How hard it is to understand that apne ghar mein time spend karna, apne family (Current) ke liye cheezein karna is normal human behavior, not a favor jise roz ginaya jaaye.
We all have a routine after getting up every morning doing normal things for self and family, chahe wo khana banana ho, exercise ho, getting ready leaving for office supervising the maid, having that morning cup of Coffee with your spouse, dropping kids to school, helping them with homework, spending time with them on weekends and holidays, planning outings - ye sab ek normal life normal family roz karti hai but ye nahi bolti aaj maine tumhare liye kapde iron kiye, subah coffee banayi thi, raat mein medicine di thi.
Apne ghar mein rehna ya bahar jaake wapas apne ghar mein aana is normal, apne ghar mein sona is normal.
Only maids run from one house to another after finishing work at one place.
Apne ex in laws ke yahan din mein 4 bar jana, majboori, jimmedari, matke, bati hui Orat ye sab words villagers bhi use nahi karte
Bachhe jab bade ho jate hain shadi kar lete hain to unhe apni life apne hisab se jeene deni chahiye, apne ex in laws ko Maa Baap bana lena aur apni real Maa ko saal mein ek ya do bar milna is not normal.
Anuj sent her to Shah house many times at important events or emergency situations that doesn’t mean wo poora din wahi rahe, unhi ki baatein kare, unhi ki problems discuss kare, apni ex sautan ke liye 2 bar 4 bar parties throw kare apne pati ke paiso se, Apna Stree Dhan apna Gold apni Ex Saas ko gift kar de, unhe saal mein 10 bar apne Current pati ke yahan le aaye rehne ko aur apni Current Saas ko chaaku dikhaye dhamkiya de ghar se nikalne ki, aadhi raat ko alne ex pati se milne bahar jaye aur apne Pati ko reason bhi na bataye?
I mean list of Anupamaa’s kaands is unending, Anuj tried being an understanding partner, mingle with her ex inlaws, taking care of them helping them in financial matters, but Anupama and Shahs ko ungli pakdayi unhone gala pakad liya?
Kisi ki achhayi ka itna bhi faida nahi uthana chahiye ki wo apni achhayi bhul jaye aur usse sab kuch yaad dilana pade jo aaj tak kiya.
Na Anuj ne aaj tak Anupama ko Shahs se milne se roka na wahan jaane se mana kiya, healthy boundaries draw karne boli thi jiska matlab hai poora din wahan mat padi raho, baat baat pe bhaag ke mat jao, wahan khana chai nashta coffee mat banao, apne pati apni bachhi ke saath time spend karo, how difficult is it to understand simple normal behavior?
Apni izzat apne haath hoti hai, isliliye Anupamaa ka aaj na koi ghar hai na parivar. Na kisi ne usse roka, agar relations ko baggage bolna pade to wo relations rakhne nahi chahiye.
Simple things difficult to understand for abnormal people like Maa
6