FF:'Yet Unknown.'Part-30 up. on pg.104(14/02/13) - Page 67

Created

Last reply

Replies

800

Views

155.1k

Users

58

Likes

1.8k

Frequent Posters

sushfiza thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 2
Posted: 12 years ago
after a long time ...thanks fr pm..
update was nice...depicting the hidden desire for each other and ram is such a sweet stubborn guy...

Edited by 123fiza1 - 12 years ago
name2saakshi thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Visit Streak 365 Thumbnail + 4
Posted: 12 years ago
it was an awesome update dear i
so romantic😳
Pinkjali thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Navigator Thumbnail
Posted: 12 years ago
👏 👏 👏
That was fantastic , superb and magical update.. The game was beautiful like raya.. Update soon..
lovelysakshi thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 2
Posted: 12 years ago
update after long time
ram still carrying priya. they r so much in love
lovely and thanks for pm
continue soon
sreev12 thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Navigator Thumbnail + 2
Posted: 12 years ago

Originally posted by: saniya9919


Otherwise 6 or 12 months ago it would have looked like just another element of expression of the love for Ram & Priya when they got married. There was not a trace of anticipation of the great feeling 'The Love' from each other in their 'Marriage of Compromise'. But today lost in each other's arms they would not only assure themselves but also symbolize the example to the people witnessing them that 'Shaadi kay baad hotey hotey pyaar ho he jaata hain'. The steps of trust, friendship, care, loyalty, understanding and love; they climbed up together as a good team to reach at this stage. The barriers of egos, awkwardness, insecurities, stubbornness, perfectness -imperfectness & misunderstandings broke as the time moved ahead when the two strangers started spending their life in enclosed space of their bedroom as husband & wife. Even they didn't realize when they have become each other's strength as well as weakness. They have started complementing each other rather completing each other. Today, they are truly, madly & deeply in love with each other. In so much love that they can't imagine their life without each other. It looks so perfect'that perfect husband & wife'and perfect marriage. But No! It's not like that. They are just like any other married couple so they still have a long way to go; maybe their life long.


very well pend down!👏

wonderful naration!


Edited by sreev12 - 12 years ago
viny_queen thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail
Posted: 12 years ago
Kya baat hai what a love between them the kiss wala partwhat i say superb tha
Siacutie thumbnail
14th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail
Posted: 12 years ago
it was an intense @ romantic update
continue soon

saniya9919 thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Visit Streak 90 Thumbnail + 4
Posted: 12 years ago
Thanks for reading, liking & giving you precious comments. 🤗 Hope you all like the next part.

Part 27:

Intrusion of sudden resonance perturbs the peace in the atmosphere, alarming that the time has moved forward. Their attention shifts to the huge antique clock placed on the wall in front of them. As the pendulum in the clock strikes for 12 times making a noise indicating its 12 O'clock at night breaking their kiss.

---------------------------------------------------------------------------------------

Their mesmerizing effect on each other continues through the eye locks, raised heart beats. Finally the pendulum stops its noise. He bends down to free her from his arms. She stands on her feet; trying to balance her composure by putting her hands on his shoulders. His hands supports her; grabbing her waist. Both of them turned their faces around to look at the clock. Today somehow, they find some child like anxiousness as they stare at the clock while giggling at each other. The two main needles in the clock looked one as they get united to point at the no.12 in the clock. Only 24 hours are left for their marriage anniversary; the twinkle in their eyes show the excitement to celebrate the year of togetherness. The beaming faces radiate the happiness assuring that their life has been much more beautiful, blessed, charming and vibrant than ever since the last one year and they are here to cherish their union.

Priya: Raat kay 12 bajj chukay hai, aapney mujhe itani der taq utha kay rakha tha! (Realizes how long he had carried her. She feels sorry, thinks maybe his back is hurting because of her) I mean mujhe patahe nahi chala (Lowers her head, feels shy for the game in which they were busy, it was prolonged due to her) Aap humesha aise kyon kartey ho? (Feels guilty)All sort of happiness, guilt, shyness surge in her heart suddenly. 'She is drinking a cocktail of emotions at a moment,' Ram understands.

Ram: (Bends down head) Ohhh Madam…I am absolutely alright. (Warm smile, holds her arms by his hands)Tum jab aise over-react karti ho toh mujhe yakeen hota hain ki tum thodi thodi apani Maa pe bhi gayi ho.

Priya: (Raises her head) Aap kay kaheiney ka matlab kya hain? (In huff) Mein maanti hun ki Maa kabhi kabhi exictment mein kuch baatein aur harqutain kar deti hai, jo dekhney mein thodi ajeeb laggey par isska matlab yeh nahi hain ki aap unko kuch bhi bol do

Ram: (In excitement) Ohhh hooo…my darling wife! I was just teasing you. (Squeezing her arms by his hands) Please shaant ho jaao, I respect my mother in law. Par finally, tumney maan he liya ki tumhari Maa kabhi kabhi thodi ajeeb tarahse behave karti hain.Abb andar chalein? (Pointing towards the door, he starts walking)

Priya: Aur waisebhi maa se zyaada ajeeb cheezein toh aap kartey raheintey ho.Runs behind him)

Ram: (Reaches at the door, turns around the door knob) Accha meinnay aisa kya kar diya hain?Jo mujhe ajeeb bol rahi ho? (Turns his head towards her)

Priya: Ajeeb nahi toh kya? (Calmly) Dusrey logonse kaheinkar apani biwi kay liye shopping aur packing karna? (Flirtingly) Biwiko achankse bolna ki, ek anjaan jagah anniversary manaaney jaa rahey hain toh ready ho jaao. Phir gaadi mein baithkar biwi jab pyaarse baat karey toh daant laggakar chup kar dena…! (He puts his index finger on her lips)

Ram: I know. Iss waqt bahot saarey sawal hain tumharey mann mein lekin jab mein tumhey koi bhi surprise deta hun, tumhara chehera yu khil jaata hain aur usspey ek muskurahat aati hain, mujhe who dekhkar ek alagsi khushi milti hain. That's why I always end up giving surprises to you. (Smiles sweetly) Aur tum he kaheinti ho na? In chhoti chhoti baatonsehe toh jindagi khubsurat hoti hain.(He allows her 1st to enter in the room following her, switches on the light)

Priya: (Standing in front of him) Par mein 'Complain' thodi na kar rahi hun. Mujhebhi ek sukun milta hain kay meray liye bhi kuch karey ya sochey aisa koi abb meri jindagi mein hain. Jab aap meri pasand-napasand kay baarey mein sochkar kuch na kuch naya 'Surprise' mujhe detay ho, tabb mein sochti rahein jaati hun ki hum dononey itna kam waqt ek saath beetaney kay baadbhi aap meray baaray mein itna kuch acchi tarahse jaan letay ho. I always end up wondering that how can you every time manage to pleasantly surprise me.

Ram: Just like the way you surprised me in the initial days of our marriage. Jab mein officese lautkar aaya tha, toh tum meray liye khaana banakar mera intezaar kar rahe thi. I was so irritated, I shouted at you, insulted you. Phir raatko jab mein kitchen mein chorise jaakar khaana dhoond raha tha, tum jiss tarah aakar haqse wahanpe khadi ho gayi aur mujhe khaana parosa, mein kuch bolhe nahi paaya aur meiney chupchap khaana khatam kar diya. You were looking like a strict teacher, ready to punish her student for not doing his homework.

Priya: (Giggles) Aap sacchi mein mujhse itna darr gaye the. Aur aapko dekhkar mujhe unn spoiled, brat students ki yaad aagayi thi. That's why my attitude was like that. Aur meine itani mehnat karkay khaana jo banaaya tha. Aapney jab khaana kha liya tab mera sab gussa utar gaya.

Ram: Then you continued to surprise me. Kabhi meri 'Snoringwali video' banakar ya phir kabhi meray tablets ki bottles dustbin mein phek kar. Meri diet par dhyaan rakh kar. Mein kitna bhi chikhu, chilau tum sab kuch patience se leti thi balki kabhi pyaarse toh kabhi zorse chillakar mujhe samjhaney ki koshish karti thi. Mujhe patahe nahi chala ki meri jindagi mein bhi koi aa chuka tha jo meri chhoti chhoti baaton ka khayal rakh raha tha.

Priya: I don't know why Mr. Kapoor. Par mujhe bhi pata nahi tha kay mein yeh sab kuch kyon kar rahi thi? kis waqtse karney laggi? Uss din tak jis din kisiney mujhe kahan kay 'Priya tum jo kuch kar rahi ho Mr. Kapoor kay liye ussey pyaar kaheintey hain'. And that time I was shocked. (Smiles)

Ram: Woh insaan kaun tha ya phir thi? I mean jissney tumhey yeh baat realize kardi ki tumhey pyaar ho gaya hain. Mujhe ussko 'Thanks' karna chahiye.

Priya: (Shocked because that person was Krishnaji whom Ram hates so much)) Ummm..nahi who humarey TOFEL classes mein kuch dinokay liye he aayi thi. Aap unko sacchi mein 'Thanks' karna chahtey ho?

Ram: Sacchi-Mucchi mein unko dilse 'Thanks' karna chahta hun.

Priya: Abhi aapki mulaqat unnsey hona thoda mushkil toh hain par jab hum koi bhi wish dilse chahtey hain toh who wish jaroor puri ho jaati hain. (Blinking her eyes in assurance) Bilkul ussi tarah jis tarah meri har ek wish aapney puri ki thi. Meinbhi koshish karungi kay aap ki mulaqat unnse ho aur aap unko 'Thanks' kahein.

Ram: 'Wish' se yaad aaya ki tumhari ek wish shayad abhi bhi puri huyi nahi hain? (Winks) I mean that wish is so close to Daadi's wish. (She blushes as he holds her hand and places a kiss softly) Shayad jaldhi humari yeh wish puri ho jaayegi par usssey peheley mein tumse kuch jaroori baatein kaheina chahta hun.

Priya: (Looks into his eyes worriedly) Kya baat hain?

Ram: Don't worry. (Touching her cheek fondly) Aise koibhi baat nahi hain jisse tum itna darr jaao.Abhi raat kay 12 bajj chukey hain aur next 24 hrs mein who din aayega jis din hum shaadi kay rishteyse ek dusrey kay saath jud gaye the. I never knew that my monotonous, drab life of last 20-25 years would change drastically within a single year. Humarey rishtey ko ek saal pura ho jaayega. Aur mujhe yeh ehsaas hain ki jaane-anjaaney mein he sahi humdononey humari shaadi nibhayi hain. Kabhi rasmein nibhakar ya kabhi dusron ki wish puri karney kay liye. Aur baad mein dheerey dheerey patahe nahi chala ki kabb ek dusrey kay liy hum sab kuch kartey gaye.

Priya: Mujhe yaad hain jis dinse mein aapkay ghar mein aayi hun, aap kay saath ek kamara share kartey huye meiney aap ki bahot saari baatein jaane-anjaane mein mehsoos ki thi. Dheerey dheerey mein samajhney laggi kay bhale he aap kitnay bhi khadoos, Mr. attitude, stubborn ho aap ka mann ek chhote bachhe ki tarah saaf hain. Bilkul Goluuu! (Heartfelt smile) Phir baat humari shaadi kay waqt samjhdari dekhaney ki ho ya phir Ashwin ko sabbak seekhaney ki, ya phir Australia honeymoon mein jab mujhe thoda fever tha tabb puray doctors ki ek team bulaney ki, ya BC scare kay waqt meray stupid wishes puri karney ki. Meinney aapka 'Caring Nature' har modpe dekha. Uss mein sabse badi baat yeh thi ki apani family kay liye toh aap bahot kuch kartey rahaintey the lekin khud kay liye! (Stops for a while) Aapko dekhkar yu laggta tha ki aap sirf apna kaam, tablets aur khaaney kay siva kuch aur karnahe nahi chahtey balki sochna bhi nahi chahtey ho. Jaise ki aap baaki duniyase anjaan banker jee rahain ho sirf dusron kay liye. Bahot taqleef hoti thi kay aap dinbhar mein itani tablets, itna unhealthy food khaa rahain ho aur mein kuch nahi kar sakti thi. Aakhir who waqt kabb aa gaya woh mujhebhi pata nahi chala, uss waqt mujhe kya ho jaata tha aur mein aapko roknay ki koshish karnay laggi.

Ram: Hum dono dheerey dheerey ek pati-patni ki tarah aagey badh bhi gaye hain. Lekin mujhe ek guilty feeling hain kay mein tumse kuch baatein aajtak nahi kar paaya hun. Tab mujhe laggta hain ki mein tumse sacchai chhupakar humarey rishtey mein bharosa nahi kar raha hun. Mein tumse who saari baatein karna chahta hun jo meinney aaj tak kisi ko nahi bataayi.Par aaj kay baad mein yeh sab misunderstandins dur karna chahta hun.Tum samajh gayi hogi mein kis baarey mein baat kar raha hun. Ha…I am talking about 'Krishna Kapoor'.Yeh naam jab bhi hum don okay beech aaya tabb kuch na kuch problem humarey rishtey mein huyi. Kyon ki mein darrta hun iss naamse. The person with whom I was so closely related left me and my father. The catastrophic incidence threw us into the chain reactions of the circumstances which ruined our all emotional, financial well being as well as the happiness, peace. Meri Maa ka naam lenayse mein darrta hun. Yeh ghar, yeh jagah, yahan aaneyse mein darrta tha kyon ki meri bahot saari yaadein yahanse judi hain. Jabb paanch din peheley Laxaman aur DwarkaMaaney mujhe Gauri ki shaadi kay liye invite kiya, tabb bhi mein yahan aana nahi chahta tha. Do-teen din sochney kay baad mujhe lagga ki kabb tak mein sacchaise yu bhagta rahunga. Jinki wajahse mein 'Hurt' hua who log mujhse dur chalein gaye. Beeti yaadonki wajahse jo mujhse saccha pyaar kartey hain unsey dur rahainkar mein kyon unko sajaa de raha hun. Mujhe yakeen hua ki tumhe bhi who saari baatein mujhe kahein deni chahiye. Lekin mujhe tumhari 'Surprisewali'who khushi dekhni thi iss liye sab kuch tumse chhupakar rakha. Nehase kaheinkar tumharey liye 'Shaadi' aur 'Sight-Seeing' karney kay liye shopping karney ko kahan. Nehane, Ayesha aur tumhari Maa kay saath milkar tumharey liye bahot saari shopping aur packing ki.(Priya remains stunned. She doesn't realize for a moment…how to react.)

Priya: Wait…Please Wait Mr. Kapoor. Itani saari baatein aap ek saath kaheiny jaa rahain ho.

(With moist eyes she runs towards him & hugs him) Atleast aapney mujhse yeh sab baatein share karney ki baat ki. Aaj mujhe lag raha hain ki aap puri tarahse mujhe apnay sukh aur dukh mein shamil karna chahtey ho. Aap mujhpe 'Bharosa' kar rahain ho ki aap kay dukh aap meray saath baant saktey ho. (Tears rolled down on her cheeks) Mein yahi chahti thi ki ek din apna saara dard aap meray saath share karogey toh aapko accha laggega.

Ram: (They stand embracing each other) Aaneywale in do dino mein unn saarey sawalon kay jawab dena chahta hun jinkay baarey mein tum humesha se mujhse jaanna chahi thi par mein tumhey de nahi payaa tha.(Caressing her head with his hand as he feels her tears on his chest)

Priya: Aapka yeh surprise mujhe muskuraahat nahi par khushi kay aansoo dekar gaya hain Mr. Kapoor. (With choked throat)

Ram: Don't worry. Kal subah hum Gauri ki shaadi ka 'Haldi aur Sangeet function' attend karney jaa rahain hain. You always enjoy these kind of functions. I am sure that we will have lots of fun there.

xxx

-------------------------------------------------------------------------------

Thanks for reading -:)

sss283 thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 12 years ago
res
omg i loved it loads...
all those memories revisited were so special...😛
thanku sooo much for this smashing update
this is to say thanks a ton
Edited by sss283 - 12 years ago
saniya9919 thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Visit Streak 90 Thumbnail + 4
Posted: 12 years ago
Subu, love you so much dear...🤗 You still reserve on this thread...I really feel so happy.😳

Related Topics

Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".