ok some from sanam jung shows😆
+++++++++++++++++++++
as much as I detest mohabbat subh ka sitara (aah I wish it would be better on direction man!) it had some amazing dialogues as well -
rumaisa -
Mohabbat subh ka sitara hai jo zindagi ke asman ka sub se roshan aur jagmagata sitara hai. Jo zindagi ko tareekiyu mein se bhi nikaal lata hai, usay simt deta hai, rasta dikhata hai aur us sitare ko paa lene ke baad, zindagi mei rehnumaye ke liye asman ke kisi chotay baray sitaray ki zarurat baaki nahi rehti.
+++++++++++++++++
zeeshan -
Baaz logon ke nazdeek rishton se bhar kr kuch nahi hota aur baaz ke nazdeek cheezon se bhar kur kuch nahi hota"
++++++++++++++++++++++++++++++
and then my current fav mere humdum mere dost😳
Aimen -
"logo ke pass, bahot saarey rishtey hotey hai, maa..baap..bhai..behen..rishtedaar, par mere pass toh sirf ek hi rishta hai, aapsi dosti ka rishta..agar aapne yeh rishta khatam kar diya, toh phir mai apne dukh, apni pareshaaniya, apni saari baatein kisko bataaongi..."
"Mere pass apni feelings ko samajhne ke liye koi aalaa nahi hai, par main yeh jaanti hoo, ki agar mai apni saari duniya, saari kaayanat, saari zindagi ek lafz mai sametna chaahu toh woh ek lafz haider hoga.."
"dusro ke diye hue dukh par, mai aapke pass bethkar aansu bahaati rahi, par aaj jo dukh aapki taraf se mil raha hai, toh main kiske pass jaaoo haider, kiske pass bethkar rouu? jab aapne mujhe itna kucch sikha diya tha haider, toh aapke bina jeena bhi sikha dete :( main aapke bina zinda rehna bhool gayi hoo..mujhe apne aas pass har waqt haider masood ko dekhne ki aadat pad chuki hai, aaj jab aap kahin nazar nahi aa rahe, toh har taraf andhera hi andhera hai"