CHAPTER - 5
Ananya climbed up the stairs and reached the passenger's area.The chief asked,"Kya hua?"Ananya looked downwards and then replied,"Kuch nehi,engines saare kharaab ho gaye hai aur internal kharaabi hai.Uske liye engineers ki zarurat paregi,main kuch nehi kar sakti hu."Though Ananya was trying to hide the happiness and excitement of Akash being on board,but she could not properly and the chief became suspicious on seeing her expressions.He looked here and there and asked,"Waha jo main eek aadmi ko tumhare saath bheja tha vo kaha hai?"Ananya's heart bumped aloud and she started stammering and said,"Vo-vo...vo m-m-mujhe nehi-nehi pata.Maine usko nehi dekha,shaayad neeche achche se check karke aa raha hoga."The chief twisted his brows and then walked on to look for that man and Ananya was just unable to do anything.In the downstairs,Akash was listening their convo and became nervous when the chief was coming downstairs,but just at that moment,by God's grace,another of his companion called the chief and said,"Janaab vo log bhaijaan ko lekar aa gaye hai.Jaldi chaliye!!"Bashir was very happy and he raised his both hands and said,"Marhaba!!Marhaba!!Aakhirkaar vo mubaarak ghari aa hi gayi."Bashir took a u-turn and then returned to the passenger's area.He ordered his men,"Tum do log yaha andar raho aur baaki log mere saath aao.Chalo neeche!!"Bashir took a few men and went downstairs.Before he could step outside,Ananya asked,"Tumhaara maksad pura hone ke baad bhi tum hum mein se kisiko nehi chorne waale ho hai na?"Bashir looked at her and smiled in an evil way and said,"Mohtarma bari akalmand lagti hai."All the terrorist group laughed on hearing that statement.Ananya too laughed sarcastically and said,"Tum logo ko dekh kar aaj mujhe ek bohot puraani yaad aa rahi hai aur vo ye hai ke,maut ko bulaana nehi parta hai,maut ko jab aani hoti hai tab vo aa hi jaati hai,bas tumhaare maamle mein fark itna hai ke tumhe bohot dardnaak maut milne waali hai isliye jitna hasna hai haslo,kyuki tumhaari in jaanwaaro jaisi aakho mein mujhe tumhaari maut aur uswaqt ka khauff saaf dikh raha hai."Bashir still,in the same way asked,"Achcha kaun maarega mujhe?Ye tumhaari sarkar?Inme itni himmat hai?Agar hoti ho mere bhai ko itni asaani se nehi chorti?"Ananya replied,"Hamaare yaha har janam mein har kans ko maarne ke liye ek Krishna paida hota hai aur tere jaise kans ko maarne ke liye to vo Krishna already is dharti par aa hi chuka hai.Ja aakhri baar ke liye mil le apne bhai se aur phir upar jaakar gilli danda achche se khel lena apne bhai ke saath."Bashir was like confused and irked at the same time seeing the confidence in Ananya's eyes and then asked his other men to keep a special eye on Ananya.After Bashir left with some men,Anaya whispered to Natasha,"Akash is on board!!"Natasha had a content smile on her face.Jaanvi,on seeing her mother asked,"Mamma mamma dadda ko phone kiya hai na?"Ananya,kissed Jaanvi and said,"Ye samajhlo ke tumhaare dadda yehi hai aur vo abhi aakar Jaanu ko bacha lenge."Jaanvi was so happy on hearing that she started shouting out of happiness,"Mee dadda aa gaye,mee dadda aa gaye (Mere dadda aa gaye,mere dadda aa gaye).Abi na in ganne uncle ko dishum dishum kakke maayenge mee dadda (Abhi in in gande uncle ko dishum dishum karke maarenge mere dadda).Mee dadda ke paach bi itte chaaye gun hai(Mere dadda ke paas bhi itne saare gun hai)."One of the terrorists came to Jaanvi and said,"Chup raho bachchi!!Zyaada muh khola na to yehi laash bana dunga."He pointed gun on Jaanvi's forehead and the other man said,"Tabse apne baap ke baare mein bohot barboli ban rai hai.Kaun hai iska baap?"At that moment,someone pierced a knife from his back on his shoulder and said,"Vo..."The man fall down a bit and Akash emerged and he concluded,"Main hu!!"Akash grabbed the man in his arms and on seeing him,Jaanvi was the happiest person on the earth and she started jumping,"Mee dadda aa gaye,mee dadda aa gaye (Mere dadda aa gaye (2))."The other one was about to shoot Akash but Akash said,"Isey to abhi aadha maara hai,agar koi bhi galti ki na to pura maar dunga main isko."He took the wounded man's guns and then threw it away and put him down.That moment's opportunity was grabbed by the other and he held Jaanvi as hostage.She cried out,"Dadda dadda!!"Akash looked at her with a jerk and the man said,"Rakkho apne hathyaar neeche rakkho!!"Akash looked at the man and then he said,"Apni life ki sabse bari galti ki hai tune aisa karke."He slowly bowed down and put the gun on the base and within a blink of a second,he picked up his silencer gun from his back and said,"Jaanu mamma ke taraf dekho."The moment Jaanvi looked at Ananya,Akash shot that terrorist at the forehead.He just fall and died instantly.Jaanvi immediately,getting freed from the man's grip ran to her father and Akash just hugged her tight and asked,"Jaanu beta aapko chot to nehi aayi na?Aap thik ho na?Aapko dar to nehi laga?"Jaanvi broke the hug and replied,"Daanu nei dayi dadda,mamma dal gayi (Jaanu nehi dari dadda,mamma dar gayi).Daanu bave hai na (Jaanu brave hai na).Daanu ne ganne uncle ke haath ko kaat diya kyuki uchne Natacha auntie ko maala aul dab mamma ko aaappp kiya na to Daanu ne bi aul jol che aaappp kiya (Jaanu ne gande uncle ke haath ko kaat diya kyuki usne Natasha auntie ko maara aur jab mamma ko daata to Jaanu ne bhi aur zor se daat diya).Pata hai dadda uch ganne uncle na aapke jaiche gun bi dikhaayi mudhe (Pata hai dadda us gande uncle ne na uske jaise gun dikhaayi mujhe).Ganne uncle ne mudhe bi aaappp kiya (Gande uncle ne mujhe bhi aaappp kiya."Akash smiled and replied,"I know meri Jaanu sabse zyaada brave hai.Abhi aap mamma ke paas betho aur dadda abhi us gande uncle ko punish karke aate hai,usne meri Jaanu ko daata hai na.Ab dekhna main kya karta hu."Akash got up and then said to everyone,"Dont worry ladies and gentleman abhi aap bilkul bhi fikar mat kijiye,bahaar army aa gayi aapke rescue ke liye.Aal you need is just to co-operate and please in dono ko ek corner mein le jaaiye aur jo aadmi zakhmi hai usko achche se baandh dijiye aur uske muh par tape laga dijiye."Saying he took out his mobile and send a message.
Outside the flight,Bashir and some of his men were waiting for their chief Al-Hamid.Akash's boss came out of the bus and walked towards Bashir and said,"Tumhaari demand ke mutaabik hum tumhaare bhai Al-Hamid ko lekar aaye hai.Ab tum in passengers ko chor do."He replied,"Chor denge pehle bhaijaan ko to dikha do."Akash's boss said,"Nehi!!Ek haath de aur ek haath le.Pehle tum saare passengers ko neeche utaaro.Ek taraf se Hamid tumhaare taraf chalega aur ek taraf se saare passengers hamaare taraf chal kar aayenge."Bashir laughed like a devil and said,"Hum kya shakal se tumhe bewakuf lagte hai?Is baat ki kya guarantee hai ke humne agar saare passengers ko azaad kar diya to tum sab milkar hume goliyo se chalni nehi kar doge?Bilkul nehi hum aisi bewakufi kabhi nehi karenge.Agar hume bhaijaan na miley to hum samjhenge ke vo hamaare paak maksad ke liye qurbaan ho gaye par ha agar hum marenge to in saare logo ko saath marenge taaki tum logo ka jeena hamesha hamesha ke liye haraam ho jaaye."Akash's boss said,"Par hum to aise hi tumhaare baato par bharosa nehi kar sakte hai.Tumhe bhi tumhaara bhai chahiye aur hume ye saare log.Tum kamsekam inhe neeche to utaar hi sakte ho na?"Bashir agreed and then asked his men to bring all the passengers down.The men walked towards the flight and climbed up the stairs to enter inside.The moment,he entered inside,Akash was already prepared and he immediately pointed a gun on the man's forehead and then asked Ananya to hold the gun and then he tied a belt around the man's waist and then said,"ye koi aisa vaisa belt nehi hai.Isme bomb hai to agar neeche jaane ke baad tune apna muh khola to main is bomb ko blast kar dunga aur phir tere chithre koi dhundh bhi nehi paayega."Akash asked everyone to get ready and then signalled the man to go downstairs followed by the passengers.The man came down and just behind him was Akash and he was followed by all the passengers.After the passengers came downstairs,Bashir said,"Lijiye humne hamaara waada nibhaaya hai ab aapki baari hai."Akash's boss looked at the bus and one army man pushed a wheel chair and came out of a bus.A man,who was none other than Al-Hamid,was sitting paralyzed in the wheel chair and on seeing him Bashir was hell shocked and yelled,"Hamaare bhaijaan ki ye haalat kisne ki?"Akash's boss replied,"Kabhi kabhi sach ugalwaane hume thori khaatirdaari karni parti hai."Bashir looked very devastated as the wheel chair taking Al-Hamid was being brought near them.
CHAPTER - 6