niya.yadav.9 thumbnail
Posted: 11 years ago
#1

Created

Last reply

Replies

10

Views

1.7k

Users

1

Frequent Posters

niya.yadav.9 thumbnail
Posted: 11 years ago
#2

niya.yadav.9 thumbnail
Posted: 11 years ago
#3
niya.yadav.9 thumbnail
Posted: 11 years ago
#4
Jeevan ke shangarsh se Vaidehi gayi haar... bhaktin hriday lekar kare Bhagwti karun pukar... visham paristhiti Sita ko kis mod pe layi hain...bhumi ki beti sharan bhumi se magane ayi hain... vidhna nhi samaj hi iska uttardayi hain... bhumi ki beti sharan bhumi se magane ayi hain...
JAI SIYARAM_/\_
niya.yadav.9 thumbnail
Posted: 11 years ago
#5
Ganga ke data ganga se milne a baithe Ganga ke kinare...bhagya me hoto bhagya vidhata...ghar ake yu bhagya saware... Jin charano se bahi Ganga -2 Ganga jal se wahi charan pakharat... Jaan kar kevat ki chaturai muskate Shree RAM hamare...-2 Kevat prabhu ki bhakti me khoya-2 bhagwan bhakt ke prem me khoye... Ye pad jiske hath lage use bhagya me kahe garv na hoye...ye pad jiske hath lage use prapt param pad nishchit hoye... Pad seva labh me kar charanamrit paan...chala baithane naav me Bhagwati aur Bhagwan kevat chatur sujan...
niya.yadav.9 thumbnail
Posted: 11 years ago
#6
Thake huye charano ko kaisi gati mil gayi...agman jaise hua chehra Lakhan ka... Urmila sochne ki isthiti me nhi hai ki... piya hai milan hai ki sapna miln ka... vanvasi yogi ke hriday se lag kar jata raha sara taap is virhan ka... Sapna jo tuta to bikhar gaya sukh sara mahal me samrajya phir sune pan ka...
niya.yadav.9 thumbnail
Posted: 11 years ago
#7
|| Krishna ki seekh ||
bhavishya ka dusra naam hai sangharsh. Hriday me aaj iksha hoti hai aur ydi purn nhi ho pati to hriday bhavishya ki yojna bnata hai. Bhavishya me iksha hurn hogi iski kalpna karta rahta hai. Kintu jivan...jivan na to bhavishya me hai na atit me. Jivan to is chhad(moment) ka naam hai. Arthat is chhad ka anubhav hi jivan ka anubhav hai. Par hum ye jante hue bhi itna sa satya samjh nhi pate. Ya to hum bite hue samay ke smarno ko gher ke baithe rahte hai ya to ane wale samay ke liye hum yojnaye banate rahte hai. Aur jivan...jivan beet jata hai. Ek satya yadi hum hriday me utar le...na hum bhavishya dekh sakte hai na hi bhavishya nirmit kar sakte hai. hum to keval dhairya aur sahas ke sath bhavishya ka alingan de sakte hai.swagat kar sakte hai bhavishya ka. To kya jivan ka har pal jivan se nhi bhar jayega?
Swayam vichar kijiye.
Jai Shree Krishna _/\_
niya.yadav.9 thumbnail
Posted: 11 years ago
#8
|| Krishna ki seekh ||
sab ke jivan main aisa prasang awashy ata hai ki satya kahne ka nishchay hota hai hriday me kintu mukh se satya nikal nhi pata...koi bhay mann ko gher leta hai. Kisi ghatna athwa prasang ke bare me baat karna ya phir swayam se koi bhul ho jaye uske bare me kuch bolna. Kya ye satya hai? ... Nhi ye to keval tathya arthat jaisa hua tha waisa keval bol dena samany si baat hai. Kintu kabhi kabhi us tathya ko bolte hue bhi...bhay lagta hai. Kadachit kisi dusre ki bhavnao ka vichar ata hai mann me. Dusre ko dukh hoga ye bhay bhi sabdo(words) ko rokta hai. To ye satya kya hai? Kya humne kabhi vichar kiya hain?... Jab bhay rahte hue bhi koi tathya bolta hai to wo satya kahlata hai. Wastav me satya kuch aur nhi keval nirbhayta ka dusra naam hai aur nirbhay hone ka koi samay nhi hota hai kyu ki nirbhayta atma ka swabhav hai. Arthat kya pratek chhad satya bolne ka chhad nhi hota... Swayam vichar kijiye...
Jai Shree Krishna _/\_
niya.yadav.9 thumbnail
Posted: 11 years ago
#9
Star plus Mahabharat (2013) Title Song
Hain katha sangram kiVishwa ke kalyaan ki
Dharm adharm aadi anantSatya asatya kalesh kalnak
Sawarth ki katha parmartha ki
Shakti hain bhakti hain
Janmo ki mukti hain
Jeevan ka ye sampurn saar hain
yug yug se kan kan mein
srishti ke darpan mein
vedo ki katha apar hain
dharmo ki gatha hain
devo ki bhasha hain
sadiyon ke itihaas ka praman hai
Krishana ki mahima hain
Geeta ki garima hain
Grantho ka granth ye mahan hain
Mahabharat Mahabharat...
niya.yadav.9 thumbnail
Posted: 11 years ago
#10
Kiya hua chhamadan diya hua sammaan kekayi ki vedna ko aur bhi badaye re...
Suna hain ki apmaan sehna kathin hain par kekayi se sammaan saha nhi jaye re...
Mahal me dhoone se mile na koi aisa , uske kiye par bhala bhura jo sunaye re...
Kekayi ko kar diya sab ne chhama parntu apne ko aap chhama kar nhi paye re...

Related Topics

Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".