala gaya.. chalta raha.. apni khamoshi ke saath.. apne dard ke saath.. Abhi kuch dur hi chala tha.. Usne hath mein pehni hui ghadhi dekhi.. samay hua tha...2:36 pm..
Ram .. yaad hai Priya hum issi samay mile the.. Kuch sochta hua Ram phir bus stand ki taraf ek baar chal padha..
Bus stand ke kuch dur hi paucha tha.. usse ek ladhki dikhi bus stand par.. Vahi gulabi rang... vahi bheege baal.. vahi khubsurti.. vahi khushbu... jo usse khich rahi thi uss aur.. Ram uska chehra dekh nahi paa raha tha,, uska chehra duri taraf tha..
Tez dhadkano ke saath... ek umeed ke saath.. chal padha uss aur.. Vo vahi khadi thi..
Ram- jaise jaise uske paas pahuchta gaya.. ek khushi mehsus hone lagi ki..yeh meri Priya hai.. USki khushbu..
Ab mein bilkul uske paas tha.. Uska chehra mein nahi dekh paa raha tha.. Par uski zulpho mein vo khusbhu hai.. jo Priya mein hai..
Mein dhadkte dil se uske samne gaya.. uski aankhe band thi.. usme se aansu beh rahe the..
Meri aankho se aansu nikalne lage... aaj mera intzaar puar ho chuka tha.. vo Priya thi,... meri Priya.. Uske chehre par ek dard tha.. Uski aankhein abhi bhi band thi.. Mein kuch samajh nahi paa raha tha.. kya karu.. mein usse apne aagosh mein samatena chahta tha.. itne din ki tadap ko dur karna chahta tha..
Vo kaanp ne lagi.. uske aansu aur tezi se behne lage... shayad vo mera ehsaas pehchaan chuki thi,, ..
Mein bas usse dekhat gaya.. Apni aankho mein usse hamesha ke liye khaid karna chahta tha.. Dar ki vajah se aankhein jhapkaiye bhi nahi .. ki kahi phir chali na jaye... Pyaar ne darna sikha diya...
Uski aankhein abhi bhi band thi.. bahut tezi se apni aankhein band kar rakhi thi.. Shayad usse bhi dar tha kahi yeh sab khatam na ho jaye.. Behad paas hote huye bhi dur the.. Yeh ehsaas sirf Pyaar hi mehsus kara sakta hai...
Maine dheere se kaha Priya...
Itne dino baad usne meri aawaz suni thi.. uske aankho se aansu aur tezi se behne lage.. dheere dheere mujhe uski siskiya sunai di.. Jo mujhe bahut takleef de rahi thi..
Maine ek baar phir usse aawaz di... Priya...
Iss baar usne dheere se apni aankhein kholi.. Unme mere liye pyaar aur mujhse bichadne ke dard tha.. waqt tham gaya tha hum dono ke liye..
Ek dusre ko bas dekhte rahe.. aankho mein sirf aansu.. aur ek dusre ke liye pyaar .. behad pyaar...
Hum dono ek dusre ko mehsus karan chahte the.. ek dusre ke aagosh ko mehsus karna chahte the.. ek dusre ki saanso mein khona chahte the..
Dono ke liye yeh smamjhna behad muskil tha ki.. hamare chehre par dard zyada hai ..ya pyaar.. Kyunki dono ek dusre se jude hue hai.. Usne kuch nahi khaha.. abhi bhi khamosh thi.. mein sunna chahta tha.. jawab chahta tha.. ki kyu chod gayi.. kyu aane mein itni der laga di.. Kehna chahta tha.. Priya agar tumhare aane se pehle marr jata to.. tumse apne pyaar ka izhaar ..tumhe nahi bata pane ka dukh mujhe marne ke baad bhi shaanti se jeene nahi deta.. ..Shayad usne mere dil ki baat sun li thi.. usne dheere se apni aankho se thode se gusses se ishara kiya..ki aisa na kahu...
Hum dono kuch bolte.. tabhi barish tez ho gayi.. badlo ke gad gadane ki aawaz hone lagi.. shayad vo bhi khush hai.. hamare milne se.. Mein thoda sa uske aur kareeb aa gaya.. Itna kareeb.. ki ek dusre ki saanso ko mehsus karne lage.. hamri aankho ne hi izzadat dedi.. hamein ek dusre ke aagosh mein hone ke liye..
Maine dheere se usse apne aagosh mein liya.. usne bhi apne dono haath se mujhe pakad liya..itna zor se.. shayad ki phir alag na ho jaye... dheere dheere.. hum ek dusre mein khone lage.. kehne ko bahut kuch tha.. sunne ko bahut kuch tha.. par sabse zyada iss lamhe ko jeena chahte the..
Kuch der hum aise hi rahe.. aankho se aansu behte rahe.. Tabhi usne mujhe jhatke se dur kiya aur jaane lagi.. mein kuch samajh nahi paaya.. par itna tey kar chuka tha.. ki iss baar dur jaane nahi dunga..
Ya to uske saath jeeunga.. ya marr jaunga.. Mein bhi uske peeche chal padha ..tez kadmo se... uske kareeb pahuchte hi,, uska hath pakda aur usse apni aur kheecha..
Vo abhi bhi ro rahi thi.. usne rote hue kaha.. Mujhe jaane deejiye Ram.. jaane deejiye.. aur rone lagi..
Ram- Priya mujhse dur jaana chahti ho to chali jao.. nahi rokunga.. bas itna kehna chahta hu.. agar tum aaj chali gayi.. to mein yeh duniya chod dunga.. mere liye jeena sirf tum ho... nahi to mayt behtar hai..
Aur mein marne se nahi darta.. bas yeh batana chahta hu marne se pehle..ki Priya tumse bahut pyaar karta hu.. beintihaan.. mohaabbat..
Par mera pyaar itna khudgarz nahi ki.. tumhe apne saath rehne ko majbur karu...
Ek baat aur Priya uss raat jo hua.. vo galat nahi tha.. vo galat tab hota jab hum ek dure se pyaar nahi karte.. maanta hu ki hamein vo sab rishte mein bandhne ke baad karna chahiye tha.. par iska matalab yeh nahi ki vo galat tha..
Vo hamare pyaar ka izhaar tha.. aur pyaar ka izhaar kabhi galat nahi hota.. Aur tumhe agar lagta hai..ki dur rehse hamari galti.. kam ho sakti hai.. to aisa nahi hai.. kyunki agar tum apne dil se puchogi.. ki kya galat hai.. to tumhe yeh jawab milega.. ki mujhse dur jaana galat hai.. par vo haseen lamhe galat nahi hai..
he left her hand..
Priya-.. Ram .. mujhe apne aagosh mein le lo... mein nahi samajh paa rahi ki kya galat hai..kya sahi.. bas itna janti hu.. ki mein bhi tumse pyaar karti.. hu.. bahut pyaar..
Thak gayi ladhte ladhte.. ki kya galat hai kya sahi.. Aaj bhi mein yaha isliye aayi thi,... kyunki dekhna chati thi.. ki aap.. mujhe yaad karte ha ya nahi.. kya jo hua.. vo hamara pyaar hi hai..
Par yeh nahi socha tha..ki apse milungi..
saat janmo ke liye mujhe apna bana leejiye.. abb nahi jee paungi.. bas..
hum dono ek baar phir barish ke aagosh mein thein.. par iss baar hamesha ke liye.. Kabhi barish ne alag kiya tha.. to aaj phir ek kar diya.. Hum chal padhe .. apne naye jeevan ki aur..
Jaise barish ke baad sab kuch accha lagta hai.. vaisa hi mehsus ho raha tha.. Hum chalte rahe.. par jeevan bhar ke liye.. Iss baar mein usse apne saath agle saat janmo ke liye jaldi se jaldi bandhna chahta tha..
Hum mandir pahuch chuke the..
Barish tham chuki thi.. aur dard bhi tham chuka tha.. Sirf pyaar hi pyaar tha..
Hum band chuke the.. uss khubsurat bandhan se.. jo hamein kabhi alag nahi kar sakta hai.. kabhi bhi..
Here is the surprise...
...
... THE END...
Do hit LIKE button if U LIKE it..
And do leave valuable comments & suggesstions...
Sagar...
India is a place where love is to be shared after marriage.. And thus Indian tradition makes us feel bad if we go against it.. Although if love is pure & we are right.. then nothing is wrong..
But it takes time to understand what is rite & what is wrong..
Guys do ask ur doubts... if u feel why Priya left him.. is not right.. Hope i have justified with end..