Originally posted by: Kras1
i have so many problems with their bhashan nautanki
last week on monday she was like purani suti saree mein bhi shadi ho sakti h
aur is hafte purani 1000 rupye ki saree se seedha heroine wale lehenge par aa gayi
does she know jyadatar heroine sabhyasanchi ke lehenge pehenti h jinki keemat lakho mein hoti h
matlab hazar se seedha lakho brilliant
uske upar ghar wale dholak ke sangeet se seedhe grand heroine wale sangeet par kudi
waha bhi no kharche se seedha lakho rupye kharcha amazing
pichle hafte barat auto mein aane wali thi to ab kya samjhe barati bhi ferrari mein race lagate aayenge aur dulha jo h wo rolls royce mein aayega
i mean below poverty line wali shadi se seedha hi raeeso wali shadi par kud gaye waah
aur uske upar har ladki ko beech mein ghusana jaruri h
pichle hafte middle class ki band bajayi thi is hafte desh ki beti ki
i mean yes i agree aaj bhi kayi jagah ye halat h but keep it short na aapne ye sab jhela h to use bss apne tak rakho kyu har kisi ko beech mein ghaseetna
and sach ye h aajkal ladki walo ki bhi bahut demands hoti h jo ladke wale maante h
bahut jagah shadi ke kharche 50-50 bhi hote h
to har ladke wale kharab nahi hote aur har ladki bechari nahi hoti
pichle hafte ye message de rahe the ki shadi par kharch hi mat karo is hafte agar kama rahe ho aap accha to jitna marji udao
aur jo last week ye madam bol rahi thi unme se kuch bhi iske matter mein sahi nahi baithta
ladke walo ki dmands puri karni padti h unke rishtedaro ko gifts dene padte h
madam ji anuj ke na rishtedar h na demands
uske kaka ne ek demand jarur ki thi actually request ki thi ki shadi shah house se na ho but wo bhi aapke jiddi adiyal ex sasur aur naye naye villain bane bapuji ne maani nahi
aur aaj bhi agar wo apni baat ko chota aur khud tak rakhti to samajh jati jisko jo msg lena tha wo waha se bhi le leta
but inhe bimari h pure desh ko beech mein lane ki
aur sabse badi baat h aaj khushi ka din h aapko ek khushi mili h log try karte h ki purani kadwi yaado ko bhoolkar is khushi ko enjoy kare but no