🏏T20 Asia Cup 2025: AFG vs SL, 11th Match, Group B at Abu Dhabi🏏
HEALING SHUROO 18.9
Nerdtastically Navratri (CC Game, Sign Up Open)
Akash Ambani constantly holding radhika's hand and waist
Deepika Removed From Kalki 2
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai Sept 18, 2025 Episode Discussion Thread
Bigg Boss 19 Daily Discussion Thread - 19th Sept, 2025
VICTIM KAUN 🤧 19.9
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai Sept 19, 2025 Episode Discussion Thread
🏏T20 Asia Cup 2025: India vs Oman, 12th Match, Group A at Abu Dhabi🏏
Buddhiya ki Nautanki
ABC Pulls Jimmy Kimmel Off Air for Charlie Kirk Comments
How quickly time changes
Anupamaa 18 Sept 2025 Written Update & Daily Discussions Thread
Pari's hate for Tulsi
Alia bhatt special topic
Armaan has always been the victim
Anupamaa 19 Sept 2025 Written Update & Daily Discussions Thread
Baseer rental house
Appreciation Post for Ruheen
Originally posted by: Ariyatogether
Nice updt
Finally Ri got that cardAb tera kya hoga kaal...i mean Sakshi lolHhahaahhaha poor Ri Arjun ke liye dustbin me se card dhundhna padaCont soonEk tp itna late uper se ittu sa updtThnx fr pm
Watch man: kaun hai?...
Riya ghabra kar dekhti hai
Watchman usi ki taraf aata hai(angrily): kaun ho tum? Aur yaha kya kar rahi ho? Andar kaise ghusi??
Riya chupke se un tukdo ko ikatha karti hai aur uthkar peeche ki gate ki taraf bhaagne lagti hai.
Watchman uske peeche bhaagne lagta hai: are ruk!!!! CHOR!!! CHOR!!!! RUKO!!!!
Lekin Riya gate ko laandh kar bhaag jaati hai. Watchman uske peeche jaata hai lekin gate ko kudh nahi paata hai aur taale ki wajah se khol bhi nahi paata. Woh apna foot stamp karta hai.
Watchman: SHYAA!!! Sir ko batana padega
Courtroom-
Lawyer Arjun ke khilaaf sabut pesh karta hai. ETF aur Arjun ke paas koi bhi sabut nahi hai. sab tensed ho rahe hai. Arjun ko khud se zyaada Riya ki fikar ho rahi hai isliye case par bhi zyaada dhyaan nahi jaa raha hai. woh khud ko bachane ke liye koi baariki nahi nikaal paa raha hai
Arjun mv "pata nahi woh kya kar rahi hogi? ekto hai bhi ziddi! Upar se woh log use dhundh rahe hai...agar kisi ki nazar us par pad gayi toh pata nahi uske saath kya karenge?
Judge: kya defense ke paas koi daleel ya sabut hai jisse woh aaropi ko nirdosh saabit kar sake?
Defence ke wakil ke paas bhi koi jawab nahi hai: filhaal toh nahi your honor! Main adalaat se darkhwaast karta hun ki hume thoda waqt de taaki main apne client ko nirdosh saabit kar saku
Saxena: Objection your honor! Justice delayed is justice denied! Jab unke paas koi sabut hai hi nahi toh pesh kaise karenge? Especially considering the fact ki woh nirdosh nahi hai
Defence: mere client ek reputed officer hai your honor, unhe is kadar saza milne se pure department ka morale down ho sakta hai moreover, janta kis par vishwas karegi?
Dono ki argument chal rahi hai...
Courtroom ke baahar-
Riya almost bhagkar pahunchti hai. use samaj nahi aata ki sabut andar kaise pahunchaye? Mv "meri bhi mati maari gayi thi! Kya zaroorat thi Arjun sir ko promise karne ki, ki main kisi ke saamne nahi aaungi?
Woh idhar udhar dekh rahi hai ki uski nazar ek peon par padti hai jo kahi se filen le ja raha hai. Riya use rokti hai.
Riya: bhaiya!! Bhaiya...please rukiye, meri madad kar dijiye
Peon(rudely): are bhai chaprasi hun, samaj sevak nahi! Jisse dekho ye kaam kardo woh kaam kardo...jaane do bahot kaam hai mujhe!!!
Riya use jaane nahi deti: dekhiye please meri madad kijiye!! (haath jodkar) mujhe aapki help ki bahot zaroorat hai, kisi ki zindgi ka sawaal hai...aap...aap chahe toh (woh apne diamond studs nikalkar use de deti hai) please inhe...shulk ke taur par le lijiye par mera chota sa kaam kar dijiye please!!
Peon ab mana nahi kar paata, woh thoda shocked bhi hai ki us aurat ne use jewelry de di, woh bas ha mein sar hila paata hai.
Riya use us card ke tukde deti hai: thank you so much!!! inhe us (andar point karke) defence wakil ko de dijiye...badi meherbaani hogi
Peon andar wakil ko dekhta hai: theek hai lekin aap...(woh firse mudta hai lekin) are ye kaha chali gayi.
Woh aaspaas dekhta hai lekin use Riya kahi nazar nahi aati. Woh presence mein aakar courtroom mein jaata hai.
Andar-
Judge: objection sustained! Aaropi par lagaye jaane waale saare ilzaam sach sabit hue aur defence ke paas koi sabut na hone ke kaaran ye adalat...
Peon enter karke bow karta hai: aapki ijazat ho toh wakil saahab ke liye kisine kuch bheja hai.
Judge: ijazat hai
Peon wakil ke paas jaata hai aur uske kaan mein kehta hai: ye aapke liye ek aurat ne bheja hai, naam nahi bataya par usne ghunghat odh rakha tha. aur use woh paper ke pieces deta hai.
Wakil thoda confuse hota hai par le leta hai. peon chala jaata hai. wakil un papers ko examine karte hue, ek paper ko base ki tarah use karke arrange karta hai. usse sab samaj aa jaata hai.
Defence(khushi se): your honor! Sabut hai!!!
Pura court choukta hai. sab startle hokar use dekhte hai. especially Sakshi, woh Saxena ko ghurti hai. Saxena bhi confused hai, woh sabut kya hai us par dhyaan deta hai.
Judge: pesh kiya jaaye
Defence: ji...
Saxena: I object your honor! Is sabut ke baare mein hume koi jaankaari nahi gayi hai, rules ke mutabik ise pesh nahi kiya jaa sakta
Judge: overruled! Dono pakshon ki baat sune bagair faisla sunana adalaat ki maryada ke baahar hai...(defence se) you may proceed.
Defence khush hota hai: your honor! Mere client ne kaha tha Miss Sakshi Anand ne unhe propose kiya tha, aur (us card ke tukdo ko waha khade admi ko saupta hai jo in turn Judge ko deta hai) yahi hai uska sabut. Is card mein Miss Sakshi ki handwritten note ye saaf saaf saabit karti hai ki unhone ACP Arjun ko propose kiya tha!
Saxena: I object your honor! Bina handwriting expert ki examination ke isse jaayaz nahi maana jaa sakta aur us footage ka kya jisme ye saaf-saaf dikh raha hai ki ACP Arjun ne meri client ke saath badtameezi ki hai
Judge: ye adalaat police ko aadesh deti hai ki is handwriting ki jaanch karwaaye aur agli sunwayi mein iske nateeje pesh kare, uske baad hi nirnay liya jaayega
Defence: your honor! Main request karta hun ki mere client ko is sabut ke binaah par bail di jaaye
Judge: request granted! Ye adalaat ACP Arjun Rawte ko naye sabuton ke aadhaar par bail deti hai lekin jab tak case ka nateeja nahi mil jaata tab tak woh naa hi shehar chodkar jaa sakte aur naa hi duty resume kar sakte hai...the court is(tapping the hammer) adjourned!
Sakshi aur Saxena ke ilawa sab relieved aur khush hote hai. ETF Arjun ke paas jaati hai.
Arjun/Sameer: card kaha se mila?
Lekin dono mein se kisi ke paas jawab nahi hai.
Wakil: us peon ne kaha ki koi aurat dekar gayi, usne apna chehra ghunghat se dhaka hua tha, shayad koi well-wisher hogi
Arjun mv "well-wisher nahi meri jaan hai. unknowingly uske chehre par smile aati hai.
Sameer: kaun?
Wakil: pata nahi...anyways, ab handwriting expert se saabit ho jaayega ki Arjun sach keh raha hai
Chotu: par us footage ka kya?
Wakil soch mein pad jaata hai: dekhna padega, lekin mere hissab se jab tak ye card hai tab tak Arjun jail nahi jaa sakta hai, koi bhi ladki uske saath badtameezi karne waale admi ko propose nahi karegi...the ball is now in our court. Koi na koi manipulation ho jaayega and as far as duty is concerned toh chinta ki koi baat nahi, ek do hearing mein uski bhi request daal dunga, tab tak shayad koi aur sabut bhi haath lag jaaye
Sameer nod karta hai: hmm...thank you so much!
Wakil: your welcome!
Woh apni files lekar chala jaata hai. sab baahar jaate hai.
Ayesha: ajeeb baat hai, jab woh card hume nahi mila toh phir us aurat ko kaise mila? Aur woh thi kaun?
Arjun: kya farak padta hai Bhabhi? Koi shubhchintak hi hogi
Ayesha: ha lekin...agar koi aur chaal hui toh?
Arjun: aisa kuch nahi hoga, khabar sunkar Sakshi ka chehra gusse se laal ho gaya tha, woh ise bilcul bhi expect nahi kar rahi thi...anyway main ghar chalta hun
Chotu: sir thodi der rukiye na (Arjun apni eyebrow raise karta hai) mera matlab abhi toh aap jail se baahar aaye hai
Shree: ha sir, aap ghar jaakar kya karenge? Rukiye na humare saath
Liza: are Specky! Unhe aaram toh karne do, faaltu ki baatein mat karo
Arjun unki feelings ki kadar karta hai: main kal tum logon se milta hun, abhi chalta hun
Shree: theek hai sir, take care!
Sameer: hum office jaa rahe hai, agar kuch pata chalta hai toh phone karta hun
Arjun nod karta hai. ETF aur Arjun dono apne raaste chale jaate hai.
Arjun's house-
Riya is pacing up and down mv "I hope woh sabut sahi se pahunch gaya ho aur sir ko atleast bail mil jaaye! Please God please! Ekto kisi ko puch bhi nahi sakti main...ab tak toh sir ko aa jaana chahiye tha...ab tak aaye kyun nahi? Kahi koi problem toh nahi ho gayi?
She is lost in her own thoughts when the doorbell brings her out of her reverie. A new energy engulfs her as she runs to answer it.
Outside-
Arjun quickly climbs up the front steps and rings the doorbell. Within seconds, the door opens and before he could register anything, a figure throws herself into his arms...Case of the Heart The usual crispness of the ETF office was tainted that morning by a peculiar scent — no, not coffee. Tension. Unspoken, oddly...
Hey guys I'm here with the prologue of my Ariya story, though the title hasn't been yet decided but i hope you will enjoy it. Prologue :Life is
Part 1 The ETF office had always been a place of tension, urgency, and adrenaline, but today, an unusual silence loomed over the space. The...
Hey there guys! I'm looking for a story with Ariya. I'm not sure if it was a SS or FF. It goes something like this. Riya took Xora and was...
hey guys! Sabse pehli baat toh ye ki writing crossover stories is difficult man. Is baar kar diya, dobara nahi hoga. So before we begin, I know...
12