after that priya ram se bht naraz h qki ashwin ki wajah se aaj phir ram ne lunch nhi kiya upar se us ashwin ne alag hi deemag kharab kr rakha h..ram ko andanza tha ki priya naraz h isiliye wo jaldi jaldi kam khtm kr rha hota h priya k sath ghar jane k liye tabhi priya aake kehti h...
Priya...m ghar ja rhi hu
ram...mne bhi kaam khtm hi kar liya h chalte hain dono sath hi...
Priya...nahi koi jarurat nhi... h..aap aram se kam kariye jab tak man kare tab tak kariye...waise bhi m to bekar hi bolti rhti hu..kuchh fark to padna nhi h...kariye ,..m ja rhi hu...
Ram..ek min ruk jao...ye lo band kar diya...ho gya..ab chalo..
Priya aur ram dono jane lagte hain..tabhi ashwin unhe tokta h...
Ashwin...are wah shaadishuda koda kahan chala ek sath..
Priya pehle hi gusse me thi upr se ashwin ki bat pe use aur gussa aa jata h jaise hi wo use ek dhansu dialogue dene k mood me aati h ram uska hath pakad k rok leta h aur kehta h...
Ram...sir its 6'o clock..toh i think ki office ka time khtm ho gya h..lekin agr apke pas aur kam ho to aap bta sakte hain...waise bhi yha kam ki kadr hoti h...lekin yha ek aur bat h...ki yha k rules bht strict h aur sabhi k liye barabar h to obiously agr sabhi 9 se 6 ki duty krte hain to hum bhi unme se hi h...if i am not wrong...baki boss to aap hi h...to jo aap kahen...
Ashwin wha se look deke chala jata...ullu koi bhi look de dikhta ullu hi h...lol..but priya ko aur gussa aa jata h..are rambabu ne uska dialogue maar liya yar...vry bad...hahaha..anyways..priya hath chhuda k bahar chali jati h ram bhi bahar aata h..dono auto lete hain...ram bht chipak k baith jata h..to priya thoda sa alag ho jati h...bas faltu me rambabu ko luk de rhi hoti h jiska 1% bhi rambabu ko fark nhi padh rha hota h...auto jitna hil rha hota h rambabu usse jyada hil rhe hote hain aur hil hil k priya ko dhakka dene me unko bada maza aa rha tha... Priya ko gussa aa jata h..she shauted...
Priya..aap aram se nahi baith sakte hain..
Ram nodes & give shararti smile...nahi
priya ko hasi ane lagti h to wo chehra ghuma k baith jati h...tabhi autowala auto rok deta h...
Priya...tumhe kya hua???
Autowala...madm apka society aa gya
priya...oh
ram again smile on her...dono building ki lift me jate hain...tabhi lift band ho jati h..
Priya...are ab ise kya hua??
Ram...mne band karwa diya..
Priya ghurti h...ram muskurata h...
Priya...pta nhi ye lift kab sahi hogi..???
Ram...jab tum muskuraogi...
Priya...what???
Ram...han priya..are priya ki building ki lift h to priya k muskurane se hi chalegi na..
Priya..mr.kapoor deemag mt khrab kariye...
Ram..are sach me yar...yakin na ho to muskura k dekh lo...
Priya...achha??...ok...eee...muskura diya nhi to chali...
Ram...are ye wali hasi thode hi na...isko aisi waisi lift samjha h kya..isko pta h kaun si bnawti hasi h aur kaun si dil se wali...dil se muskurao tab chalegi..
Priya...mr.kapoor ..aap...???
Ram..are yha koi option nhi h...lift bhi priya ki trh jiddi h..hasogi tabhi chalegi...are cmon..ab hasi aa rhi h to kyun bekar me dabane ki koshis kr rhi...cmon cmon...dekho yha h...yha aa gyi..are le ye to bahar hi aa gyi...
Priya muskurane lagti h aur lift chal deti h...
Ram...dekhaaa...bola tha na..
Priya shocked ho jati h...sachhi me mr.kapoor
aur dono gale lag jate hain..thodi si lift ki tanhai ka fayda uthana to bnta h boss...tabhi lift rukti h...dono bahar nikalte hain samne liftman khada rhta h...
Ram...thank u sirji...bhagwan apko har janm me liftman bnaye
liftman..wlcm sir..aur apko hr jnm me meri hi lift me fasaye...
Ram...hahaha
priya...mr.kapoor ??...???...sachhi me apne roka tha lift ko???
Ram...to kya m jhuth bol rha tha
priya...mr.kapoor u r too much..
Ram...cmon yar ab itni pyari biwi ko mnane k liye itna to kar hi sakta hu main...achha ab andr chale jara dekhen nana nani ka kya hal h
priya...hahaha..han bhai pihu nam ka hathiyar jo chhod rakha h yhan,,
dono doorbell bjate hain..pihu door open karti h..dono sath me bolte hain...hiii
pihu...mumma..(pihu priya se chipak jati h)
priya...aww mera bachha...kaisa h
pihu...theek hu
priya...khana khaya ya nhi...aaj nani k menu me kya tha pihu k liye
pihu...aaloo ki sabji aur roti...
Priya...woow...phir to pihu ka tummy bht khush ho gya hoga
pihu...han bht
priya...ok now papa se bhi to milo..
Pihu...papa
ram pihu ko god me utha leta h...jo ki thoda mushkil rhta h..
Ram..to rockstar aaj nani ko jyada pareshan to nhi kiya...
Pihu...mne nhi kiya aaj nani ne pihu ko pareshan kiya...
Ram...achha..aur nani ki beti ne papa ko pareshan kiya...to we will take rvenge...
Pihu...ok ...but how???
Ram..aaj dinner k bad hamare ghar pr kulfi party hogi...but...mumma aur mumma ki mumma ko party me invitation nhi h...
Priya...mr.kapoor this is tooo much...
Ram...what tooo much..tumne bhi too much hi kiya tha...
Shipra...damadji aap pihu ki mumma k sath kuchh bhi kar sakte hain pr mumma ki mumma k sath aisa kuchh nhi kar sakte qki mumma ki mumma nhi hoti to mumma kahan se aati..aur aap pyar kisse karte..
Priya...ufff ma tum kabhi nhi sudhrogi..
Ram...sahi keh rhi hain aap...chalo bhai...mumma ki mumma ko chhod dete hain phir kabhi le lenge revenge...par mumma ko to nahi chhodne wale...