I really don't know ki aap log etne shocked kyo ho???
Mai shuru se kahti aa rhi hu ye sab. Kinjal koi backward community ki conditioned women nahi hai aur na hi real sense me majbur hai.
Jab wo Dimpy ko lecture deti thi, bura bolti thi aur middle class hone ka bakwas karti thi to yaha sab Dimpy ko bura bolte the aur mai sochti thi yaar tumko koi ghatiya mard Toshu ko pyar karne ka kink hai, usse get over nahi kar paa rhi ho to use tum jhooth me mat dhanko!
Ek Ameer ghar ki ladki... Jiske saath Sasural me kuch bhi galat na ho uske liye Maa aur Saas dono khadi rahi, jiske liye Devar stand leta raha, jiski seva Baa tak ne kar di, jisne shayad apni Saas ki seva bhi nahi ki hogi! Wo jo na career se, na social reason se, na emotional reason se kisi bhi tarah majbur hai, wo agar Trash Toshu ke saath rahna chahti hai to usme uska khud ka Ghatiyapaan hai. Uski beemari ek individual ki beemari hai, na ki wo oppressed hai.
Kavya to independent hone ke bavjud divorce lekr alag nahi rahti kyonki use Loneliness se, Social Stigma se aur struggle se dar lagta hai (ise shuru me explore kiya ja chuka hai). But she still can live alone but she chose to stay with Shahs. To kya hua ki disrespect jhelni padegi. Khud ko bhi aur beti ko bhi.
Par Dimpy to ek baar Rape, ek divorce aur ek bar Widow hone ke baad real sense me majbur hai. Respectable taur par jeene ke liye use Shahs ki har baat manani padegi ya fir patriarchy approved tareeke se hi koi solution (jaise Titu as a husband) aa jaye. Although ham as a audience unrealistic hi sahi koi fast forward wala solution chahte hain isliye ham kuch bhi imagine kar lete hain!
Warna to Kinjal to dekho.. well-mannered woman hai, Maa ki bhakt hai, baki bad-mannered women jaise Dimpy ko line par laane ka perfect example hain, wo apni Maid Saas cum Jagat Maata (Jo khud ko krantikari samjhti hain shayad) ke saath milkar "by choice" ye sab karengi to jinke paas wakai me choice limited ho ya ekdam zero ho, wo to kya hi kar payengi!
As much as it is true that men oppress women in a patriarchal system, women take part in other women's oppression as well. Because it's a pyramid structure where there are so many identities (whether they work in cohesion or in destructive way it's another matter) work at the same time.
So... Kinjal ko ye jo bhi problem hai (mother wound hai ya Jo bhi) uska solution wo other women ko oppress karke nikaal rahi hai because she is powerful in the social structure. Aur Nikamma Toshu use kitna bhi frustrate kyon na kare lekin un dono ke self-interest align jo hote hain. To voila!!
Isliye Kinjal ka self-interest ye decide karte hai ki wo kab khud ko Upper class kahe, kab khud ko women kahe, kab Middle class ban jaye, kab Sanskar ki baat kare to Kab ek patni aur maa ban jaye!
That's the reason... I don't want to empathize with women who have everything in the world to live a justful/fair life but they chose to be unfair to other women because they have some sort of crazy affliction and they too egoistic to take therapy for it!
And even when I don't approve the action of women like Dimpy, I don't judge them because I get their situation. When they rebel they get brutally punished for it in some way or another. And when they tow the line they have to sacrifice a lot. Either way, they will lose a lot. And the road to empowerment will always be difficult (although Rajan Shahi ki serials me sab Maggie noodles jaisa hota hai)
Edited by nivi26 - 1 years ago
34