Originally posted by: IndominusRex
Both anupama and vanraj are majorly responsible for kavya 's misery, undeniably both played their roles, according to their respective reach.
Ab anu beech mein kaha se aa gayi
Anu ne decision liya wo galat tha. Use haq nahi hai shah pariwar mein bolne ka technically, but i guess 26 saal naukrani jaise seva dene wali anu itna to hak rakh sakti hai. Aur use hak tab nahi hota jab shah family divorce ke baad use apni problems se puri tarah dur kar deti lekin wo log hi har mamle mein use ghaseet laate hain which gives her hak to meddle in their affairs.
Aur anu ne jo decision liye wo anuj ki help ke liye tha, wahi aadmi jisne shahs par dhero ahsaan kiye hain. Aur agar kavya ko itni problem thi to vanraj ko uske liye stand lena tha lekin wo to khud hi maan gaya mukku ko rakhne.
Aur mukku ke hone na hone se vanya mein problems create nahi hui. Wo to pehle se hi chal rahi thi. Haan mukku ke aane se k thodi aur insecure ho gayi but again ye uski khud ki create ki problems hai. Use v se aur gharwalo se khul kar baat karni chahiye thi lekin usne kiya kya.. jab jab mauke mile tab tab har family member ko bas bhadkaya ek dusre ke khilaaf.
Maana ki kavya ke sath galat hua. Jitnj aasani se v ko whitewash kar diya gaya utna hi k ke liye tough raha sabkuch and it definitely boils down the conclusion that bete aur bahu mein fark hua hai...lekin reality bhi to yahi hai...aisi kaunsi ideal family hai duniya mein jo apne bete se jyada bahu se pyar karti hai. Arre ye wo family hai jisne anu jaisi naukrani ko kabhi support nahi kiya to ye ghar todne wali kavya ko kya support karenge. K ko samjhane ke liye family ko waqt aur patience chahiye. Aur shayad wo samjhe bhi aage jakar lekin nandu chahti hai itne time ka anger, frustration, misunderstanding sab ek sath bhul jaye kuch seconds mein aur kavya search operation chalu kar de. Aisa to nahi ho sakta.
Aur jo bhi raita fela hai isme anu to bilkul involve nahi hai.
16