Concept ~
Prachin kaal ki baat hai jab puri duniya bhukh, bimari, lalach se ghiri hui thi. Jab har taraf sirf satta ki bukh thi log apne pariwar ko uske liye mar dete the tab is duniya ke rachaita (creator) ne ek aisa SINGHAASAN banaya jispe sirf sacha insaan hi baith sakta tha jo logo ko unka haq dila sake.
Ye SINGHAASAN puri tarah se sone se bana tha. Isme kai tarah ke jawahrat (jewels) lage the lekin iski sabse badi khubi thi iski banawat ki.
Baithne ki jagah kachuye (turtle) ki sakht kawach ka pratik, aasan par daya (right) hath rakhne wali jagah par dragon ka pratik, baya hath wali jagah par Sher ka pratik aur Singhaasan ke sirsh (head) par aag ugalte panchi ke pratik se banaya gaya tha. Aur is Singhaasan par sirf or sirf ek Singha ki tarah na darne wala insaan hi is par baith sakta tha.
Par kehte hai na ki jaha acchai hoti hai to waha burai ka bhi saya hota hai. Thik usi tarah ek Haiwaan ne janma liya is puri duniya me andhera wapas lane ke irade se. Aur wo kehlaya Haiwaan- E- Alam SIKANDER. Shaitano ka Sultan.
Par khuda ne bhi apne bacho ki raksha ke liye apne hi bacho me se is puri duniya ke rakshako ko chun liya tha. Aur unhe duniya ke char hisso me unke kaam ke liye chod diye jinme se koi ek aage chal kar Us SWARNA SINGHAASAN KA UTTARADHIKARI BANEGA.
****CHARACTER SKETCH****
**SIKANDER**
Haiwaan-e-alam. Saitano ka shaitan.
***Yuvraj Sameer Damsingh Rathod***
Well inke bare me kya kehna. Uttar disha k rajya ke yuvraaj. Nihayti sarif, mata pita ki baat manne wala beta samjhne ki galti mat karna. Maharaj Damsingh ji ke chote magar khote bete.
***Rajkumar Arjun Rawte***
Paschim disha k Arya vansh ke eklaute rajkumar. Log inhe apna raja banana chahte hai par ye janab kisi ki talash me hai. Kaun kisi ko pata nhi. Ye apna jyadatar samay mahal chod kar jungle me ghumte rehte hai.
***yuvragi Aisha***
Dakshin disha me base ek chote se Rajya ki bhavi Maharani. Lekin ye baat unki sauteli maa ko nhi pasand ki unke bete Yuvraj Saurya Pratap ke rehte koi or gaddi par baithe.
***Rajkumari Riya***
Purab ke rajya kausal ki rajkumari. Pani se ghabrane wali ek nanhi si masoom si rajkumari. Par attank ka pitara lekin sabki aankho ka tara.
Other Characters:
Maharaj Damsingh- Sameer ke pita.
Yuvraj Rudra- Sameer ke bade bhai.
Maharani Nirmala- Sameer ki maa.
Maharaj Suryakant- Arjun ke pita.
Maharani kuntisha- Arjun ki maa.
Roshni- Arjun ke Bachpan ki dost.
Maharaj Yogendra- Aisha ke pita.
Maharani Yogsheela- Aisha ki kamini souteli maa.
Yuvraj Angad- Aisha ka soutela bhai.
Maharaj Adhiraj- Riya ke pita.
Maharani vaibhavi- Riya ki maa.
Swarna- Pavitra Astra Rakshak uttaradhikari. Puri tarah se bigrail.
Samanth- Pavitr astra rakshak aur Swarna ke pita.
So dosto ye hai concept aur CS. kaisa laga plz express ur views. I m waiting. I knw its too fantasy but i vl try to entertain u guys through my story. Just believe me for once.
PS: DOSTO YEH KAHANI KALPANIK HAI. ISKA KISI BHI CHIJ SE KOI LENA DENA NHI HAI. YE SIRF ROMANCH KE LIYE LIKHA GAYA HAI.
THNK U FOR JHELING ME.
32